Wednesday, February 17, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 497.

SHARE
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 497.


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke Tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef.
Aayat No. 186.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Aye Mehboob jabh tumse mere bande mujhe puche to Maiñ nazdeek hu.
2⃣ Dua Qubool karta hu pukarne wale ki, jabh mujhe pukare to unhe chahiye Mera hukm maane aur mujhe par Imaan laaye ki kahi raah paaye.

▶ Tafseer
1⃣ Isme Taalibane haq ki talaq Maula ka bayan hai jinhone Ishq E Ilaahi par apne hawayez ko Qurban kar diya wo ussi ke talabgaar hai unhe Qurb wa Wisaal ke Mujdah mein shaadkaam farmaya Shaane Nuzool ek jamaate Sahaba ne jazba e ishq e Ilaahi mein Sayyade Aalam ﷺ se dariyaaft kiya ki hamara Rab kaha hai is par nawaide Qurb se sarfaraz karke bataya gaya ki Allah Ta'ala makaan se paak hai jo cheez kisi se makaani qurb rakhti ho woh uske door wale se zarur bo'ad rakhti hai aur Allah Ta'ala sab bando se qareeb hai makani ki yeh shaan nahi manazile qurb mein rasaayi bandi ko apni gaflat door karne se muyassar aati hai. " Dost nazdeeq tar Az man baman Ast.. Vee Ajab tar ki man Az Roo e Duram "

2⃣ Dua Arze Haajat hai aur ijaabat ye hai ki Parwardigar apne bande ki dua par Labbaik abdi farmata hai muraad ata farmana doosri cheez hai woh bhi kabhi uske karam se filfaur hoti hai kabhi ba-muqtajaaye hikmat kisi taakhir se kabhi bande ki hajat duniya mein rawaa farmayi jaati hai kabhi aakhirat mein kabhi bande ka nafa doosri cheez mein hota hai wo ataa ki jaati hai kabhi banda mehboob hota hai uski haajat rawayi mein isliye der ki jaati hai ki woh arsa tak dua mein mashgool rahe kabhi dua karne wale mein sidq wa ikhlaas waghairah sharayat qubool nahi hote isi liye Allah ke neik aur maqbool bando se dua karayi jaati hai.
▶ Masla – Najayaz Amr ki dua karna jayaz nahi Dua ke aadab mein se hai ki Huzoor e qalb ke saath qubool ka yakeen rakhte huwe dua kare aur shikayat na kare ki meri Dua qubool na huwi Tirmizi ki Hadees mein hai ki Namaz ke baad Hamd wa Sana aur Darood Shareef parhe phir Dua kare.

0 comments:

Post a Comment