Saturday, February 20, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain Ul Irfaan#521

SHARE
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #521.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 207.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur koi aadmi apni jaan bechta hai Allah ki marzi chahne mein aur Allah bando par meherbaan hai.

▶ Tafseer
▶ Shaane Nuzool Hazrat Sohab Ibne Sanan Roomi Makka Mu'azzama se hijrat karke Huzoor Sayyade Aalam ﷺ ki khidmat mein Madeena Tayyaba ki taraf rawana huwe mushrikine quraish ki ek jama'at ne Aapka ta'aaqub kiya to aap sawari se utare aur tarkash se teer nikal kar farmane lage ki aye quraish tum mein se koi mere paas nahi aa sakta jabh tak ki maiñ teer maarte tamam tarkash khaali na kar du aur phir jabh tak talwar mere haath mein rahe usse maaru us waqt tak tumhari jama'at ka khet ho jayega agar tum mera maal chaho to Makkah Muqarrama mein madfoon hai to mein tumhe uska pata bata du tum mujhse ta'arruz na karo woh is par raazi ho gaye Aapne apne tamaam maal ka pata bata diya jabh Huzoor ﷺ ki khidmat mein haazir huwe to yeh aayat naazil huwi Huzoor ﷺ ne tilawat farmayi aur irshad farmaya ki tumhari yeh jaan-faroshi badi nafe'a tijarat hai.

0 comments:

Post a Comment