Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 499.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Contd. Post # 498.
Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 187.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
5⃣ Aur Khao aur Piyo
6⃣ Yahan tak ki tumhare liye zaahir ho jaaye safedi ka dora, siyahi ke dore se paao fat kar.
▶ Tafseer
5⃣ Ye Aayat Sarma'a Bin Qais رضي الله عنه ke haq mein naazil huwi aap mehnati aadmi the ek din bahalate roza din bhar apni zameen mein kaam karke shaam ko ghar aaye biwi se khana maanga wo pakaane mein masroof huwi yeh thake the aankh lag gayi jabh khana tayyar karke unhe bedaar kiya unhone khane se inkaar kar diya kyuki uss zamana mein so jaane ke baad rozaadar par khana peena mamnu'u ho jata tha aur usi haalat mein doosra roza rakh liya zo'af inteha ko pahuch gaya tha dophar ko gashi aa gayi unke haq mein yeh Aayat naazil huwi aur ramzaan ki raato mein inke sabab se khana peena mubaah farmaya gaya jaise ki Hazrate Umar رضي الله عنه ki inabat wa Ruju'u ke baayees qurbat halaal huwi.
6⃣ Raat ko siyah dore se aur subhe saadiq ko safed dore se tashbeeh di gayi Maana ye hai ki tumhare liye khaana peena ramzan ki raatoñ mein maghrib se subhe saadiq tak mubaah farmaya gaya ( #Tafseer Ahmedi)
▶ Masla – subhe saadiq tak ijazat dene mein ishara hai ki janabat Roze ke munafi nahi jis shakhs ko bahaalate janabat subah huwi wo gusl karle uska Roza jayaz hai (#Tafseer Ahmedi)
▶ Masla – Isi se aulma ne ye masla nikala ki ramzan ke roze ki niyyat din mein jayaz hai.
Wednesday, February 17, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment