Wednesday, February 17, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #493.

SHARE
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #493.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 183.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Imaan waaloñ.
2⃣ Tum par Roze farz kiye gaye jaise Agloñ par Farz huwe the ki kahi tumhe parhezgaari mile.

▶ Tafseer
1⃣ Iss Aayat mein rozo ki farziyat ka bayan hai Roza Shara'a mein uska naam hai ki musalman khwaah mard ho ya haiz wa nifaas se khaali aurat subah e saadiq se guroobe aaftaab tak ba-niyyate khurd wa nosh wa mazame'at tarq kare (#Aalamgiri waghairah) Ramzan ke Roze 10 Shaaban san 2 Hijri ko Farz kiye gaye ( #Durre Mukhtar wa Khaazin) Iss Aayat se saabit hota hai ki Roze Ibadate Qadeema hai Zamana e Aadam علیہ السلام se tamam Sharia'ato mein farz hote chale aaye agarche ayyam wa ahkaam mukhtalif the magar asal Roze sab ummatoñ par laazim rahe.

2⃣ Aur tum gunaho se baccho kyuki yeh kasare nafs ka sabab aur muttaqeen ka she'aar hai.

0 comments:

Post a Comment