Wednesday, March 2, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #585

SHARE
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #585.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 584.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 255
( Aayatul kursi )

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
4⃣ Usi ka hai jo kuch aasmano mein hai aur jo kuch zameen mein.
5⃣ Wo kaun hai jo uske yahañ sifarish kare be uske hukm ke.

▶ Tafseer
4⃣ Isme uski malikiyat aur nifaaze amr wa tasarruf ka bayan hai aur nihayat lateef pairaya mein Radde shirk hai ki jabh saara jahaan uski milq hai to Shareek kaun ho sakta hai Mushrikeen ya to kawakib ko poojte hai jo aasmano mein hai ya dariyao pahado pattharo darakhto jaanwaro aag wagairah ko jo zameen mein hai jabh aasman wa zameen ki har cheez Allah ki Milq hai to ye kaise poojne ke kaabil ho sakte hai.
5⃣ Isme Mushrikeen ka Radd hai jin ka gumaan tha ki buth shafa'at karenge unhe bata diya gaya ki kuffar ke liye shafa'at nahi Allah ke Huzoor Mazooneen ke siwa koi Shafa'at nahi kar sakta aur izn wale Ambiya Wa Malaika wa Momineen hai.

〰〰 to be contd.

0 comments:

Post a Comment