Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 494.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 184.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Ginti ke din hai.
2⃣ To tum mein jo koi beemar ya safar mein ho.
▶ Tafseer
1⃣ Yaani sirf ramzaan ka ek maheena.
2⃣ Safar se woh muraad hai jinki musaafat 3 din se kam na ho iss Aayat mein Allah Ta'ala ne mareez wa musafir ko rukhsat di agar usko Ramzaane Mubarak mein roza rakhne se marz ki zyadati ya halaaq ka andesha ho ya safar mein shiddat wa takleef ka to woh marz wa safar ke ayyam mein iftaar aur bajaye iske ayyame manhiyaa ke siwa aur dino mein uski qazaa kare ayyame manhiya 5 din hai jinme roza rakhna jayaz nahi. Dono eidein aur zil hijjah ki 11vi, 12vi aur 13vi taarikhe.
▶ Masla – Mareez ko mahaz waham par roze ka iftaar jayaz nahi jabh tak daleel ya tajarba ya gair zaahir ul fisq tabeeb ki khabar se uska galba e zan haasil na ho ki Roza marz ke tu'l ya zyadati ka sabab hoga.
▶ Masla – jo bil fail beemar na ho lekin musalmaan tabeeb ye kahe ki roza rakhne se beemar ho jaaega woh bhi mareez ke hukm mein hai.
▶ Masla – Haamila ya doodh pilane wali aurat ko agar roza rakhne se apni ya bacche ki jaan ka ya uske beemar ho jaane ka andesha ho to usko bhi iftaar jayaz hai.
▶ Masla – jiss musafir ne tuloo e fajr se qabl safar shuru kiya usko to roze ka iftaar jayaz hai lekin jisne baad Tuloo'a safar kiya usko us din ka iftaaz jayaz nahi.
To Be Contd................
Wednesday, February 17, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment