Tuesday, April 5, 2016

Hadees e Mubaraka #723

YEH JO TUJHKO BULAATA HAI YE THAG HAI MAAR HI RAKHE GA
HAAYE MUSAFIR DUM MEIÑ NA AANA MAT KAISI MATWAALI HAI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 723
26 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Jabir رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Sarkar e Aqdas ﷺ irshad farmate haiñ ki agar tumhari bhet (milna) badmazhab se ho toh unhein salaam na karo.

#Ibne Majha Shareef.

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #722

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 722.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - Ruku -
Aayat No. 107 & 108

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur wo jinke muñh ujaale huwe
2⃣ Wo Allah ki rehmat mein haiñ wo hamesha usme rahenge ○ Ye Allah ki aayateñ haiñ ki hum theek theek tum par parhte haiñ aur Allah jahaan waloñ par zulm nahi chahta

▶ Tafseer
1⃣ Yaani ahle Imaan ki is roz bi'karamihi ta'ala wo farhaano shaadañ hoñge aur unke chehre chamakte damakte hoñge daahine baaye aur saamne noor hoga
2⃣ Aur kisi ko be jurm azaab nahi deta aur kisi ki neki ka sawab kam nahi karta




Sent from my iPhone

Monday, April 4, 2016

Shaan e Sayyeduna Siddique e Akbar رضي الله عنه Baadaz Ambiya Afzalul Bashar #722

Shaan e Saiyyeduna Siddique e Akbar رضي الله عنه Baadaz Ambiya Afzalul Bashar #722.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat e Anas رضي الله عنه bayan farmate hai ke ek yahoodi Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه ki khidmat mein haazir huwa aur kehne laga mujhe Hazrat Moosa علیہ السلاام ki kasam main aapse mohabbat karta hu Hazrat Siddique Akbar رضي الله عنه ne abhi sar utha kar uss yahoodi ki taraf dekha bhi nahi tha ke Sidra ke Makeen Roohul Ameen Hazrat Jibreel علیہ السلاام Bargaah e RasoolAllah ﷺ mein haazir huwe aur arz kiya ke Allah Ta'ala farmata hai iss yahoodi ko aagah farmaeye ke Allah Ta'ala ne dozakh mein tere liye do (2) cheezon ko utha liya hai
Haathon ki bediyan aur pairoun ki zanjeerein.

Yeh sunte hi yahoodi pukar utha Ashhadu An La Ilaha Illallahu Wa Ash Hadu Anna Muhammadur Rasoolullah ﷺ aur kehne laga Hazrat Siddique Akbar رضي الله عنه se mujhe aur bhi zyada mohabbat ho chuki hai Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ ne farmaya suno Allah Ta'ala ne issi Mohabbat e Siddiq ke sadqe tujhe Imaan ki daulat ata ki aur Jannat ki basharat ata farmadi.

# Nuzhatul Majalis, Safah 5.




Sent from my iPhone

Hadees e Mubaraka #722

JISKE MAATHE SHAFA'AT KA SEHRA RAHA
US JABEEN E SA'AADAT PE LAAKHOÑ SALAAM

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 722
25 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Saeed رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ki meri ummat mein se kuch log kayi jama'at ki shafa'at karenge aur kuch log dus (10) se chalees (40) ki shafa'at karenge aur kuch log sirf ek aadmi ki yahañ tak ki meri kul ummat jannat mein daakhil hojaaegi.

#Tirmizi Shareef.

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #721

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 721.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 02
Aayat No. 106

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Jis din kuchh muñh ujaale honge aur kuchh muñh kaale to wo jinke muñh kaale huwe
2⃣ Kya tum Imaan laakar kaafir huwe to ab azaab chakho apne kufr ka badla

▶ Tafseer
1⃣ Yaani kuffar unse taubikhan kaha jayega
2⃣ Iske mukhatab yaa to tamaam kuffar hai is soorat mein Imaan se roze misaaq ka Imaan muraad hai jabh Allah Ta'ala ne unse farmaya tha Kya main tumhara Rab nahi hooñ sabne bala kaha tha aur imaan laaye the ab jo duniya mein kaafir huwe to unse farmaya jaata hai ki roze misaaq Imaan laane ke baad tum kaafir ho gaye Hasan ka qaul hai ki isse munafiqeen muraad hai jinhone zabaan se izhaare Imaan kiya tha aur unke dil munkir the Ikrama ne kaha ki wo Ahle kitaab hai jo Sayyade Aalam ﷺ ki be'asat ke qabl to Huzoor ﷺ par Imaan laaye aur Huzoor ﷺ ke zuhoor ke baad Aap ka inkaar karke kaafir ho gaye ek qaul ye hai ki uske mukhatab murtaddeen hai jo Islaam laakar fir gaye aur kaafir ho gaye

Shaan e Sayyeduna Siddique e Akbar رضي الله عنهBaadaz Ambiya Afzalul Bashar #721

Shaan e Saiyyeduna Siddique e Akbar رضي الله عنه Baadaz Ambiya Afzalul Bashar #721.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hafiz Umar Ibne Muhammad Maala ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ apni seerat mein Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضي الله عنه se riwayat ki Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضي الله عنه ne farmaya Maine Huzoor e Akdas Sayyed e Aalam ﷺ ko Ameer ul Mo'amineen Hazrat Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم ke saath khade dekha itne mein Hazrat Siddique e Akbar رضي الله عنه tashreef laaye to Huzoor Pur Noor ﷺ ne unse musafah farmaya aur galey lagaya aur unke dahaan par bosa diya.

Maula Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم ne arz ki kya Huzoor ﷺ Abu Bakr رضي الله عنه ka Muh Chumte hai? Farmaya aye Abul Hasan, Abu Bakr ka martaba Mere yaha aisa hai jaisa Mera martaba Mere Rabb ke Huzoor.

# Sirat e Mustafa Jaan e Rehmat ﷺ




Sent from my iPhone

Hadees e Mubaraka #721

ZIYARAT KE LIYE BAN KAR MALAK ZAWWAR AATE HAIÑ
NABI KO DEKHNE YAAÑ TAALIBE DEEDAR AATE HAIÑ

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 721
24 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Ibne Umar رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ ki jo meri ziyarat ke liye aaya siwaye meri ziyarat ke aur kisi matlb ke liye na aaya toh mujh par haq hai ki qayamat ke din us ki shafa'at karu.

#Tabrani Shareef.

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #720

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 720.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 02
Aayat No. 105

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur un jaise na hona jo aapas mein phatt gaye aur unme phoot pad gayi
2⃣ Baad iske ki roushan nishaniyañ unhe aa chuki thi Aur unke liye bada azaab hai

▶ Tafseer
1⃣ Jaisa ki Yahoodo Nasaara aapas mein mukhtalif huwe aur unme ek dusre ke saath ainaado dushmani raasikh ho gai yaa jaisa ki khud tum zamana e Islam se pehle jahiliyat ke waqt mein mutafarriq the tumhare darmiyan bugzo ainaad tha
▶ Masla - Is aayat mein musalmanoñ ko aapas mein ittefaaqo ijtemaa ka huqm diya gaya aur ikhtilaaf aur uske asbaab paidah karne ki mumana'at farmayi gayi Ahaadees mein bhi iski bohat taqeedeñ waarid haiñ aur jamaate muslimeen se juda hone ki sakhti se mumana'at farmayi gayi hai jo firqa paida hota hai us huqm ki mukhalifat karke hi paida hota hai aur jamaate muslimeen mein tafarqa andaazi ke jurm ka murtakib hota hai aur hasbe irshaade Hadees wo Shaitan ka shikaar hai 'A'Aazan-Allahu ta'ala minhu '
2⃣ aur haq waazeh ho chuka tha

Shaan e Sayyeduna Siddique e Akbarرضي الله عنه Baadaz Ambiya Afzalul Bashar #720

Shaan e Saiyyeduna Siddique e Akbar رضي الله عنه Baadaz Ambiya Afzalul Bashar #720.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Ek martaba Sayyeduna Siddique e Akbar رضي الله عنه Bargaah e Risalat ﷺ mein iss haal mein haazir huwe ki Aapke Jism e Mubarak par kurte ki jagah ek phata huwa kambal tha jiss mein button ki jagah kaante lage huwe they.

Hazrat Jibreel علیہ السلاام Bargaah e Risalat ﷺ mein haazir huwe aur yun arz kiya: "Abu Bakr ka kya haal hogaya ki maaldari mein fakirana libaas pehne huwe hai"

Huzoor Shafi e Mehshar ﷺ ne irshad farmaya Abu Bakr ne apne tamaam maal mujh par aur mere raaste par kharch karke muflis hogaye hai,

Hazrat Jibreel علیہ السلاام ne arz kiya " Allah Ta'ala ne Abu Bakr ko Salam kaha hai aur pucha hai ki Abu Bakr iss fakirana libaas mein Mujhse Raazi hai yaa naraaz?


Hazrat Siddique e Akbar رضي الله عنه ne yeh suna toh kaifiyat e wajd taari hogayi aur aalam e sarmasti mein buland aawaz se baar baar kehne lage ki "Main Apne Rabb se Raazi hu, Main Apne Rabb se Raazi hu"

# Tafseer e Azizi.




Sent from my iPhone

Hadees e Mubaraka #720

YA SIDDIQ YA UMAR YA USMAN YA HAIDER
DAF'AA SHARKUN KHAIRAAWAR YA SHABBIR YA SHABBAR

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 720
23 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Anas bin Malik رضي الله عنه se riwayat hai aapne farmaya Huzoor Nabi e Kareem ﷺ jalwagar huwe aur ek baagh mein tashreef le gaye, ek sahab haazir huwe aur darwaze par dastak di, Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ne irshad farmaya aye Anas utho aur unke liye darwaza kholo aur unhein Jannat ki aur mere baad khilaafat ki basharat suna do, Maiñe arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ kya maiñ unhein yeh bhi bata du ke Aapne yeh baat irshad farmayi hai? RasoolAllah ﷺ ne ijazat ataa farmayi jabh maiñe darwaza khola toh Hazrat e Abu Bakr Siddique رضي الله عنه tashreef farma hai maiñe unse kaha aapke liye Jannat ki khushkhabri hai aur Nabi e Kareem ﷺ ke baad khilafat ki khushkhabri hai.

Phir darwaze par dastak huwi RasoolAllah ﷺ ne irshad farmaya aye Anas utho aur unke liye darwaza kholo aur unhein Jannat ki khushkhabri suna do aur Abu Bakr ke baad unko khilafat ki basharat suna do, maiñe arz kiya Yaa RasoolAllah ﷺ kya yeh bhi bata du ke Aapne yeh baat irshad farmayi hai? RasoolAllah ﷺ ne ijazat ataa farmayi jabh maiñe darwaza khola toh Hazrat e Umar رضي الله عنه tashreef farma hai maiñe RasoolAllah ﷺ ke hukm par amal karte huwe unhein khushkhabri suna di.

Phir ek martaba darwaze pe dastak huwi Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ne irshad farmaya aye Anas utho aur darwaza khol do aur unhein Jannat ki aur Hazrat Umar Farook رضي الله عنه ke baad khilafat ki basharat suna do aur yeh bhi basharat suna do ke woh Shaheed hone wale hai jabh maiñ bahar nikla to dekha Hazrat e Usman Gani رضي الله عنه tashreef farma haiñ.

#Kanzul Amal, Hadees No 36267.