Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #708.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 01
Aayat No. 92 , 93
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Tum hargiz bhalayi ko na pahuchoge jabh tak raahe Khuda mein apni pyaari cheez kharch na karo.
▶ Tafseer
1⃣ Birr se Taqwa wa Ta'at muraad hai Hazrate Ibne Umar رضي الله عنهما ne farmaya ki yahañ kharch karna aam hai tamam sadaqaat ka yaani Waajiba ho ya nafila sab isme daakhil hai Hasan ka qaul hai ki jo maal Musalmano ko mehboob ho aur use Raza e Ilaahi ke liye kharch kare woh is Aayat mein daakhil hai khwaah ek khujoor hi ho. (#Khaazin) Umar Bin Abdul Aziz shakkar ki boriyaa kharid kar sadqa karte the unse kaha gaya iski keemat hi kyuñ nahi sadqa kar dete farmaya shakar mujhe mehboob wa margub hai ye chahta hu ki raahe Khuda mein pyaari cheez kharch karu. (#Madarik) Bukhari wa Muslim ki hadees hai ki Hazrat Abu Talha رضي الله عنه Andari Madine mein bade maaldaar the unhein apne amwaal mein beraha (Baag) bohat pyaara tha jabh yeh Aayat naazil huwi to unhone baargaahe Risalat mein khade ho kar ye arz kiya mujhe Apne amwaal mein beraha sabse pyaara hai maiñ usko raahe Khuda mein sadqa karta hu Huzoor ﷺ ne is par musarrat ka izhaar farmaya aur Hazrat Abu Talha رضي الله عنه ne ba'imaa e Huzoor apne akaarib aur bani e aam mein usko takseem kar diya Hazrate Umar Farooq رضي الله عنه Abu Moosa Ash'ari ko likha ki mere liye ek baandi kharid kar bhejdo jabh woh aayi to Aapko bohat pasand aayi Aapne ye Aayat padhkar Allah ke liye usko aazad kar diya.
〰〰 to be contd.
Sunday, April 3, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment