Monday, April 6, 2015

Bahar e Shari'at #357 - Qayamat ki Nishaniya. ⏩ Imam Mehndi رضي الله عنه ka daur

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Qayamat ki Nishaniya.
⏩ Imam Mehndi رضي الله عنه ka daur.

Duniya mein jab sab jagah se Islam simat kar Makkah Shareef aur Madeena shareef mein pahuch jaaega uss waqt saare Abdaal aur Auliya hijrat karke wahi pahuch jaenge saari zameen kufristaan hogi Ramazan Shareef ka mahina hoga Abdaal Kaaba Shareef ka tawaf karte honge Hazrate Imam Mehndi رضي الله عنه bhi wahi honge auliya unhe pehchan kar unse ba'it ke liye kahenge to aap inkar karenge aur gaib se awaz aayegi,

Tarjama:- "Ye Allah ke wali Mehndi hai inki baat suno aur inka hukm maano."

Phir tamam log Aapke Dast e Mubarak par ba'it honge aur Imam Mehndi رضي الله عنه sabko apne saath lekar mulk e shaam (syria) tashreef le jaaenge.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


Hadees e Mubaraka 357 (Hadith Of The Day)

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e Abu Saeed رضي الله عنه riwayat farmate haiñ Meiñ Namaaz ada kar raha tha, Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ ne Mujhe Apni bargaah meiñ yaad farmaya to Meiñ haazir nahi huwa yahaañ tak ke Meine Namaaz padhli. Uske baad RasoolAllah ﷺ ki Khidmat e Ba-Barkat meiñ haazir hogaya, Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ne irshad farmaya, Aye! Abu Saeed tumhe haazir hone se kis cheez ne roka tha? Kya Allah ﷻ ne nahi farmaya hai? Aye Imaan waalo! Allah aur Rasool ke bulaane par haazir hojaao jabh woh tumhe bulaaye.

# Bukhari Shareef, Hadees No 4647.

fb.me/kanzul.imaan.group

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #356 Surah Baqrah Shareef Ayat No. 33

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 33

بسم الله الرحمن الرحيم

1⃣ قَالَ يَا آدَمُ أَنبِئْهُم بِأَسْمَائِهِمْ ۖ فَلَمَّا أَنبَأَهُم بِأَسْمَائِهِمْ قَالَ أَلَمْ أَقُل لَّكُمْ
2⃣  إِنِّي أَعْلَمُ غَيْبَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَأَعْلَمُ مَا تُبْدُونَ وَمَا كُنتُمْ تَكْتُمُونَ

▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Farmaya aye Aadam bata de Inhe sab Ashiya ke Naam, Jab Aadam Ne unhe sab ke naam bata diye.
2⃣ Farmaya main na Kehta tha ki Main jaanta hu Aasmano aur zameen ki sab chupi cheezein aur Main jaanta hu jo kuch tum zahir karte aur jo kuch tum chupate ho.

▶ Tafseer
1⃣ Yani Hazrat e Aadam علیہ السلام ne har cheez ka naam aur uski paidaish ki hiqmat bata di.
2⃣ Malaika ne jo baat zaahir ki thi wo ye thi ki insaan fasaad angezi wa Khoo(n) rezi karega aur jo baat chupayi thi wo ye thi ki mustahiqe khilafat wo khud hai Allah Ta’ala unse Afzal wa A’ala koi Makhlooq paida na farmayega.
▶Masla – Is aayat se Insaan ki sharafat aur Ilm ki fazilat saabit hoti hai aur ye bhi ki Allah Ta’ala ki Taraf taaleem ki nisbat karna sahi hai agarche usko Mu’allim na kaha jayega kyun ki Mu’allim pesha war taaleem dene wale ko kahte hai .
▶Masla- Isse ye bhi maloom huwa ki jumla Lugaat aur kul zabane Allah Ta’ala ki taraf se hai.
▶Masla- Ye bhi saabit huwa ki Malaika ke uloom wa kamalat me zyadati hoti hai.

▶Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group



BAKHUDA KHUDA KA YAHI HAI DAR NAHIÑ AUR KOI MAFAR MAQAR,
JO WAHAAÑ SE HO YAHIÑ AA KE HO JO YAHAAÑ NAHIÑ TO WAHAAÑ NAHIÑ
 

Bahar e Shari'at #356.- Qayamat ki Nishaniya. ⏩ Hazrat e Isaa علیہ السلاام ka daur

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Qayamat ki Nishaniya.
⏩ Hazrat e Isaa علیہ السلاام ka daur.

Hazrat Isaa علیہ السلاام ke daur mein maal itna zyada hoga ki agar koi kisi ko kuch dena chahega to wo lene se inkar kar dega uss zamane mein dushmani, hasad, aur jalan naam ki koi cheez nahi hogi.

Tamam ahle kitab matlab Tohrait, Zuboor, Injeel, aur Qurane Pak ke manne wale jo dajjal ke zulm se bach jaenge wo Hazrat e Isaa علیہ السلاام par imaan laenge saari duniya mein ek hi deen hoga Deen e Islam aur ek hi mazhab hoga mazhabe Ahle Sunnat.

Wo daur aisa hoga ke sher aur bakri saath nazar aaenge, bachhe saanp se khelenge.

Hazrat Isaa علیہ السلاام 40 saal tak rahenge iss duniya mein, yaha aap nikah bhi karenge aur unki aulad bhi hogi zahiri wisal ke baad Rauza e Rasool ﷺ mein aap madfan honge.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

Hadees e Mubaraka 356 (Hadith Of The Day) - Musalman ke liye April Fool manana kaisa?

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ

▶ Jhoot se bachte raho, isliye ke jhoot gunah ki taraf le jaata hai aur gunah jahannam meiñ pahuncha deta hai, aur aadmi barabar jhoot bolta rehta hai yahaañ tak ke Allah Ta'ala ke yahaañ uska naam jhootoñ mein likh diya jaata hai.
#Muslim Shareef.
▶ Kisi bande ka Imaan mukammal nahiñ ho sakta jab tak ke hañsee mazak mein bhi jhoot ko na chhore.
# Musnade Ahmad.
▶ Jo logon ko hañsaane ke liye jhoot bole uske liye halaakat hai, uske liye halaakat hai, uske liye halaakat hai.
# Tirmizi Shareef.
▶ Meiñ uss shakhs ke liye beech Jannat mein ghar ki zamaanat leta hooñ, jo jhoot ko chhor de, agar che mazak meiñ hi kyuñ na ho.
# Abu Dawood.
▶ Jab banda jhoot bolta hai to Farishta uske jhoot ki bad-boo ki wajah se ek meel door chale jaate haiñ.
# Tirmizi Shareef.
▶ Aadmi ke jhoota hone ke liye yahi kaafi hai ke woh har suni sunaai baat ko bayaan karta phirey.
# Muslim Shareef.

▶ April Fool manana musalmaano ka tarika nahiñ...
 

Sawaal o Jawaab Bazabaani Huzoor Tajush Shariah Damat Barakatuhu Alia. #355

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Aaj kal aam musalmaan bhi hinduon or eesaiyion ki dekha dekhi mein april fool manatay hain. jis par unka koi aqeedah nahi hota wo sirf azrah-e-mazak aisa karte hain. kya unn par koi hukm hoga? (april fool 1st april ko manaya jata hai jis mei logon ko bewakoof banaya jata hai ya dhoka dia jata hai)

http://jamiaturraza.com/session/3Apr11/12.mp3

Jawaab :
Huzoor Taajush Shari'ah ki mubaarak aawaz me samat farmaeñ.

Live weekly question & answer session with Huzoor Taajush Shari'ah every sunday 9pm to 10pm at www.jamiaturraza.com
 

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #355 - Surah Baqrah Shareef Ayat No. 32

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 32
بسم الله الرحمن الرحيم

◀ قَالُوا سُبْحَانَكَ لَا عِلْمَ لَنَا إِلَّا مَا عَلَّمْتَنَا ۖ إِنَّكَ أَنتَ الْعَلِيمُ الْحَكِيمُ

▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶Bole Paaki hai tujhe humein kuch Ilm nahi magar Jitna tune humein sikhaya beshaq tu hi ilm wa hiqmat wala hai.

▶Tafseer
▶Isme Malaika ki taraf se Apne Izza wa kusoor ka aiteraf aur is amr ka izhaar hai ki unka sawal istifasaran tha na ki aiterazan aur ab unhe insaan ki fazilat aur uski paidaish ki hiqmat maloom ho gayi jisko wo pehle na jante the.

▶Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

Bahar e Shari'at #355 - Qayamat ki Nishaniya Aur Dajjal ka zahir hona

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



⏩ Qayamat ki Nishaniya
⏩ Dajjal ka zahir hona

▶ Dajjal jabh Harmain Shareefain mein jana chahega to farishte uska munh mod denge dajjal ke saath yahoodiyo ki fauj hogi dajjal ke mathhe par (Kaaf)-(fe)-(re) yaani kafir likha hoga ye lafz sirf musalman hi parh sakenge kisi kafir ko nazar naa aayenge ye lafz.

▶ Dajjal jabh saari duniya mein fir kar mulke shaam(Syria) pahuchega to uss waqt Hazrat Isaa علیہ السلاام aasman se damishk ki jaame masjid ke purvi meenar par subah aise waqt utrenge jabh ki fajr ki namaz ke liye taqbeer ho chuki hogi Hazrat e imam mehndi رضي الله عنه bhi uss jama'at mein maujood honge unse Hazrat Isaa علیہ السلاام imamat ke liye kahenge aur Imam Mehadi رضي الله عنه namaz parhayenge.

▶ Udhar dajjal ka haal ye hoga ki wo Hazrat Isaa علیہ السلاام ke saanso ki khushboo se pighalna shuru hoga jaise paani mein namak pighalta hai dajjal bhagta firega aur Hazrat Isaa علیہ السلاام uska pichha karte huwe uski peeth par neza marenge aur uss jahannami ko maut ke ghat utarenge.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

Hadees e Mubaraka 355 (Hadith Of The Day)

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ meri ummat gumraahi par jama naa hogi aur jabh bhi tum ikhtelaf dekho to swaade aazam ke saath hojaana.

# Ibne Majah Hadees No 3950.

Note - Swaade Aazam yaani fitno ke daur mein haq par chalne wali jama'at, bila shubah iss daur e pur fitan mein Swaade Aazam ke saath hona hai to Maslak e Aala Hazrat ke saath hojaao.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #354 Surah Baqrah Shareef Ayat No. 31

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 31

بسم الله الرحمن الرحيم

1⃣ وَعَلَّمَ آدَمَ الْأَسْمَاءَ كُلَّهَا ثُمَّ عَرَضَهُمْ
2⃣  عَلَى الْمَلَائِكَةِ فَقَالَ أَنبِئُونِي بِأَسْمَاءِ هَـٰؤُلَاءِ إِن كُنتُمْ صَادِقِينَ

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Allah Ta’ala ne Aadam ko tamaam ashiya ke naam sikhaye.
2⃣ Phir Sab Ashiya Malaika par pesh kar ke farmaya  sacche ho to inke naam to batao.

▶ Tafseer
1⃣ Allah Ta’ala ne Hazrat Aadam علیہ السلاام par Ashiya wa jumla Musammiyat pesh farma kar aapko Apne Asma wa Sifaat wa Af’aal wa Khawaas wa Usoole Uloom wa Sana’aat sab ka Ilm ba-tareeqe Ilhaam ata farmaya.

2⃣ Yaani agar tum apne is khayal mein sacche ho ki Main Koi Makhlooq tum se zyada Aalim paida na karunga aur khilafat ke tum hi mustahiq ho to un cheezo ke naam batao kyuki khaleefa ka kaam tasarruf wa tadbeer aur adl wa insaaf hai aur ye bagair uske mumkin nahi ki khaleefa ko un tamaam cheezo ka Ilm ho jin par usko mutasarrif farmaya gaya aur jinka isko faisla karna hai.
▶Masla- Allah  Ta’ala ne Hazrate Aadam  علیہ السلاام ke malaika par Afzal hone ke sabab ilm zahir farmaya isse sabit huwa ki ilme Asma khalwato aur tanhayiya ki ibadat se afzal  hai.
▶Masla- Is aayat se ye bhi saabit huwa ki Ambiya علیہ السلاام malaika se afzal hai .

▶Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group


WOH JAHANNAM MEIÑ GAYA
JO UNSE MUSTAGNI HUWA
HAI KHALEELULLAH KO
HAAJAT RASOOLALLAH ﷺ KI