Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 699.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Aale Imran
Paara No. - 3 Ruku - 16
Aayat No. 79
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Kisi aadmi ko ye haq nahi ki Allah use kitaab aur huqm wa paigambari de
2⃣ Fir wo logo se kahe ki Allah ki chhod kar mere bande ho jao
3⃣ Haañ ye kahega ki Allah wale
4⃣ Ho jao is sabab se ki tum kitaab sikhate ho aur isse ki tum dars karte ho
▶ Tafseer
1⃣ Aur kamale Ilm wa Amal ataa famraye aur gunahoñ se masoom kare
2⃣ Ye Ambiya se na mumkin hai aur unki taraf aisi nisbat buhtaan hai Shaane nuzool Nazraan ke Nasaara ne kaha ki Hume Hazrat Isaa عليه السلام ne huqm diya hai ki unhe Rab maane is aayat mein Allah Ta'ala ne unke is qaul ki taqzeeb ki aur bataya ki Ambiya ki shaan se aisa kehna mumkin hi nahi is aayat ke shaane nuzool mein dusra qaul ye hai ki Abu Raafe Yahoodi aur Sayyad Nasraani ne Sarware Aalam ﷺ se kaha Yaa Muhammed ( ﷺ ) Aap chahte hai ki hum Aap ki ibadat kare aur Aap ko Rab maane Huzoor ﷺ ne farmaya Allah ki panah ki main Gairullah ki ibadat ka huqm karooñ na mujhe Allah ne iska huqm diya na mujhe isliye bheja
3⃣ Rabbani ke maana Aalime faqeeh aur Aalime Baa-amal aur nihayat deendaar ke hai
4⃣ Isse saabit huwa ki Ilm wa taleem ka samra ye hona chahiye ki Aadmi Allah wala ho jaaye jise ilm se ye fayeda na huwa uska ilm zaaya aur bekaar hai
Saturday, April 2, 2016
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment