Friday, October 28, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #755

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #755.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 07
Aayat No. 149.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Imaan waaloñ agar tum kaafiro ke kahe par chale.
2⃣ To woh tumhe ulte paoñ lauta denge.
3⃣ Phir tuta khaake ( Nuksan utha kar ) palat jaaoge.

▶ Tafseer
1⃣ Khwaah woh yahood o nasaara ho ya munafiq o mushrik.
2⃣ Kufr wa be Deeni ki taraf.
3⃣ Masla - Is Aayat se maloom huwa ki musalmanoñ par laazim hai ki woh kuffar se alahidgi ikhtiyaar kare aur hargiz unki raaye wa mashware par amal na kare aur unke kahe par na chale.

Shaan e Imam e Aazam رضي الله عنه Hazrat e Noumaan Ibne Saabit #755.

Shaan e Imam e Aazam رضي الله عنه Hazrat e Noumaan Ibne Saabit #755.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Aap ka naam Noumaan ibne saabit hai.
▶ Aap ki kunniyat Abu Hanifa aur laqab Imaam e Aazam hai.
▶ Aap ki wiladat 80 hijri ko kufaa mein huwi.
▶ Aap ne kam o besh 30 Sahaba e Kiraam رضي الله عنهم ki ziyarat ki.
▶ Aap ko 55 martaba hajj ki sa'adat mili.

Ek baar aap Madina Munawwara pahuche aur Rauza e Anwar par hazir huwe to aap ne arz ki,

"Assalaamu Alaikum ya Sayyedul Murseelin"
to Muwaja e Aqdas se jawab mila
"Walaikum Assalaam ya Imamul Muslimeen "
Iss se pata chala khud Sarkar e Do Aalam ﷺ ne aap ko musalmano ka imaam farmaya hai.

#Tazkiratul Auliya, Safah no. 246.

Hum ahle sunnat ke liye yeh badi khushi aur gaur talab baat hai,
▶ Hamare Rasool - Rasool e Aazam.
▶ Hamare Shaheed - Shaheed e Aazam.
▶ Hamare Imam - Imam e Aazam
▶ Hamare Gaus - Gaus e Aazam.
▶ Hamare Khwaja - Khwaja e Aazam.
▶ Hamare Mujaddid - Mujaddid e Aazam.
▶ Hamare Mufti - Mufti e Aazam .

رضي الله عنهم

Hadees e Mubaraka #755

SHAAFI O NAAFI HO TUM KAAFI O WAAFI HO TUM
DARD KO KARDO DAWA TUMPE KAROROÑ DAROOD

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 755
29 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Jabeer رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ke har beemari ki dawa hai jabh beemari ko uski sahi dawa pahucha di jaati hai toh Khuda e Ta'ala ke hukm se beemar accha ho jaata hai.

#Muslim Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #754.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #754.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 06
Aayat No. 148.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ To Allah ne unhein duniya ka inaam diya.
2⃣ Aur aakhirat ke sawab ki khoobi aur neki wale Allah ko pyaare hai.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani fatah wa zafar aur dushmano par galba.
2⃣ Magfirat wa Jannat aur istehqaaq se zyada inaam wa ikraam.

Bahar e Shariat Shaheed ka Bayaan wa Masail #754

Bahar e Shar'iat.
Shaheed ka Bayaan wa Masail #754

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Istilaahe fiqh mein shaheed uss musalmaan Aaqil balig taahir ko kehte hai jo ba taur zulm kisi ala'e jareha yani zakhmi karne wale hathyaar se qatl kiya gaya aur nafs e qatl se maal na wajib huwa ho (nafs e qatl se maal wajib tabh hota hai jabh dhoke mein koi mar gaya ho maslan shikaar ke liye teer ya goli chala raha tha aur usse koi shakhs mar gaya toh maal wajib hoga jaan ke badle jaan na li jayegi) aur duniya se nafa na uthaya ho shaheed ka hukm yeh hai ki gusl na diya jaaye waise hi khoon samet dafan kardiya jaaye toh jahañ yeh hukm paya jayega fuqha ussey shaheed kahenge warna nahi, magar shaheed e fiqhi na hone se yeh lazim nahi ki shaheed ka sawaab bhi na paaye sirf iska matlab itna hoga ki gusl diya jaaye bas.

● Masla - Apni jaan ya maal ya kisi musalmaan ke bachane mein lada aur mara gaya woh shaheed hai yuñhi patthar ya lakdi ya kisi cheez se qatl kiya gaya ho.

● Masla - Jaise aur murdoñ ko khushboo lagaate hai shaheed ko bhi lagaye najaasat lagi ho toh dho daale shaheed ki namaaz e janaza padhi jaaye.

Hadees e Mubaraka #754

DEV TUJHSE KHUSH HAI PHIR HUM KYA KAREIÑ
HUM SE RAAZI HAI KHUDA PHIR TUJHKO KYA

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 754
28 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Huzaifa رضي الله عنه se riwayat hai Sarwar e Kaunainﷺ irshad farmate haiñ ke Khuda e Taala kisi badmazhab ka na roza qubool karta hai na Namaz na Zakaat na Hajj na Umraah na Jihaad na Nafl na Farz. Badmazhab Deen e Islam se is tarha nikala jaata hai jaise gundhe hue aate se baal nikala jaata hai.

#Ibne Maaja.

Sunday, October 2, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #753.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #753.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 06
Aayat No. 147.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur woh kuch bhi na kehte the siwa is dua ke.
2⃣ Ki aye Rab hamare bakhsh de hamare gunah aur jo zyadatiyañ humne apne kaam mein ki.
3⃣ Aur hamare qadam jama de aur humein un kaafir logoñ par madad de.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani himaayat e deen wa maqamaate harab mein unki zaban par koi aisa kalima na aata jisme ghabrahat pareshani aur tazalzul ka shayeeba bhi hota balki woh istaqlaal ke saath saabit qadam rehte aur dua karte.
2⃣ Yaani tamaam sagayeer wa Kabaayeer bawajood ke wo log Rabbani yaani ataqiya the phir bhi gunahoñ ka apni taraf nisbat karna shaane tawazo'a wa inkesaar aur aadabe abdiyat mein se hai.
3⃣ Isse yeh masla maloom huwa ki talabe haajat se qabl tauba wa istigfaar aadaabe dua mein se hai.

Bahar e Shar'iat Shaheed ka bayaan wa masail #753

Bahar e Shar'iat.
Shaheed ka bayaan wa masail #753

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Allah Ta'ala farmata hai jo log Allah ki raah mein qatl kiye gaye unhein murda na kaho balki woh zinda hai magar tumhe khabar nahi aur farmata hai jo log raahe khuda mein qatl kiye gaye unhein murda na gumaan kar balki woh apne rab ke yahañ zinda hai unhein rozi milti hai Allah ne apne fazl se jo diya uss par khush hai aur jo log baad wale unse abhi na mile unke liye khushkhabri ke taalib ki unpar na kuch khauf hai aur na woh ghamgeen hoñge Allah ki ne'amat aur fazl ki khushkhabri chahte hai aur yeh ki imaan waaloñ ka ajr Allah zaaye nahi farmata. Ahadees mein iske fazaail ba kasrat warid hai shahadat sirf issi ka naam nahi ki jihaad mein qatl kiye jaaye balki ek hadees mein farmaya ki iske siva saañt (7) shahdatein aur hai.
1) Jo taoon se mara shaheed hai.
2) Jo doob kar mara shaheed hai.
3) Jo jatul janab (nimoniya) mein mara shaheed hai.
4) Jo peit ki beemari mein mara shaheed hai.
5) Jo jal kar mara shaheed hai.
6) Jiske upar deewar wagaira taah padhi aur mar jaaye shaheed hai.
7) Aurat ki baccha paida hona ya kuwarepan mein mar jaye shaheed hai.
RasoolAllah ﷺ ne farmaya taoon se bhaagne wala uski misl hai jo jihaad se bhaaga aur jo sabr kare uske liye shaheed ka ajr hai. Hazrat e ibne abbas رضي الله عنه se riwayat hai ki irshad farmaya safar ki maut shahdat hai yaani safar mein mare toh shaheed hai inke siwa bohat soortein hai jin mein shahadat ka sawaab milta hai.

Hadees e Mubaraka #753

AUR KOI GAIB KYA TUMSE NIHAAÑ HO BHALA
JAB NA KHUDA HI CHUPA TUMPE KAROROÑ DAROOD

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #753
27 Rajjab 1437 Hijri.


Hazrat e Abdullah ibne Abbas رضي الله عنه riwayat farmate hai Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ Maiñe apne Rab ka deedar kiya.

#Bukhari Shareef, Kitab ul Tauheed, Jild 3, Hadees No 2364.
#Muslim Shareef, Jild 1, Safah 186.
#Tirmizi Shareef, Jild 2, Safah 472.
#Musnad e Ahmed, Jild 1, Safah 90
#Sahih Ibne Hibban, Jild 1, Safah 226.
#Tabraani Shareef, Jaame ul Bayaan, Jild 27, Safah 226
#Mustadrak, Jild 1, Safah 65.
#Imam Qazi Ayaaz Maliki, Kitab ul Shifa, Jild 1, Safah 121.
#Tafseer Ibne Kaseer, Jild 6, Safah 448.
#Sharah Muslim Shareef, Jild 1, Safah 97.
#Fathul Baari, Sharah Sahih Bukhari, Jild 8, Safah 609.
#Imam Jalaluddin Suyuti, Sharah Muslim Shareef, Jild 1, Safah 247.
#Ummat ul Qaari, Sharah Sahih Bukhari, Jild 99, Safah 199.
#Mulla Ali Qari Mirqat sharah Mishkaat Shareef, Jild 1, Safah 349.
#Ashat ul Lama'at, Sharah Mishkaat, Jild 4, Safah 431.
#Tafseer Roohul Bayan, Jild 9, Safah 222.
#Tafseer Roohul Maani, Jild 27, Safah 54.
#Musnad e Ahmed.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #752.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #752.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 06
Aayat No. 146.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur kitne hi Ambiya ne jihaad kiya unke saath bohat Khuda wale the to na sust pade un musibatoñ se jo Allah ki raah mein unhein pahuñchi aur na kamzor huwe aur na dabe aur sabr wale Allah ko mehboob hai.

▶ Tafseer
▶ Aisa hi har Imaandaar ko chahiye.

Bahar e Shar'iat Namaaz e janaaza ke masaail # 752.

Bahar e Shar'iat.
Namaaz e janaaza ke masaail # 752.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Namaaz e janaaza padhne ka tareeka yeh hai ki kaan tak haath utha kar الله أكبر kehta huwa haath neeche laaye aur naaf ke neeche hasb e dastoor baañdh le yaani jaise namaaz mein bandhte hai aur sana padhe phir bagair haath uthaye الله أكبر kahe aur durood shareef padhe behtar woh durood hai jo namaaz mein padha jaata hai aur koi doosra padha jabh bhi harj nahi phir الله أكبر kehkar apne aur mayyat aur tamaam momin wa momineen ke liye dua kare aur behtar yeh hai ki woh duaein padhe jo ahadees mein warid hai aur maasoor duaein woh duaein jo ahadees se sabit ho agar acchi tarah na padh sake toh jo dua chaahe padhe magar woh dua aisi ho ki umre akhirat se mutalliq ho.

● Masla - Chauthi takbeer ke baad bagair koi dua padhe haath khol kar salaam pher de salaam mein mayyat aur farishte aur hazireen e namaaz ki niyyat kare ussi tarah jaise aur namaazon ke salaam mein niyyat ki jaati hai yahañ itni baat zyada hai ki mayyat ki bhi niyyat kare.

● Masla - Behtar hai ki namaaz e janaza mein teen safein kare ki hadees mein hai ki jiski namaaz teen safon ne padhi uski maghfirat ho jayegi aur agar qul saat (7) hi shakhs ho toh ek imaam ho aur teen pehli saff mein aur do doosri mein aur ek teesri mein.

● Masla - Janaze mein pichli saff ko tamaam safon par fazilat hai yaani pichli mein khade hona agli ke muqable afzal hai.

#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #752

MUJHE AISE AMAL KI DE TAUFEEQ
KE HO RAAZI TERI RAZA YA RAB
TU HASAN KO UTHA HASAN KARKE
HO MA'AL KHAIR KHAATIMA YA RAB

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 752
26 Rajjab 1437 Hijri.

Safar e Mea'raj ke mauke par Huzoor e Akram ﷺ ne ek qaum ko mulaheza kiya : Ek badnaseeb qaum sakht takleef mein mubtila hai. Unke saroñ ko bade bade wazni pattharo se kuchla jaata hai,udhar sar kuchla gaya idhar fauran sahi saalim hogaya, phir kuchal diya gaya unki haalat badastur yahi rehti hai.Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ ne farmaya Aye Jibrael! Yeh kaun badnaseeb log hai? Arz kiya yeh woh log hai jinke sar Allah Taala ki baargah me na jhuke.

#Majma Azvaid' Man fil israa, Hadees No. 235

Note: Jo panj waqta namaaz nahi padhte aur Namaz ko bhaar(bojh) samajte hai unhe iss tarha azaab diya jaaega.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #751.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #751.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 06
Aayat No. 145.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur koi jaan be hukme Khuda mar nahi sakti.
2⃣ sab ka waqt likha rakha hai.
3⃣ Aur jo duniya ka inaam chaahe.
4⃣ Hum usmein se usse de aur jo aakhirat ka inaam chaahe hum usmein se usse de aur kareeb hai ki hum shukr waaloñ ko sila ataa kare.

▶ Tafseer
1⃣ Isme jihaad ki targeeb hai aur musalmanoñ ko dushman ke muqabla par zari banaya jaata hai ki koi shakhs baghair hukme Ilaahi ke mar nahi sakta chaahe wo mahalik aur ma'arik mein ghus jaaye aur jabh maut ka waqt aata hai to koi tadbeer nahi bacha sakti.
2⃣ Usse aage piche nahi ho sakta.
3⃣ Aur usko apne amal wa ta'at se husoole duniya maqsood ho.
4⃣ Isse saabit huwa ki madaar niyyat par hai jaisa ki Bukhari wa Muslim Shareef ki hadees mein aaya hai.

Bahar e Shar'iat Namaaz e janaaza ke masaail #751 Contd Post #750.

Bahar e Shar'iat.
Namaaz e janaaza ke masaail #751
Contd Post #750.
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

1) Baaghi yaani jo imaame barhaq par nahaa khurooj kare aur ussi baghawat mein mara gaya.
2) Daaku ki daake mein mara gaya na inn ko gusl diya jaaye na inki namaaz padhi jaaye.
3) Jo log nahak paasdari mein lade balki jo inka tamasha dekh rahe the aur patthar akar laga aur mar gaye toh inki namaaz nahi haañ inke alag alag hone ke baad mare toh namaaz hai.
4) Jisne kayi shakhs gala ghontkar maar daale.
5) Shehair mein raat ko hathyaar lekar loot maar kare.
6) Jisne apne maa ya baap ko maar dala uski bhi namaaz nahi.
7) Jo kisi ka maal cheen raha tha aur iss halaat mein mara gaya uski bhi namaaz nahi.
● Masla - Jisne khudkhushi ki halaañki yeh bohat bada gunaah hai magar uske janaaze ki namaaz padhi jayegi agarche qasdan khudkhushi ki ho jo shakhs rajm kiya gaya ya qisaas mein mara gaya usey gusl denge aur namaaz padhenge.

#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #751

SHAB E ASRA KE DULHA PE DAA'IM DUROOD
NAUSHAH E BAZME JANNAT PE LAAKHOÑ SALAAM


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 751
25 Rajjab 1437 Hijri.

Sarwar e Ambiya ﷺ irshad farmate haiñ Mea'raj ki raat maine jannat mein barabar barabar ooñche mahal dekhe toh Maiñe kaha Aye Jibrael! yeh mahal kiske liye hai? Toh Jibrael ne arz kiya Yeh mahal gussa zabt karne walo ke liye aur logoñ ko darguzar karne walo ke liye hai.

#Kanzul Ummal,Hadees No. 7016.

Saturday, October 1, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #750.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #750.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 06
Aayat No. 144.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Muhammad to ek Rasool hai.
2⃣ Unse pehle aur Rasool ho chuke.
3⃣ To kya agar woh inteqaal farmaye ya shaheed ho to tum ulte paoñ phir jaaoge aur jo ulte paoñ phirega Allah ka kuch nuksaan na karega aur ankareeb Allah shukr waloñ ko sila dega.

▶ Tafseer
1⃣ Aur Rasooloñ ki be'asat ka maqsood Risaalat ki tableeg aur hujjat ka laazim kar dena hai na ki apni qaum ke darmiyan hamesha maujood rehna.
2⃣ Aur unke mutta'baeen unke baad unke deen par baaki rahe Shaane Nuzool jung e uhad mein jabh kaafiroñ ne pukara ki Muhammad Mustafa ﷺ shaheed ho gaye aur shaitan ne yeh jhooti afwaah mash'hoor ki to sahaba ko bohat ijteraab huwa aur unmein se kuch log bhaag nikle phir jabh nidaa ki gayi ki Rasool e Kareem ﷺ tashreef rakhte hai to sahaba ki ek jamaat wapas aayi Huzoor ﷺ ne unhein hajimat par malaamat ki unhone arz kiya hamare Maa aur Baap Aap par fida ho Aapki shahadat ki khabar sun kar hamare dil toot gaye aur humse thahra na gaya is par yeh Aayate Kareema naazil huwi aur farmaya gaya ki Ambiya ke baad bhi ummatoñ par unke deen ka itteba'a laazim rehta hai to agar aisa hota bhi to Huzoor ke deen ka itteba'a aur uski himaayat laazim rehti.
3⃣ Jo na phire aur apne deen par saabit rahe unko 'Shaakireen' farmaya kyuñ ki unhone apne sabaat se Ne'amat e Islaam ka shukr adaa kiya Hazrat Ali Murtaza كرم الله تعالٰی وجهه الكريم farmate the ki Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه 'Ameenush-Shakireen' haiñ.

Bahar e Shar'iat Namaaz e janaaza ke masaail #750

Bahar e Shar'iat.
Namaaz e janaaza ke masaail #750

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Namaaz e janaaza farz e kifaya hai ki ek ne bhi padh li toh sab zimmedaari se bari hogaye warna jis jis ko khabar pahuchi thi aur na padhi gunaahgaar huwe. Iski farziyat ko jo inkaar kare kafir hai.

●Masla - Uske liye jama'at shart nahi ek shaks bhi padhle farz adaa hogaya.
●Masla - Har musalman ki namaaz padhi jaaye agarche woh kaisa hi gunaahgaar wa murtakibe kabair yaani kabira gunaah karne wala ho magar chand qism ke log hai unki namaaz nahi.


To be Continued.........


#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #750

WAHI HAI AWWAL WAHI HAI AAKHIR
WAHI HAI BAATIN WAHI HAI ZAAHIR
USI KE JALWE USI SE MILNE USI SE USKI TARAF GAYE THE

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 750
24 Rajjab 1437 Hijri.

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ Maiñe apne Rab ko apni aankh aur apne dil se dekha.

#Muslim Shareef

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #749.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #749.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 143

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur tum to maut ki tamanna kiya karte the uske milne se pehle to abh woh tumhe nazar aayi aankhoñ ke saamne.

▶ Tafseer
▶ Shaane Nuzool jabh shohdaa e Badr ke darje aur martabe aur un par Allah Ta'ala ke inaam wa ehsaan bayaan farmaye gaye to jo musalman wahañ haazir na the unhein hasrat huwi aur unhone aarzu ki ke kaash kisi jihaad mein unhein haazri mayassar aaye aur shahadat ke darjaat mile unhi logoñ ne Huzoor Sayyade Aalam ﷺ se Uhad par jaane ke liye israar kiya tha unke haq mein yeh Aayat naazil huwi.

Bahar e Shar'iat Mayyat ke Masaail #749

Bahar e Shar'iat.
Mayyat ke masaail #749.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


● Masla - Mayyat ko kafan dena farz e kifaya hai agar kisi ne kafan nahi diya toh jis jis ko maloom tha sab gunaahgaar huwe kafan ke teen darje hai,
1) Zaroorat
2) Kifayat
3) Sunnat

Mard ke liye sunnat teen kapde hai,
1) Izaar
2) Lifaafa
3) Kameez
Aur aurat ke liye paanch kapde sunnat hai.
1) Izaar
2) Lifaafa
3) kameez
4) odhni
5) seena bandh,
kafan e kifayat mard ke liye do kapde hai lifaafa aur izaar aur aurat ke liye kafan e kifayat teen hai lifaafa, izaar, odhni ya lifaafa, kameez, odhni kafan e zaroorat dono ke liye yeh ki jo mayassar aaye aur kam az kam itna toh ho ki saara badan dhak jaaye.

#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #749

HIJAAB UTHNE MEIÑ LAAKHOÑ PARDE
HAR EK PARDE MEIÑ LAAKHOÑ JALWE
AJAB GHADI THI KE WASL O FURQAT
JANAM KE BICHHDE GALEY MILE THE

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 749
23 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Ikramah رضي الله عنه bayan farmate hai ke Sayyeduna Abdullah ibn Abbas رضي الله عنه riwayat farmate hai Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ ne apne Rab ka deedar kiya, Maiñe arz kiya Allah Ta'ala ne yeh nahi farmaya nigaahen uska ihaata nahi kar sakti aur woh nigaahoñ ma idraak o ihaata karta hai?

Hazrat e Abdullah ibn Abbas رضي الله عنه ne farmaya tum par Tajjub hai! jabh Allah apne uss Noor ke saath Tajjalli farmaye jo uska gair mutanaahi Noor hai aur beshak Rasoolullah ﷺ ne apne Rabka do (2) martaba deedar kiya.

#Tirmizi Shareef.
#Umdatul Qari Sharah Bukhari.
#Tafseer Ibn e Kaseer.
#Subul ul Huda Warrishad.
#Mustadrak Ala Assahihain.
#Musnad Ahmad Mu'jam e Kabeer.
#Tafseer Ibn Abi Haatim.
#Surah An'aam.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #748.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #748.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 142.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Kya is gumaan mein ho ki jannat mein chale jaoge aur abhi Allah ne tumhare gaaziyoñ ka imtihaan na liya aur na sabr waloñ ki aazmayish ki.

▶ Tafseer
▶ Ki Allah ki Raza ke liye kaise sakht zakhm khaate aur takleef uthaate hai ismein un par aitaab hai jo roze Uhad kuffar ke muqable se bhaage.

Bahar e Shar'iat Mayyat ke Masaail #748

Bahar e Shar'iat.
Mayyat ke masaail #748.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Mayyat ko nehlaana farz e kifaaya hai baaz logoñ ne gusl de diya toh sab se saqit hogaya.

● Masla- Ek martaba saare badan par paani behna farz hai aur teen martaba sunnat jahañ gusl de mustahab yeh hai ki parda karle ki siva nehlaane waloñ aur madadgaaro ke doosra na dekhe nehlaate waqt khwaah uss tarah litaaye jaise kabr mein rakhte hai ya qibla ki taraf pau karke ya jo aasaan ho kare.

● Masla - Aurat inteqal kar jaaye toh shohar ussey na nehla sakta hai na chu sakta hai aur dekhne ki manahi nahi awaam mein jo yeh mashoor hai shauhar aurat ke janaze ko na kandha de sakta hai na kabr mein utaar sakta hai na muñh dekh sakta hai yeh mehaz ghalat hai sirf nehlaane aur uske badan ko bila ha'il yaani bagair kisi kapde wagaira ki aad ke haath lagane ki manahi hai.

#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #748

TU BADHA ITNA KE MEA'RAJ MEIN RAB TAK PAHUCHA
KEH RAHA HAI YEH DANA AUR TAD'ALA TERA


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 748
22 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Ibn e Abbas رضي الله عنه riwayat farmate hai Allah Ta'ala ne Hazrat e Ibrahim علیہ السلام ko khullat aur Hazrat e Moosa علیہ السلام ko kalam aur Sayyeduna Muhammadur RasoolAllah ﷺ ko apne deedar se imtiyaz baksha.

#Tirmizi Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #747.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #747.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 141.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur isliye ki Allah musalmano ka nikhaar kar de .
2⃣ Aur kaafiroñ ko mitaa de.

▶ Tafseer
1⃣ Aur unhein gunahoñ se paak kar de.
2⃣ Yaani kaafiro se jo musalmano ko takleef pahunchti hai woh to musalmano ke liye shahadat o tatheer hai aur musalman jo kuffar ko qatl kare to yeh kuffar ki barbaadi aur unka istisaal hai.

Bahar e Shar'iat Mayyat ke Masaail #747

Bahar e Shar'iat
Mayyat ke masaail #747.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

● Masla - jabh usne kalima padh liya toh talkeen mauqoof kardein haan agar kalima padhne ke baad usne koi baat ki toh phir talkeen kare ki uska akhrir kalaam لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ صلى الله تعالى عليه واله وسلمَ ho.

● Masla - jabh rooh nikal jaaye toh ek chaudi patti jabde ke neeche se sar par le jakar girah de dein ki muñh khula na rahe aur ankhein band kardi jaaye aur ungliya aur haath pau seedhe kar diye jaaye yeh kaam uske ghar waaloñ mein jo zyada narmi ke saath kar sakta ho baap ya beta woh kare uske peit par loha ya gili mitti ya aur koi bhaari cheez rakhde ki peit ful na jaaye magar zaroorat se zyada wazni na ho ki takleef ki wajeh ho.

●Masla - mayyat ke saare badan ko kisi kapde se chupa de aur usko chaarpai ya takht wagaira kisi uñchi cheez par rakhe ki zameen ki seel na pahuche.

● Masla - gusl wa kafn wa dafn mein jaldi karna chahiye ki hadees mein iski bohet takeed aayi.

#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #747

ISS MUBARAK MAHINE MEIN AATI HAI AISI EK RAAT
KARLO IBAADAT DIL LAGA KAR AUR PAAO SAB GHAM SE NAJ'AAT


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 747
21 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Anas رضي الله عنه se riwayat farmate hai Rajjab mein ek raat aisi hai jisme amal karne waale ko sau (100) saal ki ibadat ka sawab diya jaata hai, aur woh maah e rajjab ke khatm hone se teen din pehle 27vi rajjab ki raat hai, pas jo koi iss raat mein baraah (12) rakat iss tarah padhe ke har rakat mein Surah Fatiha ke baad aur koi Surah padhe aur har do (2) rakat mein tasshahud padhe aur aakhri rakat mein salam phairey aur phir 'SubhanAllahi Wal Hamdulillahi Wa La
Ila'aha Il'Allahu WAllahu Akbar' sau (100) martaba aur 'Astagfirullah Rabbi Min Qulli Zambiyuñ Wa At'tubu Ilaih' sau (100) martaba aur sau (100) martaba Darood Shareef padh kar apne dunyawi aur ukhrawi amoor ki takmeel ke liye dua maange aur phir subah ko roza rakhe to Allah Ta'ala uski tamam duaeiñ qabool karega, siwa iske ke woh kisi khilaaf e sharai kaam ke liye dua karey.

#Shob ul Imaan, Baab fil Sayaam, Taqsees Sahar e Rajjab Bal Zikr, Hadees No 3812.

>>Note - jis shakhs ke zimme qaza namaazein ho, woh pehle qaza namaazeiñ adaa karey uske
baad deegar nafli ibadat mein mashgool hone se behtar yeh amal hai ke faraiz ki adaaegi.

Friday, September 30, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #746.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #746.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 140.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Agar tumhe Koi takleef pahuchi to woh log bhi waisi hi takleef paa chuke hai.
2⃣ Aur yeh din hai jinme humne logoñ ke liye baariyañ rakhi hai.
3⃣ Aur isliye ki Allah pehchaan kara de Imaan waloñ ki, Aur tum mein se kuch logoñ ko shahadat ka martaba de aur Allah dost nahi rakhta zaalimoñ ko.

▶ Tafseer
1⃣ Junge badar mein bawajood iske unhone past himmati na ki aur unse muqabla karne mein susti se kaam na liya to tumhe bhi susti wa kam himmati na chaahiye.
2⃣ Kabhi kisi ki baari hai kabhi kisi ki.
3⃣ Sabr o ikhlaas ke saath ki unko mashakkat o naakaami jagah se nahi hataa sakti aur unke paaye sabaat mein lagzish nahi aa sakti.

Bahar e Shar'iat Mayyat ke Masaail #746

Bahar e Shar'iat
Mayyat ke masaail #746.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Jabh maut ka waqt kareeb aaye aur alaamatein paayi jaaye toh Sunnat yeh hai ki daahini karwat par lita kar qibla ki taraf muñh karde aur yeh bhi jayez hai ki chith litaye aur qibla ko pav kare ki yuñhi qibla ko muñh jayega magar iss soorat mein sar ko kuch uncha rakhe aur qibla ko muñh karna dushwaar ho ki uss waqt ki takleef hoti ho toh jiss halat par hai chordh de.

● Masla - dum nikalne ke waqt ki halat mein jab rooh gale ko na aayi ussey talkeen kare yaani uske paas buland awaaz se padhe
لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ صلى الله تعالى عليه واله وسلمَ

#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #746

HAI RIYAKAAROÑ KA SHOHRA AUR RIYAKAARI KI DHOOM
BORIYA E FAQR BHI ABH BE RIYA MILTA NAHIÑ

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 746
20 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Mehmood Ibne Labid رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ke tumhare baare mein jis cheez se Maiñ bohot darrta hu woh shirk e asgar hai. Sahaba ne arz kiya Ya RasoolAllah ﷺ shirk e asgar kya hai, farmaya Riyaa (yaani dikhave ke liye kaam karna)

#Sunan Ahmed.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #745.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #745.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 138 & 139.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Ye logoñ ko batana aur raah dikhana aur parhezgaaroñ ko nasihat hai ○ Aur na susti karo aur na gumm khao.
2⃣ Tum hi gaalib aaoge agar Imaan rakhte ho.

▶ Tafseer
1⃣ Uska jo Jung e Uhad mein pesh aaya.
2⃣ Jung e Uhad mein.

Bahar e Shar'iat Jumu'ah ke Masaail #745

Bahar e Shar'iat
Jumu'ah ke masaail #745.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

● Masla - jumu'ah padhne ke liye 6 shartein hai ki unmein se ek shart bhi na paayi jaaye toh hogi hi nahi.

4⃣ Khutba - khutba e jumu'ah mein shart yeh hai ki waqt mein ho namaaz se pehle, aisi jamaat ke saamne ho jo jumu'ah ke liye shart hai yaani kam se kam khateeb ke siva 3 mard ho aur itni awaaz se ho ki paas wale sun sake agar koi amr mane'a na ho toh agar zawaal se pehle khutba padh liya ya namaaz ke baad padha ya tanha padha ya aurtoñ aur bacchoñ ke samne padha toh in sab sooratoñ mein jumu'ah na huwa aur agar behroñ ya sone waloñ ke samne padha ya haazireen door hai ki sunte nahi ya musafir beemaroñ ke saamne padha ya jo aaqil baalig mard hai toh ho jayega.
5⃣ Jamaat - yaani imaam ke alawa kam se kam teen mard.
6⃣ Izne Aam - yaani masjid ka darwaza khol diya jaaye ki jis musalman ka jee chahe kisi ki rok tok na ho agar jaame masjid mein jabh log jama hogaye darwaza bandh karke jumu'ah padha na huwa.

#Durr e Mukhtaar.

Hadees e Mubaraka #745

JAB TUM ROZE RAKHO TO ISS TAARIKH KO RAKHO
FARMANE RASOOLﷺ PAR AMAL KARO
AUR BESHUMAAR BARKATE HAASIL KARO

بسم الله الرحم الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 745
19 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Zar Gaffari رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ke Aye! Abu Zar jabh kisi mahine mein teen roza rakhna ho toh tera (13), chauda (14) aur pandrah ( 15) tareekh ko rakho.

#Tirmizi Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #744.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #744.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 137.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Tumse pehle kuch tareeke bartaaw mein aa chuke hai.
2⃣ To zameen mein chal kar dekho kaisa anjaam huwa jhootlaane waaloñ ka.

▶ Tafseer
1⃣ Pichli ummatoñ ke saath jinhone hirse duniya aur uske lazzat ki talab mein Ambiya wa Mursaleen ki mukhalifat ki Allah Ta'ala ne unhein mohlat di phir bhi woh raahe raast par na aaye to unhein halaaq o barbaad kar diya.
2⃣ Taaki tumhe ibrat ho.

Bahar e Shari'at Jumu'ah ke masaail #744.

Bahar e Shar'iat
Jumu'ah ke masaail #744.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Jumu'ah farz hai aur iski farziyat zohr se zyada mua'kkad (sakht) hai aur iska inkaar karne wala kaafir hai.

● Masla - jumu'ah padhne ke liye 6 shartein hai ki unmein se ek shart bhi na paayi jaaye toh hogi hi nahi.
1⃣Misr - woh jagah hai jisme bohot se kuche galiyan aur bazaar ho aur woh zilaa ya pargana ho uske mutalliq dehaat gine jaate ho aur wahañ koi haakim ho ki apne dabdabe wa rob daab ke sabab mazloom ka insaaf zaalim se le sake yaani insaaf par qudrat kaafi hai agarche na insaafi karta ho aur badla na leta ho aur misr ke aas paas ki jagah jo misr ki maslehatoñ ke liye ho ussey fanaa e misr kehte hai jaise qabarstan ghud daud ka maidaan fauj ke rehne ki jagah kacheriya station ki yeh cheezein shehair se bahar ho toh fanaa e misr mein inka shumaar hai aur wahañ jumu'ah jayez hai lihaza jumu'ah shehair mein padha jaye ya kasbe mein ya unki fanaa mein aur gaoñ mein jayez nahi jo log sheher ke kareeb gaoñ mein rehte hai toh unhein chahiye ki sheher aakar jumu'ah padh jaaye.
2⃣Sultan e Islam ya uska na'ib - jisse jumu'ah qayim karne ka hukm diya.
3⃣Waqt e zohar

#Durr e Mukhtaar.

To Be Contd.....

Hadees e Mubaraka #744

LA WA RABBIL ARSH JISKO JO MILA UNSE MILA
BAT'TI HAI KAUNAIN MEIN NE'AMAT RASOOLULLAH ﷺ KI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka #744
18 Rajjab 1437 Hijri.

Katib e Wahi Hazrat Ameer e Muaaviya رضي الله عنه ne Logoñ ko khitab karte huwe farmaya ki Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ko Maiñe yeh irshad farmate huwe suna hai ki Allah Ta'ala jisse bhalai ka irada farmata hai usko Deen mein samjh ata farmata hai aur beshak Maiñ bañtne wala hu aur Allah Ta'ala dene wala.

#Bukhari Shareef, jild 1, Safah 16.

Iss Hadees shareef se khoob Raushan ho gaya ki jo kuch jisko Allah Ta'ala ata farmata hai woh sab Huzoor ﷺ Taqseem farmate hai aur woh Aapki chaukhat se milta hai.

Jo log Huzoor ﷺ ki shaan ghatate hai, unhone is Hadees Shareef mein yeh baat gadhi hai ki choonki ye Hadees ilm ke bayan mein hai isse malum hota hai ki Huzoor ﷺ sirf ilm Bañt'te hai aur kuch nahi. To aise logoñ se yeh maloom kiya jaaye ki kya woh yeh kehne ki jurrat karenge ki Khuda e Ta'ala bhi ma'azAllah sirf Ilm ata farmane par Qudrat rakhta hai aur kisi par nahi. Kyuki iss Hadees Shareef mein Huzoor ﷺ ko bañtne wala aur Allah Ta'ala ko ata farmane wala kaha gaya hai to agar Huzoor ﷺ ko bantne mein sirf Ilm par ikhtiyar hai to Allah Ta'ala ko bhi Ma'azAllah sirf Ilm dene wala kehna padega .
Ma'azAllahi Rabbil Aalameen.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #743.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #743.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 136.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aisoñ ko badla unke Rab ki bakhshish aur Jannateiñ hai.
2⃣ Jinke niche nehre rawaañ hamesha un mein rahe aur kaamiyoñ ( Neik Logoñ ) ka kya accha neg ( Inaam , Hissa ) hai.

▶ Tafseer
1⃣ Shaane Nuzool Taihaan Khurma Farosh ke paas ek haseen aurat khurme kharidne aayi usne kaha yeh khurme to acche nahi hai umda khurme makaan ke andar hai aur is heele se usko makaan mein le gaya aur pakad kar lipta liya aur muñh choom liya aurat ne kaha Khuda se dar yeh sunte hi usko chordh diya aur sharminda huwa aur Sayyade Aalam ﷺ ki khidmat mein haazir ho kar haal arz kiya is par yeh Aayat Naazil huwi ek qaul yeh hai ki ek Ansari aur ek Safaqi dono mein muhabbat thi aur har ek ne ek doosre ko bhai banaya tha Safaqi jihad mein gaya tha aur apne makaan ki nigrani apne bhai Ansari ke supurd kar gaya tha ek roz Ansari gosht laaya jabh Safaqi ki aurat ne gosht lene ke liye haath badhaya to Ansari ne uska haath choom liya aur choomte hi usko sakht nadaamat aur sharmindagi huwi aur woh jungle mein nikal gaya apne sar par khaaq daali aur muñh par tamache maare jabh Safaqi jihad se wapas aaya to usne apni biwi se Ansari ka haal dariyaft kiya usne kaha Khuda aise bhai na badhaye aur waaqiya bayaan kiya Ansari pahado mein rota wa istigfaaro tauba karta phirta tha Safaqi usko talaash karke Sayyade Aalam ﷺ ki khidmat mein laaya uske haq mein yeh Aayat naazil huwi.
2⃣ Yaani itaa'at she'aaroñ ke liye behtar jazaa hai.

Bahar e Shari'at Musafir ke Masail #743

Bahar e Shar'iat
Musafir ke masaail #743.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶ Shar'an musafir woh shakhs hai jo teen din ki raah tak jaane ke iraade se basti se bahar huwa.
● Masla - teen din ki raah ko tez sawari par do din ya kam mein tay kare toh musafir hi hai aur teen din ke raaste ko zyada dinoñ mein tay kiya toh musafir nahi.
● Masla - qos ka etibaar nahi ki qos kahi chhote hote hai kahi bade balki etibaar teen manzilon ka hai aur khushki mein meel ke hisaab se iski miqdaar 57 3/8 meel hai.
● Masla - kisi jagah jaane ke do raaste hai ek se masafate safar hai doosre se nahi toh jiss raaste se yeh jaaega uska aitbaar hai nazdeek wale raaste se gaya toh musafir nahi aur door wale se gaya toh hai agarche uss raaste ki ikhtiyar karne mein uski koi sahi garaz na ho.
● Masla - mahez safar ki niyat kar lene se musafir na hoga balki musafir ka hukm uss waqt se hai ki basti ki aabaadi se bahar hojaaye shehair mein hai toh shehair se aur gaoñ mein hai toh gaoñ se aur shehair wale ke liye yeh bhi zaroori hai ki aas paas jo aabaadi shehair se muttasil (mili huwi) hai usse bhi bahar ho jaaye.

#Durr e Mukhtaar.
# Bahar e Shar'iat.

Hadees e Mubaraka #743

ISS SUNNAT PAR GAUR KARO
AUR APNE AAMAAL BARHAAO
MISWAK KARO HAR NAMAZ KE WAQT
AUR ALLAH TA'ALA KI RAAZA PAAO

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka#743.
17 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Aysha Siddiqa رضي الله عنها se riwayat hai Sarkar e Aqdas ﷺ irshad farmate haiñ ke miswak muñh ko pak karne wali aur Khuda e Ta'ala ko raazi karne wali cheez hai.

#Mishkat Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #742.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #742.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 135.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur woh ki jabh koi be-hayayi aur apni jaano par zulm kare.
2⃣ Allah ko yaad kar ke apne gunahoñ ki maafi chahe Aur gunah kaun bakhshe siwa Allah ke aur apne kiye par jaan bujh kar ad'd na jaaye.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani unse koi kabeera ya sageera gunah sarzad ho.
2⃣ Aur taubah kare aur gunah se baaz aaye aur aayinda ke liye usse baaz rehne ka azm pukhta kare ki yeh tauba e maqboola ke sharayat mein se hai.

Hazrat e Abu Abdullah Imaam Jafar e Saadiq رضي الله عنه Faazil o Taahir #742.

Hazrat e Abu Abdullah Imaam Jafar e Saadiq رضي الله عنه Faazil o Taahir #742.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Hazrate Imaam Jafar Saadiq رضي الله عنه ke irshadaat.

▶ 5 aadmiyoñ ki sohbat se bacho,
1) Jhootha
2) Ahmaq
3) Bakheel
4) Bad Dil
5) Faasiq

▶ Allah ﷻ ki duniya mein bahisht bhi hai aur dozakh bhi, bahisht aafiyat hai aur dozakh bala,Bahisht yeh hai ke apna kaam Allah عزوجل par chordh do, aur dozakh ye hai ke apna kaam apne nafs par chordh do.

Hadees e Mubaraka #742

ACCHE AMAL KARO AUR
MUTTAQI BAN JAAO
ALLAH KE NAYAAB TOHFE KE HAQDAAR BAN JAAO

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka#742.
16 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai Tajdaar e Do Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ke Khuda e Ta'ala ne farmaya ke Maiñe apne neik bando ke liye aisi cheez taiyar kar rakhi hai jisko na kisi aañkh ne dekha na uski acchaiyoñ ko kisi kaan ne suna aur na kisi insaan ke dil par uska khayal guzra.

#Bukhari Shareef.
#Muslim Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #741.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #741.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 134.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Woh jo Allah ki raah mein kharch karte hai khushi mein aur ranj mein aur gussa peene wale aur logoñ se dar guzar karne wale aur neik log Allah ke mehboob hai.

▶ Tafseer
▶ Yaani har haal mein kharch karte hai Bukhari wa Muslim mein Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه se marwi hai Sayyade Aalam ﷺ ne farmaya kharch karo tum par kharch kiya jaaega yaani Khuda ki raah mein do tumhe Allah ki rehmat se milega.

Hazrat e Abu Abdullah Imaam Jafar e Saadiq رضي الله عنه Faazil o Taahir #741.

Hazrat e Abu Abdullah Imaam Jafar e Saadiq رضي الله عنه Faazil o Taahir #741.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Hazrate Imaam Jaafar Saadiq رضي الله عنه ke irshadaat.

▶ Hum Allah ﷻ ki woh rassi haiñ jiske muta'alliq Allah عزوجل ne is Aayat e Muqaddasa ( Parah 4 Surah Aale Imran ) mein irshad farmaya : 'Allah ki rassi ko mazboot pakad lo aur mutafarriq na ho'

▶ Jiska dushman aqalmand ho woh aadmi neik bakht hai ke aaqil najaaez harkat karke khud mubtalaae ma'aasi na hoga.

Hadees e Mubaraka #741

AAÑKH SE KAAJAL SAAF CHURA LEIÑ
YAAÑ WOH CHOR BALAA KE HAIÑ
TERI GATHRI TAAKI HAI AUR TUNE NEEND NIKALI HAI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 741
15 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Ibrahim Ibne Maisra رضي الله عنه se riwayat hai Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ke jis ne kisi badmazhab ki izzat ki toh usne Islam ke dhaane par madad ki.

#Mishkat Sharif.

Thursday, September 29, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 740.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 740.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 133.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Apne Rab ki bakhshish aur aisi jannat ki taraf jiski chaudaan mein sab aasmaan wa zameen aa jaye
2⃣ Parhezgaaro ke liye tayyar rakhi hai

▶ Tafseer
1⃣ Ye jannat ki wus'at ka bayan hai is tarah ki log samajh sake kyuñ ki unhone sabse wasee'a cheez jo dekhi hai wo aasman wa zameen hi hai isse wo andaza kar sakte hai ki agar aasman wa zameen ke tabke tabke aur parat parat bana kar jod diye jaye aur sab ka ek parat kar diya jaaye usse jannat ke arz ka andaza hota hai ki jannat ki kitni wasee'a hai Hirkal Baadshah ne Sayyade Aalam ﷺ ki khidmat meiñ likha ki jabh jannat ki ye wus'at hai ki aasmaan wa zameen usme aa jaye to fir dozakh kaha hai Huzoor E Aqdas ﷺ ne jawab mein farmaya سبحان الله jabh din aata hai to raat kaha hoti hai is kalaame balagate nizaam ke maana nihayat daqeeq hai zaahir pehlu ye hai ki daura e falaki se ek jaanib mein din haasil hota hai to uske jaanibe muqabil mein shab hoti hai isi tarah jannat jaanibe baala mein hai aur dozakh zehte pasti mein Yahood ne yahi sawal Hazrate Umar رضي الله عنه se kiya tha to Aapne bhi yahi jawab diya tha is par unhone kaha ki Tauret mein bhi isi tarah samjhaya gaya hai maana ye hai ki Allah ki qudrato ikhtiyaar se kuch bayeed nahi jis shay ko jahaañ chaahe rakhe ye insaan ki tangi e nazar hai ki kisi cheez ki wus'at se hairaan hota hai to puchne lagta hai ki aisi badi cheez kaha samayegi Hazrat Anas Bin Maalik رضي الله عنه se dariyaaft kiya gaya ki jannat aasmaan mein hai ya zameen mein farmaya kaunsi zameen aur kaunsa aasmaan hai jisme jannat samaa sake arz kiya gaya phir kaha hai farmaya aasmanoñ ke upar zere arsh
2⃣ Is aayat aur isse upar ki aayat se saabit huwa ki Jannat wa Dozakh paida ho chuki maujood hai

Hazrat e Abu Abdullah Imaam Jafar e Saadiq رضي الله عنه Faazil o Taahir #740.

Hazrat e Abu Abdullah Imaam Jafar e Saadiq رضي الله عنه Faazil o Taahir #740.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Ek haji sahab ne Imaam Jafar Saadiq رضي الله عنه ki Khidmat e Aqdas mein haazir ho kar arz ki ke maiñ hajj ko jaa raha hu yeh dus hazaar (10000) dirham lijiye aur mere liye ek makaan khareed lijiye baad e faraag e hajj maiñ laut kar ma-ahlo ayaal uss mein rahuñ.

Imaam Jafar Saadiq رضي الله عنه ne yeh tamaam rakm raahe khuda mein sarf (kharch) farma di jab haji sahab laute aur haazir e khidmat huwe to farmaya haaji sahab maiñe aapke liye jannat mein makaan khareed liya hai jo ek simt se Huzoor ﷺ ke Kashaana e Aqdas se milta hai doosri simt se Maula e kainaat shere khuda رضي الله عنه ke shabistaane mua'la se milta hai aur teesri taraf se Imaam Hasan رضي الله عنه ke muqaddas qasr se aur chauthi jaanib se Imaam e Hussain رضي الله عنه ke mehale anwar se, yeh lo iska bae-naama.
Haji sahab ne bae-nama ka kaagaz liya aur ghar chale gaye ahle khana se wasiyat ki meri wafaat ke baad meri qabr mein yeh kaagaz rakh dena jabh haji sahab ka wisaal huwa hasb e wasiyat kaagaz qabr mein rakh diya gaya doosre din wahi bae-nama ka kaagaz qabr ke upar rakha huwa mila, uski pusht par likha huwa tha Imaam Jafar Saadiq رضي الله عنه ne apna waada sach kar dikhaya.

# Shawahid un Nubuwwah, Safah 191.
# Miraatul kaunain, Safah 62.

Hadees e Mubaraka #740

APNE LUQME KI HIFAZAT KARO
SEEDHE HATH SE KHANA KHAO
SHAITAAN HOJAAEGA MEELO DURR
KHANA HO JAYEGA BARKATO SE BHARPUR


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 740
14 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Ibne Umar رضي الله عنه se riwayat hai Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ ke koi aadmi na baaye (left) haath se khaae aur na kuch peeye isliye ki baaye (left) haath se shaitan khaata aur peeta hai.

#Muslim Sharif.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #739

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #739.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 132.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Allah wa Rasool ke farmabardar raho.
2⃣ Is ummeed par ki tum rahem kiye jaao aur daudo.

▶ Tafseer
1⃣ Ki Rasoolullah ﷺ ki Ta'at , Ta'ate Ilahi hai aur Rasool ki na-farmani karne wala Allah ka farmabardar nahi ho sakta.
2⃣ Taubah wa Adaa e Farayez wa ta'at wa ikhlaas e amal ikhtiyaar karke.

Hazrat e Abu Abdullah Imaam Jafar e Saadiq رضي الله عنه Faazil o Taahir #739.

Hazrat e Abu Abdullah Imaam Jafar e Saadiq رضي الله عنه Faazil o Taahir #739.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Imaam Jafar رضي الله عنه ke alqaab Saadiq (Truthful). Faazil (Virtuous). Taahir ( Pure) hai.

114 hijri mein Aap ke waalid ke inteqaal ke baad aap Imaam bane tabh aapki umr e pak 31 saal thi aap Aaimma e Ahle Ba'it ke (6) chhathe Imaam hai aapko Imam Muhammed al Baaqir رضي الله عنه se Alwi Husaini Silsile ki aur Hazrat Qasim bin Muhammad bin Abu bakr Siddique رضي الله عنه se Siddiqiya silsile ki khilafat mili thi.

15 rajab aap ke wisaal ka din hai iss din aur maah e rajab mein jo kheer aur koonde ki niyaz ki jaati hai aur fateha dilaya jaata hai woh aap se mansub hai aur yeh bilkul jaeez hai.

To Be Contd....

Wednesday, September 28, 2016

Hadees e Mubarak #739

YEH JO MEHR O MAH PE HAI ITLAAQ AATA NOOR KA
BHEEK TERE NAAM KI HAI ISTE'AARA NOOR KA


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 739
13 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Jabir Ibne Sumrah رضي الله عنه se rivayat hai ki kehte hai Maiñe chandni raat mein Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ ko dekha,Huzoor ﷺ surkh hulla ( jubba mubarak) pehne huwe the yaani usme surkh dhaariya thi. Maiñ kabhi Huzoor ﷺ ko dekhta aur kabhi chand ko, Huzoor Sarwar e Kaunaain ﷺ Mere nazdeek chand se zyada haseen the.

#Tirmizi Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #738

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 738.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 05
Aayat No. 130 & 131.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Imaan walo sood dunadun na khaao
2⃣ Aur Allah se daro is ummeed par ki tumhe falaah mile ○ Aur us aag se bacho jo kaafiroñ ke liye tayyar rakhi hai

▶ Tafseer
1⃣ Masla – Is aayat mein sood ki mumana'at farmayi gayi hai ma'a taubeekh ke is zyadati par jo us zamana mein maamool thi ki jabh mi'aad aa jati thi aur karzdaar ke paas adayegi ki koi shaql na hoti to karz khwaah maal zyada kar ke muddat badha deta aur aisa baar baar karte jaisa ki is mulq ke sood khwaar karte hai aur isko sood dar sood kehte haiñ
▶ Masla – Is aayat se saabit huwa ki gunahe kabeera se aadmi imaan se khaarij nahiñ hota
2⃣ Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنهما ne farmaya isme imaandaro ko tahdeed hai ki sood waghairah jo cheeze Allah ne haraam farmayi unko halaal na jaane kyuñ ki haraame qatayi ko halaal janna kufr hai

Hazrat e Abu Abdullah Imaam Jafar e Saadiq رضي الله عنه #738

Hazrat e Abu Abdullah Imaam Jafar e Saadiq رضي الله عنه Faazil o Taahir. # 738.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Aap ka naam Abu Muhammad Imaam Jafar Sadiq رضي الله عنه hai, Aap ki wiladat 17 Rabi ul Awwal 83 hijri mein Madeena Shareef mein huwi aapke walid ka naam Hazrat Muhammad Imaam Baaqir bin Imaam Zainul Aabedin رضي الله عنهم hai aur aap ki walida ka naam Hazrat e Umme Farwah Fatima binte Hazrat Qaasim bin Muhammed bin Abu Bakr Siddique رضي الله عنها hai, Aap ne apne dada Hazrat Imaam Zainul Aabedeen رضي الله عنه aur apne Walid Hazrat Imaam Baaqir رضي الله عنه ke paas Quraan aur Tafseer ki taleem hasil ki aur fiqh (Islamic Jurisprudence), falsafa (philosophy), Ilm e kalaam (theology), Ilm e riyaazi (mathematics), Ilm e hai'at wa falak (astronomy), Ilm e tashreeh (anatomy), Ilm e keemiya (alchemy) aur doosre uloom mein mahir huwe aap Masjid e Nabavi mein logon ko ilm e deen ki taleem dete the.

Aap ne tijarat, wirasat aur zakat aur doosre kaafi masail hal farmaye aap silsila e aalia qadriya ke 6the Imaam hai.

Aap ke mashoor khalifa Khawaja Baayazeed Bustami علیہ رحمۃ ورضوان hai aur aap ke shagordoñ mein Hazrat Imaam e Azam Abu Hanifa, Imaam Maalik, Hazrat Sufiyan Sauri, Hazrat Jaabir ibn Hayyan, Hazrat Qaazi Sukuni aur Hazrat Qaazi abul bakhtari رضي الله عنهم mashoor hai

Aap ki shaan itni aala hai ke inhein millat e Mustafvi ka Sultan, Hujjat e Nabvi ka Burhan, Sidqo Tehkeek ka Aalim, Auliya ke diloñ ka Markaz, Jigar Gosha e Ali aur Waris e Nabi kaha jata hai

To Be Contd....

Hadees e Mubaraka #738

JOOTE PEHNA KARO SABHI
THAKAN SE BACHTE RAHO SABHI
KYA FARMATE HAI HAMARE NABIﷺ
ISS BAAT PAR AMAL KARO SABHI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 738
12 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Jabir رضي الله عنه se rivayat hai kehte hai ki Maiñe Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ ko yeh farmate suna ki joota (shoes) bakasrat istemal karo ki aadmi jabh tak joota pehne huwe hai woh sawaar hai yaani kam thakta hai.

#Muslim Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #737

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 737.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 04
Aayat No. 127 , 128 & 129

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Isliye ke kaafiroñ ka ek hissa kaat de ya unhe zaleel kare ki naa muraad phir jaayeñ ○ Ye baat tumhare haath nahiñ ya unhe tauba ki toufeeq de ya un par azaab kare ki wo zaalim haiñ ○ Aur Allah hi ka hai jo kuch aasmano meiñ hai aur jo kuch zameen meiñ hai jise chaahe bakshe aur jise chahe azaab kare aur Allah bakhshne wala meherbaan .

▶ Tafseer
▶ Is tarah ki unke bade bade sardar maqtool ho aur giriftaar kiye jaaye jaisa ki Badar mein pesh aaya

Qutb Al Irshaad Siraaj Al Auliya Sayyed Abul Hussain Ahmed e Noori Al Hussini Al Qadri Barakati Marehrawi #737

Qutb Al-Irshaad Siraaj Al-Auliya Sayyed Abul Hussain
Ahmad-e-Noori Al-Hussini Al-Qadiri Barakaati Marehrawi # 737.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Noori Miyan ki bargaah hamesha khulfaon aur mureedon se bhari rehti jo koi apni takleef lekar aate woh aapke faiz se malamaal ho kar laut'te. Aap hamesha gareeboñ ke ghar tashreef le jaate aur tasalli diya karte. Aapke Ameer mureed khud ke ghar hazrat ko le jaane ki khwaish rakhte lekin aap gareeboñ ke ghar jaana pasand farmate the.

Hazrat Miyan Sahab Bareilly Shareef ke behtareen sunni aulmaoñ mein se the. Hazrat Noori Miyan sahab ne kaafi kitaben alag alag mazmoon par likhi :

Al-Aslul Musaffa fi Aqaid-e-Arbab-e-Sunnatil Mustafa – .
Risala Sawal-o-Jawab –
Ishtihar-e-Noori – .
Tehqeequl Tarawih –
Dalil-ul-Yaqin –.
Lataif-e-Tariqat Kashful Quloob –
An-Noor-o-Wal-Baha fi-Asaneedil Hadith wa Salasilil Awliya –.
Sirajul Awarif fil-Wasaya wal Ma'raif –
Al-Jafar – .
Takheel-e-Noori – . Apki kalam ka naam shuruwat mein Saeed rakha Baad mein a Musannif ka farzi naam noorie rakha.

Apka wisaal 11th Rajab ul-Murajjab 1324 Hijri (31st of August 1906) mein huwa. Aapki pehli ahliya Ruqaiyyah Begum jo aapke chacha Hazrat Chotoo Miyan ki beti thi aur aapki doosri ehliya Altaf Fatima jo Sayyid Muhammad Haider ki beti thi. Aapke farzand Sayyid Muhiyuddin Jilani bachpan mein inteqal farmagaye.

#Tazkira Mashaikh-e-Qadiriyah Barakatiya Razviyah

# Aye Raza Kiyon Malool Hote ho
Haan Tumhara Hai Ahmed E Noori

Tuesday, September 27, 2016

Hadees e Mubaraka #737

JO KARTE HAI GALAT KAAM
HOTA HAI UNKA BURA ANJAAM
KYA FARMATE HAI KHAIRUL ANAAM
GAUR SE PARH LO SABHI TAMAAM

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 737
11 Rajjab 1437 Hijri.

Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ jabh kisi qaum mein fahaashi (badkaari) ka riwaaj barhta hai, yahan tak ke woh ailaaniya behayayi karne lagti hai. To inn logoñ ke darmiyaan aisi beemariya phail jaati hai jo unke islaaf ke zamaane mein maujood nahi thi.

#Ibne Majah Shareef, Hadees No 4155.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #736

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 736

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 04
Aayat No. 126

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur ye fatah Allah ne na ki magar tumhari khushi ke liye aur isiliye ki isse tumhare dil ko chain mile
2⃣ Aur madad nahi magar Allah gaalib hiqmat wale ke paas se

▶ Tafseer
1⃣ Aur dushman ki kasrat aur apni qillat se pareshani wa ijteraab na ho
2⃣ To chahiye ki banda musabbibul asbaab par nazar rakhe aur usi par tawaqqul rakhe

Qutb Al-Irshaad Siraaj Al-Auliya Sayyed Abul Hussain
Ahmad-e-Noori Al-Hussini Al-Qadiri Barakaati Marehrawi # 736.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Shah Abul Hussain Ahmad-e-Noori urf Miyan Sahab, Marehra Shareef ke Shahi gharana ke akhri Qutub, aap Shah Aal-e-Rasool Ahmadi رضي الله عنه Marehra shareef ke wisaal ke baad Sajjadah Nasheen baney..

Hazrat Noori Miyan ki wiladat 19 Shawal 1255 hijri ( 26th December, 1839) Marehra shareef mein huwi. Aap takriban dhai saal (2 and half) ke the jabh aapki walida inteqal farma gayi. Aap apki Dadi Nisar Fatima aur Dada Shah Aal-e-Rasool Ahmadi رضي الله عنه ke saaye mein pale.. Hazrat Khatim Al Akabir Shah Aal-e-Rasool ne apko apni ankhon se kabhi aapko door na kiya.

Aapne inhe khaandani riwayaton mein deeni taleem di. Jabh aapki umr shareef 11 saal ki thi tabh aapke walid Shah Zahoor Hassan inteqal farma gaye (26 jamadil awwal ) dhari kathiawad mein. Tabhi aapke Dada ne apko badi mazbooti se sufiyana rivayaton mein dakhil kiya.

Hazrat Khatim al-Akabir kaha karte: Miyan sahib ko duniyawi muamlaat ke shaukh nahi woh zyadatar ruhani khayalat mein rehte the. Woh un 7 Qutub mein se hai jiski khuskhabri Hazrat BuAli Shah Qalandar aur Hazrat Shah Badiuddin Qutb-e-Madar ne di. Aap un 7 Qutub mein se sabse akhri qutub hai.

Hazrat Noori Miyan 1267 hijri mein Shah Aal-e-Rasool ke mureed bane aur dargah shareef ke sajjadah nasheen bane. Aapne apni dunyawi taleemat uss daur ke mashoor Aalimon se paayi, taleemat ke baad Shah Aal-e-Rasool Ahmadi ne Hazrat noori miyan ko apne khandaan ke 5 silsilon ki khilafat o ijazat se nawaza Qadriyah, Chishtiyah, Naqshbandiyah, Suhrwardiyah aur Maddariyah. Aap apna zyadat waqt zikr o azkaar mein bitaya karte...

Cont.......

# Itna keh de Raza hamara hai,
Paar bedaa hai Ahmed e Noorie

Hadees e Mubaraka #736

PIJIYE PAANI BAITH KAR PIJIYE PAANI DEKH KAR
PIJIYE PAANI TEEN SAANS MEIN
KIJIYE AMAL SUNNAT E RASOOL ﷺ PAR


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 736
10 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Huraira رضي الله عنه
se riwayat hai ke Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ ne irshad farmaya ke khade hokar hargiz koi shakhs paani na piye aur jo bhool kar aisa kar guzre usey chahiye ki qayi (vomit) kar de.

#Sahih Muslim Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #735

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 735.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 04
Aayat No. 124 & 125.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Jabh aye mehboob tum musalmanoñ se farmate the kya tumhe kaafi nahi ki tumhara Rab tumhari madad kare 3000 hazaar farishte utaar kar ○ Haañ kyuñ nahi agar tum sabr wa taqwa karo aur kaafir usi dum tum par aa pade to tumhara Rab tumhari madad ko 5000 hazaar farishte nishaan waale bhejega

▶ Tafseer
▶ Chunanche momineen ne roze badar Sabro taqwa se kaam liya Allah Ta'ala ne hasbe waada 5000 Hazaar farishtoñ ki madad bheji aur musalmano ki fatah aur kaafiro ki shikast huwiñ

Shaan e Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه#735

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#735.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Sayyed Shah Abul Hussein Ahmed e Noori رضي الله عنه (Peero Murshid Tajdar e Ahle Sunnat Sayyeddi Sarkaar Mufti e Aazam رضي الله عنه )

Aksar o beshtar Bargaah e Gareeb Nawaz رضي الله عنه mein tashrif le jaya karte they. Ek martaba aap apne chand khuddam ke saath Urs e Mubarak ke mauke par haazir huwe aapne irshad farmaya - Sarkaar e Gareeb Nawaz رضي الله عنه ke darbar se fakeer ko hukm huwa hai ki apne khuddam ko bata dein ki agar kisiko kuch arz karna ho toh darkhwast likh kar aapko pesh kar dein woh darkhwast aapki ma'arifat mere darbar mein pesh hogi aur uske jawab bhi aap hi ki ma'arifat unko milenge.

Maulana Shabbir Badayuni ne arz ki - Huzur! Woh darkhwast kiss tarah darbar mein pesh hogi.? Aapne irshad farmaya ki - aastane ke kuch khuddam jinnaat bhi hai jo iss kaam par maamur hai. Chunanche darkhwast hazrat ke paas jamaa huwi aur hazrat ne woh darkhwaste Hafiz Nazrullah Khaa Badayuni ko inayat farmate huwe hukm farmaya ki aastana e aaliya ke junoob magribhi kone par kohe chilla ki janib ek ghaati hai waha jaao aur jo shakhs tumse yeh darkhwast talab karey ussey dedo.

Hazrat Maulana Shabbir Badayuni ka bayan hai ki jabh Hazrat ke hukm se Hafiz Nazrullah Sahab woh darkhwaste lekar chale toh Maiñ bhi khamoshi se unke piche lag gaya. Jabh ghaati mein dakhil huwe toh Mere aur Nazrullah Sahab ke darmiyan chand qadmoñ ka faasla tha. Achanak Maine dekha ki Hafiz Nazrullah Sahab ka haath khali hai Maine unse pucha ki darkhwaste kaha hai?
Hafiz Sahab farmaye.
Aap mujhse mazak karte ho abhi aapne hi toh woh parchiya mujhse yeh keh kar le li ke Huzur ne talab ki hai. Iss jawab par Maiñ hairaan reh gaya Hafiz Sahab ne wapas aakar Hazrat Noorie Miyan ki khidmat mein saara wakiya bayan kar diya. Hazrat Noorie Miya ne farmaya ki wahi khadim e Aastana they jo iss soorat mein tumse parchiya le gaye.
Phir farmaya ki yeh Huzoor Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه ka iss fakeer par Karam e Khaas hai warna mujhse behtar hazaaro iss darbar e aali waqar mein haazir hote hai magar yeh khaas nigaahe karam baaz khaas khuddam par hi hoti hai ke woh apne mureedo ki arziya Sarkaar Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه ke huzur pesh kare. Teesre din wo parchiya jawab ke saath hum sabko mili jo nawadirat mein se they.

# Teri Rehmat Teri Ne'amat Par
Mera Dawa Hai Ahmed e Noori.
Noor e Ahmed Mujhko Bhi Chamkade.
Naam Tera Hai Ahmed e Noorie

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah No.373 - 374.

Hadees e Mubaraka #735

GUNAAH KITNE HI AUR KAISE HI HAIÑ PAR REHMAT E AALAM
SHAFA'AT AAP FARMAAYEIÑ TOH BEDA PAAR HO JAAE


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 735
9 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Anas رضي الله عنه se riwayat hai Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ ke qayamat ki nishaniyañ yeh hai ki ilm uthaa liya jaaega, jahaalat zyada hogi,zinaa karna aur sharaab peena bohot hoga. Mard kam honge aur aurte zyada ho jaaengi yahañ tak ki mard ki dekh bhaal mein pachaas aurteiñ hogi.

#Bukhari Sharif
#Muslim Sharif.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #734

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 734.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 04
Aayat No. - 122 & 123

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Jabh tum mein ke do girohoñ ka iraada huwa ki naamardi kar jayeñ
2⃣ Aur Allah unka sambhalne wala hai aur musalmanoñ ko Allah hi par bharosa chahiye ○ Aur beshak Allah ne Badar mein tumhari madad ki jabh tum bilkul be saro samaañ the to Allah se daro kaheñ tum shukr guzaar ho

▶ Tafseer
1⃣ Ye dono giroh Ansaar mein se the ek Bani Salma Khazraj mein se aur ek Bani Haarisa Aaus mein se ye donoñ lashkar ke baazu the jabh Abdullah Bin Ubay Bin Salul munafiq bhaaga to unhone bhi wapas jaane ka qasd kiya Allah Ta'ala ne karam kiya aur unhe us se mehfooz rakha aur wo Huzoor ﷺ ke saath saabit rahe yahañ us ne'amato ehsaan ka zikr farmaya hai
2⃣ Tumhari taadaad bhi kam thi tumhare paas hathiyaaroñ aur sawaaroñ ki bhi kami thi.

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه #734

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#734

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

⏩ Sarkar Gareeb Nawaaz رضي الله عنه Ke Irshadaat

▶ Kalaam e ilaahi Ka Dekhna Sawaab Hai, Padhna Sawaab Hai, Agar 1 Harf Par Nigah Padey 10 Buraiyaañ Door Hojaaeñ Aur 10 Nekiyañ Darj Hojaaeñ Aankhoñ Ki Raushni Badhey Aur Us aankh Par Kabhi Koi museebat Na Ho
▶ Nek Kaam Se Behtar nekoñ Ki Sohbat, Aur burey Kaam Karne Se Badtar buroñ Ki Sohbat
▶Aalim e Deen Ki Ziyaarat Aur Darweshoñ Ki Dosti Nuzoole Barkat Ka Sabab Hoti Hai

Jab Sarkar Gareeb Nawaaz رضي الله عنه ka wisaal hua to
Aapki Peshani Muqaddas Par Ye Ibarat Likhi Hui Thi "Haaza Habibullah Maa Ta Fi Hubbilllah" (Ye Allah ﷻ Ka Dost Hai Aur Allah ﷻ Ki Mohabbat Me Duniya Se Jaa Raha Hai)

# Khwaja e Ajmer safah no. 25 - 26

Hadees e Mubaraka #734

TIJARAT KARO NEKI AUR IMAANDAARI KE SATH
HASHR HOGA TUMHARA SWALIHEEN KE SATH

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 734
8 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Saeed رضي الله عنه se riwayat hai Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ ke bohot sache aur dayaanat daar vyaapari ka hashr Nabiyo,Siddiqo aur Shahido ke saath hoga.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfan #733.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 733.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 04
Aayat No. 121

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur yaad karo Aye Mehboob jabh tum subah ko
2⃣ Apne daulatkhaane se bar aamad huwe musalmanoñ ko ladhaayi ke morcho par qayam karte Aur Allah sunta jaanta hai

▶ Tafseer
1⃣ Ba-maqqame Madeena Tayyaba Baqasde Uhad
2⃣ Jamhoor mufassireen ka ye qaul hai ki ye bayan junge uhad ka hai jiska ijmaali waaqiya ye hai ki Junge Badar mein shikast khaane se kuffar ko bada ranj tha isliye unhone baqasde inteqaam lashkar girañ murattab karke fauj kashi ki jabh Rasoole Kareem ﷺ ko khabar mili ki lashkare kuffar uhad mein utraa hai to Aapne as'haab se mashwara farmaya us mashurat mein Abdullah Bin Abi Bin Salul ko bhi bulaya gaya jo isse qabl kabhi kisi mashwarat ke liye bulaya na gaya tha aqsar Ansaar ki aur us Abdullah ki ye raaye huwi ke Huzoor ﷺ Madeena Tayyaba mein hi qaayam raheñ aur jabh kuffar yahan aaye tab unse muqabla kiya jaye yahi Sayyade Aalam ﷺ ki marzi thi lekin baaz as'haab ki ye raaye huwi ki Madeena Tayyaba se baahar nikal kar ladhna chahiye aur is par unhone israar kiya Sayyade Aalam ﷺ daulat saraa e aqdas mein tashreef le gaye aur asleeha zebe tan farma kar baahar tashreef laaye ab Huzoor ﷺ ko dekh kar un as'haab ko nadaamat huwi aur unhone arz kiya ki Huzoor ﷺ ko raaye dena aur us par israar karna hamari galti thi usko muaff farmaiye aur jo marzi e mubarak ho wahi kijiye Huzoor ﷺ ne farmaya Nabi ke liye sazawaar nahiñ thi ki hathiyar pehan kar qable jung utaar de mushrikeen uhad mein chahar shamba panj shamba ( Budh , Jumeraat ) ko pahuñche the aur Rasoole Kareem ﷺ Jumuah ke roz baad namaze Jumuah ek Ansaari ki namaze janaza padh kar rawana huwe aur 15 Shawwal san 3 Hijri roz yak shamba ( Itwaar ) Uhad mein pahuñche yaha nuzool farmaya aur pahaad ka ek darra jo lashkare Islaam ke piche tha usi taraf se andesha tha ki kisi waqt dushman pusht par se aakar hamla kare isliye Huzoor ﷺ ne Abdullah Bin Zubair رضي الله عنه ko 50 teerandaazo ke sath waha ma'moor farmaya ki agar dushman is taraf se hamla aawar ho to teer baari karke usko dafaa kar diya jaaye aur huqm diya ki kisi haal mein yahañ se na hatna aur is jagah ko na chhodna khwaah fatah ho ya shikast ho Abdullah Bin Ubay Bin Salul munafiq jisne Madeena Tayyaba mein reh kar jung karne ki raaye di thi apni raaye ke khilaaf kiye jaane ki wajah se barham huwa aur kehne laga ki Huzoor Sayyade Aalam ﷺ ne naw umr ladko ka kehna to maana aur meri baat ki parwaah na ki is Abdullah Bin Ubay ke saath 300 munafiq the unse usne kaha ki jabh dushman lashkare Islaam ke muqabil aajaye us waqt bhaag pado taaqi lashkare Islaam mein abtari ho jaye aur tumhe dekh kar aur log bhi bhaag nikle musalmanoñ ke lashkar ki kul taadaad ma'a un munafiqeen ke 1000 thi aur mushrikeen 3000 Muqabla hote hi Abdullah Bin Abi munafiq apne 300 munafiqoñ ko lekar bhaag nikla aur Huzoor ﷺ ke 700 As'haab Huzoor ﷺ ke saath reh gaye Allah Ta'ala ne unko saabit rakha yahañ tak ki mushrikeen ko hajimat huwiñ ab sahaba bhaagte huwe mushrikeen ke piche pad gaye aur Huzoor Sayyade Aalam ﷺ ne jahaañ qaayam rehne ke liye farmaya tha waha qaayam na rahe to Allah Ta'ala ne unhe dikha diya ki Badar mein Allah aur uske Rasool ki farmabardari ki barkat se fatah huwiñ thi yaha Huzoor ﷺ ke huqm ki mukhalifat ka nateeja ye huwa ki Allah Ta'ala ne mushrikeen ke diloñ se ro'abo haibat door farmayi aur wo palat pade aur musalmanoñ ko hajimat huwi Rasoole Kareem ﷺ ke saath ek jamaat rahi jisme Hazrate Abu Bakr , wa Ali , wa Abbas , wa Talha , wa Sa'ad رضي الله عنهم the isi jung mein dandaane aqdas shaheed huwe aur chehra e aqdas par zakhm aaya isi ke muta'alliq ye aayate kareema naazil huwi

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#733

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Sultan ul Hind Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ki ataa wa bakhshish aur faiyyazi wa dariya dili ki yeh kaifiyat thi ke kabhi koi saeel Aapke dar se mehroom na jaata. Hazrat Qutbuddin Bakhtiyaar Kaaki رحمۃ الله تعالیٰ علیہ farmate hai ke Maiñ arse tak Aapki khidmat mein haazir raha uss dauran kabhi kisi saeel ya fakeer ko Aapke dar se khali haath jaate nahi dekha. Aapke langarkhane mein rozaana itna khana taiyyar kiya jaata ke shehair ke tamaam gurba wa masakeen khoob sair ho kar khate khadeem haazir e bargaah ho kar jabh yaumiya kharch ka mutalba karte to Aap musalle ka ek gosha uthha kar farmate "jiss kadar aaj ke kharche ki zarurat ho le lo"

Woh matluba miqdaar mein le lete aur hasb e ma'mul khana pakwa kar gareebo aur miskeeno mein taqseem kar dete.

سُــــبْحانَ الله سُــــبْحانَ الله


# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah No.276.

Yahañ bheekh milti hai begumaañ
Yeh bade sakhi ka hai aastaañ
Yahañ sabki bharti hai jholiyañ
Yeh dar e Gareeb Nawaaz hai.

Hadees e Mubaraka #733

IN BAATOÑ KA DHYAAN RAKHO
HAR SUNNAT KO NIBHATE RAHO
NA CHALO US RAAH PAR JO MUNAFIQ BANAYE
MOMIN WOH HAI JO HAR SUNNAT NIBHAYE


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 733
7 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Baraa Ibne Aajib رضي الله عنه se riwayat hai Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ ke jab do musalmaan aapas mein milte hai aur musahfa karte hai toh un dono ke judaa hone se pehle un ko bakhsh diya jaata hai.

Tirmizi Sharif.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #732

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 732.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 03
Aayat No. 120

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Tumhe koi bhalayi pahuñche to unhe bura lage
2⃣ Aur tumko burayi pahuñche to uspar khush hoñ aur agar tum sabr aur parhezgaari kiye raho to unka daañv tumhara kuchh na bigadega beshak unke sab kaam Khuda ke ghere mein hai

▶ Tafseer
1⃣ Aur is par wo ranjeedah hoñ
2⃣ Aur unse dosti wa muhabbat na karo
▶ Masla – Is aayat se maloom huwa ki dushman ke muqabla mein sabro taqwa kaam aata hai.

Shaan e Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه #732.

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#732

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ


Ek din Khwaja Qutbuddin Bakhtiyaar Kaaki aur Sultan Shamshuddin Altamash shahi qile ki sair farma rahe they, wahañ bohot se umra wa arakeen e saltanat bhi maujood the ke itne mein ek badkaar haamila aurat haazir ho kar kehne lagi,

"Khudara aap mera nikah kara dijiye main bade azaab mein hu."

Badshah ne kaha, kisse nikah karau aur tu kya azaab mein hai ? Usne nihayat gustakhana andaaz mein Qutb Sahab ki taraf ishara karte huwe kaha mere peit mein inka hamal hai!

Hazrat Qutbuddin Bakhtiyaar Kaaki رضي الله عنه sharm se paseena paseena ho gaye! Badshah aur tamaam umra par sakta taari ho gaya! Hazrat Qutb Sahab ne fauran apne peero murshid Sarkaar Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه ki taraf tawajjoh ki! Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه uss waqt Ajmer sharif mein jalwa afroz the.Itne mein kya dekhte hai ki Sarkaar e Khwaja ba nafs e nafees waha maujood hai aur hazireen ne badh kar qadambosi ki.

Aapne Qutb Sahab se pucha ji tumne mujhe yaad kyu kiya? Aap munh se kuch na keh sake albatta aankhoñ se ashk behne lage. Sarkaar e Khwaja muhabbat se tadap uthe aur farmaya,

Aye badkaar haamila tu khud hi sun, phir aurat ke shikam ki taraf mutawajjah ho kar farmaya, Aye peit ke bacche tu hi bata! Teri maa Qutb Sahab ko tera baap batati hai kya yeh sach hai?

Peit se bacche ne jawab diya Huzur! yeh bilkul galat hai yeh aurat badi makkar aur faahisha hai mein hargiz Qutb Sahab ka beta nahi hu.

Phir uss badkaar aurat ne qubul kiya ki Qutb Sahab ke dushmano ne ilzam lagane ke liye usse bheja tha

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah no.316.

Makr e shaitaan se mureedoñ ko bacha lete ho,
Isliye Peer tumhe apna banaya khawaja.

Hadees e Mubaraka #732.

SURAJ ULTE PAOÑ PALTE
CHAAND ISHAARE SE HO CHAAK
ANDHE NAJDI DEKH LE QUDRAT RASOOLULLAH ﷺ KI


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 732
6 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Jabir رضي الله عنه se riwayat hai Sarwar e Kaunain ﷺ ne suraj ko hukm diya ke kuch der ke liye chalne se ruk jaae toh woh fauran ruk gaya.

#Tibrani Sharif.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfan #731

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 731.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 03
Aayat No. 119.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Sunte ho ye jo tum ho tum to unhe chahte ho
2⃣ Aur wo tumhe nahiñ chahte
3⃣ Aur haal ye ki tum sab kitaboñ par Imaan laate ho
4⃣ Aur wo jabh tumse milte haiñ kehte haiñ hum Imaan laaye
5⃣ Aur akele ho to tum par ungliyañ chabayeñ gussa se tum farma do ki mar jao apni ghutan mein Allah khoob jaanta hai diloñ ki baat

▶ Tafseer
1⃣ Rishtadaari aur dosti waghairah ta'alluqaat ki bina par
2⃣ Aur deeni mukhalafat ki bina par tum se dushmani rakhte haiñ
3⃣ Aur wo tumhari kitaab par Imaan nahi rakhte
4⃣ Ye munafiqeen ka haal hai
5⃣ Be Meer Taabarhi Aye Husood Keeñ Ranjeest ki Az Mashakkate Aujuz Ba-Marg Natwañ Rast ( Yaani hasad ke maaroñ ke liye mout hi ek aakhri raasta bacha hai )

Wednesday, April 13, 2016

Shaan e Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه #731

Shaan e Sarkaar
Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#731
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Nabi e Kareem ﷺ ne ek anaar Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه ke haath ata kiya aur farmaya isme dekhlo aur jaan lo tumhe kaha jaana hai. Hukm ke mutabik Sultan ul Hind Gareeb Nawaz رضي الله عنه ne anaar ke andar nigah ki to mashrik se magribh tak jo kuch tha woh sab raushan ho gaya. Shehair e Ajmer aur uski pahadiya wagairah bhi nazar aa gayi.

سُــــبْحانَ الله سُــــبْحانَ الله

# Sairul Aqtaab, Safah No, 123/124.

Makhdoom Jahaaniya Jahaa Gasht ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ ne apne safarname mein likha hai ke:- Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه ke Mazaar Shareef ke paas anaar ka ek darakht meri haziri ke waqt tha. Rozana saat (7) phal uss darakht se utarte the. jo shakhs uss anaar ko apne yahan farzand hone ki niyat se kha leta Ba-Hukm e Rabbi woh saahib e aulaad ho jata tha.

( Iqtebaas Az-Hashiyaa Moinul Arvah Safah No, 79)

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah No.213/ 215.




Sent from my iPhone

Hadees e Mubaraka #731

NA KARO HALAAL KO HARAAM
NA KARO BURAYI KA KAAM
RAKHO BHAROSA ALLAH PAR
HAI USKE DAST E QUDRAT HAR KAAM


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 731
5 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Amr Ibne Saad رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ki jo aadmi Allah Taala ﷻ par bharosa karle aur apne sab kaamo'ñ ko Khuda e Taala ﷻ ke supurd kar de toh Allah Taala ﷻ uske liye kaafi hai.

#Ibne Majha Sharif.

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan#730

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 730.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 03
Aayat No. 118.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Imaan walo gairoñ ko apna raazdaar na banao
2⃣ Wo tumhari burayi mein kami nahi karte unki aarzu hai jitni izaa tumhe pahuñche bair unki baatoñ se jhalak utha aur wo
3⃣ Jo seene mein chhupaye hai aur bada hai humne nishaniyañ tumhe khol kar suna di agar tumhe aql ho

▶ Tafseer
1⃣ Unse dosti na karo muhabbat ke ta'alluqaat na rakho wo kaabile aitemaad nahi hai Shaane nuzool baaz Musalman Yahood se karabat aur dosti aur padaus waghairah ta'alluqaat ke bina par mel jhol rakhte the unke haq mein ye aayat naazil huwiñ
▶ Masla - Kuffar se dosti wa muhabbat karna aur unhe apna raazdaar banana Naa jayazo mamnu'u hai
2⃣ Gaizo Ainaad
3⃣ To unse dosti na karo

Shaan e Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه #730

Shaan e Sarkaar
Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#730
بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه adaeegi e hajj ke baad Madeena Munawwara haazir huwe aur ek arse tak waha ibadat mein mashgul rahe ussi mauke par aapko Darbar e Risalat ﷺ se basharat huwi Aye Moinuddin! Tu mere deen ka Moin(madadgar) hai Maiñe wilayat e hindustan tujko ataa ki waha kufr o shirk ki zulmat phaili huwi hai tu Ajmer jaa tere wajood se waha ki zulmat e kufr durr hogi aur islam ka ujala failegaa"

Aap iss basharat se bahot khush huwe ke ilahi ajmer kaha hai aur kaunsa maqaam hai ussi aalam mein aapki aankh lag gayi aur Huzoor Sarwar e Kainaat ﷺ ne aapko apni ziyarat se musharraf farmaya turfatul aain(palak jhapakte) mein aap ko tamaam shehairo qilla aur kohistan dikhla diye.

Aur ek bahishti anaar ataa farma diya.

(Anaar ki tafseel In Sha Allah kal post hogi)

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah No 213.




Sent from my iPhone

Hadees e Mubaraka #730

APNE GUNAHO SE AZAADI PAAO
NAMAZ SE APNI AAKHIRAT SAWAROÑ
HAR DIN YEH SUNNAT NIBHATHE JAAO
JAMA'AT KI PABANDI SAKHTI SE APNAO

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 730
4 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Darda رضي الله عنه se riwayat hai Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ ke jis aabadi ya jungle mein teen (3) aadmi ho aur un mein namaz jama'at se na padhi jaae toh shaitaan un par kaabu paa leta hai lihaza jama'at ko laazim jaano.

#Abu Dawood Sharif.

Monday, April 11, 2016

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #729

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 729.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 03
Aayat No. 117.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Kahawat uski jo is duniya ki zindagi mein
2⃣ Kharch karte hai Us hawa ki si hai jisme paala ho wo ek aisi qaum ki kheti par padi jo apna hi bura karte the to use bilkul maar gayi Aur Allah ne un par zulm na kiya haañ wo khud apni jaan par zulm karte hai

▶ Tafseer
1⃣ Mufassireen ka qaul hai ki isse Yahood ka wo kharch muraad hai jo Apne olma aur ru'saa par karte the ek qaul ye hai ki kuffar ke tamaam nafaqaat wa sadaqaat muraad hai ek qaul ye hai ki riyaakaar ka kharch karna muraad hai kyuñ ki un sab logo ka kharch karna ya nafa e duniyawi ke liye hoga ya nafa e ukhrawi ke liye agar mahaz nafa e duniyawi ke liye ho to aakhirat mein usse kya fayeda aur riyaakaar ko to aakhirat aur Raza e Ilahi maqsood hi nahi hoti uska amal dikhawe aur numood ke liye hota hai aise amal ka aakhirat mein kya nafa aur kaafir ke tamaam amal akaarat hai wo agar aakhirat ki niyyat se bhi kharch kare to nafa nahi paa sakta un logo ke liye wo misaal bilkul mutabiq hai jo aayat mein zikr farmayi jaati hai
2⃣ Yaani jis tarah ki barfaani hawa kheti ko barbaad kar deti hai usi tarah kufr infaaq ko baatil kar deta hai

Shaan e Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه #729

Shaan e Sarkaar
Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#729

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Jabh Sarkaar Garib Nawaz رضي الله عنه Madina Munawwara pahuche aur Rauza e Huzoor e Akdas ﷺ par gulamana hazri ki sa'adat haasil ki aur chand din wahi muqeem rahe. Ek din Rauza e Mutabbaraq e Munawwara se nida(Aawaz) aayi ke Moinuddin ko bulaya jaaye. Phir kya tha Hazrate Khawaja Moinuddin Chishty ki kaifiyat ajeeb o gareeb hogayi. Labon par Darood e Pak ke phoolon ko saja kar Rauza e Rasool ﷺ ke Muqaddas Aastane par saraapa adab o niyaz ban kar khade hogaye andar se aawaz aayi "Aaye Qutb ul Mashaaekh andar aajaao"

Aap deewangi aur adab ka daman thame andar dakhil huwe. Aapki kismat bedaar huwi ke halat e bedaari mein RasoolAllah ﷺ ke Rukh e Zebah ki ziyarat se musharraf huwe. Aaqa e Kareem ﷺ ne irshad farmaya "Moinuddin tu hamara Aaine Deen hai lekin tujhe hindustaan jaana hoga waha ek jagah Ajmer hai jahan mere farzand Sayyed Hussain Naami tableeg e deen wa jihad e fi sabilillah ki niyat se gaye they abh woh shaheed hogaye hai jiske sabab se woh jagah kaafiro ke tasallut mein aagayi hai.

Tumhare qadmo ki barkat se wahan islaam failega aur waha ke kaafir magloob honge.

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah No. 214.




Sent from my iPhone

Hadees e Mubaraka #729

AALIM KA MARTABA
HOTA HAI KYA
INKE BAAREIN MEIN
NABI ﷺ NE FARMAYA KYA


بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 729
3 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Ibne Abbas رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ke ek faqeeh yani ek deen ka Aalim shaitaan par hazaro ibadat karne walo se zyada bhaari hai.

#Tirmizi Sharif.

Note -: Iss hadees e pak mein ye farmaya gaya hai ke Sharayee masa'il ki barikiyoñ ko janne wala (faqeeh ) tanha 1000 an-padh ibadat guzaroñ se zyada shaitan ke liye taqatwar hai yani hazaar gair aalim milkar shaitan ki bareek shararatoñ ko utna nahi samjh sakte jitna ke sirf ek aalim e deen samajh lete hai

Sunday, April 10, 2016

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #728

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 728.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 03
Aayat No. 116.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Wo jo kaafir huwe unke maal aur aulaad
2⃣ Unko Allah se kuchh na bacha lenge aur wo jahannami haiñ unko hamesha usme rehna

▶ Tafseer
1⃣ Jin par unhe bohat naaz hai
2⃣ Shaane nuzool ye Aayat Bani Quraiza wa Nazeer ke haq mein naazil huwi Yahood ke ru'saa ne tehseele riyasato maal ki garaz se Rasoole Kareem ﷺ ke saath dushmani ki thi Allah Ta'ala ne is aayat mein irshaad farmaya ki unke maalo aulaad kuch kaam na aayenge wo Rasool ki dushmani mein naahaq apni aaqibat barbaad kar rahe hai ek qaul ye hai ki ye aayat Mushrikeene Quraish ke haq mein naazil huwi kyuñ ki Abu Jahal ko apni daulato maal par bada fakhr tha aur Abu Sufiyan رضي الله عنه ne Badro Uhad mein mushrikeen par bohat kaseer maal kharch kiya tha ek qaul ye hai ki ye aayat tamaam kuffar ke haq mein aam hai un sab ko bataya gaya ki maalo aulaad mein se koi bhi kaam aane wala aur Azaabe Ilaahi se bachane wala nahi

Shaan e Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه #728

Shaan e Sarkaar
Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#728

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Sarkaar e Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه apne Murshid se sharf e ba'it haasil karne ke baad khud Peero Murshid ke saath bhi aur uske alawa bhi muta'addid (kayi baar) bar Harmain e Shareefain ki ziyarat se mushrraf huwe
Lekin hijri 583 mein jabh aap Makkah Mo'azzama pahuche to ek din Haram e Kaabah mein mashgule ibadat they ke gaib se ek aawaz aayi "Aye Moinuddin! Hum tujhse khush hai aur Humne tujhko bakhsh diya jo kuch chahe Humse maang le Hum ataa karenge.!

Aapne arz ki "Khudawanda! Moinuddin ke mureedine silsila ko bakhsh de"

Irshad huwa "Aye Moinuddin! Tu Hamari Milak(Milkiyat) hai jo Tere mureed aur tere silsile mein ta qayamat mureed honge un sab ko hum bakhsh denge."

# Moinul Arvah Safah No.78.
# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه Safah No. 212.




Sent from my iPhone

Hadees e Mubaraka #728

LAAJ RAKHLE GUNAAH GAAROÑ KI
NAAM REHMAAN HAI TERA YAA RAB
MUJHE AISE AMAL KI DE TAUFEEQ
KE HO RAAZI TERI RAZA YAA RAB

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 728
2 Rajjab 1437 Hijri.

Hazrat e Anas رضي الله عنه se riwayat hai Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ ki maiñe Me'araj ki raat me dekha ki kuch logoñ ke hoñth aag ki kainchiyo se kaate jaa rahe hai Maiñe pucha Jibreel yeh kaun log hai? Unhone kaha yeh Aap ki ummat ke waaiz hai jo logo ko neki ki hidayat karte the aur apne aap ko bhool jaate the yaani khud nek kaam na karte the.

#Mishkat Sharif.

Saturday, April 9, 2016

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #727

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 727.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 03
Aayat No. 114 & 115.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Allah aur pichhle din par Imaan laate haiñ aur bhalayi ka huqm detey aur burayi se manaa karte haiñ
2⃣ Aur nek kaamoñ par daudte haiñ aur ye log layak haiñ ○ Aur wo jo bhalayi kareñ unka haq na maara jayega aur Allah ko maloom haiñ darr waale

▶ Tafseer
1⃣ Aur deen mein mudahanat nahi karte
2⃣ Yahood ne Abdullah Bin Salaam رضي لله عنه aur unke as'haab se kaha tha ki tum deene islam qubool karke tote mein pade to Allah Ta'ala ne unhe khabar di ki wo darjaate Aaliya ke mustahiq huwe aur apni nekiyoñ ki jazaa paayenge Yahood ki bakwaas behuda hai

Shaan e Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه #727

Shaan e Sarkaar
Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#727

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Jab Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ne Hazrat Khwaja Usmaan harwani رضي الله عنه ki ziyarat ki to dekha ki Hazrat ki majlis mein bade bade Aulma aur Mashaeekh Mu'addab baithe huwe hai aur mureedo ki bheed lagi huwi hai, Aap khamoshi se ek goshe mein baith gaye usss waqt Hazrat Usmaan Harwani رضي الله عنه itteba'e sunnat ki ahamiyat samja rahe the jab baat muqammal ho gayi to aap ne farmaya, "Main baag e tauheed ke gul-e-naubahar ki khushbu mehsoos kar raha hu ye keh kar apni jagah se uthe aur safo ko cheerte huwe Sarkaar e Khwaja ka haath pakad kar unhe khada kiya aur seene se lagate hue farmaya:- Marhaba Marhaba khush aamadeed! meri aankho(n) ki thandak Allah tumhe ba-muraad kare, phir majme se farmaya ye Moinuddin Hasan hai
Uske baad Isbaat e Wujood ke mauzu par Sarkaar e Khawaja ko taqreer ka hukm de kar baith gaye.

Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ne tameel e hukm mein ek fasiho baleeg taqreer farmayi log dambakhud ho gaye aur aisa mehsoos kar rahe the jaise imaano ikaan ki baarish ho rahi hai ye silsila azaan e magribh tak chala

Namaz ke baad Hazrat Khwaja Usmaan Harwani رضي الله عنه Aapko Apne hujre mein le gaye aur Silsila e Chishtiya mein dakhil farmaya.

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه, Safah 199.




Sent from my iPhone

Hadees e Mubaraka #727

SONA KITNA HI CHAMAKTA HO
HUZOOR ﷺ KI BAAT YAAD RAKHO
HARAAM KA RASTA MAT CHUNO
BURE AMAL SE BACH KE RAHO

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 727
30 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai Sarwar e Kaunain ﷺ ne mardoñ ko sone ki angoothi se manaa farmaya hai.

#Muslim Sharif.

Friday, April 8, 2016

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #726

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 726.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 725
Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 03
Aayat No. 112 & 113.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
5⃣ Ye isliye ki wo Allah ki aayatoñ se kufr karte aur paigambaroñ ko naa haq shaheed karte ye isliye ki naa farmañbardar aur sarkash the ○ Sab ek se nahi Kitabiyoñ mein kuch wo haiñ ki haq par qaayam haiñ
6⃣ Allah ki aayate padhte haiñ raat ki ghadiyoñ mein aur sajda karte haiñ

▶ Tafseer
5⃣ Shaane nuzool jabh Hazrat Abdullah Bin Salaam رضي لله عنه aur unke as'haab Imaan laaye to ahbaar Yahood ne jal kar kaha ki Muhammed Mustafa ﷺ par hum mein se jo Imaan laaye haiñ wo burey log haiñ aur agar burey na hote to apne baap daada ka deen na chhodte is par ye aayat naazil farmayi gayi Ataa ka qaul hai ki "Min Ahlil kitaabi ummtun qaayima'h" se 40 mard Ahle Nazraan ke 32 Habsha ke 8 Room ke muraad haiñ jo deen e Isawi par the phir Sayyade Aalam ﷺ par imaan laaye
6⃣ Yaani namaz padhte haiñ is se yaa to Namaze Isha muraad hai jo ahle kitaab nahi padhte ya Namaze Tahajjud

Shaan e Sarkar Gareeb Nawaz #726 رضي الله عنه

Shaan e Sarkaar
Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#726

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Eid ka din tha har taraf khushiyo ka mahaul tha
Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ke bachpan ka zamana tha, Aap apne ghar walo ke hamraah nihayat umda aur nafees libas zeb e tan farma kar namaz e eid ke liye eid gaah jaa rahe the raaste mein ek nabeena ladke ko phate purane kapde mein malboos dekha, Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ko uss ki gareebi aur lachari dekh kar bahot dukh huwa. Natije ke taur par aapne apna khubsoorat libas uss gareeb nabeena ladke ko pehna diya aur khud doosre kapde pehan kar usey apne saath eid gaah le gaye.

Ye waqiyaat ki roshni mein ye andaza lagana aasan hai ki Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه bachpan, ahade tifli aur shirkhwargi mein hi nahi balki Khalaki aur Paidaishi Gareeb Nawaz hai.

Ye seefat khaas aap ki hayaat e zaahiri tak hi nahi balki zaahiri parda farmane ke baad bhi aapse kabhi kisi haal maiñ juda naa ho saki.

Chunache aaj bhi aap ussi tarah Gareebo, majbooro, bekaso, mazlumo aur be-saharo ko nazdiko dur se khoob khoob nawazte hai.

Aur In Sha Allah Ta'ala subhe qayamat tak hum gareebo ke liye aap Gareeb Nawaz rahenge.

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه, Safah 184.

# Yahañ Bheek Milti Hai Bey'Gumaan,
Yeh Bade Sakhi Ka Hai Astaan,
Yahan Sabki Bharti Hai Jholiyan,
Yeh Dar e Gareeb Nawaz hai.




Sent from my iPhone

Hadees e Mubaraka #726

SAAF SUTHRE LIBAS PEHNO
APNE QIRDAR KO UJLA KARO
KYA FARMATE HAI HAMARE NABI
ISS BAAT PAR AMAL KARO SABHI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 726
29 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Samura رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ ki ujle kapde pehna karo isliye ke woh bohat accha hota hai.

#Mishkat Shareef.

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #725

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 725.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 03
Aayat No. 112 & 113.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Fir unki madad na hogi unpar jamaa di gayi khwaari jahaañ ho , Amaan na paaye
2⃣ Magar Allah ki dor
3⃣ Aur Aadmiyoñ ki dor se
4⃣ Aur gazabe Ilaahi ke sazawaar huwe aur un par jamaa di gayi mohtaaji

▶ Tafseer
1⃣ Hamesha zaleel hi rahenge izzat kabhi na payenge usi ka asar hai ki aaj tak Yahood ko kahiñ ki saltanat mayassar na aayi jahaañ rahe riaa'ya wa Gulam hi ban kar rahe
2⃣ Thaam kar yaani Imaan laakar
3⃣ Yaani musalmanoñ ki panah lekar aur unhe juzya de kar
4⃣ Chunanche Yahoodi ko maaldaar hokar bhi gina e qalbi muyassar nahiñ hota

〰〰 to be contd.

Shaan e Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه #725

Shaan e Sarkaar
Gareeb Nawaz رضي الله عنه
#725

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Sarkar Gareeb Nawaz رضي الله عنه ki walida farmati hai ke jiss purnoor wa darakhsha subah ko Moinuddin Hasan رضي الله عنه ki wiladat e mubaraka huwi hamare ghar mein ek ajeeb sa noor phail gaya, aur Maine apne ird-gird bahot si noorani soorateiñ dekhi.

Phir Maine apne nau-maulood bacche ki taraf nazar ki to yeh dekh kar hairaan reh gayi ke woh sajde mein pada hai Maine usse pyaar se utha kar apni godh mein le liya phir jabh upar nigah uthayi toh hazaaro noorani soorat aur haseen chehre waloñ ko pare bandhe huwe dekha jin ke libaason se suroor angez khushbu ki lapte aa rahi thi. itne mein ek shakhs ne mujhse mukhatab karte huwe kaha "Aai Khatoon! mubarak ho ki aaj tere ghar Moinuddin ki wiladat huwi hum log iss daur ke aktab-o- abdaal hai aur tujhe khush khabri aur mubarakbaad dene aaye hai." Uske baad ye hazraat nigahon se roo-posh ho gaye.

# Sirat e Khawaja Gareeb Nawaz رضي الله عنه, Safah 182.




Sent from my iPhone

Hadees e Mubaraka #725

APNE LAFZO KI HIFAZAT KARO
MURDO KO BURA BHALA NAA KAHO
KYA FARMATE HAI HAMARE NABIﷺ
ISS BAAT KO GAUR SE SUNLO SABHI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 725
28 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Aisha رضي الله عنها se riwayat hai Huzoor Rasool e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ ke murdo ko bhala bura na kaho.

#Bukhari Shareef.

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #724

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 724.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No.- 04 Ruku - 03
Aayat No. 111.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Wo tumhara kuchh na bigadenge magar yahi satana
2⃣ Aur agar tumse ladeñ to tumhare saamne se peeth pher jayenge

▶ Tafseer
1⃣ Zabaani ta'ano tashni aur dhamki waghairah se . Yahood mein se jo log Islaam laaye the jaise Hazrat Abdullah Bin Salaam رضي لله عنه aur unke humraahi rua'saa Yahoodaan ke dushman ho gaye aur unhe izaa dene ki fikr mein rehne lage is par ye aayat naazil huwi aur Allah Ta'ala ne Imaan laane waloñ ko mutmayin kar diya ki zabani qeel qaal ke siwa wo musalmanoñ ko koi aazar nahi pahoñcha sakenge galba musalmanoñ ko hi rahega aur Yahood ka anjaam zillat wa ruswayi hai
2⃣ Aur tumhare muqable ki taab na laa sakenge ye gaibi khabareñ aisi hi waaqe huwiñ

Wednesday, April 6, 2016

Shaan e Sayyeduna Siddique e Akbar رضي الله عنه Baadaz Ambiya Afzalul Bashar #724

Shaan e Saiyyaduna Siddique e Akbar رضي الله عنه Baadaz Ambiya Afzalul Bashar #724.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Ali e Murataza كرم الله تعالٰی وجهه الكريم se riwayat hai ke jabh Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه ke wisaal ka waqt kareeb aaya to Aapne Hazrat e Ali رضي الله عنه ko apne sirhaane bithaya aur farmaya, aye Ali jabh Main faut hojaau to Mujhe ussi haath se gusl dena jisse tumne RasoolAllah ﷺ ko gusl diya tha aur Mujhe khushbu lagaana aur Mujhe Huzoor ﷺ ke Rauza e Aqdas ke pass le jaana agar tum dekho ke darwaza khul gaya(izazat mil jaye) to Mujhe wahan dafn kar dena warna waapas laa kar ummatul muslimeen ke qabrastaan mein dafn kar dena
taa waqt yeh ke Allah Ta'ala apne bandon ke darmiyaan faisla farma de.

Hazrat Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم farmaate hai ke Maine Aapko gusl aur kafan diya aur Maine sabse pehle Rauza e Rasool ﷺ ke darwaaze par pahuch kar ijazat talab ki,

Maine arz ki Ya RasoolAllah ﷺ Abu Bakr Aapse dakhile ki ijazat maang rahe hai phir Maine dekha ke Rauza e Aqdas ka darwaza khul gaya aur aawaz aayi "Habeeb ko uske Habeeb ke yahan daakhil kardo, beshak Habeeb Mulaqaat e Habeeb ke liye mushtaaq hai."

# Seerat e Halbiya 493:3.
# Tareekh e Damishq 436:30.
# Al Khasais ul Kubra 492:2.




Sent from my iPhone

Hadees e Mubaraka #724

BISMILLAH SHAREEF KI BARKAT
BISMILLAH SHAREEF KI AZMAT
HAI YEH KITNA AALA AUR AFZAL
GAUR SE PADHO AUR KARLO AMAL

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hadees e Mubaraka# 724
27 Jamadil Aakhir 1437 Hijri.

Hazrat e Huzaifa رضي الله عنه se riwayat hai Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ ki jis khane par Bismillah na padhi jaae us khaane ko shaitaan apne liye halaal samajta hai.

#Muslim Shareef.

Tuesday, April 5, 2016

Tarjuma e Kanzul imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #723

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 723.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Aale Imran
Paara No. - 04 Ruku - 03
Aayat No. 109 & 110

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Allah hi ka hai jo kuch aasmanoñ meiñ hai aur jo kuch zameen meiñ hai aur Allah hi ki taraf sab kaamoñ ki ruju'u hai ○ Tum behtar ho
2⃣ Un sab ummatoñ mein jo logoñ meiñ zaahir huwiñ bhalayi ka huqm dete ho aur burayi se mana karte ho aur Allah par Imaan rakhte ho aur agar kitaabi Imaan late
3⃣ to unka bhala tha unme kuch musalman haiñ aur zyada kaafir

▶ Tafseer
1⃣ Aye ummate Muhammed ﷺ shaane nuzool Yahoodiyoñ meiñ se Maalik Bin Saif aur Wahab Bin Yahooda ne Hazrat Abdullah Bin Mas'uud رضي الله عنه wagairah As'haabe Rasoolullah ﷺ se kaha hum tumse afzal haiñ aur hamara deen tumhare deen se behtar hai jiski tum hameñ daawat dete ho is par ye aayat naazil huwi Tirmizi ki hadees meiñ hai Sayyade Aalam ﷺ ne farmaya Allah Ta'ala meri ummat ko gumrahi par jamaa na karega aur Allah Ta'ala ka daste rehmat jama'at par hai jo jama'at se juda ho dozakh mein gaya
2⃣ Sayyade Ambiya Muhammed Mustafa ﷺ par
3⃣ Jaise ki Hazrat Abdullah Bin Salaam رضي الله عنه aur unke as'haab Yahood meiñ se aur najaashi aur unke as'haab Nasaara meiñ se

Shaan e Sayyeduna Siddique e Akbar رضي الله عنه Baadaz Ambiya Afzalul Bashar #723

Shaan e Saiyyeduna Siddique e Akbar رضي الله عنه Baadaz Ambiya Afzalul Bashar #723.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه ne mimbar par chadh kar Allah ﷻ ki hamd o sana ke baad bayaan farmaya, 'Allah ﷻ ki kasam Maiñ kabhi imarat (Khilafat) ka khawaishmand na tha na Mujhe iski ragbat thi aur na hi khufiya ya aylainiya Allah Ta'ala se Maine kabhi iska sawal (Dua) kiya.

Sidq ek amanat hai aur jhoot ek khayanat hai. Tum mein se kamzor shakhs mere nazdeek taqatwar hai jabh tak Maiñ uska haq na le kar du. Aur taqatwar Mere nazdeek kamzor hai jab tak ussey Maiñ haq wasool na kar luñ.

# Aswarequl Mubarraqa 58.




Sent from my iPhone