Sunday, November 1, 2015

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali Radiallahu Anhu #458

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩Sarkar e do Aalam Noor e Mujassam ﷺ Irshad farmate hai
▶ Mai Ilm ka sheher hu aur Ali uske darwaza hai.
▶ Mai Hikmat ka ghar hu aur Ali uske darwaza hai.
▶ Hasan o Hussain Jannati nawjawanon ke Sardaar hai aur in dono ke waalid ( Ali ) inse behtar hai.
▶ Munafiq Ali se muhabbat nahi karta aur momin unse bugz nahi rakhta.(yaani jis ke dil mai Hazrat Ali رضي الله عنه ke liye muhabbat hogi wo bugz nahi rakhega)
▶ Tamam Nabiyon ki zurriyat (nasab/awlaad) unki sulb mein hai aur Meri zurriyat Ali ibne abu talib ki sulb mein hai.
▶ Ali ko dekhna Ibadat hai

# Al Mustadrak.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #458

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e ibne maalik رضي الله عنه se riwayat hai jabh ramzaan ka mahina shuru huwa to Nabi e Kareem ﷺ ne irshad farmaya yeh mahina tum mein aaya hai aur ek raat ismein aisi hai jo hazaar mahino se afzal hai. Toh jo shakhs iski barkaton se mehroom raha woh tamaam bhalaaiyo se mehroom raha aur nahi mehroom rakha jaata iski bhalaaiyo se magar woh jo bilkul be naseeb ho.

#Ibne Maajah Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

IS MAHINE KI
EK KHAASIYAT HAI
JO LAATI HAI EK RAAT
IS RAAT KI AHEMIYAT KYA HAI
SUNLO HUZOOR ﷺ KI BAAT

Maah e Ramzaan #458

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah Ta'ala farmata hai, muttaqi woh hai ke Humne jo unhe diya hai usmein se humari raah mein kharch karte hai.

Aur jo kuch tum kharch karoge Allah ﷻ uski jagah aur dega aur woh behtar rozi dene wala hai.

# Bahar e Shari'at, Jild 5, Safah 2.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 457

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

〰 Contd Post #456.
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 145 & 146

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
4⃣ Aur {Aye Sunne wale kase baashad (Sunne wala koi bhi ho)} agar tu unki khwahisho par chala baad iske ki tujhe Ilm mil chuka to us waqt to zarur sitamgaar hoga jinhe humne kitab ataa farmayi.
5⃣ Woh us Nabi ko aisa pehchaante hai jaise aadmi apne beto ko pahchanta hai.
6⃣ Aur beshak unme ek garoh jaan bujhkar Haq chhupate hai.

▶ Tafseer
4⃣ Yaani aulma e yahood wa nasara.
5⃣ Matlab yeh hai ki qutoobe saabika mein Nabi e Aakhiruz-zama Huzoor Sayyade Aalam ﷺ ke Ausaaf aise waazeh aur saaf bayan kiye gaye hai jinse aulma e ahle kitaab ko Huzoor ﷺ ke khaatamul Ambiya hone mein kuch shak wa shubaha baaki nahi reh sakta aur wo Huzoor ﷺ ke us mansabe Aali ko atam yakeen ke saath jaante hai, ahbaar yahood mein se
Abdullah Bin Salaam musharraf ba-islam huwe to Hazrat Umar رضي الله عنه  ne unse dariyaft kiya Aayat Ya’arif –Nooh mein jo ma’arefat bayaan ki gayi hai uski kya shaan hai unhone farmaya ki Aye Umar! Maiñ Huzoor ﷺ ko dekha to be ishtebaah pehchan liya aur mera Huzoor ﷺ ko pehchanna apne beto ke pehchanne se badarjaha zyada atam wa akmal hai. Hazrate Umar رضي الله عنه ne farmaya yeh kaise unhone kaha maiñ gawahi deta hu ki Huzoor ﷺ Allah ki taraf se bheje Rasool hai unke ausaaf Allah Ta’ala ne hamari kitaab tauret mein bayan farmaye haiñ bete ki taraf se aisa Yakeen kis tarah ho aurato ka haal aisa qatayi kis tarah maloom ho sakta hai Hazrate Umar رضي الله عنه ne unka sar choom liya.
▶ Masla- Isse maloom huwa ki gair mahal shahwat mein deen muhabbat se peshani chumna jaiz hai.
6⃣ Yaani Tauret wa Injeel mein jo Huzoor ﷺ ki naat wa sifa’at hai aulma e ahle kitaab ka ek garoh usko hasadan wa ainadan deeda wa danisht chhupata hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in/

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali Radiallahu Anhu #457

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Tajdar e Madeena Rahat e Qalbo Seena Huzoor Ahmed e Mujtaba Muhammed Mustafa ﷺ Irshaad farmaate haiñ,
▶ Jisne Meri itaa'at ki usne Allah ki itaa'at ki aur jisne meri nafarmani ki usne Allah ki nafarmani ki..
Aur jisne Ali ki itaa'at ki usne meri itaa'at ki aur jisne Ali ki nafarmani ki usne meri nafarmani ki.
⏩ Kuch Aqwaal O Irshadaat Maula e Kainaat رضي الله عنه ke,
▶ Khush akhlaqi (accha bartao) behtareen dost hai aur adab behtareen miraas (warsa) hai.
▶ Jahiloñ ki dosti se bacho ke bohot se aqalmandoñ ko jaahiloñ ne tabah kar diya jaahil matlab woh ke jo deeni islami malumaat se aur deeni ilm se mehroom hai.

#Al Mustadrak

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #457

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat  Ayesha  رضی اللہ عنہا ne farmaya ki maine Huzoor Mehboob e Khuda ﷺ se poocha ki Ya RasoolAllah ﷺ agar mujhe maloom ho jaaye shab e qadr kaunsi raat hai to main kya karu?

Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ ne farmaya yeh dua parho.
"ALLAHUMMA INNAKA AFUWUN TUHIBBUL AFWA FAFUANNI."

Yaani "aye Allah ﷻ tu maaf farmane wala hai maaf karna tujhe pasnd hai tu mujhe maaf farma."

#Tirmizi Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


SHAB E QADR KI RAAT MEIN
IBADAT KARNA CHAHIYE
HUZOOR ﷺ KI DI HUWI DUA
IS RAAT MEIN PARHNA CHAHIYE

Maah e Ramzaan #457

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah Ta'ala Quran e Majeed Furqan e Hameed mein irshad farmata hai, "Aur kya hi behtar hai woh log jo namaaz parhne wale aur zakaat dene wale, Aur Allah par roz e qayamat par imaan rakhne wale hai, Yahi log hai jinhe hum bada ajr ataa karenge.

#Surah Nisa, Aayat 162.

Hazrat Abdullah Bin Masood رضي الله عنه se riwayat hai, farmate hai, Nabi e Kareem ﷺ ne humein Hukm diya, namaaz parhe, zakaat deiñ, jisne zakaat na di uski namaaz qubool nahi.

#Muslim Shareef, Jild 10, Safah103.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 456

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 145 & 146

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur agar tum un kitabiyon ke paas har nishani lekar aao woh tumhare Qibla ki pairweeh na karenge.
2⃣ Aur na tum unke Qibla ki pairweeh karo.
3⃣ Aur woh aapas mein bhi ek doosre ke Qibla ke tabe’a nahi.

▶ Tafseer
1⃣ kyuki Nishani usko naafe’a ho sakti hai jo kisi shubaha ki wajah se munkir ho yeh to hasad wa ainad se inkaar karte hai unhe isse kya nafaa hoga.
2⃣ Maana ye hai ki Qibla mansukh na hoga to abh ahle kitaab ko ye tama’a na rakhna chahiye ki Aap unme se kisi ke Qibla ki taraf rukh karenge.
3⃣ Har ek ka Qibla judaa hai yahood to sakhara e Baitul Muqaddas ko apna Qibla karaar dete hai aur nasara Baitul Muqaddas ke us makaane shaki ko jahan nafkhe Rooh Hazrat Masih waaqe huwa. ( #Fatah ).

〰〰 To Be Contd...

fb.me/kanzul.imaan.group

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali Radiallahu Anhu #456

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

 ▶ Huzoor ﷺ farmate haiñ jo Munafiq hai wo Ali Se muhabbat nahi karta aur jo Momin hai wo Ali se bugz o Adawaat nahi karta. (matlab Hazrat Ali رضي الله عنه se muhabbat momin hi karega aur Dushmani munafiq karega.)
▶ Jis ne Ali ko bura bhala kaha to goya usne mujhe bura bhala kaha aur Huzoor e Akdas ﷺ dua farmate haiñ 'Ya Ilaah'al Aalameen (aye Allah) jo bhi Ali se muhabbat rakhe tu bhi usse muhabbat rakh aur jo Ali se dushmani rakhe tu bhi usse dushmani rakh.'
Aur farmate hai jisne Ali se muhabbat ki usne mujhse muhabbat ki aur jisne mujhse muhabbat ki usne Allah ﷻ se muhabbat ki. (matlab Hazrat Ali رضي الله عنه se muhabbat Allah wa Rasool se muhabbat hai aur Hazrat Ali se dushmani rakhne wala Allah wa Rasool ka dushman)
▶ Jabh koi Aapko Abu Turaab keh kar pukarta to aap bade khush hote kyuki ye kunniyat Aap ko Sarkaar ﷺ ne ataa farmaayi thi.

# Tirmizi Shareef.
# Mishkaat Shareef.
# Tarikh ul Khulfa.
# Tibraani Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #456

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Sarwar e kaunain ﷺ irshad farmate haiñ mutakif (eitekaf mein baithne wala) gunaaho se bhi ruka rehta hai aur usko har qism ki nekiya (jinko wo anjaam nahi de paa raha hai) ka ajr o sawab milta hai.

#Ibne Majah Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

ALLAH ﷻ KI IBADAT MEIN
KUCH LAMHE GUZAAR LO
ISS KHUBSOORAT SUNNAT SE
APNI AAKHIRAT SAWAAR LO