Saturday, April 2, 2016

Bahar e Shari'at #702

Bahar e Shari'at
Gair muqallideen #702.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Yeh bhi wahabiyat ke ek shaakh hai woh chand baatein jo haal mein wahabiyon ne Allah Ta'qla aur Nabi ﷺ ki shaan mein gustakhi ke taur par baki hai woh gair muqallideen se sabit nahi baaki doosre tamaam aqeedon mein dono shareek hai aur haal ke deobandiyoñ ki ibaraton ko dekh bhaal aur jaan boojhkar unhein kaafir tasleem nahi karte aur shari'at ka hukm hai ki jo Allah ﷻ aur Rasool ﷺ ki shaan mein ghustakhi karne waloñ ke kafir hone mein shak kare woh bhi kafir hai.
▶ Gair muqallideen ka ek bura aqeeda yeh hai ki woh chaaron mazhabon, 1)hanafi, 2) shafa'i, 3) maaliki, 4) hanbali. se alag aur tamaam musalmanoñ se alag thalag ek raasta nikal kar takhleed ko haraam aur bidd'at kehte hai aur deen ke imameen jaise Imame Aazam Abu Hanifa, Imam Shafa'i Imame Maaliki aur Imame Ahmed Ibne Hambal رضي الله عنهم ko bura bhala kehte hai yeh log Imamon ki takhleed (pairveeh) nahi karte balki shaitaan ki karte hai gair muqallideen takhleed aur qiyaas ka inkaar karte hai jabh ki mutlaq takhleed aur qiyaas ka inkaar kufr hai isiliye gair muqallideen ka mazhab baatil hai.

Note:- fara'a mein asl ki tarah hukm ko sabit karne ko qiyaas kehte hai qiyaas Quraan aur Hadees se sabit hai.

Hadees e Mubaraka #702

US KE NAAYIB UNKE SAAHIB
HAQ SE KHALQ MILAATE YE HAIÑ
SHAAF'E NAAF'E RAAF'E DAAF'E
KYA KYA REHMAT LAATE YE HAIÑ

بسمالله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 702
5 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ ki Khuda e Ta'ala ne koi aisi beemari nahi paida ki hai jis ke liye tandrusti yaani dawa naa utaari ho.

#Bukhari Shareef.

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #701

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #701.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 03 Ruku - 17
Aayat No. 81

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur yaad karo jabh Allah ne paigambaroñ se unka ahad liya.
2⃣ Jo maiñ tumko kitaab aur hiqmat du phir tashreef laye tumhare paas woh Rasool.
3⃣ Ki tumhari kitaboñ ki tasdeeq farmaye ○ To tum zarur zarur us par Imaan laana aur zarur zarur uski madad karna farmaya kya tumne iqrar kiya aur us par mera bhaari zimma liya sabne arz ki humne iqrar kiya farmaya to ek doosre par gawah ho jao aur maiñ Aap tumhare saath gawaaho mein hu.

▶ Tafseer
1⃣ Hazrat Ali e Murtaza رضي الله عنه ne farmaya ki Allah Ta'ala ne Hazrat Aadam aur unke baad jis kisi ko Nabuwwat ataa farmayi unse Sayyade Aalam ﷺ ki nisbat ahad liya aur un, Ambiya ne apni qaumo se ahad liya ki agar unki hayaat mein Sayyade Aalam ﷺ Mab'uus ho to Aap par Imaan laaye aur Aapki nusrat kare isse saabit huwa ki Huzoor ﷺ tamaam Ambiya mein Afzal hai.
2⃣ Yaani Sayyade Aalam ﷺ.
3⃣ Is tarah ki unke sifa'at wa ahwal iske mutabiq ho jo Qutube Ambiya mein bayan farmaye gaye hai.

Bahar e Shari'at #701

Bahar e Shari'at
Wahaabi firqa #701

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Iss mazhab ki buniyaad Allah Ta'ala aur uske mehbooboñ ki tauheen aur tazleel par hai. yeh log har cheez mein wahi pehlu ikhtiyaar karenge jisse shaan ghat'ti ho iss mazhab ke sargirooh ke kuch qaul nakl kiye jaate hai taaki hamaare awaam bhai unke diloñ ki khabasatoñ ko jaankar unke fareb aur dhoke se bachte rahe aur unke jubbah aur dastaar par na jaaye..

▶ Abh wahabiyon ke kuch qaul pesh kiye jaate hai. takhviyatul imaan safah 19 mein hai ki hamara rab khaliq Allah hai aur usne hamko paida kiya toh humko bhi chahiye ki apne har kaamon par usi ko pukaare aur kisi se humko kya kaam jaise koi ek baadshah ka ghulam ho chuka toh woh apne har kaam ka ilaqa usise rakhta hai doosre baadshah se bhi nahi rakhta aur kisi choohde chamaar ka toh kya zikr.
Ambiya e kiraam aur auliya e azam ki shaan mein aisi ma'aloon alfaaz istemaal karna kya musalman ki shaan ho sakti hai??

استغفروالله ربى من كل ذنب واتوب اليو
لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّه ﷺ

Hadees e Mubaraka #701

MEHRAM HO SAATH HAI YEH HUKM E SHARAH
CHAAHE GHAR SE NIKLO KARNE HAJJ E BAITULLAH

بسمالله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 701
4 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Ibne Abbas رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ke aurat bagair mehram ke hargiz safar na kare chaahe woh hajj hi ka safar kyu na ho.

#Bukhari Shareef.
#Muslim Shareef.

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #700

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #700.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 3 Ruku - 16
Aayat No. 80.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur na tumhe ye hukm dega.
2⃣ Ki farishtoñ aur paigambaroñ ko Khuda thehra lo, kya tumhe kufr ka hukm dega baad iske ki tum musalman ho liye.

▶ Tafseer
1⃣ Allah Ta'ala ya uska koi Nabi.
2⃣ Aisa kisi tarah nahi ho sakta.

Bahar e Shari'at #700

Bahar e Shari'at
Wahaabi firqa #700.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Yeh ek naya firqa hai jo san 1209 hijri mein paida huwa iss mazhab ka baani abdul wahaab najdi ka beta muhammed tha. Usne tamaam arab aur khaas kar harmain shareefain mein bohat zyada fitne failaye. Aalimon ko qatl kiya. Sahaba, Imamon, Aalimon aur Shaheedon ki qabr khod daali. Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ke Rauza e Mubarak ka naam sanme akbar (bada buth) rakha tha aur tarah tarah ke zulm kiye. jaise ki sahi hadees mein Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ ne khabar di thi ki najd se fitne uthenge aur shaitaan ka giroh niklega woh giroh 1200 baras baad zahir huwa. Allama Shaami علیہ رحمۃ ورضوان ne ise khaariji bataya.

▶ Iss abdul wahaab ke bete ne ek kitaab likhi jiska naam kitabut tauheed rakha, uska tarjuma hindustan mein ismail dehlvi ne kiya jiska naam takhviyatul imaan rakha aur hindustaan mein wahabiyat ussi ne phelayi. Unn wahabiyon ka ek bohat bada aqeeda yeh hai jo unke mazhab par na ho woh kafir mushrik hai. yahi wajeh hai ki baat baat par bila wajeh musalmanon par kufr aur shirk ka hukm lagate aur tamaam duniya ko mushrik batate hai, chunache takhviyatul imaan page no 45 mein woh hadees likh kar ki aakhri zamaane mein Allah Ta'ala ek hawa bhejega jo saari duniya se musalamanon ko utha legi uske baad saaf likh diya sau (100) paigambare khuda ke farmaane ke mutabik huwa yaani woh hawa chal gayi aur koi musalmaan ru'e zameen par na raha magar yeh na samjha ki iss soorat mein khud bhi kafir hogaya.

Hadees e Mubaraka #700

NA PAHUÑCHEÑGA JAB TAK GUNEHGAR UNKE
NA JAAYEGI JANNAT MEIÑ UMMAT KISI KI

بسمالله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ

Hadees e Mubaraka# 700
3 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ke pukarne wala pukaar kar kahega ki Aye Jannat waaloñ! tum tandrust rahoge kabhi beemar naa hoge, tum zinda rahoge kabhi na maroge, tum jawaan rahoge kabhi budhe na hoge aur tum araam se rahoge kabhi mehnat wa mashakkat na uthaaoge.

#Muslim Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #699

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 699.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 3 Ruku - 16
Aayat No. 79

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Kisi aadmi ko ye haq nahi ki Allah use kitaab aur huqm wa paigambari de
2⃣ Fir wo logo se kahe ki Allah ki chhod kar mere bande ho jao
3⃣ Haañ ye kahega ki Allah wale
4⃣ Ho jao is sabab se ki tum kitaab sikhate ho aur isse ki tum dars karte ho

▶ Tafseer
1⃣ Aur kamale Ilm wa Amal ataa famraye aur gunahoñ se masoom kare
2⃣ Ye Ambiya se na mumkin hai aur unki taraf aisi nisbat buhtaan hai Shaane nuzool Nazraan ke Nasaara ne kaha ki Hume Hazrat Isaa عليه السلام ne huqm diya hai ki unhe Rab maane is aayat mein Allah Ta'ala ne unke is qaul ki taqzeeb ki aur bataya ki Ambiya ki shaan se aisa kehna mumkin hi nahi is aayat ke shaane nuzool mein dusra qaul ye hai ki Abu Raafe Yahoodi aur Sayyad Nasraani ne Sarware Aalam ﷺ se kaha Yaa Muhammed ( ﷺ ) Aap chahte hai ki hum Aap ki ibadat kare aur Aap ko Rab maane Huzoor ﷺ ne farmaya Allah ki panah ki main Gairullah ki ibadat ka huqm karooñ na mujhe Allah ne iska huqm diya na mujhe isliye bheja
3⃣ Rabbani ke maana Aalime faqeeh aur Aalime Baa-amal aur nihayat deendaar ke hai
4⃣ Isse saabit huwa ki Ilm wa taleem ka samra ye hona chahiye ki Aadmi Allah wala ho jaaye jise ilm se ye fayeda na huwa uska ilm zaaya aur bekaar hai

Imaan aur kufr ka bayaan #699

Bahar e Shari'at
Imaan aur kufr ka bayaan #699.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Imaan aur kufr ke beech ki koi kadi nahi yaani aadmi ya toh musalman hoga ya kafir teesri koi soorat nahi ki na musalman ho na kafir.

● Note - Haan yeh mumkin hai ki hum shubah ki wajeh se kisi ko na musalman kahe na kafir jaise yazeed paleed aur ismail dehlvi jaise log in jaise logoñ ke baarein mein hamare aulma ne khamoshi ka hukm farmaya ki na toh hum inhe musalman kahenge na kafir hamare saamne agar koi musalman kahe toh bhi hum khamosh rahenge aur kafir kahe toh bhi khamoshi ikhtiyaar karenge yeh shak ki wajeh se hai. yazeed ke baare mein Imam e Aazam Abu Hanifa رضي الله عنه ka yahi hukm hai ki shak ki wajeh se ussey na musalman kahenge na kafir balki khamoshi ikhtiyaar karenge.

● Aqeeda - Jis musalman ne gunaah e kabeera kiya ho woh musalman jannat mein jaaega chahe Allah Ta'ala apne karam se ussey baksh de ya Huzoor e Akram ﷺ uski shafa'at karde ya apne kiye ki saza paakar jannat mein jaaega phir kabhi na niklega.

● Aqeeda - jo koi kisi kafir ke liye maghfirat ki dua kare ya kisi mare huwe murtad ko marhoom ya maghfoor ya kisi mare huwe hindu ko bekundwaasi (swargwaasi) kahe woh khud kafir hai.

▶ Is zamaane mein kuch log yeh kehte hai jitni deir kafir ko kafir kehne mein lagaoge utni der Allah Allah karo toh sawaab milega.
Iska jawaab yeh hai ki hum kabh kehte hai ki kafir kafir ka wazeefa kar lo balki matlab yeh hai ki kafir ko dil se kafir jaano aur uske baare mein agar koi pucha jaaye toh usey be jhijak saaf saaf kafir kehdo. Sulah kulliyon ki tarah uske kufr par parda daalne ki zaroorat nahi.