Safar e Haj # 499
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
⏩ Hajj wajib hone ke sharait
5⃣ Aazad hona - baandi gulam par hajj farz nahi
▶ Masla:- Gulam ne apne maula ke saath hajj kiya toh yeh hajje nafl huwa hajjatul islam na huwa. Aazad hone ke baad agar sharait paaye jaaeñge toh phir karna hoga aur agar maula ke saath jaata tha raaste mein usey aazad kar diya toh agar ehraam baandh kar haj kiya toh hajjatul islam ada hogaya aur ehraam baandhne ke baad huwa toh hajjatul islam na hoga agarche naya ehraam baandh kar haj kiya ho.
#Alamgiri.
6⃣ Tandrust - Tandrust ho ki hajj ko ja sake a'azaa salaamat ho, ankhiyara ho, apahij aur phalij wale aur jiske paav katey ho aur budhe par ki sawaari par khud na baith sakta ho haj farz nahi, yuñhi andhe par bhi wajib nahi agarche haath pakad kar le chalne wala usey mile in sab par yeh bhi wajib nahi ki kisi ko bhej kar apni taraf se hajj kara deiñ ya phir wasiyat kar jaaye aur agar takleef uthakar hajj kar liya toh sahi ho gaya aur hajjatul Islam ada huwa yaani iske baad agar a'azaa durust ho hogaya to abh dobara hajh farz na hoga wahi pehla hajj kaafi hai.
# Alamgiri
▶ Masla - Agar pehle Tandrust tha aur deegar sharait bhi paaye jaate the aur haj na kiya phir apahij wagaira ho gaya ki hajj nahi kar sakta toh is par woh hajj baaki hai khud na kar sake toh hajj e badal karaye.
#Alamgiri Safah 141.
Wednesday, February 17, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment