بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ
▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 162 & 163.
▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Hamesha rahenge usme na un par se azaab halka ho aur na unhe mohlat di jaaye
aur tumhara Ma’abood ek Ma’abood hai uske siwa koi Ma’abood nahi magar wahi rehmat wala meherbaan.
▶ Tafseer
▶ Shaane Nuzool kuffar ne Sayyade Aalam ﷺ se kaha Aap Apne Rab ki shaan wa sifat bayaan farmaiye is par ye Aayat Naazil huwi aur unhe bata diya gaya ki Ma’abood sirf ek hai na wo Mutajazzi hota hai na Munkasim na uske liye Misl na Nazeer, Uloohiyat wa Ruboobiyat mein koi uska shareek nahi wo yakta hai apne Af’aal mein masnuaat ko tanha ussi ne banaya wo apni zaat mein akela hai koi uska kaseem nahi apne sifaat mein yagana hai koi uska shabeeh nahi Abu Dawood wa Tirmizi ki Hadees mein hai ki Allah Ta’ala ka Isme Aazam in do Aayato mein hai ek yahi Aayat Wa Ilaahukum aur doosri Aleef Laam Meem Allahu Laa Ilaahu Illa huwa Al-Aayat.
fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

0 comments:
Post a Comment