Sunday, November 1, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 464

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 153

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aye Imaan waloñ sabr aur Namaz se madad chaho beshak Allah Saabiro ke saath hai.

▶ Tafseer
▶ Hadees shareef mein hain ki Sayyade Aalam ﷺ ko jabh koi sakht muheem pesh aati Namaz mein mashgool ho jaate aur Namaz se madad chahne mein Namaze Istisqa wa Salaate Hajat dakhil hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Wazu Ke Masael # 464

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


⏩ Wazu ke bagair namaaz hoti hi nahi.

 Mafhoome Ahadees e Pak.

▶ Wazu kar ke sonewala roza rakh kar ibadat karne wale ki tarah hai.
▶ Jisne "Bismillah Shareef" keh kar wazu kiya uska sar se lekar pair tak sara jism paak ho gaya

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #464

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Ibtidaai wahi ke nuzool ke baad Huzoor e Akram ﷺ Hazrat e Khadija رضي الله عنها ke pass tashreef laa kar jabh unpar Aayat e Quraan tilawat farmaayi to Ummul Momineen ussi waqt Musharraf ba Islam huwi aur Huzoor ﷺ ki khidmat mein aapne jazba e aqeedat ko yuñ arz kiya, Hargiz nahi Khuda ki Kasam Allah Ta'ala Aapko bemadad nahi rakhega kyuke Aap Mehmaan nawaaz hai, Sila Rehmi Aapka shehwa hai, Natawaañ wa Dardmand ke Aap dastageer hai, Muflis wa Tangdast ke Aap kaarsaaz hai, aur Raah e Haq mein pesh aane waale masaaib par naasir wa madadgaar hai.

#Bukhari Shareef, Jild 1, Safah 3, Baab al Wahi.

Iss Hadees Shareef se yeh baat roz e raushan ki tarah waazeh hai ke duniya Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ko roz e awwal se hi haajat baraar madadgar jaanti aur maanti rahi hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


BEYAARO MADADGAAR JINHEIÑ KOI NA PUCHE
AISOÑ KA TUJHE YAAR O MADADGAAR BANAYA
ALLAH KI REHMAT HAI KE AISE KI YEH KISMAT
AASI KA TUMHEIÑ HAAMI O GAMKHWAAR BANAYA

~Ustad e Zaman Maulana Hasan Raza Khan رضي الله عنه

Hadees e Mubaraka #463

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Nabi e kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate hai jo shakhs 5 namaazon ki iss tarah pabandi kare ke wuzu aur waqt ka ehtemaam kare, ruku aur sajdah acchi tarah kare, aur iss tarah namaaz parhne ko apne zimme Allah Ta'ala ka haq samjhe to is aadmi par jahannam ki aag haraam kar di jayegi.

# Musnad Ahmed. Hadees Number - 17882.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #462

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 152

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ To Meri yaad karo maiñ tumhara charcha karunga  aur Mera haq maano aur meri  na-shukri na karo.

▶ Tafseer
▶ Zikr teen tarah ka hota hai 1. Lisaani. 2. Qalbi. 3. Bil-jawareh.
▶ Zikre Lisaani Tasbeeh taqdees sana waghairah bayan karna hai khutba taubah istigfaar dua waghairah iss mein daakhil hai.
▶ Zikre Qalbi Allah Ta’ala ki Nea’mato ka yaad karna uski Azmat wa Qibriyaai aur uske Dalaile Qudrat mein gaur karna aulma ka istimbate masaeel mein gaur karna bhi isi mein daakhil hai.
▶ Zikre Bil-jawareh yeh hai ki aaza Ta’ate Ilahi mein mashgool ho jaise Hajj ke liye safar karna yeh zikre Bil-jawareh mein dakhli hai. Namaz teeno qism ke zikr par mushtamil hai tasbeeh wa takbeer sana wa qira’at to zikre lisaani hai aur Khushu’a wa Khujoo’a ikhlaas zikre qalbi aur qiyaam ruku wa sujood waghairah ka zikr bil-jawareh hai Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنه ne farmaya Allah Ta’ala farmata hai tum Ta’at bajaa laa kar Mujhe yaad karo Maiñ tumhe imdad ke saath yaad karunga Sahiheen ki hadees mein hai ki Allah Ta’ala farmata hai agar Banda mujhe tanhaayi mein yaad karta hai to Maiñ bhi usko aise hi yaad farmata hu aur agar woh mujhe jama'at mein yaad karta hai to Maiñ usko usse behter jama'at mein yaad karta hu Quraan wa Hadees mein zikr ke bahot fazael waarid hai aur yeh har tarah ke zikr ko Shaamil hai, Zikr Bil-jaher ko bhi aur iqfa ko bhi.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #462

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ Eid ul fitr ke din cha'nd khajoorein na kha lete Eidgaah ko na jaate aur aap taak (1,3,5) khajoorein khate.

Eidgaah jaane ke liye Nabi e Rehmat ﷺ ek raaste se jaate aur doosre raaste se aate they.

#Bukhari Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

AAYI HAI EID
MUBARAK HO SABKO
EID KI SUNNAT KO
YAAD RAKHO

Maah e Ramzaan #462

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Nabi e kareem rauf o raheem ﷺ irshad farmate hai jab Eid-ul-Fitr ka din aata hai to farishte chauraaho par khade ho jaate hai aur nida dete hai.

“ Aye Musalmaano ki jamaat! Rabb e Kareem ki jaanib chalo jo khair se nawazta hai. Yakeenan tumhe raat ko ibadat karne ka hukm diya gaya to tumne ibadat ki aur roza rakhne ka hukm diya gaya toh tumne roze rakhe. Tumne apne Rabb ki itaa'at ki ab apne ina'maat haasil karlo. ”

Phir jabh log namaaz e eid ada karte hai to ek aawaz dene wala aawaz deta hai, “ Beshak tumhare parwardigaar ne tumhe baksh diya ab tum apne ghar laut jao iss haal mein ke tum hidaayat waale ho ke ye yaum al jaaza (inaam ka din) hai aur aasmaan mein iss din ko yaum ul jaza kaha jaata hai. ”

#Muaz'zam Al Kabeer Lil Tabraani. Hadees Shareef No- 616.



⏩ Ramazaan ul Mubarak ke aakhri jummah mein kuch log ba-jamaat Qazaa e Umri parhte hai aur samajte hai ke umar bhar ki Qazaa nNamaaze issi ek namaaz se adaa ho gayee ye batil mahaz hai, yani jhoothi baat hai. Haalañki yeh baat bhi galat hai aur Nafl namaz ki jamaat bhi nahi ho sakti wo Makrooh hai.
▶ Hazrat Mufti Ahmad yaar khan ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ farmate hai Alwada jummah ke baad wa Namaz Asr se pehle 12 rakat nafl 2-2 ki niyat se parhe har do rakat mein surah fatiha ke baad ek baar Ayatul Kursi aur 3 baar Surah Ikhlas parhe, ek baar Surah Falaq aur ek baar Surah Naas parhe.
▶ Iska fayda yeh hai ki jis kadar namazein kisi ne qazaa karke parhi hongi unke qazaa karne ka gunah In Sha Allah muaaf ho jayega. Ye nahi ke qaza namaazein iss se muaaf ho jaaengi balki woh to parhne se hi adaa hoñgi.

#Islami Zindagi.

▶ Lihaza phir ek baar gaur karey ke iss Nafl Namaz ki barkat se jo Namaz Qazaa huwi hai uska jo gunah huwa hai woh In Sha Allah Muaaf ho jaaega magar jo namaze Qazaa huwi hai woh muaaf nahi huwi hai, woh har soorat mein Qazaa kar ke Adaa karni hai.



fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #461

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 151.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Jaisa humne tum mein bheja ek Rasool tum mein se.
2⃣ Ki tum par Hamari Aayate tilawat farmata hai aur TUMHE paak karta.
3⃣ Aur kitaab aur pukhta ilm sikhata hai aur tumhe wo taleem farmata hai jiska tumhe ilm na tha.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani Sayyade Aalam ﷺ.
2⃣ Najasat shirk wa junoob se.
3⃣ Hiqmat se mufassireen ne fiqah muraad li hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali Radiallahu Anhu #461

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

 Hazrat Ali رضي الله عنه ka Ilm.

▶ Saeed bin Musayyab farmate hai ke Sahaba ki jama'at mein Hazrat Ali رضي الله عنه ke siwa koi nahi jo yeh kahe ke jo kuch puchna hai mujhse puch lo. (kisi bhi masle mein kabhi bhi aapne la ilmi bekhabari ka izhaar nahi kiya.)
▶ Kisi faisle ke waqt Hazrat Ali رضي الله عنه na hote to Hazrat Umar رضي الله عنه Allah ﷻ ki panah mangte ke kahi koi galti na ho jaye.
▶ Ek baar Hazrat Umar رضي الله عنه ke paas ek aisi aurat layi gayi jiske peit mein zina ka hamal tha. Sharaai saboot ke baad sangsaar ka hukm diya, Hazrat Ali رضي الله عنه ne yaad dilaya ke Aaqa ﷺ farmate hai k haamela aurat ko baccha paida hone ke baad sangsaar kiya jaye ke aurat gunahgaar hai lekin peit ka baccha to be kasoor hai. Hazrat Umar رضي الله عنه ne fauran apne faisle se ruju kiya aur farmaya ke agar Ali na hote to Umar halak ho jata Ali ki hazri ne Umar ko bacha liya.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #461

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

RasoolAllah ﷺ irshad farmate haiñ jisne koi aib (kharabi) wali cheez becha aur aib ko zaahir nahi kiya woh hamesha Allah ﷻ ke gazab mein rehta hai, aur Farishte uspar laanat karte hai.

# Ibne Majaa Hadees No, 2332.

Note -: Aam dino mein aur Ramazan Eid ke mauke par hamare jo Musalman bhai apna maal bechte hai unhe iss baat ka ba khoobi Ahtiyaat rakhna chahiye aur apna maal bechte waqt agar uss mein koi kharabi ho aur unhe woh pata ho to bechte waqt zaroor bata dena chhaiye.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

FARISHTE KI LAANAT
SE BACH KE RAHO
HAR PAL HAR KADAM PE
ALLAH ﷻ SE DARO