Sunday, November 1, 2015

Mujadid e Aazam Imam e Ahle Sunnat Aala Hazrat #472

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Bachpan ke Haalat

Ramzanul Mubarak ka Mahina tha Aala Hazrat Mujaddide Deeno Millat Imam Ahemad Raza Fazile Barielwy رضي الله عنه ke pehle Roze ke iftar ki taqreeb manayi jaa rahi thi Garmi apne shabaab par thi aapke walide mohtaram aapko saath le kar ek kamre mein tashreef le gaye jahañ Firni kye pyaale saje rakhe the Hazrate waalide muhtaram ne aap se farmaya’ “lo kha lo“
Hamare Aala Hazrat ne arz ki , “abba Huzoor mera to roza hai kaise khaa lu? “ is jawab par aapke waalide muhtaram ne farmaya , Beta bachho ka roza aisa hi hota hai, maiñe darwaza band kar diya hai koi dekhne wala nahi hai kisi ko khabar bhi nahi hogi chupke se kha lo.

Imame Ahle Sunnat ne badi matanat se arz kiya, Abba Huzoor jiske hukm se roza hai wo to dekh raha hai kaise kha lu. Aap ka jawab sunte hi aap ke walide muhtaram ki aankho mein aansuu chalak pare aur kamra khol kar aapko bahar le aaye, gaur farmaiye woh Aala Hazrat jinke bachpan ka yeaalam raha hai to phir jawani mein Hukme Khuda wa RasoolAllah ﷺ ke kis qadar paband rahe honge.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

0 comments:

Post a Comment