Monday, February 15, 2016

Hadees e Mubaraka #484.

GHAR JAAO JABH KISIKE
KARO SALAAM PEHLE
HUZOOR ﷺ FARMATE HAI KYA
AMAL KARO ISS FARMAAN PE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Hadees e Mubaraka #484.

Hazrat e Abdullah Ibne Busar رضي الله عنه se rivayat hai ki jabh Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ kisi ke darwaaze par tashreef le jaate toh darwaaze ke saamne nahi khade hote the balki daahine ya baaye hatt kar khade hote aur farmate ألسَّــــلاَمُ عَــــلَيْكُم aur iski wajah yeh thi ki uss zamaane mein darwazoñ par parde nahi hote the.

#Abu_Dawood_Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 483.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 483.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 176.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Ye is liye ki Allah ne kitaab haq ke saath utaari aur beshak jo log kitaab mein ikhtilaaf daalne lage woh zaroor parle sire se jhagdaalu hai.

▶ Tafseer
▶ Shaane Nuzool yeh Aayat yahood ke haq mein naazil huwi ki unhone tauret mein ikhtilaaf kiya baaz ne usko haq kaha, baaz ne baatil, baaz ne galat taaweele ki, baaz ne tahreefe, ek qaul yeh hai ki yeh Aayat mushrikeen ke haq mein naazil huwi is surat mein kitaab se muraad Quraan Majeed hai aur unka ikhtilaaf yeh hai ki baaz unmein se isko Shair kehte the baaz Sahar Baaz kahanat.

Momin ka Momin par haq. #483

Momin ka Momin par haq. #483
Beemar ki Iyaadat karna.
Miskeen ko khana khilaana.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Huzoor Sarwar e Kaunaain ﷺ irshad farmate haiñ Allah ﷻ qayamat ke din farmaega aye Ibne Adam Maiñ beemar huwa tha tune meri iyadat nahi ki, banda arz karega maiñ teri iyaadat kaise karta tu to saare jahaanoñ ka Rab hai. Allah ﷻ farmaega tujhe malum nahi ke mera falañ banda beemar huwa aur tune uski iyaadat na ki, agar tu iyaadat karta to mujhe uske pass paata.

Phir farmaega Maiñe aaye Ibne Adam Maiñe tujhse khana maanga tha tune mujhe na khilaya banda arz karega maiñ tujhe kaise khilaata ke tu saare jahaan ka Rab hai, Irshad hoga kya tujhe malum nahi ke mere falañ bande ne tujhse khaana maanga aur tune usse na khilaya hota to mujhe uske pass pata.

Phir farmaega aye insaan Maiñe tujhse paani maanga aur tune Mujhe paani na pilaaya, arz karega maiñ tujhe kaise pilaata tu saare jahaano ka Rab hai, Irshad farmaega kya tu nahi jaanta mere falaañ bande ne tujhse paani maanga aur tune usse na pilaya agar tu usse pila deta to Mujhe uske pass paata.

#Muslim_Shareef.

Hadees e Mubaraka #483.

APNI NAZREIN JUKAYE RAKHO
SHAITAAN KA KAAM KARNE SE DARO.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #483.

Hazrat e Abdullah Ibne Masood رضي الله عنه se rivayat hai ki Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ aurat, aurat hai yaani chupaane ki cheez hai jabh woh nikalti hai toh usey shaitaan jhaak kar dekhta hai yaani usey dekhna shaitaan ka kaam hai.

#Tirmizi Shareef.




Sent from my iPhone

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 482.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 482.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 174 & 175.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Wo jo chupate hai.
2⃣ Allah ki utaari kitaab aur uske badle Zaleel keemat le lete.
3⃣ Wo apne peit mein aag hi bharte hai, aur Allah Qiyamat ke din unse baat na karega aur na unhe suthra kare aur unke liye dardnaak azaab hai, wo log hai jinhone hidayat ke badle gumrahi mol'li aur bakhshish ke badle azaab to kis darja unhe aag ki sahaar (bardasht) hai.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool yahood ke aulma wa ru'asa jo ummeed rakhte the ki Nabi e Aakhiruz'zama ﷺ unmein se mab'oos hoñge jabh unhone dekha ki Sayyade Aalam Muhammed Mustafa ﷺ doosri qaum mein se Mab'oos farmaye gaye to unhe ye andesha huwa ki log Tauret wa Injeel mein Huzoor ﷺ ke Ausaaf dekh kar Aap ﷺ ki farmabardari ki taraf jhook padeñge aur unke nazraane hadiye tohfe tahaeef sabh band ho jayenge huqumat jaati rahegi is khayal se unhe hasad paida huwa aur Tauret wa Injeel mein jo Huzoor ﷺ ki naat wa sifa'at aur Aap ﷺ ke Waqt e Nubuwwat ka bayan tha unhone usko chupata is par ye Aayat e Kareema naazil huwi.
▶ Masla- chupana yeh bhi hai ke kitaab ke mazmoon par kisi ka Muttala'a na hone diya jaaye na woh kisi ko parh kar sunaya jaaye aur na dikhaya jaaye aur yeh bhi chupana hai ki galat taaweele karke maana badalne ki koshish ki jaaye aur kitaab ke asal maana par parda daala jaaye.
2⃣ Yaani duniya ke haqeer nafaa ke liye ikhfa e Haq karte hai.
3⃣ Kyuki yeh rishwate aur ye maal haraam jo haq poshi ke aiwaz unhone liya hai unhe aatishe jahannam mein pahuchaega.

Sunday, February 14, 2016

Momin ka Momin par haq. #482.

Momin ka Momin par haq. #482.
Beemar ki Iyaadat karna.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ jabh tum kisi beemar shakhs ke paas jaao, to uski lambi umr (age) ki baatein karke uska gamm durr karo, Agarche aisa kehne se taqdeer nahi badlegi magar uska dil khush ho jayega.

#Ibne Maaja Shareef.

Hadees e Mubarak 482

DAROOD PARHNA SALAAM PARHNA
HAR EK PAL MEIN UNKA NAAM LENA
JO ARZ KARNA UNHI SE KARNA
SIKHAYA RAB NE HUMEIÑ YAHI HAI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #482.

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ kasrat se Darood bheja karo Mujhe Jummah ke din.

#Dalail_Ul_Khairat_Shareef.

Saturday, February 13, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #481.

بسم الله الرحمن الرحيم 
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ 


▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Cont'd Post #480.
Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 173.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
 Aur wo jaanwar jo gaire khuda ka Naam lekar Zabah kiya gaya.
 To jo Naachaar ho  Na yuñ ki khwahish se khaaye aur na yuñ ki zarurat se aage badhe to us par gunah nahi beshak Allah bakshne wala meherbaan hai.

▶ Tafseer 

 Masla- Jis jaanwar par waqte zabah gair e Khuda ka naam liya jaaye khwah tanha ya Khuda ke naam ke saath atf se mila kar woh Haraam hai.
▶ Masla- Agar naam e Khuda ke saath gair ka naam baghair atf milaya to makrooh hai.
▶ Masla – Agar zabah ke waqt Allah ke naam par kiya aur uske qabl ya baad Gair ka naam liye maslan ye kaha ki aqeeqah ka bakra walima ka dumba ya jiski taraf se wo zabeeha hai ussi ka naam liya ya jin Auliya ke liye isaale sawaab manzoor hai unka naam liya to yeh jayaz hai isme kuch harj nahi (#Tafseer Ahmedi ) 
5⃣ Muztar wo hai jo Haraam cheez ke par majboor ho aur usko na khaane se khaufe jaan ho khwaah shiddat ki bhook ya naadari ki wajah se jaan par ban jaye aur koi halaal cheez haath na aaye ya koi shaksh haraam ke khaane par jabr karta ho aur usse jaan ka andesha ho aisi haalat mein jaan bachane ke liye Haraam cheez ka qadre zarurat yaan itna khaa lena jayaz hain ki khaufe halakat na rahe.

Azaan ke Masaeel #481


بسم الله الرحمن الرحيم 
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ 

Azaan ke Masaeel # 481

Kya Azaan se pehle Darood Shareef parh sakte hai.?

▶Yakeenan har woh nayi cheez jo na sunnat ke khilaaf ho na hi sunnat ko mitaane wali ho aur shari'at ne us cheez ya kaam se roka na ho biddat e hasanah hai aur mubaah hai yaani acchi biddat aur jaiz hai.

▶ Hadees e Pak hai RasoolAllah ﷺ irshad farmate haiñ jisne bhi musalmaano mein koi accha tarika shuru kiya aur baad mein uss tarike par amal kiya gaya to uss tarike par amal karne waaloñ ka ajar bhi shuru karne wale ko milega aur amal karne waaloñ ke ajar mein kami na hogi.

▶ Ho sakta hai kisi ke zehan mein yeh sawal aaye ke Hadees Shareef mein hai ke ke har biddat gumrahi hai aur gumrahi jahannam mein le jaanewali hai. #Mishkat Shareef.

▶ To isse murad biddat e sahiyah hai yani buri biddat hai. Aur woh biddat jo sunnat ko mitane wali ho ya sunnat k khilaf ho woh yakeenan buri biddat hai.

▶ Shaikh Abdul Haq Muhaddis dehlwi رضي الله عنه farmate hai jo biddat usool aur Qawaaede sunnat ke muwafiq aur uske mutabik qiyaas ki huwi hai (yani sunnat o shari'at se nahi takraati) usko biddat e hasnah kehte hai aur jo iske khilaf ho woh biddat gumrahi kehlati hai.
#Ashiatul Lamaat.

▶ Abh jo log isse biddat kehte hai wo bataye ke Azaan se pehle Darood Shareef parhne se kaunsi sunnat takrati hai ya sunnat ko mitati hai lihaza Azaan se pehle Darood Shareef parh sakte hai.

Hadees E Mubarak 481

NA BAITHO DO LOGON KE BEECH
NA KARO UN MEIN JUDAAI
MAAÑG LO IJAZAT BAITHNE KI
SUNLO HUZOOR ﷺ KA FARMAAN

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Hadees e Mubaraka #481.


Hazrat e Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه se rivayat hai ki Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ kisi ko yeh halal nahi ki do (2) shaks ke darmiyan judaai karde yaani dono ke darmiyaañ baith jaaye magar unki ijazat se .


#Tirmizi Shareef.

#Abu Dawood Shareef.