بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
Hazrat e Qaasim Ki Shahadat.
Hazrate Qaasim Imaame Hasan ke bete hai aapki umar 19 saal hai aur aapka shaadi ka rishta Imaame Hussain ki beti Sakina se tay ho chuka hai ba mushkil inko maidaan mai jaane ki ijaazat mili.
Umar ibne saad ne fauj ke ek pehelwaan arzaq ko muqaable ko kaha toh uss ne jawab diya ke is bacche ke muqaable ke liye jaana meri touheen hai
ibne saad ne kaha ke isse baccha mat kaho yeh Hasan ka beta aur Ali ka pota hai aur isse muqaabla aasaan nahi toh arzaq ne kaha ke mere 4 bete yahin fauj mai hai kisi bhi ek ko bhejta hun abhi iska sar kaat kar le aayega.
Arzaq ka bada beta zehrili talvar le kar maidaan mai pohucha aur Hazrat e Qaasim ki talvaar ke ek hee waar mai dher ho gaya ek ke baad ek chaaron beto ko jahannam mai pohncha diya ab arzaq khud maidaan mein aaya aur zabardast muqabla huwa aur aakhir mai Hazrat e Qaasim ne ek waar aisa maara ke arzaq 2 tukde ho kar zameen par gira.
Hazrat Qaasim Imaam ki bargah mai haazir hue aur arz ki
Chacha jaan thoda paani mil jaaye toh mai akela in sabko maut ke ghaat utaar dun.
Imaam ne kaha
Beta thodi der aur sabr kar lo fir Naana jaan tumko jaame kausar pilaayenge
Aap fir maidaan mai aa gaye
Ab ibne ziyaad ne mil kar ek sath hamle ka hukm diya
Chaaron taraf se hamla huwa aur aakhir mai shiish bin saad ne siine par aisa nezaa maara ke aap ghode se niche aa gaye aur aapne Imaam ko aawaaz di aur apna sar Imaam ki gaud mai hi tha ke aapki rooh parwaaz kar gayi.
Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajiun.
#Khutbaate Moharram.

0 comments:
Post a Comment