Wednesday, February 17, 2016

Safar e Hajj # 497.

SHARE
Safar e Hajj # 497.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩ Hajj wajib hone ke sharait

1⃣ Islam - Lihaaza agar musalman hone se pehle istita'at thi phir fakeer hogaya toh islam laane k baad haj farz na hoga ki istita'at thi uska ahal na tha aur abh ki ahal huwa istita'at nahi aur musalman ko agar istita'at thi aur haj na kiya tha abh fakeer hogaya toh abh bhi farz hai.

# Durre mukhtar, Raddul mohtar safah 141.

Masla- Haj karne ke baad ma'azAllah murtad hogaya phir islam laya toh agar istita'at ho toh phir haj karna farz hai ki murtad hone se haj wagaira sab Aamaal baatil hogaye.

#Alamgiri

Yuhi agar haj karte mein murtad hogaya toh ehraam baatil hogaya aur agar kaafir ne ehraam baandha tha phir islaam laya agar phir se ehraam baandha aur haj kiya toh hogaya warna nahi.

2⃣ Darul harb mein ho toh woh bhi zaroori hai ki jaanta ho ki islaam ke faraaiz mein haj hai lehaaza jis waqt istita'at thi yeh masla maloom na tha aur jabh maloom huwa us waqt istita'at na ho toh farz na huwa aur janne ka zariya yeh hai ki do mardon ya ek mard aur do aurton ne jinka fasiq hona na zahir ho usey khabar de aur ek aadil ne khabar di jabh bhi wajib ho gaya aur darul islaam mein toh agarche farz hona maloom na ho farz jayega ki darul islam mein faraaiz ka ilm na hona uzr nahi.

#Alamgiri safa 141.

0 comments:

Post a Comment