Wednesday, March 2, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #586

SHARE
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #586.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd Post # 584 & 585
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 255
( Aayatul kursi )

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
6⃣ Jaanta hai jo kuch aage hai aur jo kuch unke peeche.
7⃣ Aur woh nahi paate uske ilm mein se magar jitna woh chahe.
8⃣ Uski kursi mein samaye huwe hai aasmaan aur zameen.

▶ Tafseer
6⃣ Yaani Maa qabl wa maa baad Yaa umoore Duniya wa aakhirat hai.
7⃣ Aur jinko wo muttal'a farmaye woh Ambiya wa Rasool hai Jinko gaib par Muttal'a Farmana unki Nabuwwat ki daleel hai. #Khaazin.
8⃣ Is mein uski azmate shaan ka Izhaar hai aur Kursi se yaa Ilm Wa Qudrat muraad hai ya arsh ya woh jo arsh ke niche aur saato aasmano ke upar hai aur mumkin hai ki yeh wahi ho jo Fulful Burooj ke Naam se Mash'hoor hai.

〰 〰 to be contd.

0 comments:

Post a Comment