Sunday, November 1, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 456

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 145 & 146

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur agar tum un kitabiyon ke paas har nishani lekar aao woh tumhare Qibla ki pairweeh na karenge.
2⃣ Aur na tum unke Qibla ki pairweeh karo.
3⃣ Aur woh aapas mein bhi ek doosre ke Qibla ke tabe’a nahi.

▶ Tafseer
1⃣ kyuki Nishani usko naafe’a ho sakti hai jo kisi shubaha ki wajah se munkir ho yeh to hasad wa ainad se inkaar karte hai unhe isse kya nafaa hoga.
2⃣ Maana ye hai ki Qibla mansukh na hoga to abh ahle kitaab ko ye tama’a na rakhna chahiye ki Aap unme se kisi ke Qibla ki taraf rukh karenge.
3⃣ Har ek ka Qibla judaa hai yahood to sakhara e Baitul Muqaddas ko apna Qibla karaar dete hai aur nasara Baitul Muqaddas ke us makaane shaki ko jahan nafkhe Rooh Hazrat Masih waaqe huwa. ( #Fatah ).

〰〰 To Be Contd...

fb.me/kanzul.imaan.group

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali Radiallahu Anhu #456

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

 ▶ Huzoor ﷺ farmate haiñ jo Munafiq hai wo Ali Se muhabbat nahi karta aur jo Momin hai wo Ali se bugz o Adawaat nahi karta. (matlab Hazrat Ali رضي الله عنه se muhabbat momin hi karega aur Dushmani munafiq karega.)
▶ Jis ne Ali ko bura bhala kaha to goya usne mujhe bura bhala kaha aur Huzoor e Akdas ﷺ dua farmate haiñ 'Ya Ilaah'al Aalameen (aye Allah) jo bhi Ali se muhabbat rakhe tu bhi usse muhabbat rakh aur jo Ali se dushmani rakhe tu bhi usse dushmani rakh.'
Aur farmate hai jisne Ali se muhabbat ki usne mujhse muhabbat ki aur jisne mujhse muhabbat ki usne Allah ﷻ se muhabbat ki. (matlab Hazrat Ali رضي الله عنه se muhabbat Allah wa Rasool se muhabbat hai aur Hazrat Ali se dushmani rakhne wala Allah wa Rasool ka dushman)
▶ Jabh koi Aapko Abu Turaab keh kar pukarta to aap bade khush hote kyuki ye kunniyat Aap ko Sarkaar ﷺ ne ataa farmaayi thi.

# Tirmizi Shareef.
# Mishkaat Shareef.
# Tarikh ul Khulfa.
# Tibraani Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #456

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Sarwar e kaunain ﷺ irshad farmate haiñ mutakif (eitekaf mein baithne wala) gunaaho se bhi ruka rehta hai aur usko har qism ki nekiya (jinko wo anjaam nahi de paa raha hai) ka ajr o sawab milta hai.

#Ibne Majah Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

ALLAH ﷻ KI IBADAT MEIN
KUCH LAMHE GUZAAR LO
ISS KHUBSOORAT SUNNAT SE
APNI AAKHIRAT SAWAAR LO

Saturday, October 31, 2015

Maah e Ramzaan #456

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Iss zamaane mein wahabi jo ki Allah ﷻ ki tauheen karta hai aur Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ki shaan mein aaib nikalta hai. Jinko Makkah Mukarrama wa Madina Munawwara ke bade bade aalimo ne (Makkah shareef wa Madina shareef mein pehle sunniyo ki hukumat thi aaj wahan najdiyo ka qabza hai) bil-ittefak kaafir wa murtad kaha hai.

Agarche woh apne aapko musalmaan kahey. Unhe zakaat dena haraam hai. Aur sakth haraam hai aur agar di toh hargiz adaa na hogi.

#Bahar e Shari'at.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 455

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

~ Contd Post #454.
Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 144

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
2⃣ To zarur hum tumhe phair deñge us qibla ki taraf jisme tumhari khushi hai abhi apna muñh phair do Masjid e Haraam ki taraf aur aye musalmano tum jahan kahi ho apna muñh usi ki taraf karo.
3⃣ Aur wo jinhe kitaab mili hai zaroor maante hai ki unke Rab ki taraf se haq Hai aur Allah unke kotako (bure kaamo) se be khabar nahi.

▶ Tafseer
2⃣ Isse Saabit huwa ki namaz mein ru ba-qibla hona farza hai.
3⃣ Kyuki unki kitabo mein Huzoor ﷺ ke ausaaf ke silsila mein ye bhi mazkoor tha ki Aap ﷺ baitul muqaddas se kaaba ki taraf phirenge aur unke Ambiya ne basharato ke saath Huzoor ﷺ ka yeh nishaan bataya tha ki Aap ﷺ Baitul Muqaddas aur Kaaba dono Qiblo ki taraf namaz parhenge.

fb.me/kanzul.imaan.group

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali RadiAllahu Anhu #455

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Hazrat Sahl bin Saad رضي الله عنه se riwayat hai ke Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Hazrat Ali رضي الله عنه ke ghar Hazrat e Fatima رضی اللہ عنہا ke pass tashreef le gaye the, Huzoor ﷺ pahuchte uss se pehle Hazrat Ali رضي الله عنه ghar se bahar tashreef le jaa kar masjid mein so gaye the.
▶Huzoor ﷺ ne Sayyeda Fatima رضی اللہ عنہا se farmaya "Tumhare Ibne Amm yaani Ali Murtuza kahañ hai?" Sayyeda  Fatima رضی اللہ عنہا ne arz kiya " Mere aur Unke darmiyan ranjish si ho gayi hai aur woh gusse mein bahar chale gaye hai."
▶ Iske baad Huzoor ﷺ ne kisi se farmaya ke dekho Ali kahaa hai to uss shakhs ne aakar arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ Hazrat Ali رضي الله عنه masjid mein aaram kar rahe hai. Huzoor ﷺ Hazrat Ali رضي الله عنه ke sirhane tashreef laaye aur unko pehlu par sota huwa dekh mulahiza farmaya. Unke pehlu par nishanaat padey huwe they aur unka badan khaak aluda hogaya tha.
▶ Iss par Huzoor ﷺ ne farmaya "Kum Abaa Turaab" yaani Abu Turab Utho. Aur ussi din se Maula e Kainaat رضي الله عنه ki kunniyat Abu Turab hogayi.

# Bukhari Shareef.
# Muslim Shareef.
# Madarijun Nabuwwat 2/136

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Hadees e Mubaraka #455

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنه se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ irshad farmate haiñ jo shakhs Allah ﷻ ki raza ke liye ek din ka Eitekaf karta hai, Allah Ta'ala uske aur dozakh ke darmiyan 3 khandako ka faasla kar deta hai."

Har khandakh mashriq se magribh ke darmiyan faasle se zyada lambi hai.

#Tibrani Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

IN DUS DINO ME
YEH KHUBSOORAT SUNNAT NIBHAO
DOZAKH KI AAG SE DOORI
BARHATE HI JAAO

Maah e Ramzaan #455

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Allah ﷻ Quran e Majeed Furqan e Hameed mein irshad farmata hai, Kuch asl neki yeh nahi ke mooñh mashrik ya maghrib ki taraf karo, haan asli neki ye hai ke imaan laye Allah aur qayamat aur farishto aur kitaab aur Paygambar par aur Allah ki mohabbat mein apna aziz maal dein.

Rishtedaro aur yateemo aur miskeeno raah-gir aur saailon ko, aur gardane chhurane mein aur namaaz qayim rakhhe aur zakaat dein.

Aur apna qaul poora karne wale jabh ahed karein aur sabr wale museebat, aur sakhti mein aur jihaad ke waqt, yahi hain jinhone apni baat sachhi ki aur yahi parhezgaar hai.

# Surah Baqrah, Aayat 117.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 454

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 144

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Hum dekh rahe hain baar baar tumhara Aasmaan ki taraf muñh karna.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool Sayyade Aalam ﷺ ko kaaba ka banaya jana pasande khaatir tha aur Huzoor ﷺ is ummeed mein aasman ki taraf nazar farmate the us par ye Aayat Naazil huwi Aap ﷺ namaz hi mein kaaba ki taraf phir gaye musalmano ne bhi Aap ke saath usi taraf rukh kiya.
▶ Masla- Isse maloom huwa ki Allah Ta’ala ko Aap ﷺ ki Raza manzoor hai aur Aap ﷺ hi ki khaatir Kaaba ko Qibla banaya gaya.

〰〰 To Be Contd..

fb.me/kanzul.imaan.group

Maula e Kainaat Khalifa e Charhum Hazrat Ali RadiAllahu Anhu #454

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Jabh khabar e Wiladat e Hazrat Ali رضي الله عنه Sarwar e Aalam ﷺ ko pahuchi to farmaya uska kya naam rakha.? Abu talib ne kaha maiñe uska naam Zaidar rakha hai aur uski maa ne asdar rakha hai.
▶ Huzoor ﷺ ne farmaya uss bacche ka naam Ali rakho jo Aali Himmat ki khabar de. Aapki walida ne arz ki Khuda ki kasam Mujhe gaib se aawaz aati thi ke fatima iska naam Ali rakho magar Maiñe iss baat ko chupaya tha.
▶ Wiladat ke baad Aapne apni aankhein nahi kholi tamaam haazireen ko laga jaise abu talib ke ghar na-beena baccha paida huwa hai poore makkah shehair mein yeh khabar phail gayi. Phir Nabi e Kareem ﷺ tashreef laaye aur Hazrat Ali ko apni godh mein liya, godh mein lete hi maula e kainaat ne apni aankhein kholi aur RasoolAllah ﷺ ke chehre mubarak ko dekh kar muskuraye.
▶ Abu yaa'ala ne hazrat Ali رضي الله عنه se riwayat ki hai ke unhone farmaya ki Huzoor ﷺ ne peer ke din Ailaan e Nabuwat kiya aur Maiñ peer hi ke din islam laaya. Islaam laane ke waqt aapki umr shareef kitni thi isme ikhtelaf hai. Allama Suyuti رحمۃ اللہ علیہ naql karte hai ke aapki umr 8 ya 10 saal thi.

# Awrak e Gamm 149.
# Madarijun Nabuwwat 2/917.
# Asmaau Rijaal Mishkaat 602.

fb.me/kanzul.imaan.group
http://kanzulimaan.blogspot.in