Sunday, October 25, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 440

SHARE
▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 129

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Rab hamare aur bhej in mein.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani Hazrate Ibrahim wa Hazrate Ismail  ki zurriyat mein ye Dua Sayyade Ambiya ﷺ ke liye thi Yaani Kaaba Mu’azzama ki tamaer ki Azeem khidmat bajaa laane aur taubah wa istigfaar karne ke baad Hazrate Ibrahim wa Ismail ne yeh dua ki ke Yaa Rab Apne Mehboob Nabi e Aakhiruz-Zama ﷺ ko hamari nasl mein zaaahir farma aur ye sharaf humein inayat kar yeh dua qubool huwi aur un dono saahibo ki nasl mein Huzoor ﷺ ke siwa koi Nabi nahi huwa.
Aulade Hazrate Ibrahim mein baaki Ambiya Hazrate Is'haaq ki nasl mein se hai.
▶ Masla- Sayyade Aalam ﷺ ne Apna Meelad Shareef khood bayan farmaya Imame Bagawi ne ek Hadees riwayat ki ke Huzoor ﷺ ne farmaya Maiñ Allah Ta’ala ke nazdeek KhatamuNabiyyin likha huwa tha Ba-halañki Hazrate Aadam عليه السلام ka pootla ka khameer ho raha tha Maiñ tumhe Apne ibteda e haal ki khabar du Maiñ Dua E Ibrahim Hu, Basharate Isaa hu Apni Walida ki us khwab ki tabeer hu jo unhone Meri wiladat ke waqt dekhi aur unke liye Noore Sate’a Zaahir huwa jisse mulk e Shaam ke aiwaan wa kusoor unke liye raushan ho gaye, is Hadees mein Dua E Ibrahim se yahi muraad hain jo is Aayat mein mazkoor hain Allah Ta’ala ne dua qubool farmayi aur Aakhire zamana mein Huzoor Sayyade Ambiya Muhammed Mustafa ﷺ ko mab’oos farmaya AlHamdulillah Alaa Ehsanihi ( # Jumal wa # Khaazin )

〰〰 to be contd

fb.me/kanzul.imaan.group

0 comments:

Post a Comment