Wednesday, February 17, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 498.

SHARE
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 498.


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 187.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Rozo ki raatoñ mein apni aurato ke paas jaana tumhare liye halaal huwa.
2⃣ Woh tumhari libaas hai aur tum unke libaas, Allah ne jaana ki tum apni jaano ko khayanat mein daalte the to usne tumhari taubah qubool ki aur tumhe maaf farmaya.
3⃣ To abh unse sohbat karo.
4⃣ Aur talab karo jo Allah ne tumhare Naseeb mein likha ho.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool Shara e Saabiqa mein iftaar ke baad khana pina Mujama'at karna Namaze Isha tak halaal tha baad Namaze Isha yeh sab cheeze shab mein bhi haraam ho jaati thi ye hukm zamana e Aqdas tak baaki tha baaz Sahaba se ramzaan ki raato mein baad isha mubasharat wuqoo'a mein aayi unme Hazrate Umar رضي الله عنه bhi the is par woh hazraat naadim huwe aur Bargaah e Risalat mein arz e haal kiya Allah Ta'ala ne maaf farmaya aur yeh Aayat naazil huwi aur bayan kar diya gaya ki aayinda ke liye ramzan ki raatoñ mein maghrib se subhe saadiq tak mujama'at karna halaal kiya gaya.
2⃣ Is khiyanat se woh mujama'at muraad hai jo qable ibahat ramzan ki raatoñ mein musalmano se sarzad huwi thi uski maafi ka bayan farma kar uski taskeen farma di gayi.
3⃣ Ye amare ibarat ke liye hai ki abh wo mumana'at utha di gayi aur layali ramzan me mubasharat mubah kar di gayi.
4⃣ Isme hidayat hai ki mubasharat nasl wa aulaad haasil karne ki niyyat se honi chahiye jisse musalman barhe aur deen qawi ho mufassireen ka ek qaul yeh bhi hai ki maana yeh hai ki mubasharat muwaqif hukm e Shara'a ho jis mahal mein jis tareeka se mubah farmayi usse tajaawuz na ho (#Tafseer Ahmedi) ek qaul yeh bhi hai ki jo Allah ne likha usko talab karne ke maana hai ramzan ki raatoñ mein kasarate ibadat aur bedaar reh kar Shabe Qadr ki justaju karna.
〰〰 to be contd..

0 comments:

Post a Comment