Sunday, March 29, 2015

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 206 - Namaaz ke makroohat e tehreemiyah kya hai?

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


  Namaaz ke makroohat e tehreemiyah kya hai? yeh kaam agar namaaz mein kiye to namaaz phir se padhni hogi.

 Kurta ya payjaama hote huwe sirf payjaama pahen kar upar ka jism bagair kapda rakh kar sirf payjaama ya sirf tehband (lungi) pahen kar namaaz padhna makrooh e tehreemi hai phirse padhe.
 Sajde ki jagah se haalat e namaaz mein kankariya hataana makrooh e tehreemi hai lekin agar nahi hatane se waajib e tarq se sajda ada na hoga to hataana waajib hai chahe ek se zyada baar hataa ni padhe.
 Ungliyan chatkhana ungliyon ki qenchi bandhna matlab dono haathon ki ungli ko ek doosre mein pirona makrooh e tehreemi hai.

# Bahaar e Shari'at, Jild 3, Safah166.

 Kamar par haath rakhna makrooh e tehreemi hai bal ke namaaz ke alaawa bhi kamar par haath na rakhna chahiye.
# Durr e Mukhtaar.
 Aasmaan ki taraf nazar utha kar dekhna makrooh e tehreemi hai.
This entry was posted in

0 comments:

Post a Comment