Wednesday, February 17, 2016

Safar e Haj # 498

SHARE
Safar e Haj # 498

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Haj wajibat hone ke sharait


3⃣ Baaligh hona - naabaligh ne haj kiya yaani apne aap jabh ki samajhdaar ho ya uske wali ne us ki taraf se ehraam baandha ho jabh ki nasamajh ho ya baherhaal woh hajje nafl huwa hajjatul islaam yaani hajje farz ki jagah nahi ho sakta.

Masla:- nabaligh ne haj ka ehraam bandha aur arfat mein teherna se peshtar (pehle) baligh hogaya toh agar usi pehle ehraam par raha toh hajje nafl huwa hajjatul islaam na huwa aur agar sire se ehraam baandh kar wuqufe arfah kiya toh hajjatul islam huwa.

#Alamgiri safa 140..

4⃣ Aaqil hona majnoon par farz nahi. Pagal tha aur wuqufe arfa se pehle pagal pan jaata raha aur naya ehraam bandhkar haj kiya toh woh haj hajjatul islaam hogaya warna nahi, bohra yaani bohet zyada bewakoof majnoon ke hukm mein hai.

#Alamgiri, raddul mohtar..

Masla:- Haj karne ke baad majnoon huwa phir accha huwa toh uss junoon ka haj par koi asar nahi yaani abh ussey dobara haj karne ki zaroorat nahi agar ehraam ke waqt accha tha phir majnoon ho gaya aur usi halat mein afa'al ada kiya phir barson ke baad hosh mein aya toh hajje farz ada ho gaya

0 comments:

Post a Comment