Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #487.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah
ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 178.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Imaan waaloñ tum par Farz hai.
▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool yeh Aayat aous wa khazraj ke baarein mein naazil huwi unmeiñ se ek qabeela doosre se quwwate taadaad maal wa sharaf mein zyaada tha usne qasam khayi thi ki woh apne gulam ke badle doosre Qabeela ke aazad ko aur Aurat ke badle mard ko aur ek ke badle do ko qatl karega zamana e jaailiyyat mein log is qism ki ta'addi ke aadi thi ahade islam mein ye mu'aamla Huzoor Sayyade Ambiya ﷺ ki khidmat mein pesh huwa to ye Aayat naazil huwi aur addal wa musaawaat ka hukm diya gaya aur is par wo log raazi huwe Quraan e Kareem mein qisaas ka masla kayi Aayatoñ mein bayan huwa hai is Aayat mein qisaas wa afwa dono ke masla hai aur Allah Ta'ala ke is ehsaan ka bayan hai ki usne Apne bando ko qisaas wa afwa mein mukhtaar kiya chahe qisaas le yaa afw kare Aayat ke aqwal mein qisaas ke wujoob ka bayan hai.
〰 To Be Contd...............
Monday, February 15, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment