Karamat e Huzoor Gaus e Aazam #695.
بسم الله الرحمن رحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶ Asaa Mubarak raushan ho gaya.
Ek raat Shaikh Abu Abdul Maalik Ziyaal رحمة الله عليه Sayyiduna Gause Aazam رضي الله عنه ke madarse mein khade the Shaikh Ziyaal رحمة الله عليه kehte hai ki Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه wahañ tashreef laaye Aapke mubarak haath mein Asaa tha Aap ko dekhkar mere dil mein khwahish paida huwi ki us waqt Aap koi karamat dikhaye Achanak Aap meri taraf dekh kar muskuraye aur Apna Asaa mubarak zameen par gaad diya woh raushan ho kar chamakne laga aur madarse mein har taraf raushani phail gayi ek ghante tak Asaa mubarak ussi tarah chamakta raha phir Aapne usse zameen se uthaya to jaisa tha waisa hi ho gaya Aap ne farmaya Kyuñ Ziyaal tum yahi chahte they.
# Bahjatul Asraar, Safah 227.
▶ Tashreeh - Shahanshaahe Awliya Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ki yeh karamat Sayyadul Ambiya ﷺ ke maujizaat ki ussu kabeel se hai jisme ki Aap ﷺ ne Hazrate Qataada Bin Nomaan رضي الله عنه ko andheri raat mein khuzoor ki tehni ataa ki jo mashaal ko tarah raushan rahi jabh tak ki Hazrate Qataada Bin Nomaan رضي الله عنه ghar pahuche.
# Madarijun Nubuwwat, Safah 369.
Uluhiyyat Nubuwwat ke siwa tu
Tamaam afzaal ka qaabil hai Ya Gaus...
Uluhiyyat hi Ahmed ne na paayi
Nubuwwat hi se tu 'aatil hai Ya Gaus ...
Saturday, April 2, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment