Sunday, April 3, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #709

SHARE
Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #709.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 708.
Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 01
Aayat No. 92 , 93

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
2⃣ Aur tum jo kuch kharch karo Allah ko maloom hai ○ Sab khaane Bani Israeel ko halaal the magar woh jo Yakub ne apne upar haraam kar liya tha Tauret utarne se pehle, tum farmao Tauret laakar padho agar sacche ho.

▶ Tafseer
2⃣ Shaane nuzool yahood ne Sayyade Aalam ﷺ se kaha ki Huzoor apne aap ko millate Ibraheemi par khayal karte hai ki bawajood ki Hazrat Ibraheem عليه لسلام ouñth ka gosht aur doodh nahi khate the Aap khate hai to Aap Millate Ibraheemi par kaise huwe Huzoor ne farmaya ki yeh cheezein Hazrate Ibraheem par halaal thi yahood kehne lage yeh Hazrate Nooh par bhi haraam thi Hazrat Ibraheem par bhi haraam thi aur hum tak Haraam hi chali aayi is par Allah Tabarak wa Ta'ala ne yeh Aayat naazil farmayi aur bataya gaya ki yahood ka yeh daawa galat hai balki yeh cheezein Hazrat Ibrahim wa Ismail wa Is'haaq wa Yakub par halaal thi Hazrat Yakub ne kisi sabab se unko apne upar haraam farmaya aur yeh hurmat unki aulaad mein baaki rahi yahood ne iska inkaar kiya to Huzoor ﷺ ne farmaya ki Tauret is mazmun par naatik hai agar tumhe inkaar hai to Tauret lao is par yahood ko apni fajihat wa ruswayi ka khauf huwa aur woh Tauret na laa sake unka kizb zaahir ho gaya aur unhein sharmindagi uthani padi.
▶ Fayeda - Isse saabit huwa ki pichli Shari'atoñ mein ahkaam mansukh hote the isme yahood ka radd hai jo nasakh ke kayeel na the.
▶ Fayeda - Huzoor Sayyade Aalam ﷺ Ummi the bawajood iske yahood ko Tauret se ilzaam dena aur Tauret ke mazamin se istidlaal farmana Aapka Maujeza aur Nabuwwat ki daleel hai aur isse Aap ke wahbi aur gaibi uloom ka pata chalta hai.

0 comments:

Post a Comment