Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #688.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶ Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Aale Imran
Aayat No. 66
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Sunte ho yeh jo tum ho.
2⃣ Usme jhagde jiska tumhe ilm tha.
3⃣ To usmein.
4⃣ Mujhse kyuñ jhagadte ho jiska tumhe ilm hi nahi aur Allah jaanta hai aur tum nahi jaante.
▶ Tafseer
1⃣ Aye Ahle Kitaab tum.
2⃣ Aur tumhari kitaaboñ mein iski khabar di gayi thi ki Nabi e Aakhiruz Zama ﷺ ke zuhoor aur Aap ﷺ ki Naat wa Sifaat ki jabh yeh sab kuch jaan pehchaan kar bhi tum Huzoor ﷺ par Imaan na laaye aur tumne unse jhagda kiya.
3⃣ Yaani Hazrate Isaa عليه السلام ko yahoodi ya nasraani kehte hai.
4⃣ Haqeeqat e Haal yeh hai ki.
Friday, April 1, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment