Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #687.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Aale Imran
Aayat No. 65.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aye kitaab waaloñ Ibrahim ke baarein mein kyuñ jhagadte ho Tauret wa Injeel to na utri magar unke baad to kya tumhe aql nahiñ.
▶ Tafseer
▶ Shaane nuzool nazraan ke nasaara aur yahood ke ahbaar mein mubahasa huwa yahoodiyoñ ka daawa tha ki Hazrate Ibraheem عليه لسلام yahoodi the aur nasraaniyoñ ka yeh daawa tha ki Aap nasraani the yeh neja'a bohat badha to fariqain ne Sayyade Aalam ﷺ ko haqam maana aur Aap ﷺ se faisla chaaha is par yeh Aayate kareema naazil huwi aur Aulma e Tauret wa Injeel par unka kamale jahal zaahir kar diya gaya ki unmein se har ek ka daawa unke kamal jahal ki daleel hai yahoodiyat wa nasraaniyat Tauret wa Injeel ke nuzool ke baad paida huwi aur Hazrate Moosa عليه السلام ka zamana jin par Tauret naazil huwi Hazrate Ibraheem عليه لسلام se Sad'haa baras baad hai aur Hazrate Isaa عليه السلام jin par Injeel naazil huwi unka zamana Hazrate Moosa عليه السلام ke baad 2000 baras ke kareeb huwa hai aur Tauret aur Injeel kisi mein Aapko yahoodi ya nasraani nahi farmaya gaya bawajood iske Aap ki nisbat yeh daawa jahal wa himaqat ki inteha hai.
Friday, April 1, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment