Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 495.
Contd Post #494.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 184.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
3⃣ To utne roze aur dino mein aur jinhe is ki taaqat naa ho wo badla de ek miskeen ka khana.
4⃣ Phir jo apni taraf se neki zyada kare.
5⃣ To woh uske liye behtar hai aur roza tumhare liye zyada bhala hai aur agar tum jaano.
▶ Tafseer
3⃣ Masla – Jis Budhe Mard ya Aurat ko peerana saali ke zo'af se roza rakhne ki qudrat na rahe aur aayinda quwwat haasil hone ki ummeed bhi na ho usko shaikh e faani kehte hai uske liye jayaz hai ke iftaar kare aur har roze ke badle nisf sa'a yaani 175 Rupiya aur ek atthani bhar gehuu ya gehuu ka aata ya isme dono ya uski keemat bataure fidiyaa deiñ.
▶ Masla – Agar fidiya dene ke baad roza rakhne ki quwwat aa gayi to roza waajib hoga.
▶ Masla- Agar shaikhe faani naadaar ho aur fidiya dene ki qudrat na rakhe to Allah Ta'ala se istigfaar kare aur apne afwe takseer ki dua karta rahe.
4⃣ Yaani fidiya ki miqdaar se zyada de.
5⃣ Isse maloom huwa ki agarche musafir wa mareez ko iftaaz ki ijazat hai lekin zyada behtar wa afzal roza rakhna hi hai.
Wednesday, February 17, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment