Sunday, March 29, 2015

Shaan e Ahle Bait 206

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Imaame Hussain ke chacha zaad bhai Hazrate Muslim aur un ke do kam umar beto ki kuufaa rawaangi aur kuufiyon ki bewafaai.

Hazrate Muslim apne do kam umar bachchon ke sath Imame Hussain ke numaainde ban kar kuufa rawana ho gaye aur yeh tay huwa ke haalaat ache rahe toh khat likenge.
Khat milne ke baad hee Imame Hussain kuufaa jayenge..

Jab aap kuufa pohoche log chaaro taraf se bade josh aur aqidat se aap ke haath par bayat karne lage.
Yahan tak ke ek hafte ke andar 12000 kuufiyon ne aap ke haath par Imame Hussain ki bayat ki.

Ye haalaat dekh kar aapne khat likh diya ke kuufa ke log apni baat mai sachhe hai aap jaldi tasreef le aaye.

Hazrat Nomaan bin Bashir sahaabi e Rasool ﷺ uss waqt kuufa ke governor the.
Wo mimbar par chadhe air kaha.
Logo ye bayat yazeed ki marzi ke khilaaf hai aur is baat par woh bhadkega aur fitna aur fasaad bhadkaaega.
Banu Umaiya ke abdullah ne aapko kaha ke ye mamla sakhti ke bagair hal nahi hoga aap kamzor hai.
Aap ne kaha ke
Agar mein Allah ki farmabardaari ke sath kamzor hu to mujhe manzur hai.
Aur izzat aur taaqat wala banne ke liye Allah ki nafarmani karu ye mujhe mnzuur nahi.

Banu umaiyya ke is fard ne yazeed ko khat likh diya ke agar kuufa ko bachana chahta hai toh kisi sakht aadmi ko haakim bana kar bhej yeh Nomaan to kamzor hai ya kamzori dikha rahe hai.
Yazeed palid ko khabar hui to gazabnak huwa aur ubaidullah ibne ziyaad ko kuufa ka haakim bana kar bheja aur kaha ke.
Muslim bin Aqeel ko sheher se tadipaar kar do aur na maane toh qatal kar do aur Hussain bin Ali aaye toh unse bhi bayat maango aur na maane toh unko bhi qatal kar do.
Ubaidullah ibne ziyaad aise raaste se kuufa mai daakhil huwa jis raaste par kuufa wale Imame Hussain ke muntazir the.

Usne chehra chupa liya air sheher mai daakhil huwa kuufa wale Imame Hussain samaj kar naare pukarne lage.
Kuch dur chal kar logon ko pata chala ke ye to ibne ziyaad hai toh log maayus huwe apne gharon me wapas chale gaye.

Subha ibne ziyaad ne logon ko jama kiya air kaha ke yaziid ne muje kuufa ka governor bana kar bheja hai toh tum yazeed ki hukumat ke khilaf na jao toh amaan me rahoge aur khilaf jaoge to darwaaze par tumhari laashein latkegi aur tumhaare biwi bachchon par rahem nahi kiya jayega.
Fir usne sheher ke sarkardah logon ko sab khandanon ke ek ek sardar ko bulakar unse likhwaya ke hum kisi bhi hukumat ke mukhaalif ko apne ghar me panah nahi denge aur jo aisa karega to qatal kar diya jayega.
Ibne ziyaad ki is harkat se poore sheher ke logo par khauf aur dar cha gaya aur logon ke khayal badalne lage.
Aur ye haalat dekh kar Hazrate Muslim raat ke andhere mai Ahlebait ke chahnewale ke ghar shift ho gaye jinka naam Haani bin Orwah.

Taariikhe tibri ...193
 

0 comments:

Post a Comment