Wednesday, February 17, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 496.

SHARE
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 496.


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 185.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Ramzaan ka maheena jisme Quraan utara.
2⃣ Logoñ ke liye hidayat aur rehnumayi aur faisle ki raushan baateiñ to tum mein jo koi ye mahina paaye zaroor iske roze rakhe aur jo beemar ya safar mein ho to itne roze aur dino mein, Allah tum par aasani chahta hai aur tum par dushwari nahi chahta aur isliye ki tum ginti poori karo Aur Allah ki badhayi bolo is par ki usne tumhe hidayat ki aur kahi tum haq guzaar ho.

▶ Tafseer
1⃣ Iske Maana mein mufassireen ke chand aqwaal hai 1. Yeh ki Ramzan wo hai jiski shaan wa sharafat mein Quraan e Pak naazil huwa. 2. Yeh ki Quraan e Kareem mein nuzool ki ibteda Ramzaan mein huwi. 3. Yeh ki Quraan e Kareem be tamamehi ramzan mubarak ki Shabe Qadr mein Lauhe Mahfooz se aasmane duniya ki taraf utaara gaya aur Bait ul Izzat mein raha usi aasmaan par ek makaam hai yahan se waqtan fawaqtan Hasbe Iqtezaaye Hiqmat jitna jitna manzoor Ilaahi huwa Jibraeel e Ameen laate rahe yeh nuzool 23 saal ke arsaa mein poora huwa.
2⃣ Hadees mein hai Huzoor ﷺ ne farmaya ke maheena 29 din ka bhi hota hai to chaand dekh kar roze shuru karo aur chaand dekh kar iftaar karo agar 29 ramzan ko chaand ki Ruyat na ho to 30 din ki ginti poori karo.

0 comments:

Post a Comment