Shaan e Ahle Bait #583.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ
⏩ Ibne ziyaad aur mukhtaar ka ibrat naak anjaam.
Bani sada ka ek badbakth ibne subih logoñ se kaha karta tha ke maiñe Hussain (رضي الله عنه) ke saathiyoñ ko teer maar maar kar zakhmi kiya tha. mukhtar ne usko giraftaar karwa kar jail mein daal diya aur subha darbaare aam mein jabh log jama huwe to, hukm diya ke is bad-bakht ko nezoñ ki nokein chuba-chuba kar maaro, usko isi tarah nezeh ki nok chuba chuba kar halaak kar diya gaya.
Doosra bani junub ka zaid bin riqaad tha jisne Hazrate Abdullah bin Muslim bin Aqiil رضي الله عنه ko aesa teer maara tha ke aapke haath ko chherta huwa aapki peshaani mein daakhil ho gaya, phir pait par maara aur aapko shaheed kar diya tha, Mukhtar ne ussey bhi giraftaar karwaya aur teer aur patthar maaro kaha, aesa hi kiya gaya, jabh adhmuwa ho gaya to ussey zinda jalaa diya gaya.
Ubaidullah ibne ziyaad 30,000 ke lashkar ke saath mosal (city name) se 25 kilometre door dariya e furaat ke kinaare mukhtaar ki bheji huwi 25,000 ke lashkar se jang karte huwe haara aur 10 muharram 67 hijri ko furaat ke kinaare maara gaya.
Ibne ziyaad ka sar jabh koofa pahucha to mukhtaar ne hukm diya ke koofa aur daarul imaarat ko sajaya jaye aur jabh log jama huwe to bola, Aye koofa waloñ dekh lo Hussain (رضي الله عنه) ka khoon naa-haq bahaya to Allah ﷻ ne ise zaliil kar ke halaak kar diya aaj Hussain (رضي الله عنه) ki shahaadat ko 6 saal huwe hai aur ham ibne ziyaad ki zillat ki khushi mein jashn manane ke liye jama huwe hai.
Jabh ibne ziyaad aur uske sathiyoñ ke sar mukhtaar ke samne rakkhe gaye to ek saanp zaahir huwa aur saare saron par se guzar kar ibne ziyaad ki naak se sar mein daakhil ho gaya aur kuch deir ke baad nikla. aisa 3 baar saanp ne kiya aur gaaeb ho gaya.
Mukhtaar ne Imam e Hussain رضي الله عنه ke qaatilon ko sazaaein de kar shaandaar kaam kiya. Lekin aakhir mein Us bad-bakht ne Nabi hone ka daawa kar diya aur murtad ho gaya. kehne laga ke mere paas jibrael ameen aata hai aur khuda ki taraf se wahi laata hai aur maiñ Allah ka Nabi hu.(ma-aazallah).
Hazrate Abdullah bin Zubair ko jabh yeh khabar mili to ek lashkar bhej kar mukhtaar par hamla kiya aur hijri 67 ramazaan ke mahine mein mukhtaar ko qatal kiya.
#Tareekh e Tibri.
#Noor ul Absaar.
#khutbaat e Moharram.
Wednesday, March 2, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment