Friday, September 30, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #746.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #746.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 140.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Agar tumhe Koi takleef pahuchi to woh log bhi waisi hi takleef paa chuke hai.
2⃣ Aur yeh din hai jinme humne logoñ ke liye baariyañ rakhi hai.
3⃣ Aur isliye ki Allah pehchaan kara de Imaan waloñ ki, Aur tum mein se kuch logoñ ko shahadat ka martaba de aur Allah dost nahi rakhta zaalimoñ ko.

▶ Tafseer
1⃣ Junge badar mein bawajood iske unhone past himmati na ki aur unse muqabla karne mein susti se kaam na liya to tumhe bhi susti wa kam himmati na chaahiye.
2⃣ Kabhi kisi ki baari hai kabhi kisi ki.
3⃣ Sabr o ikhlaas ke saath ki unko mashakkat o naakaami jagah se nahi hataa sakti aur unke paaye sabaat mein lagzish nahi aa sakti.

Bahar e Shar'iat Mayyat ke Masaail #746

Bahar e Shar'iat
Mayyat ke masaail #746.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Jabh maut ka waqt kareeb aaye aur alaamatein paayi jaaye toh Sunnat yeh hai ki daahini karwat par lita kar qibla ki taraf muñh karde aur yeh bhi jayez hai ki chith litaye aur qibla ko pav kare ki yuñhi qibla ko muñh jayega magar iss soorat mein sar ko kuch uncha rakhe aur qibla ko muñh karna dushwaar ho ki uss waqt ki takleef hoti ho toh jiss halat par hai chordh de.

● Masla - dum nikalne ke waqt ki halat mein jab rooh gale ko na aayi ussey talkeen kare yaani uske paas buland awaaz se padhe
لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ صلى الله تعالى عليه واله وسلمَ

#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #746

HAI RIYAKAAROÑ KA SHOHRA AUR RIYAKAARI KI DHOOM
BORIYA E FAQR BHI ABH BE RIYA MILTA NAHIÑ

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 746
20 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Mehmood Ibne Labid رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ke tumhare baare mein jis cheez se Maiñ bohot darrta hu woh shirk e asgar hai. Sahaba ne arz kiya Ya RasoolAllah ﷺ shirk e asgar kya hai, farmaya Riyaa (yaani dikhave ke liye kaam karna)

#Sunan Ahmed.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #745.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #745.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 138 & 139.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Ye logoñ ko batana aur raah dikhana aur parhezgaaroñ ko nasihat hai ○ Aur na susti karo aur na gumm khao.
2⃣ Tum hi gaalib aaoge agar Imaan rakhte ho.

▶ Tafseer
1⃣ Uska jo Jung e Uhad mein pesh aaya.
2⃣ Jung e Uhad mein.

Bahar e Shar'iat Jumu'ah ke Masaail #745

Bahar e Shar'iat
Jumu'ah ke masaail #745.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

● Masla - jumu'ah padhne ke liye 6 shartein hai ki unmein se ek shart bhi na paayi jaaye toh hogi hi nahi.

4⃣ Khutba - khutba e jumu'ah mein shart yeh hai ki waqt mein ho namaaz se pehle, aisi jamaat ke saamne ho jo jumu'ah ke liye shart hai yaani kam se kam khateeb ke siva 3 mard ho aur itni awaaz se ho ki paas wale sun sake agar koi amr mane'a na ho toh agar zawaal se pehle khutba padh liya ya namaaz ke baad padha ya tanha padha ya aurtoñ aur bacchoñ ke samne padha toh in sab sooratoñ mein jumu'ah na huwa aur agar behroñ ya sone waloñ ke samne padha ya haazireen door hai ki sunte nahi ya musafir beemaroñ ke saamne padha ya jo aaqil baalig mard hai toh ho jayega.
5⃣ Jamaat - yaani imaam ke alawa kam se kam teen mard.
6⃣ Izne Aam - yaani masjid ka darwaza khol diya jaaye ki jis musalman ka jee chahe kisi ki rok tok na ho agar jaame masjid mein jabh log jama hogaye darwaza bandh karke jumu'ah padha na huwa.

#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #745

JAB TUM ROZE RAKHO TO ISS TAARIKH KO RAKHO
FARMANE RASOOLﷺ PAR AMAL KARO
AUR BESHUMAAR BARKATE HAASIL KARO

بسم الله الرحم الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 745
19 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Zar Gaffari رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ke Aye! Abu Zar jabh kisi mahine mein teen roza rakhna ho toh tera (13), chauda (14) aur pandrah ( 15) tareekh ko rakho.

#Tirmizi Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #744.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #744.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 137.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Tumse pehle kuch tareeke bartaaw mein aa chuke hai.
2⃣ To zameen mein chal kar dekho kaisa anjaam huwa jhootlaane waaloñ ka.

▶ Tafseer
1⃣ Pichli ummatoñ ke saath jinhone hirse duniya aur uske lazzat ki talab mein Ambiya wa Mursaleen ki mukhalifat ki Allah Ta'ala ne unhein mohlat di phir bhi woh raahe raast par na aaye to unhein halaaq o barbaad kar diya.
2⃣ Taaki tumhe ibrat ho.

Bahar e Shari'at Jumu'ah ke masaail #744.

Bahar e Shar'iat
Jumu'ah ke masaail #744.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Jumu'ah farz hai aur iski farziyat zohr se zyada mua'kkad (sakht) hai aur iska inkaar karne wala kaafir hai.

● Masla - jumu'ah padhne ke liye 6 shartein hai ki unmein se ek shart bhi na paayi jaaye toh hogi hi nahi.
1⃣Misr - woh jagah hai jisme bohot se kuche galiyan aur bazaar ho aur woh zilaa ya pargana ho uske mutalliq dehaat gine jaate ho aur wahañ koi haakim ho ki apne dabdabe wa rob daab ke sabab mazloom ka insaaf zaalim se le sake yaani insaaf par qudrat kaafi hai agarche na insaafi karta ho aur badla na leta ho aur misr ke aas paas ki jagah jo misr ki maslehatoñ ke liye ho ussey fanaa e misr kehte hai jaise qabarstan ghud daud ka maidaan fauj ke rehne ki jagah kacheriya station ki yeh cheezein shehair se bahar ho toh fanaa e misr mein inka shumaar hai aur wahañ jumu'ah jayez hai lihaza jumu'ah shehair mein padha jaye ya kasbe mein ya unki fanaa mein aur gaoñ mein jayez nahi jo log sheher ke kareeb gaoñ mein rehte hai toh unhein chahiye ki sheher aakar jumu'ah padh jaaye.
2⃣Sultan e Islam ya uska na'ib - jisse jumu'ah qayim karne ka hukm diya.
3⃣Waqt e zohar

#Durr e Mukhtaar.

To Be Contd.....

Hadees e Mubaraka #744

LA WA RABBIL ARSH JISKO JO MILA UNSE MILA
BAT'TI HAI KAUNAIN MEIN NE'AMAT RASOOLULLAH ﷺ KI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #744
18 Rajjab 1437 Hijri.

Katib e Wahi Hazrat Ameer e Muaaviya رضي الله عنه ne Logoñ ko khitab karte huwe farmaya ki Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ko Maiñe yeh irshad farmate huwe suna hai ki Allah Ta'ala jisse bhalai ka irada farmata hai usko Deen mein samjh ata farmata hai aur beshak Maiñ bañtne wala hu aur Allah Ta'ala dene wala.

#Bukhari Shareef, jild 1, Safah 16.

Iss Hadees shareef se khoob Raushan ho gaya ki jo kuch jisko Allah Ta'ala ata farmata hai woh sab Huzoor ﷺ Taqseem farmate hai aur woh Aapki chaukhat se milta hai.

Jo log Huzoor ﷺ ki shaan ghatate hai, unhone is Hadees Shareef mein yeh baat gadhi hai ki choonki ye Hadees ilm ke bayan mein hai isse malum hota hai ki Huzoor ﷺ sirf ilm Bañt'te hai aur kuch nahi. To aise logoñ se yeh maloom kiya jaaye ki kya woh yeh kehne ki jurrat karenge ki Khuda e Ta'ala bhi ma'azAllah sirf Ilm ata farmane par Qudrat rakhta hai aur kisi par nahi. Kyuki iss Hadees Shareef mein Huzoor ﷺ ko bañtne wala aur Allah Ta'ala ko ata farmane wala kaha gaya hai to agar Huzoor ﷺ ko bantne mein sirf Ilm par ikhtiyar hai to Allah Ta'ala ko bhi Ma'azAllah sirf Ilm dene wala kehna padega .
Ma'azAllahi Rabbil Aalameen.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #743.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #743.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 136.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aisoñ ko badla unke Rab ki bakhshish aur Jannateiñ hai.
2⃣ Jinke niche nehre rawaañ hamesha un mein rahe aur kaamiyoñ ( Neik Logoñ ) ka kya accha neg ( Inaam , Hissa ) hai.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool Taihaan Khurma Farosh ke paas ek haseen aurat khurme kharidne aayi usne kaha yeh khurme to acche nahi hai umda khurme makaan ke andar hai aur is heele se usko makaan mein le gaya aur pakad kar lipta liya aur muñh choom liya aurat ne kaha Khuda se dar yeh sunte hi usko chordh diya aur sharminda huwa aur Sayyade Aalam ﷺ ki khidmat mein haazir ho kar haal arz kiya is par yeh Aayat Naazil huwi ek qaul yeh hai ki ek Ansari aur ek Safaqi dono mein muhabbat thi aur har ek ne ek doosre ko bhai banaya tha Safaqi jihad mein gaya tha aur apne makaan ki nigrani apne bhai Ansari ke supurd kar gaya tha ek roz Ansari gosht laaya jabh Safaqi ki aurat ne gosht lene ke liye haath badhaya to Ansari ne uska haath choom liya aur choomte hi usko sakht nadaamat aur sharmindagi huwi aur woh jungle mein nikal gaya apne sar par khaaq daali aur muñh par tamache maare jabh Safaqi jihad se wapas aaya to usne apni biwi se Ansari ka haal dariyaft kiya usne kaha Khuda aise bhai na badhaye aur waaqiya bayaan kiya Ansari pahado mein rota wa istigfaaro tauba karta phirta tha Safaqi usko talaash karke Sayyade Aalam ﷺ ki khidmat mein laaya uske haq mein yeh Aayat naazil huwi.
2⃣ Yaani itaa'at she'aaroñ ke liye behtar jazaa hai.

Bahar e Shari'at Musafir ke Masail #743

Bahar e Shar'iat
Musafir ke masaail #743.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Shar'an musafir woh shakhs hai jo teen din ki raah tak jaane ke iraade se basti se bahar huwa.
● Masla - teen din ki raah ko tez sawari par do din ya kam mein tay kare toh musafir hi hai aur teen din ke raaste ko zyada dinoñ mein tay kiya toh musafir nahi.
● Masla - qos ka etibaar nahi ki qos kahi chhote hote hai kahi bade balki etibaar teen manzilon ka hai aur khushki mein meel ke hisaab se iski miqdaar 57 3/8 meel hai.
● Masla - kisi jagah jaane ke do raaste hai ek se masafate safar hai doosre se nahi toh jiss raaste se yeh jaaega uska aitbaar hai nazdeek wale raaste se gaya toh musafir nahi aur door wale se gaya toh hai agarche uss raaste ki ikhtiyar karne mein uski koi sahi garaz na ho.
● Masla - mahez safar ki niyat kar lene se musafir na hoga balki musafir ka hukm uss waqt se hai ki basti ki aabaadi se bahar hojaaye shehair mein hai toh shehair se aur gaoñ mein hai toh gaoñ se aur shehair wale ke liye yeh bhi zaroori hai ki aas paas jo aabaadi shehair se muttasil (mili huwi) hai usse bhi bahar ho jaaye.

#Durr e Mukhtaar.
# Bahar e Shar'iat.

Hadees e Mubaraka #743

ISS SUNNAT PAR GAUR KARO
AUR APNE AAMAAL BARHAAO
MISWAK KARO HAR NAMAZ KE WAQT
AUR ALLAH TA'ALA KI RAAZA PAAO

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka#743.
17 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Aysha Siddiqa رضي الله عنها se riwayat hai Sarkar e Aqdas ﷺ irshad farmate haiñ ke miswak muñh ko pak karne wali aur Khuda e Ta'ala ko raazi karne wali cheez hai.

#Mishkat Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #742.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #742.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 135.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur woh ki jabh koi be-hayayi aur apni jaano par zulm kare.
2⃣ Allah ko yaad kar ke apne gunahoñ ki maafi chahe Aur gunah kaun bakhshe siwa Allah ke aur apne kiye par jaan bujh kar ad'd na jaaye.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani unse koi kabeera ya sageera gunah sarzad ho.
2⃣ Aur taubah kare aur gunah se baaz aaye aur aayinda ke liye usse baaz rehne ka azm pukhta kare ki yeh tauba e maqboola ke sharayat mein se hai.

Hazrat e Abu Abdullah Imaam Jafar e Saadiq رضي الله عنه Faazil o Taahir #742.

Hazrat e Abu Abdullah Imaam Jafar e Saadiq رضي الله عنه Faazil o Taahir #742.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Hazrate Imaam Jafar Saadiq رضي الله عنه ke irshadaat.

▶ 5 aadmiyoñ ki sohbat se bacho,
1) Jhootha
2) Ahmaq
3) Bakheel
4) Bad Dil
5) Faasiq

▶ Allah ﷻ ki duniya mein bahisht bhi hai aur dozakh bhi, bahisht aafiyat hai aur dozakh bala,Bahisht yeh hai ke apna kaam Allah عزوجل par chordh do, aur dozakh ye hai ke apna kaam apne nafs par chordh do.

Hadees e Mubaraka #742

ACCHE AMAL KARO AUR
MUTTAQI BAN JAAO
ALLAH KE NAYAAB TOHFE KE HAQDAAR BAN JAAO

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka#742.
16 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai Tajdaar e Do Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ke Khuda e Ta'ala ne farmaya ke Maiñe apne neik bando ke liye aisi cheez taiyar kar rakhi hai jisko na kisi aañkh ne dekha na uski acchaiyoñ ko kisi kaan ne suna aur na kisi insaan ke dil par uska khayal guzra.

#Bukhari Shareef.
#Muslim Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #741.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #741.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 134.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Woh jo Allah ki raah mein kharch karte hai khushi mein aur ranj mein aur gussa peene wale aur logoñ se dar guzar karne wale aur neik log Allah ke mehboob hai.

▶ Tafseer
▶ Yaani har haal mein kharch karte hai Bukhari wa Muslim mein Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه se marwi hai Sayyade Aalam ﷺ ne farmaya kharch karo tum par kharch kiya jaaega yaani Khuda ki raah mein do tumhe Allah ki rehmat se milega.

Hazrat e Abu Abdullah Imaam Jafar e Saadiq رضي الله عنه Faazil o Taahir #741.

Hazrat e Abu Abdullah Imaam Jafar e Saadiq رضي الله عنه Faazil o Taahir #741.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Hazrate Imaam Jaafar Saadiq رضي الله عنه ke irshadaat.

▶ Hum Allah ﷻ ki woh rassi haiñ jiske muta'alliq Allah عزوجل ne is Aayat e Muqaddasa ( Parah 4 Surah Aale Imran ) mein irshad farmaya : 'Allah ki rassi ko mazboot pakad lo aur mutafarriq na ho'

▶ Jiska dushman aqalmand ho woh aadmi neik bakht hai ke aaqil najaaez harkat karke khud mubtalaae ma'aasi na hoga.

Hadees e Mubaraka #741

AAÑKH SE KAAJAL SAAF CHURA LEIÑ
YAAÑ WOH CHOR BALAA KE HAIÑ
TERI GATHRI TAAKI HAI AUR TUNE NEEND NIKALI HAI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 741
15 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Ibrahim Ibne Maisra رضي الله عنه se riwayat hai Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ke jis ne kisi badmazhab ki izzat ki toh usne Islam ke dhaane par madad ki.

#Mishkat Sharif.

Thursday, September 29, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 740.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 740.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 133.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Apne Rab ki bakhshish aur aisi jannat ki taraf jiski chaudaan mein sab aasmaan wa zameen aa jaye
2⃣ Parhezgaaro ke liye tayyar rakhi hai

▶ Tafseer
1⃣ Ye jannat ki wus'at ka bayan hai is tarah ki log samajh sake kyuñ ki unhone sabse wasee'a cheez jo dekhi hai wo aasman wa zameen hi hai isse wo andaza kar sakte hai ki agar aasman wa zameen ke tabke tabke aur parat parat bana kar jod diye jaye aur sab ka ek parat kar diya jaaye usse jannat ke arz ka andaza hota hai ki jannat ki kitni wasee'a hai Hirkal Baadshah ne Sayyade Aalam ﷺ ki khidmat meiñ likha ki jabh jannat ki ye wus'at hai ki aasmaan wa zameen usme aa jaye to fir dozakh kaha hai Huzoor E Aqdas ﷺ ne jawab mein farmaya سبحان الله jabh din aata hai to raat kaha hoti hai is kalaame balagate nizaam ke maana nihayat daqeeq hai zaahir pehlu ye hai ki daura e falaki se ek jaanib mein din haasil hota hai to uske jaanibe muqabil mein shab hoti hai isi tarah jannat jaanibe baala mein hai aur dozakh zehte pasti mein Yahood ne yahi sawal Hazrate Umar رضي الله عنه se kiya tha to Aapne bhi yahi jawab diya tha is par unhone kaha ki Tauret mein bhi isi tarah samjhaya gaya hai maana ye hai ki Allah ki qudrato ikhtiyaar se kuch bayeed nahi jis shay ko jahaañ chaahe rakhe ye insaan ki tangi e nazar hai ki kisi cheez ki wus'at se hairaan hota hai to puchne lagta hai ki aisi badi cheez kaha samayegi Hazrat Anas Bin Maalik رضي الله عنه se dariyaaft kiya gaya ki jannat aasmaan mein hai ya zameen mein farmaya kaunsi zameen aur kaunsa aasmaan hai jisme jannat samaa sake arz kiya gaya phir kaha hai farmaya aasmanoñ ke upar zere arsh
2⃣ Is aayat aur isse upar ki aayat se saabit huwa ki Jannat wa Dozakh paida ho chuki maujood hai

Hazrat e Abu Abdullah Imaam Jafar e Saadiq رضي الله عنه Faazil o Taahir #740.

Hazrat e Abu Abdullah Imaam Jafar e Saadiq رضي الله عنه Faazil o Taahir #740.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Ek haji sahab ne Imaam Jafar Saadiq رضي الله عنه ki Khidmat e Aqdas mein haazir ho kar arz ki ke maiñ hajj ko jaa raha hu yeh dus hazaar (10000) dirham lijiye aur mere liye ek makaan khareed lijiye baad e faraag e hajj maiñ laut kar ma-ahlo ayaal uss mein rahuñ.

Imaam Jafar Saadiq رضي الله عنه ne yeh tamaam rakm raahe khuda mein sarf (kharch) farma di jab haji sahab laute aur haazir e khidmat huwe to farmaya haaji sahab maiñe aapke liye jannat mein makaan khareed liya hai jo ek simt se Huzoor ﷺ ke Kashaana e Aqdas se milta hai doosri simt se Maula e kainaat shere khuda رضي الله عنه ke shabistaane mua'la se milta hai aur teesri taraf se Imaam Hasan رضي الله عنه ke muqaddas qasr se aur chauthi jaanib se Imaam e Hussain رضي الله عنه ke mehale anwar se, yeh lo iska bae-naama.
Haji sahab ne bae-nama ka kaagaz liya aur ghar chale gaye ahle khana se wasiyat ki meri wafaat ke baad meri qabr mein yeh kaagaz rakh dena jabh haji sahab ka wisaal huwa hasb e wasiyat kaagaz qabr mein rakh diya gaya doosre din wahi bae-nama ka kaagaz qabr ke upar rakha huwa mila, uski pusht par likha huwa tha Imaam Jafar Saadiq رضي الله عنه ne apna waada sach kar dikhaya.

# Shawahid un Nubuwwah, Safah 191.
# Miraatul kaunain, Safah 62.

Hadees e Mubaraka #740

APNE LUQME KI HIFAZAT KARO
SEEDHE HATH SE KHANA KHAO
SHAITAAN HOJAAEGA MEELO DURR
KHANA HO JAYEGA BARKATO SE BHARPUR


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 740
14 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Ibne Umar رضي الله عنه se riwayat hai Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ ke koi aadmi na baaye (left) haath se khaae aur na kuch peeye isliye ki baaye (left) haath se shaitan khaata aur peeta hai.

#Muslim Sharif.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #739

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #739.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 132.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Allah wa Rasool ke farmabardar raho.
2⃣ Is ummeed par ki tum rahem kiye jaao aur daudo.

▶ Tafseer
1⃣ Ki Rasoolullah ﷺ ki Ta'at , Ta'ate Ilahi hai aur Rasool ki na-farmani karne wala Allah ka farmabardar nahi ho sakta.
2⃣ Taubah wa Adaa e Farayez wa ta'at wa ikhlaas e amal ikhtiyaar karke.

Hazrat e Abu Abdullah Imaam Jafar e Saadiq رضي الله عنه Faazil o Taahir #739.

Hazrat e Abu Abdullah Imaam Jafar e Saadiq رضي الله عنه Faazil o Taahir #739.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Imaam Jafar رضي الله عنه ke alqaab Saadiq (Truthful). Faazil (Virtuous). Taahir ( Pure) hai.

114 hijri mein Aap ke waalid ke inteqaal ke baad aap Imaam bane tabh aapki umr e pak 31 saal thi aap Aaimma e Ahle Ba'it ke (6) chhathe Imaam hai aapko Imam Muhammed al Baaqir رضي الله عنه se Alwi Husaini Silsile ki aur Hazrat Qasim bin Muhammad bin Abu bakr Siddique رضي الله عنه se Siddiqiya silsile ki khilafat mili thi.

15 rajab aap ke wisaal ka din hai iss din aur maah e rajab mein jo kheer aur koonde ki niyaz ki jaati hai aur fateha dilaya jaata hai woh aap se mansub hai aur yeh bilkul jaeez hai.

To Be Contd....

Wednesday, September 28, 2016

Hadees e Mubarak #739

YEH JO MEHR O MAH PE HAI ITLAAQ AATA NOOR KA
BHEEK TERE NAAM KI HAI ISTE'AARA NOOR KA


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 739
13 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Jabir Ibne Sumrah رضي الله عنه se rivayat hai ki kehte hai Maiñe chandni raat mein Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ ko dekha,Huzoor ﷺ surkh hulla ( jubba mubarak) pehne huwe the yaani usme surkh dhaariya thi. Maiñ kabhi Huzoor ﷺ ko dekhta aur kabhi chand ko, Huzoor Sarwar e Kaunaain ﷺ Mere nazdeek chand se zyada haseen the.

#Tirmizi Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #738

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 738.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 130 & 131.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Imaan walo sood dunadun na khaao
2⃣ Aur Allah se daro is ummeed par ki tumhe falaah mile ○ Aur us aag se bacho jo kaafiroñ ke liye tayyar rakhi hai

▶ Tafseer
1⃣ Masla – Is aayat mein sood ki mumana'at farmayi gayi hai ma'a taubeekh ke is zyadati par jo us zamana mein maamool thi ki jabh mi'aad aa jati thi aur karzdaar ke paas adayegi ki koi shaql na hoti to karz khwaah maal zyada kar ke muddat badha deta aur aisa baar baar karte jaisa ki is mulq ke sood khwaar karte hai aur isko sood dar sood kehte haiñ
▶ Masla – Is aayat se saabit huwa ki gunahe kabeera se aadmi imaan se khaarij nahiñ hota
2⃣ Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنهما ne farmaya isme imaandaro ko tahdeed hai ki sood waghairah jo cheeze Allah ne haraam farmayi unko halaal na jaane kyuñ ki haraame qatayi ko halaal janna kufr hai

Hazrat e Abu Abdullah Imaam Jafar e Saadiq رضي الله عنه #738

Hazrat e Abu Abdullah Imaam Jafar e Saadiq رضي الله عنه Faazil o Taahir. # 738.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Aap ka naam Abu Muhammad Imaam Jafar Sadiq رضي الله عنه hai, Aap ki wiladat 17 Rabi ul Awwal 83 hijri mein Madeena Shareef mein huwi aapke walid ka naam Hazrat Muhammad Imaam Baaqir bin Imaam Zainul Aabedin رضي الله عنهم hai aur aap ki walida ka naam Hazrat e Umme Farwah Fatima binte Hazrat Qaasim bin Muhammed bin Abu Bakr Siddique رضي الله عنها hai, Aap ne apne dada Hazrat Imaam Zainul Aabedeen رضي الله عنه aur apne Walid Hazrat Imaam Baaqir رضي الله عنه ke paas Quraan aur Tafseer ki taleem hasil ki aur fiqh (Islamic Jurisprudence), falsafa (philosophy), Ilm e kalaam (theology), Ilm e riyaazi (mathematics), Ilm e hai'at wa falak (astronomy), Ilm e tashreeh (anatomy), Ilm e keemiya (alchemy) aur doosre uloom mein mahir huwe aap Masjid e Nabavi mein logon ko ilm e deen ki taleem dete the.

Aap ne tijarat, wirasat aur zakat aur doosre kaafi masail hal farmaye aap silsila e aalia qadriya ke 6the Imaam hai.

Aap ke mashoor khalifa Khawaja Baayazeed Bustami علیہ رحمۃ ورضوان hai aur aap ke shagordoñ mein Hazrat Imaam e Azam Abu Hanifa, Imaam Maalik, Hazrat Sufiyan Sauri, Hazrat Jaabir ibn Hayyan, Hazrat Qaazi Sukuni aur Hazrat Qaazi abul bakhtari رضي الله عنهم mashoor hai

Aap ki shaan itni aala hai ke inhein millat e Mustafvi ka Sultan, Hujjat e Nabvi ka Burhan, Sidqo Tehkeek ka Aalim, Auliya ke diloñ ka Markaz, Jigar Gosha e Ali aur Waris e Nabi kaha jata hai

To Be Contd....

Hadees e Mubaraka #738

JOOTE PEHNA KARO SABHI
THAKAN SE BACHTE RAHO SABHI
KYA FARMATE HAI HAMARE NABIﷺ
ISS BAAT PAR AMAL KARO SABHI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 738
12 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Jabir رضي الله عنه se rivayat hai kehte hai ki Maiñe Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ ko yeh farmate suna ki joota (shoes) bakasrat istemal karo ki aadmi jabh tak joota pehne huwe hai woh sawaar hai yaani kam thakta hai.

#Muslim Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #737

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 737.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 04
Aayat No. 127 , 128 & 129

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Isliye ke kaafiroñ ka ek hissa kaat de ya unhe zaleel kare ki naa muraad phir jaayeñ ○ Ye baat tumhare haath nahiñ ya unhe tauba ki toufeeq de ya un par azaab kare ki wo zaalim haiñ ○ Aur Allah hi ka hai jo kuch aasmano meiñ hai aur jo kuch zameen meiñ hai jise chaahe bakshe aur jise chahe azaab kare aur Allah bakhshne wala meherbaan .

▶ Tafseer
▶ Is tarah ki unke bade bade sardar maqtool ho aur giriftaar kiye jaaye jaisa ki Badar mein pesh aaya

Qutb Al Irshaad Siraaj Al Auliya Sayyed Abul Hussain Ahmed e Noori Al Hussini Al Qadri Barakati Marehrawi #737

Qutb Al-Irshaad Siraaj Al-Auliya Sayyed Abul Hussain
Ahmad-e-Noori Al-Hussini Al-Qadiri Barakaati Marehrawi # 737.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Noori Miyan ki bargaah hamesha khulfaon aur mureedon se bhari rehti jo koi apni takleef lekar aate woh aapke faiz se malamaal ho kar laut'te. Aap hamesha gareeboñ ke ghar tashreef le jaate aur tasalli diya karte. Aapke Ameer mureed khud ke ghar hazrat ko le jaane ki khwaish rakhte lekin aap gareeboñ ke ghar jaana pasand farmate the.

Hazrat Miyan Sahab Bareilly Shareef ke behtareen sunni aulmaoñ mein se the. Hazrat Noori Miyan sahab ne kaafi kitaben alag alag mazmoon par likhi :

Al-Aslul Musaffa fi Aqaid-e-Arbab-e-Sunnatil Mustafa – .
Risala Sawal-o-Jawab –
Ishtihar-e-Noori – .
Tehqeequl Tarawih –
Dalil-ul-Yaqin –.
Lataif-e-Tariqat Kashful Quloob –
An-Noor-o-Wal-Baha fi-Asaneedil Hadith wa Salasilil Awliya –.
Sirajul Awarif fil-Wasaya wal Ma'raif –
Al-Jafar – .
Takheel-e-Noori – . Apki kalam ka naam shuruwat mein Saeed rakha Baad mein a Musannif ka farzi naam noorie rakha.

Apka wisaal 11th Rajab ul-Murajjab 1324 Hijri (31st of August 1906) mein huwa. Aapki pehli ahliya Ruqaiyyah Begum jo aapke chacha Hazrat Chotoo Miyan ki beti thi aur aapki doosri ehliya Altaf Fatima jo Sayyid Muhammad Haider ki beti thi. Aapke farzand Sayyid Muhiyuddin Jilani bachpan mein inteqal farmagaye.

#Tazkira Mashaikh-e-Qadiriyah Barakatiya Razviyah

# Aye Raza Kiyon Malool Hote ho
Haan Tumhara Hai Ahmed E Noori

Tuesday, September 27, 2016

Hadees e Mubaraka #737

JO KARTE HAI GALAT KAAM
HOTA HAI UNKA BURA ANJAAM
KYA FARMATE HAI KHAIRUL ANAAM
GAUR SE PARH LO SABHI TAMAAM

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 737
11 Rajjab 1437 Hijri.

Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ jabh kisi qaum mein fahaashi (badkaari) ka riwaaj barhta hai, yahan tak ke woh ailaaniya behayayi karne lagti hai. To inn logoñ ke darmiyaan aisi beemariya phail jaati hai jo unke islaaf ke zamaane mein maujood nahi thi.

#Ibne Majah Shareef, Hadees No 4155.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #736

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 736

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 04
Aayat No. 126

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur ye fatah Allah ne na ki magar tumhari khushi ke liye aur isiliye ki isse tumhare dil ko chain mile
2⃣ Aur madad nahi magar Allah gaalib hiqmat wale ke paas se

▶ Tafseer
1⃣ Aur dushman ki kasrat aur apni qillat se pareshani wa ijteraab na ho
2⃣ To chahiye ki banda musabbibul asbaab par nazar rakhe aur usi par tawaqqul rakhe

Qutb Al-Irshaad Siraaj Al-Auliya Sayyed Abul Hussain
Ahmad-e-Noori Al-Hussini Al-Qadiri Barakaati Marehrawi # 736.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Shah Abul Hussain Ahmad-e-Noori urf Miyan Sahab, Marehra Shareef ke Shahi gharana ke akhri Qutub, aap Shah Aal-e-Rasool Ahmadi رضي الله عنه Marehra shareef ke wisaal ke baad Sajjadah Nasheen baney..

Hazrat Noori Miyan ki wiladat 19 Shawal 1255 hijri ( 26th December, 1839) Marehra shareef mein huwi. Aap takriban dhai saal (2 and half) ke the jabh aapki walida inteqal farma gayi. Aap apki Dadi Nisar Fatima aur Dada Shah Aal-e-Rasool Ahmadi رضي الله عنه ke saaye mein pale.. Hazrat Khatim Al Akabir Shah Aal-e-Rasool ne apko apni ankhon se kabhi aapko door na kiya.

Aapne inhe khaandani riwayaton mein deeni taleem di. Jabh aapki umr shareef 11 saal ki thi tabh aapke walid Shah Zahoor Hassan inteqal farma gaye (26 jamadil awwal ) dhari kathiawad mein. Tabhi aapke Dada ne apko badi mazbooti se sufiyana rivayaton mein dakhil kiya.

Hazrat Khatim al-Akabir kaha karte: Miyan sahib ko duniyawi muamlaat ke shaukh nahi woh zyadatar ruhani khayalat mein rehte the. Woh un 7 Qutub mein se hai jiski khuskhabri Hazrat BuAli Shah Qalandar aur Hazrat Shah Badiuddin Qutb-e-Madar ne di. Aap un 7 Qutub mein se sabse akhri qutub hai.

Hazrat Noori Miyan 1267 hijri mein Shah Aal-e-Rasool ke mureed bane aur dargah shareef ke sajjadah nasheen bane. Aapne apni dunyawi taleemat uss daur ke mashoor Aalimon se paayi, taleemat ke baad Shah Aal-e-Rasool Ahmadi ne Hazrat noori miyan ko apne khandaan ke 5 silsilon ki khilafat o ijazat se nawaza Qadriyah, Chishtiyah, Naqshbandiyah, Suhrwardiyah aur Maddariyah. Aap apna zyadat waqt zikr o azkaar mein bitaya karte...

Cont.......

# Itna keh de Raza hamara hai,
Paar bedaa hai Ahmed e Noorie

Hadees e Mubaraka #736

PIJIYE PAANI BAITH KAR PIJIYE PAANI DEKH KAR
PIJIYE PAANI TEEN SAANS MEIN
KIJIYE AMAL SUNNAT E RASOOL ﷺ PAR


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 736
10 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Huraira رضي الله عنه
se riwayat hai ke Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ ne irshad farmaya ke khade hokar hargiz koi shakhs paani na piye aur jo bhool kar aisa kar guzre usey chahiye ki qayi (vomit) kar de.

#Sahih Muslim Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #735

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 735.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 04
Aayat No. 124 & 125.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Jabh aye mehboob tum musalmanoñ se farmate the kya tumhe kaafi nahi ki tumhara Rab tumhari madad kare 3000 hazaar farishte utaar kar ○ Haañ kyuñ nahi agar tum sabr wa taqwa karo aur kaafir usi dum tum par aa pade to tumhara Rab tumhari madad ko 5000 hazaar farishte nishaan waale bhejega

▶ Tafseer
▶ Chunanche momineen ne roze badar Sabro taqwa se kaam liya Allah Ta'ala ne hasbe waada 5000 Hazaar farishtoñ ki madad bheji aur musalmano ki fatah aur kaafiro ki shikast huwiñ

Shaan e Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه#735

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#735.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Sayyed Shah Abul Hussein Ahmed e Noori رضي الله عنه (Peero Murshid Tajdar e Ahle Sunnat Sayyeddi Sarkaar Mufti e Aazam رضي الله عنه )

Aksar o beshtar Bargaah e Gareeb Nawaz رضي الله عنه mein tashrif le jaya karte they. Ek martaba aap apne chand khuddam ke saath Urs e Mubarak ke mauke par haazir huwe aapne irshad farmaya - Sarkaar e Gareeb Nawaz رضي الله عنه ke darbar se fakeer ko hukm huwa hai ki apne khuddam ko bata dein ki agar kisiko kuch arz karna ho toh darkhwast likh kar aapko pesh kar dein woh darkhwast aapki ma'arifat mere darbar mein pesh hogi aur uske jawab bhi aap hi ki ma'arifat unko milenge.

Maulana Shabbir Badayuni ne arz ki - Huzur! Woh darkhwast kiss tarah darbar mein pesh hogi.? Aapne irshad farmaya ki - aastane ke kuch khuddam jinnaat bhi hai jo iss kaam par maamur hai. Chunanche darkhwast hazrat ke paas jamaa huwi aur hazrat ne woh darkhwaste Hafiz Nazrullah Khaa Badayuni ko inayat farmate huwe hukm farmaya ki aastana e aaliya ke junoob magribhi kone par kohe chilla ki janib ek ghaati hai waha jaao aur jo shakhs tumse yeh darkhwast talab karey ussey dedo.

Hazrat Maulana Shabbir Badayuni ka bayan hai ki jabh Hazrat ke hukm se Hafiz Nazrullah Sahab woh darkhwaste lekar chale toh Maiñ bhi khamoshi se unke piche lag gaya. Jabh ghaati mein dakhil huwe toh Mere aur Nazrullah Sahab ke darmiyan chand qadmoñ ka faasla tha. Achanak Maine dekha ki Hafiz Nazrullah Sahab ka haath khali hai Maine unse pucha ki darkhwaste kaha hai?
Hafiz Sahab farmaye.
Aap mujhse mazak karte ho abhi aapne hi toh woh parchiya mujhse yeh keh kar le li ke Huzur ne talab ki hai. Iss jawab par Maiñ hairaan reh gaya Hafiz Sahab ne wapas aakar Hazrat Noorie Miyan ki khidmat mein saara wakiya bayan kar diya. Hazrat Noorie Miya ne farmaya ki wahi khadim e Aastana they jo iss soorat mein tumse parchiya le gaye.
Phir farmaya ki yeh Huzoor Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه ka iss fakeer par Karam e Khaas hai warna mujhse behtar hazaaro iss darbar e aali waqar mein haazir hote hai magar yeh khaas nigaahe karam baaz khaas khuddam par hi hoti hai ke woh apne mureedo ki arziya Sarkaar Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه ke huzur pesh kare. Teesre din wo parchiya jawab ke saath hum sabko mili jo nawadirat mein se they.

# Teri Rehmat Teri Ne'amat Par
Mera Dawa Hai Ahmed e Noori.
Noor e Ahmed Mujhko Bhi Chamkade.
Naam Tera Hai Ahmed e Noorie

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah No.373 - 374.

Hadees e Mubaraka #735

GUNAAH KITNE HI AUR KAISE HI HAIÑ PAR REHMAT E AALAM
SHAFA'AT AAP FARMAAYEIÑ TOH BEDA PAAR HO JAAE


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 735
9 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Anas رضي الله عنه se riwayat hai Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ ke qayamat ki nishaniyañ yeh hai ki ilm uthaa liya jaaega, jahaalat zyada hogi,zinaa karna aur sharaab peena bohot hoga. Mard kam honge aur aurte zyada ho jaaengi yahañ tak ki mard ki dekh bhaal mein pachaas aurteiñ hogi.

#Bukhari Sharif
#Muslim Sharif.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #734

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 734.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 04
Aayat No. - 122 & 123

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Jabh tum mein ke do girohoñ ka iraada huwa ki naamardi kar jayeñ
2⃣ Aur Allah unka sambhalne wala hai aur musalmanoñ ko Allah hi par bharosa chahiye ○ Aur beshak Allah ne Badar mein tumhari madad ki jabh tum bilkul be saro samaañ the to Allah se daro kaheñ tum shukr guzaar ho

▶ Tafseer
1⃣ Ye dono giroh Ansaar mein se the ek Bani Salma Khazraj mein se aur ek Bani Haarisa Aaus mein se ye donoñ lashkar ke baazu the jabh Abdullah Bin Ubay Bin Salul munafiq bhaaga to unhone bhi wapas jaane ka qasd kiya Allah Ta'ala ne karam kiya aur unhe us se mehfooz rakha aur wo Huzoor ﷺ ke saath saabit rahe yahañ us ne'amato ehsaan ka zikr farmaya hai
2⃣ Tumhari taadaad bhi kam thi tumhare paas hathiyaaroñ aur sawaaroñ ki bhi kami thi.

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه #734

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#734

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Sarkar Gareeb Nawaaz رضي الله عنه Ke Irshadaat

▶ Kalaam e ilaahi Ka Dekhna Sawaab Hai, Padhna Sawaab Hai, Agar 1 Harf Par Nigah Padey 10 Buraiyaañ Door Hojaaeñ Aur 10 Nekiyañ Darj Hojaaeñ Aankhoñ Ki Raushni Badhey Aur Us aankh Par Kabhi Koi museebat Na Ho
▶ Nek Kaam Se Behtar nekoñ Ki Sohbat, Aur burey Kaam Karne Se Badtar buroñ Ki Sohbat
▶Aalim e Deen Ki Ziyaarat Aur Darweshoñ Ki Dosti Nuzoole Barkat Ka Sabab Hoti Hai

Jab Sarkar Gareeb Nawaaz رضي الله عنه ka wisaal hua to
Aapki Peshani Muqaddas Par Ye Ibarat Likhi Hui Thi "Haaza Habibullah Maa Ta Fi Hubbilllah" (Ye Allah ﷻ Ka Dost Hai Aur Allah ﷻ Ki Mohabbat Me Duniya Se Jaa Raha Hai)

# Khwaja e Ajmer safah no. 25 - 26

Hadees e Mubaraka #734

TIJARAT KARO NEKI AUR IMAANDAARI KE SATH
HASHR HOGA TUMHARA SWALIHEEN KE SATH

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 734
8 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Saeed رضي الله عنه se riwayat hai Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ ke bohot sache aur dayaanat daar vyaapari ka hashr Nabiyo,Siddiqo aur Shahido ke saath hoga.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfan #733.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 733.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 04
Aayat No. 121

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur yaad karo Aye Mehboob jabh tum subah ko
2⃣ Apne daulatkhaane se bar aamad huwe musalmanoñ ko ladhaayi ke morcho par qayam karte Aur Allah sunta jaanta hai

▶ Tafseer
1⃣ Ba-maqqame Madeena Tayyaba Baqasde Uhad
2⃣ Jamhoor mufassireen ka ye qaul hai ki ye bayan junge uhad ka hai jiska ijmaali waaqiya ye hai ki Junge Badar mein shikast khaane se kuffar ko bada ranj tha isliye unhone baqasde inteqaam lashkar girañ murattab karke fauj kashi ki jabh Rasoole Kareem ﷺ ko khabar mili ki lashkare kuffar uhad mein utraa hai to Aapne as'haab se mashwara farmaya us mashurat mein Abdullah Bin Abi Bin Salul ko bhi bulaya gaya jo isse qabl kabhi kisi mashwarat ke liye bulaya na gaya tha aqsar Ansaar ki aur us Abdullah ki ye raaye huwi ke Huzoor ﷺ Madeena Tayyaba mein hi qaayam raheñ aur jabh kuffar yahan aaye tab unse muqabla kiya jaye yahi Sayyade Aalam ﷺ ki marzi thi lekin baaz as'haab ki ye raaye huwi ki Madeena Tayyaba se baahar nikal kar ladhna chahiye aur is par unhone israar kiya Sayyade Aalam ﷺ daulat saraa e aqdas mein tashreef le gaye aur asleeha zebe tan farma kar baahar tashreef laaye ab Huzoor ﷺ ko dekh kar un as'haab ko nadaamat huwi aur unhone arz kiya ki Huzoor ﷺ ko raaye dena aur us par israar karna hamari galti thi usko muaff farmaiye aur jo marzi e mubarak ho wahi kijiye Huzoor ﷺ ne farmaya Nabi ke liye sazawaar nahiñ thi ki hathiyar pehan kar qable jung utaar de mushrikeen uhad mein chahar shamba panj shamba ( Budh , Jumeraat ) ko pahuñche the aur Rasoole Kareem ﷺ Jumuah ke roz baad namaze Jumuah ek Ansaari ki namaze janaza padh kar rawana huwe aur 15 Shawwal san 3 Hijri roz yak shamba ( Itwaar ) Uhad mein pahuñche yaha nuzool farmaya aur pahaad ka ek darra jo lashkare Islaam ke piche tha usi taraf se andesha tha ki kisi waqt dushman pusht par se aakar hamla kare isliye Huzoor ﷺ ne Abdullah Bin Zubair رضي الله عنه ko 50 teerandaazo ke sath waha ma'moor farmaya ki agar dushman is taraf se hamla aawar ho to teer baari karke usko dafaa kar diya jaaye aur huqm diya ki kisi haal mein yahañ se na hatna aur is jagah ko na chhodna khwaah fatah ho ya shikast ho Abdullah Bin Ubay Bin Salul munafiq jisne Madeena Tayyaba mein reh kar jung karne ki raaye di thi apni raaye ke khilaaf kiye jaane ki wajah se barham huwa aur kehne laga ki Huzoor Sayyade Aalam ﷺ ne naw umr ladko ka kehna to maana aur meri baat ki parwaah na ki is Abdullah Bin Ubay ke saath 300 munafiq the unse usne kaha ki jabh dushman lashkare Islaam ke muqabil aajaye us waqt bhaag pado taaqi lashkare Islaam mein abtari ho jaye aur tumhe dekh kar aur log bhi bhaag nikle musalmanoñ ke lashkar ki kul taadaad ma'a un munafiqeen ke 1000 thi aur mushrikeen 3000 Muqabla hote hi Abdullah Bin Abi munafiq apne 300 munafiqoñ ko lekar bhaag nikla aur Huzoor ﷺ ke 700 As'haab Huzoor ﷺ ke saath reh gaye Allah Ta'ala ne unko saabit rakha yahañ tak ki mushrikeen ko hajimat huwiñ ab sahaba bhaagte huwe mushrikeen ke piche pad gaye aur Huzoor Sayyade Aalam ﷺ ne jahaañ qaayam rehne ke liye farmaya tha waha qaayam na rahe to Allah Ta'ala ne unhe dikha diya ki Badar mein Allah aur uske Rasool ki farmabardari ki barkat se fatah huwiñ thi yaha Huzoor ﷺ ke huqm ki mukhalifat ka nateeja ye huwa ki Allah Ta'ala ne mushrikeen ke diloñ se ro'abo haibat door farmayi aur wo palat pade aur musalmanoñ ko hajimat huwi Rasoole Kareem ﷺ ke saath ek jamaat rahi jisme Hazrate Abu Bakr , wa Ali , wa Abbas , wa Talha , wa Sa'ad رضي الله عنهم the isi jung mein dandaane aqdas shaheed huwe aur chehra e aqdas par zakhm aaya isi ke muta'alliq ye aayate kareema naazil huwi

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#733

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Sultan ul Hind Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ki ataa wa bakhshish aur faiyyazi wa dariya dili ki yeh kaifiyat thi ke kabhi koi saeel Aapke dar se mehroom na jaata. Hazrat Qutbuddin Bakhtiyaar Kaaki رحمۃ الله تعالیٰ علیہ farmate hai ke Maiñ arse tak Aapki khidmat mein haazir raha uss dauran kabhi kisi saeel ya fakeer ko Aapke dar se khali haath jaate nahi dekha. Aapke langarkhane mein rozaana itna khana taiyyar kiya jaata ke shehair ke tamaam gurba wa masakeen khoob sair ho kar khate khadeem haazir e bargaah ho kar jabh yaumiya kharch ka mutalba karte to Aap musalle ka ek gosha uthha kar farmate "jiss kadar aaj ke kharche ki zarurat ho le lo"

Woh matluba miqdaar mein le lete aur hasb e ma'mul khana pakwa kar gareebo aur miskeeno mein taqseem kar dete.

سُــــبْحانَ الله سُــــبْحانَ الله


# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah No.276.

Yahañ bheekh milti hai begumaañ
Yeh bade sakhi ka hai aastaañ
Yahañ sabki bharti hai jholiyañ
Yeh dar e Gareeb Nawaaz hai.

Hadees e Mubaraka #733

IN BAATOÑ KA DHYAAN RAKHO
HAR SUNNAT KO NIBHATE RAHO
NA CHALO US RAAH PAR JO MUNAFIQ BANAYE
MOMIN WOH HAI JO HAR SUNNAT NIBHAYE


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 733
7 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Baraa Ibne Aajib رضي الله عنه se riwayat hai Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ ke jab do musalmaan aapas mein milte hai aur musahfa karte hai toh un dono ke judaa hone se pehle un ko bakhsh diya jaata hai.

Tirmizi Sharif.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #732

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 732.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 03
Aayat No. 120

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Tumhe koi bhalayi pahuñche to unhe bura lage
2⃣ Aur tumko burayi pahuñche to uspar khush hoñ aur agar tum sabr aur parhezgaari kiye raho to unka daañv tumhara kuchh na bigadega beshak unke sab kaam Khuda ke ghere mein hai

▶ Tafseer
1⃣ Aur is par wo ranjeedah hoñ
2⃣ Aur unse dosti wa muhabbat na karo
▶ Masla – Is aayat se maloom huwa ki dushman ke muqabla mein sabro taqwa kaam aata hai.

Shaan e Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه #732.

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#732

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Ek din Khwaja Qutbuddin Bakhtiyaar Kaaki aur Sultan Shamshuddin Altamash shahi qile ki sair farma rahe they, wahañ bohot se umra wa arakeen e saltanat bhi maujood the ke itne mein ek badkaar haamila aurat haazir ho kar kehne lagi,

"Khudara aap mera nikah kara dijiye main bade azaab mein hu."

Badshah ne kaha, kisse nikah karau aur tu kya azaab mein hai ? Usne nihayat gustakhana andaaz mein Qutb Sahab ki taraf ishara karte huwe kaha mere peit mein inka hamal hai!

Hazrat Qutbuddin Bakhtiyaar Kaaki رضي الله عنه sharm se paseena paseena ho gaye! Badshah aur tamaam umra par sakta taari ho gaya! Hazrat Qutb Sahab ne fauran apne peero murshid Sarkaar Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه ki taraf tawajjoh ki! Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه uss waqt Ajmer sharif mein jalwa afroz the.Itne mein kya dekhte hai ki Sarkaar e Khwaja ba nafs e nafees waha maujood hai aur hazireen ne badh kar qadambosi ki.

Aapne Qutb Sahab se pucha ji tumne mujhe yaad kyu kiya? Aap munh se kuch na keh sake albatta aankhoñ se ashk behne lage. Sarkaar e Khwaja muhabbat se tadap uthe aur farmaya,

Aye badkaar haamila tu khud hi sun, phir aurat ke shikam ki taraf mutawajjah ho kar farmaya, Aye peit ke bacche tu hi bata! Teri maa Qutb Sahab ko tera baap batati hai kya yeh sach hai?

Peit se bacche ne jawab diya Huzur! yeh bilkul galat hai yeh aurat badi makkar aur faahisha hai mein hargiz Qutb Sahab ka beta nahi hu.

Phir uss badkaar aurat ne qubul kiya ki Qutb Sahab ke dushmano ne ilzam lagane ke liye usse bheja tha

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah no.316.

Makr e shaitaan se mureedoñ ko bacha lete ho,
Isliye Peer tumhe apna banaya khawaja.

Hadees e Mubaraka #732.

SURAJ ULTE PAOÑ PALTE
CHAAND ISHAARE SE HO CHAAK
ANDHE NAJDI DEKH LE QUDRAT RASOOLULLAH ﷺ KI


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 732
6 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Jabir رضي الله عنه se riwayat hai Sarwar e Kaunain ﷺ ne suraj ko hukm diya ke kuch der ke liye chalne se ruk jaae toh woh fauran ruk gaya.

#Tibrani Sharif.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfan #731

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 731.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 03
Aayat No. 119.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Sunte ho ye jo tum ho tum to unhe chahte ho
2⃣ Aur wo tumhe nahiñ chahte
3⃣ Aur haal ye ki tum sab kitaboñ par Imaan laate ho
4⃣ Aur wo jabh tumse milte haiñ kehte haiñ hum Imaan laaye
5⃣ Aur akele ho to tum par ungliyañ chabayeñ gussa se tum farma do ki mar jao apni ghutan mein Allah khoob jaanta hai diloñ ki baat

▶ Tafseer
1⃣ Rishtadaari aur dosti waghairah ta'alluqaat ki bina par
2⃣ Aur deeni mukhalafat ki bina par tum se dushmani rakhte haiñ
3⃣ Aur wo tumhari kitaab par Imaan nahi rakhte
4⃣ Ye munafiqeen ka haal hai
5⃣ Be Meer Taabarhi Aye Husood Keeñ Ranjeest ki Az Mashakkate Aujuz Ba-Marg Natwañ Rast ( Yaani hasad ke maaroñ ke liye mout hi ek aakhri raasta bacha hai )