Tuesday, October 27, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 450

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 142

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Abh kahenge
2⃣ Bewakoof log , kisne pher diya Musalmano ko, unke us Qibla se jis par they.
3⃣ Tum farma do ki poorab paschim sab Allah hi ka hai jisse chahe sidhi raah chalaata hai.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool yeh Aayat yahood ke haq mein naazil huwi jabh bajaye Baitul Muqaddas ke Kaaba Mu’azzama ko Qibla banaya gaya us par unhone ta’an kiye kyuki yeh unhe naa gawaar tha aur woh naskh ke qaeel na the ek qaul par yeh Aayat mushrikine makkah ke aur ek qaul par munafikeen ke haq mein naazil huwi aur ye bhi ho sakta hai ki isse kuffar ke yeh sab garoh muraad ho  kyuki ta’an wa tashni’a mein sab shareek the aur kuffar ke ta’an karne se qabl Quraan Pak mein uski khabar de dena gaibi khabaro mein se hai ta’an karne walo ko bewakoof isliye kaha gaya ki woh nihayat waazeh baat par mo’atareez huwe bawajood ki Ambiya e Saabikeen ne Nabi e Aakhiruz’zama ke khasaees mein Aapka laqab Zul-Qiblatain zikr farmaya aur tahweele Qibla uski daleel hai yeh woh Nabi hai jinki pehle Ambiya khabar dete aaye aise Raushan nishaan se fayeda na uthana aur mo’atariz hona kamale himakat hai.
2⃣ Qibla us zihat ko kehte hain jiski taraf Aadmi Namaz mein munh karta hai yahañ Qibla se muraad Baitul Muqaddas hai.
3⃣ Use ikhtiyaar hai jis chahe Qibla banaye kisi ko kya jaaye aiteraaz, bande ka kaam farmabardari hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

0 comments:

Post a Comment