Sunday, November 1, 2015

Mujadid e Aazam Imam e Ahle Sunnat Aala Hazrat #473

SHARE
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Aap ki Yaad-daasht

Aala Hazrat Imaam Ahmed Raza Fazile Barielwy ki yaad-dasht aur zihanat ka yeh aalam the ki madarsa mein ustaad  se sabaq parhte to parhne ke baad ek baar use kitaab mein dekh kar rakh dete ustade muhtaram jabh sabaq sunte to lafz ba lafz suna dete. Aapki yaad-dasht wa zihanat ka yeh aalam dekh kar ustade muhtaram sakht mut’ajjub hote ek roz ustade muhtaram kehne lage “Ahmed Raza tum aadmi ho jinn? mujhko parhate deir lagti hai tumhe yaad karne deir nahi lagti.“

Maulana Ehsan Hussain sahab bayan karte hai ki maiñ faazile barielwy ki ibtidayi taalim arabi mein hum Sabaq (saathi) raha hu shuru se hi unki zihanat aur yaad-dasht ka yeh aalam tha ki kitaab ka chowthayi hissa ustaad se parhte baaki hissa khud yaad kar ke suna dete the. ek martaba Aap shadeed beemar ho gaye hakeemo ne muqammal aaram karne ka mashwara diya Aapne waada farma liya lekin jabh koi fatawa aata to aap shagirdo se farmate fula(n) Almari mein Fula(n) kitaab ke Fula(n) Fula(n) satar se fula(n) satar tak is sawal ka jawab maujud hai use naql kar do.

Agar koi buland aawaz se Kalaame Paak parh raha hota aur zer zabar ya pesh ki koi galti karta aur aap kitne hi masroof kyu na hote use fauran tok dete aur islah ( Durust ) farma kar ye bhi bata dete ki wo is pare ke kis Ruku ki kis Aayat par kis Lafz par galti kar raha hai.
Subhan Allah kya shaan hai mere Aala Hazrat ki.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

0 comments:

Post a Comment