Shaan e Ahle Bait #562.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
Imam e Hussain رضي الله عنه ne raat ko apne saath waloñ ko jama kiya aur Allah ﷻ ki tareef aur shukr adaa kiya phir Darood e paak parh kar farmaya
Maiñe duniya mein kisi ke saathiyoñ ko tum se wafaadar nahi dekha aur kisi ke ghar waloñ ko apne ghar waloñ se behtar neik aur suleh-rehmi karne wala dekha, Allah Ta'ala tum sab ko meri taraf se jazaaye khair ataa farmaye
Sun lo Maiñ yakeen se kehta hu ke kal hamari shahadat hogi Maiñ tumhe khushi khushi ijazat deta hu ke raat ka andhera phaila huwa hai iss andhere mein jahañ chaho chale jao, meri taraf se tum par koi ilzam nahi, yeh log mera qatl karna chahte hai mere qatl ke baad kisi taraf tawajjo nahi denge.
Aap ki ye taqreer sun kar Hazrate Abbas doosre bhai, bhanje, bhatije رضي الله عنهم sab ek zabaan ho kar kehne lage kya hum isiliye chale jaaye ke aap ke baad zinda rahe Allah ﷻ humein aisa din naa dikhaye
Imam e Hussain رضي الله عنه ne farmaya aulaad e aqeel Muslim ka qatl tumhare liye kafi hai tum chale jao Maiñ ijazat deta hu sab ne kaha Khuda ki kasam yeh hum se hargiz naa hoga balki hum dushman se muqabla karenge aur apni jaan aap par qurban karenge phir Hazrate Zubair bin Qin ne kaha ke Khuda ki kasam Maiñ to yeh chahta hu ke baar baar qatl kiya jau aur zinda kiya jau phir qurban ho jauñ.
Iske baad aap aur aap ke saathiyoñ ne Namaz, dua, Astagfar, mein saari raat guzar di aur khaime ke piche khandaq khod kar us mein lakdiya bhar di taaki jung ke waqt uss mein aag laga kar dushmano ko roka ja sake.
Allahu Akbar kya hausle they zara andaza lagaye ke yahañ auratein bacche beemar aur lashkar bhi nahi hai sirf chand log hai aur saamne 22000 ka lashkar magar yeh kis liye ladne ko taiyyar the sirf Allah ke deen ki sar bulandi ki khatir RasoolAllah ﷺ ki Shari'at ki baqaa ke liye aur yakeenan wo jaan dene ke liye ladne wale the jante the ki aakhir mein hum ko shahadat ka jaam peena hi hai.
#Khutbaat e Muharram.
Sunday, February 28, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment