Sunday, February 21, 2016

Hadees e Mubaraka #522

SHARE
LABBAIK ALLAHUMMAH LABBAIK..!!
HUM SABKO NASEEB HO EK
HAI FARZ HUM SAB PAR
KHOOBSURAT HAJJ KA SAFAR

بسم الله الرحمن الرحي
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #522.

Hazrat e Abdullah Ibne Abbas رضي الله عنه se riwayat hai Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ jabh Hazrat e Ibrahim علیہ السلام Khaana e Kaaba ki tameer muqammal kar liye to Allah Ta'ala ki bargaah mein marooza kiye Ilaahi Maiñe tameer muqammal kar li hai tabh Allah Ta'ala ne hukm farmaya "Logoñ mein hajj ka ailaan karo" Unhone arz ki Ilaahi meri aawaz kaise pahuchegi.?

Allah ﷻ ne irshad farmaya aawaz dena tumhara kaam hai aur ussey pahuchana humare zimme hai. Hazrat Ibrahim علیہ السلام ne arz ki Ilaahi Maiñ kin kalimaat se ailaan karu.? Allah ﷻ ne irshad farmaya iss tarah karo 'aye logoñ tum par hajj farz kiya gaya mu'azzaz aur mukkaram ghar Kaabatullah ka hajj tum par farz kiya gaya.' Toh zameen aur aasmaan ke darmiyan jitni makhlooq thi sabne aapki aawaz suni yahi wajah hai ke tum dekhte ho ke hujjaj zameen ke koney koney se Labbaik Labbaik kehte huwe hajj ke liye aate hai.

#Al Mustadrak, Al Saheeheen Lil Haakim, Hadees No 3421.

0 comments:

Post a Comment