Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #701.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Aale Imran
Paara No. - 03 Ruku - 17
Aayat No. 81
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur yaad karo jabh Allah ne paigambaroñ se unka ahad liya.
2⃣ Jo maiñ tumko kitaab aur hiqmat du phir tashreef laye tumhare paas woh Rasool.
3⃣ Ki tumhari kitaboñ ki tasdeeq farmaye ○ To tum zarur zarur us par Imaan laana aur zarur zarur uski madad karna farmaya kya tumne iqrar kiya aur us par mera bhaari zimma liya sabne arz ki humne iqrar kiya farmaya to ek doosre par gawah ho jao aur maiñ Aap tumhare saath gawaaho mein hu.
▶ Tafseer
1⃣ Hazrat Ali e Murtaza رضي الله عنه ne farmaya ki Allah Ta'ala ne Hazrat Aadam aur unke baad jis kisi ko Nabuwwat ataa farmayi unse Sayyade Aalam ﷺ ki nisbat ahad liya aur un, Ambiya ne apni qaumo se ahad liya ki agar unki hayaat mein Sayyade Aalam ﷺ Mab'uus ho to Aap par Imaan laaye aur Aapki nusrat kare isse saabit huwa ki Huzoor ﷺ tamaam Ambiya mein Afzal hai.
2⃣ Yaani Sayyade Aalam ﷺ.
3⃣ Is tarah ki unke sifa'at wa ahwal iske mutabiq ho jo Qutube Ambiya mein bayan farmaye gaye hai.
Saturday, April 2, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment