Sunday, February 28, 2016

Shaan e Ahle Bait #567

SHARE
Shaan e Ahle Bait #567.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩ Hazrat e Abbas رضي الله عنه Ki Shahadat.

Abh Hazrat e Abbas رضي الله عنه ijazat ke liye haazir huwe. Apne kumbhe ke bacchon ko pani ke liye tadapta na dekh sake aur ba-mushkil ijazat milne par mushkizah (water bag) le kar nehr e furaat ki taraf badhe furaat ki taraf jaane se yazeediyo ne roka aur muqabla shuru huwa.

Aapne jam kar muqabla kiya aur furaat mein daakhil ho kar mushkizah bhar liya aur chand ghunt peene ka khayal aaya lekin aapko ghairat aayi ke aurtein bacche aur sabhi kumbhe ke log pyaase hai to Maiñ kaise paani pee lu. Aapne bhara huwa chullu waapas phenk diya aur mushkizah ek kandhe par latka kar waapaas jaane ke liye palte.

Ek shor utha ke roko roko pakdo maar do agar yeh paani Hussain ( رضي الله عنه ) ke khaime (tent) tak pahuch gaya toh samajh lo ke humare bacche yateem aur aurtein bewa ho jayegi.

Yazeediyo ne chaaro taraf se aapko ghair liya aur phir muqaabla shuru huwa talwaare chamki aur ladte ladte zaraarah naam ke ek zaalim ne ussi kandhe par waar kiya jis par mushkizah latka huwa tha aur woh haath kat kar gir gaya toh Aapne doosre kandhe par latka liya tab nofel bin arzuq ne doosre kandhe par waar kar ke usse bhi kaat diya toh Aapne mushkizah daanton se pakad liya lekin ek yazeedi ne aisa teer mushkizeh par maara ek saara paani beh gaya. Phir aapko ghair kar chaaroñ taraf se toot pade aur ghode se niche zameen par gir gaye aur Imam رضي الله عنه ko aawaaz di. Imam رضي الله عنه aaye aur aapko tent ki taraf le jaa rahe the ke aapne jaam e shahaadat nosh farma liya.

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ

#Khutbaat e Moharram.

Pukaare Abbas ae Sakina,
Maiñ paani laaunga khoob peena,
Kate hai bazu chhida hai seena,
Abhi mera sar kata nahi hai.

0 comments:

Post a Comment