Sunday, November 1, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #467

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 156

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Ki jabh un par koi musibat pade to kahe hum Allah ke maal hai aur humko usi ki taraf phirna.

▶ Tafseer
▶ Hadees Shareef mein hai ki waqte Musibat ke ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ parhna Rehmat e Ilahi ka sabab hota hai yeh bhi Hadees mein hain ki Momin ki takleef ko Allah Ta’ala kaffara e gunah banata hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Wazu Ke Masael # 467

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

 Wazu ka tariqa

▶ Koniyoñ (elbow) ke saath dono haath dhoeiñ.
▶ Iske baad chauthaai (1/4) sar masah karein dono haathoñ ko pani se tar kar le aur ungliyon ke kinaron ko aapas me mila kar peshani ke kareeb baaloñ ki jadd se malte huwe is tarah sar ke pichle hisse ki taraf le jayein ke ungliyan aur hatheli baaloñ se lagi huwi ho.
▶ Baad mei  ungliyon ke pichle hisse ko gardan par phairein.
▶ Dono haath ke kalme ki ungli se kaan ka masah kare aur anguthon se kaan ke pichle hisse ka masah kare.
▶ Dono pairon ko takhne saath dho lein pair dhote waqt ulte hath ki aakhri ungli ko pairon ki ungliyon ke darmiyan dakhil karein.

⏩ Khaas Baat
▶ Kisi bhi hisse ko dhone ka matlab hai ke uss hisse par kam se kam 2 qatre pani beh jaaye sirf bheeg jaane ya pani ko tel ki tarah masal lene ya ek qatra beh jaane ko dhona nahi kahenge aur na hi iss tarah Wazu ya Gusl adaa hoga.
▶ Sardiyon ke mausam mein wazu se pehle pani se haath bhiga kar wuzu ke aaza par chapad le ke baad mein pani behne mein aasaani ho ke sardiyon (winter) ke mausam mein rueiñ tani huwi hone ki wajah se pani chamdi tak nahi pahuchta hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #467

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ jabh kisi qaum mein fahaashi (badkaari) ka riwaaj barhta hai, yahan tak ke woh ailaaniya behayayi karne lagti hai. To inn logoñ ke darmiyaan aisi beemariya phail jaati hai jo unke islaaf ke zamaane mein maujood nahi thi.

#Ibne Majah Shareef, Hadees No 4155.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


JO KARTE HAI GALAT KAAM
HOTA HAI UNKA BURA ANJAAM
KYA FARMATE HAI KHAIRUL ANAAM
GAUR SE PARH LO SABHI TAMAAM

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #466

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 155

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur zarur Hum tumhe aazmayenge kuch darr aur bhook se.
2⃣ Aur kuch maalo aur jaano aur phalo ki kami se aur khushkhabari suna unn sabr waloñ ko.

▶ Tafseer
1⃣  Aazmayish se farmabadar wa nafarmaan ke haal ka zahir karna muraad hai.
2⃣ Imam Shafayi ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ ne is Aayat ki tafseer mein farmaya ki Khauf se Allah ﷻ ka darr aur Bhookh se Ramzan ke Roze maalo ki kami se zakaat wa sadqaat dene jaano ki kami se amraaz ke zariya maut hona phalo ki kami se Aulaad ki maut muraad hai isliye ki Aulad dil ka phal hoti hai Hadees Shareef mein hai Sayyade Aalam ﷺ ne farmaya jabh kisi bande ka baccha marta hai Allah Ta’ala malayika se farmata hai tum na mere bande ke bacche ki Rooh qabz ki woh arz karte hai ki haa ya Rab phir farmata hai tum ne uske dil ka phal le liya Arz karte hain haan Yaa Rab farmata hai is par mere bande ne kya kaha Arz karte hai usne teri hamd ki aur ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥ parha farmata hai uske liye Jannat mein makaan banao aur uska naam Baitul Hamd rakho hikmat musibat ke pesh aane se qabl khabar dene mein kayi hikmate hai ek to ye ki usse aadmi ko waqte musibat sabr aasaan ho jata hai ek yeh ki jabh kaafir dekhe ki Musalman bala wa musibat ke waqt saabir wa shaakir aur istiklaal ke saath apne deen par qayam rehta hai to unhe deen ki khoobi maloom ho aur uski taraf ragabat ho ek yeh ki aane wali musibat ki qabl Wuku e Ittela’a gaibi khabar aur Nabi e Kareem ﷺ ka maujeza hai ek hikmat yeh ki munafiqeen ke qadam ibtela ki khabat se ukhad jaaye aur momin wa munafiq mein imtiyaz ho jaye.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Wazu Ke Masael # 466

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Wazu ka tariqa

▶ Pehle wazu ki niyyat kare Bismillah Shareef padhe wazu se pehle Bismillah Wal Hamdulillah keh le to jabh tak wazu rahega Fariste nekiyan likhte rahenge.
▶ Dono haath pahñchon tak 3 bar dhoyein.
▶ Miswaak kare na ho to danton par ungli malein.
▶ 3 chillu se 3 bar kulli karein is tarah ke munh ke har purze tak pani pahuche roza na ho toh gargara kare.
▶ Naak mein narm haddi tak pani chadha kar saaf kare 3 bar.
▶ Chehre ko 3 bar dho leiñ iss tarah ke sar ke baaloñ ki jad se todhi tak dadhi ho to dadhi samet aur ek kaan ki lau se dusre kaan ki lau tak pure chehre par se pani beh jaye.
▶ Daadhi ho toh uska khilaal kare sidhe haath ki ungliyoñ ko gale ki taraf daadhi mein daakhil kar ke aage ki taraf nikaale.

To Be Contd...

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #466

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ sulaah ke muamale mein qabeela e bani umro bin auf ke pass tashreef le gaye they iss dauraan Namaaz ka waqt aagaya, Muazzin e Rasool (ﷺ) Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه ke khidmat mein haazir huwe aur Imamat karne ki guzarish ki.

Namaaz shuru karne ke baad Huzoor Nabi e Kareem ﷺ tashreef farma huwe, Hazrat e Abu Bakr Siddique رضي الله عنه ki Namaaz ka yeh aalam tha ke kisi taraf dhyaan nahi jaata. Sahaba e Kiram رضي الله عنهم Aapko, RasoolAllah ﷺ ki aamad ka ehsaas dilane lagey, bil aakhir Aap mut'tawajjeh huwe aur mehsoos kiya Imam ul ambiya ﷺ tashreef farma ho chuke hai fauran musalley se peeche hatey aur saff mein shaamil hogaye.

Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ne Aapko Imamat ka hukm bhi farmaya, magar Aap peeche hatt gaye phir Imam ul Ambiya ﷺ ne Imamat farmayi. Namaaz muqammal hone ke baad RasoolAllah ﷺ ne irshad farmaya aye Abu bakr ! Mere hukm dene ke bawajood bhi tumhe apni jagah qaayim rehne se kis cheez ne roka, Hazrat Abu bakr رضي الله عنه ne arz ki Abu Qahaafa ke berr ki kya majaal ke RasoolAllah ﷺ ke aage Namaaz ada kar sakey.

#Bukhari Shareef, Hadees No 684.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in


SAABIT HUWA KE JUMLA FARAIZ FUROO'A HAIÑ
ASLUL USOOL BANDAGI USS TAAJWAR KI HAI

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 465

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 154

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur jo Khuda ki raah mein maare jaaye unheiñ murda na kaho.
2⃣ Balki woh zinda hai, Haa tumhe khabar nahi.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool yeh Aayat Shohda e Badr ke haq mein naazil huwi log Shohada ke haq mein kehte they ki falaañ ka inteqaal ho gaya woh dunyawi aasaeesh se mehroom ho gaya unke haq mein Aayat naazil huwi.
2⃣ Maut ke baad hi Allah Ta’ala shohada ko hayaat ata farmata hai unki arwaah par rizq pesh kiye jaate hai unheiñ rahate di jaati hai unke Amal jaari rehte hai ajr wa sawaab barhta retha hai. Hadees Shareef mein hai ki Shohada ki Roohe sabz parindo ke kaalib mein jannat ki sair karti aur waha ke mewe aur Nea’mate khati hai.
▶ Masla- Allah Ta’ala ke farmabardar bando ko Qabr mein jannat ki nea’mate milti hai shaheed woh musalman mukallah zaahir hai jo tez Hathiyaar se zulman maara gaya ho aur uske qatl se maal bhi waajib na huwa ya ma’arkae jung mein murda ya zakhmi paaya gaya aur usne kush aasaeesh na paayi us par duniya mein ye ahkaam hai ki na usko gusl diya jaaye na unko kafan, apne kapdo mein hi rakha jaaye usi tarah us par namaz parhi jaaye usi halat mein dafan kiya jaaye Akhirat mein shaheed ka bahot bada rutba hai baaz Shohda woh hai ki un par duniya ke yeh ehkaam jaari nahi hote lekin Aakhirat mein unke liye Shahadat ka darja hai jaise doob kar ya jal kar ya deewar ke niche dab kar marne wala, talabe Ilm, safare Hajj, garze raahe khuda mein marne wala aur nifaas mein marne wali aurat aur peit ke marz aur taoon aur jatuljanaib aur seel mein aur jummah ke roz marne wale waghaira.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Wazu Ke Masael # 465

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Wazu ke  chaar (4)Faraiz kya hai?

1⃣Chehra dhona.
2⃣ Kohniyoñ (elbow) ke saath dono haath dhona.
3⃣Takhnoñ (ankle) ke saath dono pair dhona.
4⃣ Chauthaai (1/4) sar ka masah karna.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #465

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Sayyeduna Yaas Bin Salma رضي الله عنه apne waalid se riwayat farmate hai Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ sitaare Aasmaan waaloñ ke liye amaan ka zariya hai aur mere ahle bait meri ummat ke liye amaan hai.

#Al Muazzam Al Kabeer Lil Tabraani Hadees No 6137.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

KIS ZABAAÑ SE HO BAYAANE IZZO SHAAN E AHLE BAIT
MADH GOYE MUSTAFA HAIÑ MADHKHWAANE AHLE BAIT

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 464

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 153

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aye Imaan waloñ sabr aur Namaz se madad chaho beshak Allah Saabiro ke saath hai.

▶ Tafseer
▶ Hadees shareef mein hain ki Sayyade Aalam ﷺ ko jabh koi sakht muheem pesh aati Namaz mein mashgool ho jaate aur Namaz se madad chahne mein Namaze Istisqa wa Salaate Hajat dakhil hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in