Sunday, May 31, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 414

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 101

Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur jabh unke paas tashreef laaya Allah ke yahan se Ek Rasool.
2⃣ Unki kitaabo ki tasdeeq farmata.
3⃣ To kitaab waloñ se ek garoh ne Allah ki kitaab apne peeth pichhe phenk di.
4⃣ Goyaa woh kuch ilm hi nahi rakhte.

Tafseer
1⃣ Yaani Sayyade Aalam
2⃣ Sayyade Aalam   Tauret wa Zuboor waghairah ki tasdeeq farmate the aur khud un kitaabo mein bhi Huzoor ki tashreef aawari ki basharat aur Aap ke ausaaf wa ahwaal ka bayan tha isliye Huzoor ki tashreef aawari aur Aap ka wajoode mubarak hi un kitaabo ki tasdeeq hai to haal uska muktaji tha ki Huzoor ki aamad par Ahle Kitaab ka Imaan apni kitabo ke saath aur zyada pukhta hota magar uske bar’aqs unhone apni kitabo ke saath bhi kufr kiya Suddi ka qaul hai ki Jab Huzoor ki tashreef aawari huwi to yahood ne tauret se muqabla karke Tauret wa Quraan ko mutabik paaya to Tauret ko bhi chhor diya.
3⃣ Yaani Is kitaab ki taraf  be-iltefaati ki sufiyan ibne ainiya ka qaul hai ki yahood ne Tauret ko hareer wa deeba ke reshmi gilafo mein zar wa seem ke saath mutalla wa muzayyan karke rakh liya aur uske ahkaam ko na maana.
4⃣ In Aayaat se maloom hota hai ki Yahood ke chaar firqe the ek Tauret par Imaan laaya aur usne uske Huqooq ko bhi adaa kiya ye Momineen Ahle Kitaab hai Unki taadad thodi hai aur Aqs-ruhoom se unka pata chalta hai doosra firqa jisne bil-ailaan Tauret ke ahad tode uske hudood se bahar huwe sarkashi ikhtiyar ki, teesra firqa wo jisne Ahad shikani ka ailan to na kiya lekin apni jahalat se ahad shikani karte rahe, aur chouthe firqe ne zaahiri taur par to Ahad maane aur baatin mein bagawat wa Ainaad se mukhalafat karte rahe ye tasannu’a se jaahil bante the.

Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

Islami Akhlaak o Ada'ab, Bahar e Shari'at # 414

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Itna kamana farz hai jo apne liye aur ehlo ayaal ke liye aur jinka kharch us ke zimme wajib hai unke kharch ke liye aur adaae deen ke liye kifayat kar sake.

Zarurat se jyada is liye kamata hai ke fuqara o masakeen ki khabargiri kar sakega apne qareebi rishtedaro'n ki madad karega ye mustahab hai, aur ye nafl ibadat se afzal hai. Agar is liye kamata hai ke maalo daulat jyada hone se meri izzat aur waqar me izafa hoga faqro takabbur maqsood na ho to ye mubah hai aur agar sirf maal ki kasrat ta takabbur maqsood ho to mana hai.
fb.me/kanzul.imaan.group
 

Hadees e Mubaraka #414

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Huzoor Sarwar e Kaunain irshad farmate haiñ, tummeiñ se kaun hai jisko apne waaris ka maal apne maal se zyada pyara ho? Sahaba e kiram رضي الله عنه ne arz ki Yaa RasoolAllah hum sabko apna maal zyada pyara hai. RasoolAllah irshad farmate haiñ tumhara maal woh hai jo tum aage bhej do (Allah ki raah meiñ kharch karo) aur waaris ka maal woh hai jo chhor jaaye (inteqal ke baad).

#Tirmizi Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
 



RAAHE KHUDA MEIÑ
JO MAAL KHARCH HO
KHUDA KARE USSI SE
HAMARI NAJAAT HO
 

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 413

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 99 & 100

Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur beshak Humne tumhari taraf raushan Aayate utaari.
2⃣ Aur unke munkir na honge magar faasiq log aur kya jab kabhi koi Ahad karte hai unme ka ek fareeq use fenk deta hai Balki unme bahutero ka Imaan nahi.

Tafseer
1⃣  Shaane Nuzool yeh Aayat ibne suriya yahoodi ke jawab mein naazil huwi jisne Huzoor se kaha tha ki Aye Muhammed ( ) Aap hamare paas koi aisi cheez na laaye jise hum pehchante aur na Aap par koi waazeh Aayat naazil huwi jiska hum itteba’a karte.
2⃣  Shaane Nuzool yeh Aayat malik bin saif yahoodi ke jawab mein naazil huwi jabh Huzoor Sayyade Aalam ne yahood ko Allah Ta’ala ke woh Ahad yaad dilaye jo Huzoor par Imaan laane ke mut’alliq the to ibne saif ne Ahad hi ka inkar kar diya.

Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group