Sunday, February 21, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain uk Irfaan #522

SHARE
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #522.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 208.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Imaan waloñ Islaam mein poore daakhil ho.
2⃣ Aur shaitan ke qadmo par na chalo beshak woh tumhara khula dushman hai.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool ahle kitaab mein se Abdullah Bin salaam aur unke as'haab Huzoor Sayyade Aalam ﷺ par Imaan laane ke baad shari'at e Musawi ke baaz ehkaam par kaayam rahe shamba ( Shanichar ) ki taazim karte us roz shikar se ijtenaab laazim jaante aur ouñthni ke doodh aur gosht se parhez karte aur ye khayal karte ki ye cheezein Islaam mein to mubaah hai inka karna zaroori nahi aur tauret mein unse ijtenaab laazim kiya gaya hai to unke tarq karne mein Islam ki mukhalafat bhi nahi hai Shari'ate Musawi par Amal bhi hota hai aur is par yeh Aayat naazil huwi aur irshad farmaya gaya ki Islam ke ehkaam ka poora itteba'a karo yaani Tauret ke ehkaam mansukh ho gaye abh unse tamassuq na karo ( #Khaazin )
2⃣ Iske wasawas wa shubahaat mein na aao.

0 comments:

Post a Comment