Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #707.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Aale Imran
Paara No. - 3 Ruku - 17
Aayat No. 90 & 91
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Beshak woh jo Imaan laa kar kaafir huwe aur kufr mein badhe.
2⃣ Unki taubah hargiz qubool na hogi aur wahi hai behke huwe ○ Woh jo kaafir huwe aur kaafir hi mare unmein kisi se zameen bhar sona hargiz qubool na kiya jaaega agarche apni khalaasi ko de unke liye dardnaak azaab hai aur unka koi yaar nahiñ.
▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool yeh Aayat yahood ke haq mein naazil huwi jinhone Hazrate Moosa عليه السلام par Imaan laane ke baad Hazrate Isaa عليه السلام aur Injeel ke saath kufr kiya phir kufr mein aur badhe aur Sayyade Ambiya Muhammed Mustafa ﷺ aur Quraan ke saath kufr kiya aur ek qaul yeh hai ke ye Aayat yahood wa nasaara ke haq mein naazil huwi jo Sayyade Aalam ﷺ ki be'asat se qabl to apni kitaboñ mein Aap ki naat wa sifa'at dekh kar Aap par Imaan rakhte the aur Aap ke zuhoor ke baad kaafir ho gaye aur phir kufr mein aur shadeed ho gaye.
2⃣ Is haal mein ya waqt maut ya agar wo kufr par mare.
الحمد لله رب العالمين
Teesra Paara muqammal huwa Kal se In Sha Allah Chowthe Paare ka aagaz hoga
Sunday, April 3, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment