Friday, April 1, 2016

Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #688

SHARE
Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #688.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Maahe Rajab ka Aap Ki baargah mein haazri dena
.

Shaikh Saifuddin Abdul Wahaab رحمة الله عليه se naql hai ki hum 30 Jamadil Aakhir ke din Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ki khidmat mein baithe huwe the aur Aap bayaan farma rahe the tabh ek khoobsurat kawaan aaya aur Aap ke paas ek taraf baith gaya aur kehne laga,
Aye Allah ke Wali! Aap ko salaam ho maiñ Rajab ka maheena hu Aap ke paas isliye aaya hu ki Aap ko khushkhabari sunau aur Aap ko khabar du un baatoñ ki jo mujhme hone wale hai logoñ ko isme bhalai haasil hogi.

#Bahjatul Asraar, Safah 53.

▶ Tashreeh - Aap رضي الله عنه ne Qaseeda E Gausiya meiñ farmaya jiska tarjuma aisa hai

"Aur Jo Mahine Aur Zamane Guzar Chuke Ya Guzar Rahe Beshak Woh Mere Paas Ho Kar Guzarte Hai Aur Mujhko Guzre Huwe Aur Aane Wale Waaqiyaat Ki Khabar Dete Hai Aye Munqire Qayaamat Jhagadne Se Baaz Aa "

Aapki yeh karamat us daawe ki daleel hai jo Aapne Qaseede ke is sher mein kaha hai isliye yeh daawa haqeeqat par hai jhoota kalaam nahi hai isse Aap ke ilme gaib ka bhi pata chalta hai Kyuñ ki jo kuch bhi mahine saalo aur zamano mein hone wale waaqiat hai un sabka Aap ko pehle se pata chal jaata hai.

0 comments:

Post a Comment