Friday, April 10, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #365 - Surah Baqrah Shareef Ayat No. 44

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 44

بسم الله الرحمن الرحيم

◀  أَتَأْمُرُونَ النَّاسَ بِالْبِرِّ وَتَنسَوْنَ أَنفُسَكُمْ وَأَنتُمْ تَتْلُونَ الْكِتَابَ ۚ أَفَلَا تَعْقِلُونَ

▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Kya logoñ ko bhalai ka huqm dete ho aur apni jaano ko bhoolte ho halanki tum kitaab padhte ho to Kya tumhe aql nahi.

▶ Tafseer
▶ Shanee Nuzool Aulma e Yahood se unke musalman rishtedaro ne Deen e Islam ki nisbat dariyaft kiya to unhone kaha tum is deen par qayam raho Huzoor ﷺ ka Deen Haq Aur Kalaam sacha hai is par ye Aayat naazil huwi ke qaul yeh hai ki Aayat un Yahudiyo ke haq mein naazil hui jinhone mushrikeen e arab ko Huzoor ﷺ ke mab’oos hone ki khabar di thi aur Huzoor ﷺ ke itteba’a karne ki hidayat ki thi phir jabh Huzoor ﷺ mab’oos huwe to yeh hidayat karne wale hasad se khud kaafir ho gaye is par unhe taubikh ki gayi # Khaazin wa Madarik.

▶Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Shaan e Saiyyaduna Siddique e Akbar رضي الله عنه Day Post #365

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Sayyeduna Siddique e Akbar رضي الله عنه ne apne zahiri wisaal se sirf channd ghante pehle Ummul Mo'mineen Hazrat e Aysha Siddiqua رضي الله عنها se daryaft kiya ki RasoolAllah ﷺ ke Kafan e Mubarak mein kitne kapde they? Aur Aapka zahiri wisaal kis din huwa tha?

Iss sawal ki wajah yeh thi ke Aapki yeh intehaai tamanna thi ke zindagi ke har lamhaat mein toh Maine Apne tamaam muamalaat mein Huzoor e Akram ﷺ ki mubarak sunnato ki muqammal taur par itteba (pairweeh) ki hai, wisaal ke baad kafan aur wisaal ke din bhi Mujhe Aapki itteba e sunnat naseeb hojaye.

Allahu Akbar Allahu Akbar
Kya Aqeedat o Muhabbat hai.

# Bukhari Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

Bahar e Shari'at #365 - Qayamat ka Aagaz

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Qayamat ka Aagaz.

Ab log phirte, phirate, thokare khate, rote, chillate aur duhai dete huwe uss bekas panah mein hazir honge jo Allah ﷻ ke Mehboob Hazrat Muhammed Mustafa ﷺ hai log Sarkar ﷺ ki bahot fazilat bayan karenge aur kahenge dekhiye hum kitni musibato mein hai aap Rabb ke darbar mein hamari shafa'at kar dijiye humko iss musibat se naja'at dilaiye Sarkar ﷺ musibat ke maaro ki fariyad sunenge aur farmayenge,

Tarjama - "Main iss kaam ke liye hu" Main hi wo hu jisse tum tamam jagah dhundh aaye ho"

Yeh farma kar Huzoor ﷺ Allah ﷻ ke darbar mein jaaenge aur sajda karenge Allah Ta'ala irshad farmayega,

Tarjama - "Aye Muhammed (ﷺ) apna sar uthaiye aur kahiye aap ki baat suni jayegi aur jo kuch mangege diya jaaega aur shafa'at kijiye aap ki shafa'at qabool hai"

fb.me/kanzul.imaan.group


Hadees e Mubaraka # 365 - Hadeeth Of The Day

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Hazrat e Huzaifa رضي الله عنه riwayat farmate hai Huzoor Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ mere baad jo do (2) khalifa hai unki iqteda karo, yaani Abu bakr aur Umar (رضي الله عنهم)

# Tirmizi Shareef, Abwaab ul Manaqib, Hadees No 4023.
 


 RASOOLALLAH ﷺ KE BAAD
KHALIFA HAI WOH
HUZOOR ﷺ KA FARMAAN HAI
UNKI IQTEDA KARO
 

Thursday, April 9, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #364 - Surah Baqrah Shareef Ayat No. 42 & 43

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 42 & 43

بسم الله الرحمن الرحيم

1⃣ وَلَا تَلْبِسُوا الْحَقَّ بِالْبَاطِلِ وَتَكْتُمُوا الْحَقَّ وَأَنتُمْ تَعْلَمُونَ
2⃣ وَأَقِيمُوا الصَّلَاةَ وَآتُوا الزَّكَاةَ وَارْكَعُوا مَعَ الرَّاكِعِينَ

▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Haq se baatil ko na milao aur deeda wa danista haq na chupao.
2⃣ Aur Namaz qayim rakho aur zakat do aur ruku karne waalo ke saath ruku karo.

▶ Tafseer
▶ Is aayat mein Namaz wa Zakat ki farziyat ka bayaan hai aur is taraf ishara bhi hai ki Namazo ko unke Huqooq ki Ria’yat aur Arkan ki hifazat ke saath ada karo.
▶ Masla-  Jamaat ki targeeb bhi hai Hadees Shareef mein hai Jamaat ke saath Namaaz parhna tanha parhne se 27 darja zyada fazilat rakhta hai.

▶Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

Shaan e Saiyyaduna Siddique e Akbar رضي الله عنه Day Post #364

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه ne mimbar par char kar Allah ﷻ ki hamd o sana ke baad bayaan farmaya, 'Allah ﷻ ki kasam Main kabhi imarat (Khilafat) ka khawaishmand na tha na Mujhe iski ragbat thi aur na hi khufiya ya aylainiya Allah Ta'ala se Maine kabhi iska sawal (Dua) kiya.

Sidq ek amanat hai aur jhoot ek khayanat hai. Tum mein se kamzoor shakhs mere nazdeek taqatwar hai jabh tak Main uska haq na le kar du. Aur taqatwar Mere nazdeek kamzoor hai jabh tak ussey Main haq wasool na kar lun.

# Aswarequl Mubarraqa 58.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

Bahar e Shari'at #364 - Qayamat ka Aagaz

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Qayamat ka Aagaz.

Issi tarah doosri sazaeiñ hongi inn musibato mein koi puchne wala na hoga bhai bhai se bhagta hoga, maa-baap aulad se picha churaenge, har ek apni musibat mein giraftar hoga koi kisi ka madadgar na hoga.

Allah Ta'ala ka azab bahot sakht hoga aur logo ko hazaro musibat ka samna hoga aur ye musibate 2 - 4 din ya 2 - 4 mahino ki nahi hogi balki qayamat ka din pachaas (50) hazar saal ka hoga.

Hashr ke aadhe din log issi tarah musibato mein rehte huwe apne liye kisi sifarishi ki talash karenge ke woh khudaye zul-jalaal ke samne unki shafa'at kar sake.

Log  musibat ke maare sab Ambiya علیہ السلام ke paas jayenge ke wo sifarish kar de magar koi sifarish naa karenge aakhir mein log Isaa علیہ السلام ke paas jaaenge to wo farmayenge ke tum unke paas jaao jo shafa'at ka darwaza kholenge jinhe koi khauf nahi jo taman Adam ki aulad ke Sardar hai aur wahi khataman-Nabiyyinn hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


Hadees e Mubaraka # 364 - Hadeeth Of The Day

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Hazrat E Anas رضي الله عنه riwayat farmate hai Rasoolallah ﷺ ne Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه se farmaya. Tumhara maal kitna suthhra hai ussise Mera Mu'azzin Bilal hai, aur Meri Oonthni hai jiss par Maine hijrat ki, aur tumne apni Dukhtar mere nikah mein di aur apni jaan wa maal se meri madad ki goya Main tumhe dekh raha hu ke Jannat ke darwaze par khade ho aur meri ummat ke liye shafa'at kar rahe ho.

# Seerat Mustafa Jane Rehmat ﷺ
 


RASOOLALLAH ﷺ KE BAAD
KHALIFA HAI WOH
HUZOOR ﷺ KA FARMAAN HAI
UNKI IQTEDA KARO
 

Wednesday, April 8, 2015

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #363 - Surah Baqrah Shareef Ayat No. 41

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 41

بسم الله الرحمن الرحيم

1⃣  وَآمِنُوا بِمَا أَنزَلْتُ مُصَدِّقًا لِّمَا مَعَكُمْ وَلَا تَكُونُوا أَوَّلَ كَافِرٍ بِهِ ۖ
2⃣  وَلَا تَشْتَرُوا بِآيَاتِي ثَمَنًا قَلِيلًا وَإِيَّايَ فَاتَّقُونِ

▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Imaan laao us par jo Maine Utara uski tasdeeq karta huwa jo tumhare saath hai aur sab pehle uske munqir na bano.
2⃣ Aur Meri aayato ke badle thode daam na lo aur mujhi se daro.

▶Tafseer
1⃣ Yaani Quraan paak aur Taurat wa Injeel par jo tumhare saath hai Imaan lao aur ahle kitaab mein pehle kaafir na bano ki jo tumhare itteba’a mein kufr ikhtiyar kare uska bawal bhi tum par hai.
2⃣ In aayat mein Taurat wa Injeel ki wo aayat muraad hai jinme Huzoor ﷺ ki Naat wa sifat hai, maqsad yeh hai ki Huzoor ﷺ ki naat daulate duniya ke liye mat chupaao ki mata e duniya samaane qaleel aur ne’amate aakhirat ke muqabil be haqeeqat hai.

Shaane Nuzool yeh Aayat Ka’ab bin Ashraf aur doosre ru’sa wa aulma e yahood ke haq mein naazil huwi jo apni qaum ke jaahilo aur kameeno se tak'ey (%) wasool kar lete aur un par saalane muqarrar karte the aur unhone falo aur naqd maalo mein apne Haq muayyan kar liye the unhe andesha huwa ki Taurat mein Jo Huzoor ﷺ ke naat wa sifat hai agar usko zaahir kare to qaum Huzoor ﷺ par Imaan le aayegi aur unki kuch pursish na rahegi ye tamaam munafe jaate rahenge isliye unhone Apni Kitabo mein tagaeer ki aur Huzoor ﷺ ki naat ko badal Daala jab unse log dariyaft karte ki Taurat mein Huzoor ﷺ ke kya ausaaf mazkoor hai to wo chupa leta aur Hargiz na batate is par
ye aayat naazil huwi. #Khaazin waghairah.

▶Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

Shaan e Saiyyaduna Siddique e Akbar رضي الله عنه Day Post #363.

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Sarkaar Sarwar e Kaainaat ﷺ  ke zahiri wisaal e bakamal ke baad baat chali ke Khalifa kaun baney, Ansaar ke log aage aaye aur kaha ke ek shakhs ansaar ka aur ek shakhs muhajireen ka, dono mil kar khilafat chalaein.

Hazrat e Umar Farooque e Aazam رضي الله عنه ne suna to jalaal mein aagaye aur farmaya mujhse baat karo humne Huzoor ﷺ ki zindagi dekhi hai, Humne Islam ko humare saamne failta dekha hai, Humne dekha hai Makkah mein Deen Kaise faila hai, phir Ansaariyo se farmaya kya tumhe nahi pata ki Sarkar ﷺ ne Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه ko logoñ ka imaam banaya tha to tum mein kaun hai jo itna pakiza nafs rakhta ho?
Jo Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه se aage nikal jaaye.

Jab ye kehna tha ki saare Ansari Sahabao رضي الله عنهم ne farmaya "Hum is baat se Allah ﷻ ki panah chahte hai ki hum Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه se aage barhe aur Umar Jo tumne kaha thik kaha".

Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه bhi wahi tashreef farma they Hazrat e Umar رضي الله عنه ne jabh yeh suna Ansari Sahabo se to  sabse pehle apna haath Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه ke haath mein diya aur kaha ki Main sabse pehle Aapke haath par Ba'ait qabool karta hu'n, Yeh Ba'ait karna tha ki piche saare ansaari aur muhajir sahabaon ne Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه ke haath par Ba'ait ki.

# Tafseer e Alam Nashrah, Safah 109.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

Bahar e Shari'at #363 - Qayamat ka Aagaz

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



⏩ Qayamat ka Aagaz.

Qayamat ke din log apni qabr se nange badan nange paav uthenge, koi sawar hoga koi paidal, kafir munh ke bal chalte chalte maidan e hashr mein jaaenge kisi ko farishte ghasit kar le jaaenge kisi ko aag gher kar le jayegi ye hashr ka maidan mulk e shaam(syria) ki zameen par qayam hoga zameen tambe ki hogi uss din suraj 1 meel ki doori par hoga.

Abhi mitti ki zameen hai to pairo mein chhale parte hai to uss waqt jabh tambe ki zameen hogi aur suraj sirf 1 meel ki doori par hoga to uss garmi ka andaza kaun kar sakta hai Allah ﷻ ki panah.

Uss waqt hal yeh hoga ki sar ke bheje khaulte honge itna zyada paseena niklega paseene ko zameen 70 gaj tak sokh legi phir jo paseena zameen naa pi sakegi wo paseena zameen ke uper charte huwe kisi ke takhno, kisi ke ghutno, kisi ki kamar, kisi ke seene, aur kisi ke gale tak pahucha jaaega aur kafir ke to munh tak paseena pahuch jaaega jis mein wo dubkiya khaaega.

Iss garmi mein pyaas ka ye haal hoga ki zabane sookh kar kaanta ho jaaegi aur munh se bahar aa jayegi dil ubal kar gale ko aaenga har ek ko uske gunah ke mutabik saza milegi jisne sone chandi ki zakat naa di hogi uss maal ko garm kar ke uski karwat, peshani, aur peeth par daag diya jayega jisne janwaar ki zakat naa di hogi uske janwar uss din khoob mote taaze hokar aaenge aur uss aadmi ko waha lita kar wo janwar apne sing se marte aur apne pairo se rondhte huwe uss par se uss waqt tak guzarte rahenge jabh tak logoñ ka hisab khatm naa ho.

fb.me/kanzul.imaan.group

Hadees e Mubaraka # 363 - Hadeeth Of The Day

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Hazrat e Ali رضي الله عنه riwayat farmate hai Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ke saath hum tashreef le jaa rahe they Hazrat e Abu Darda رضي الله عنه, Hazrat e Abu Babr رضي الله عنه se aage chal rahe they Sarkaar e Do Aalam ﷺ ne dekha to farmaya piche hojaao Abu Bakr se, aur suno yeh woh hai Ambiya ke baad yeh sabse behtareen shakhs hai aur baad e Ambiya koi inse afzal nahi ke jiss par kabhi suraj tulu huwa ho.

# As Sawaaequl Muharriqah.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


RASOOL AUR AMBIYA KE BAAD JO AFZAL HO AALAM SE
YEH AALAM MEIÑ HAI KISKA MARTABA SIDDIQUE E AKBAR KA
 

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #362 - Surah Baqrah Shareef Ayat No. 40

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 40

بسم الله الرحمن الرحيم

1⃣ يَا بَنِي إِسْرَائِيلَ
2⃣  اذْكُرُوا نِعْمَتِيَ الَّتِي أَنْعَمْتُ عَلَيْكُمْ
3⃣  وَأَوْفُوا بِعَهْدِي أُوفِ بِعَهْدِكُمْ
4⃣  وَإِيَّايَ فَارْهَبُونِ

▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Yaqoob ki aulaad.
2⃣ Yaad karo Mera woh ehsaan jo Maine tum par kiya.
3⃣ Aur Mera Ahad poora karo Main tumhara Ahad pura karunga.
4⃣ Aur khaas mera hi dar rakho.

▶Tafseer
1⃣ Israeel ba-maana Abdullah Ibri Zabaan ka lafz hai ye Hazrate Yaqooob علیہ السلام ka laqab hai #madarik . Qalbi mufassir ne kaha Allah Ta’ala ne Pehle tamam insano ko umooman Dawat di phir unke Mabda’a ka zikr kiya uske baad khususiyat ke saath bani Israeel ko dawat di ye log Yahoodi hai aur yahan se doosra paara shuru hone tak unse kalaam jaari hai Kabhi bamulatafat inaam yaad dila kar dawat  ki jaati hai kabhi khauf dilaya jaata hai kabhi Hujjat kayam ki jaati hai  kabhi unki bad-amali par tobikh hoti hai kabhi   gujishta. Uqubaat ka zikr kiya jaata hai.
2⃣ Ye ehsaan ki tumhare Aaba ko Firaun se najaat dilayi dariya ko faada abr ko saaibaan banaya unke ilawa aur ehsanaat jo aage aate hai un sab ko yaad karo aur yaad karna yeh hai ki Allah Ta’ala ki Ita’at wa bandagi karke Shukr bajaa lao kyuki kisi ne’amat ka shukr na karna hi uska bhulna hai.
3⃣ Yaani tum Imaan wa taa’at baja lakar mera ahad poora karo Main jaza wa sawab dekar tumhara ahad poora karunga is Ahad ka bayan aayat mein hai.
4⃣ Masla - Is aayat mein Shukr ne’amat wa wafa-e-ahad ke waajib hone ka bayan hai aur ye bhi ki momin ko chahiye ki Allah ﷻ ke siwa kisi se na dare.

▶Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group

Shaan e Saiyyaduna Siddique e Akbar رضي الله عنه Day Post #362

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Hazrat e Anas رضي الله عنه bayan farmate hai ke ek yahoodi Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه ki khidmat mein haazir huwa aur kehne laga mujhe Hazrat Moosa علیہ السلاام ki kasam main aapse  mohabbat karta hu Hazrat Siddique Akbar رضي الله عنه ne abhi sar utha kar uss yahoodi ki taraf dekha bhi nahi tha ke Sidra ke Makeen Roohul Ameen Hazrat Jibreel علیہ السلاام Bargaah e RasoolAllah ﷺ mein haazir huwe aur arz kiya ke Allah Ta'ala farmata hai iss yahoodi ko aagah farmaeye ke Allah Ta'ala ne dozakh mein tere liye do (2) cheezon ko utha liya hai
Haathon ki bediyan aur pairoun ki zanjeerein.

Yeh sunte hi yahoodi pukar utha Ashhadu An La Ilaha Illallahu Wa Ash Hadu Anna Mohammadar Rasoolullah ﷺ aur kehne laga Hazrat Siddique Akbar رضي الله عنه se mujhe aur bhi zyada mohabbat ho chuki hai Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ ne farmaya suno Allah Ta'ala ne issi Mohabbat e Siddiq ke sadqe tujhe Imaan ki daulat ata ki aur Jannat ki basharat ata farmadi.

# Nuzhatul Majalis, Safah 5.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

Bahar e Shari'at #362 - Qayamat ka Aagaz

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Qayamat ka Aagaz.

Phir jab Allah ﷻ chahega Israfeel علیہ السلام zinda kiye jaaenge aur soor ko paida kar ke dubara phukne ka hukm hoga soor phukte hi tamam pehle aur baad wale insan, jinnat, haiwanat, farishte maujood ho jaaenge.

Sab se pehle Nabiyo ke Sardar Allah ke Mehboob hum sab ke Aaqa wa Maula Madeene ke Tajdar Janab e Ahmed e mujtaba Muhammed Mustafa ﷺ apne Rauza e Mubarak se iss shaan se niklenge unke dahine haath mein pehle khalifa Hazrat e Abu Bakr Siddique رضي الله عنه aur baaye haath par doosre khalifa Hazrat e Umar Farook e Aazam رضي الله عنه ka haath hoga phir Makkah Shareef aur Madeena Shareef ke qabro mein jitne ahle iman musalman dafn hai sab ko apne saath lekar hashr ke maidan mein tashreef laaenge.

⏩ Aqeeda :~ Qayamat beshak qayam hogi aur iska inkar karne wala kafir hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

Hadees e Mubaraka #362 - Hadith Of The Day

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Huzoor Daafa ul Balaa Wal-Wabaa ﷺ irshad farmaate haiñ aye Abu Bakr! Allah Ta'ala ne tumhara naam Siddique rakha hai.

# Kanzul Ummal Hadees No 32615.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


JISNE APNAYI HUZOOR ﷺ KI SEEKH
ALLAH ﷻ NE BULAYA UNKO SIDDIQUE
WOH PEHLE KHALIFA KI UÑCHI HAI SHAAN
ABU BAKR SIDDIQUE رضي الله عنه HAI UNKA NAAM
 


Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #361 - Surah Baqrah Shareef Ayat No. 38 & 39

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 38 & 39

بسم الله الرحمن الرحيم

1⃣ قُلْنَا اهْبِطُوا مِنْهَا جَمِيعًا ۖ فَإِمَّا يَأْتِيَنَّكُم مِّنِّي هُدًى فَمَن تَبِعَ هُدَايَ فَلَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُونَ
2⃣ وَالَّذِينَ كَفَرُوا وَكَذَّبُوا بِآيَاتِنَا أُولَـٰئِكَ أَصْحَابُ النَّارِ ۖ هُمْ فِيهَا خَالِدُونَ

▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Humne Farmaya tum jannat se utar jao phir Agar tumhare paas meri taraf se koi Hidayat aaye to jo meri Hidayat ka pairo Huwa usse na koi andesha na kuch gamm.
2⃣ Aur woh jo kufr Karenge aur meri aayateiñ jhootlayenge woh dozakh wale hai unko hamesha usme rahna.

▶ Tafseer
▶Ye momineen Saliheen ke liye basharat hai ki unhe Faja E Akbar ke waqt Khauf ho na aakhirat mein gamm woh be gamm Jannat mein Dakhil honge.

▶Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

Bahar e Shari'at #361 - Qayamat ki Nishaniya. ⏩ Suraj ka paschim se nikalna

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



⏩ Qayamat ki Nishaniya.
⏩ Suraj ka paschim se nikalna.

Iss nishani ke zaahir hote hi tauba ka darwaza bandh ho jaaega agar koi uss waqt islam qabool karna chahe to uska islam qabool naa kiya jaaega

Hazrate Isaa علیہ السلام ke zahiri wisal ke ek zamane ke baad jab qayamat qayam hone ko sirf 40 saal baki rahenge to ek khushbudar thandi hawa chalegi jo logo ki baglo se guzregi iska natija ye hoga ke musalmano ki rooh qabz ho jayegi sirf kafir bachenge aur unhi par qayamat qayam hogi ye kuch nishaniya batayi gayi jinn mein se kuch zahir ho chuki kuch zahir hona baaki hai.

Fir ek waqt aaega log apne apne kaamo mein lage honge ki achanak Hazrat e Israfeel علیہ السلام soor phukenge pehle aawaz dhire hogi fir barhegi log kan laga kar wo aawaz sunenge aur sunte hi behosh ho kar girenge aur mar jaaenge Aasman, Zameen, Pahad, Chand, Suraj, Sitare, Soor, Israfeel علیہ السلام aur tamam farishte sab fana ho jayenge uss waqt siwaye Khuda e zul jalaal ke koi naa hoga.

fb.me/kanzul.imaan.group
 

Monday, April 6, 2015

Hadees e Mubaraka 361 Hadith Of The Day

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Hazrat e Abdullah bin Umar رضي الله عنه riwayat farmate haiñ RasoolAllah ﷺ irshad farmate haiñ jab Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه ki wiladat huwi to Allah Ta'ala ne jannat se mukhatib ho kar farmaya 'Mujhe apni izzat o jalal ki kasam! Aye Jannat! Main tujh meiñ unhi khush naseeboñ ko daakhil karuga jo iss nau maulood se muhabbat karne waale hoñge.

# Tareekh Damishq, Jild 13, Safah 69.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


UNKA MARTABA KITNA UÑCHA
KITNI UÑCHI HAI UNKI SHAAN
UNSE MUHABBAT KARNE WALA
JANNAT MEIÑ JAYEGA WOH INSAAN
 


Shaan e Sayyeduna Siddique e Akbar رضي الله عنه .Day Post 361

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Hafiz Umar Ibne Muhammad Maala ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ apni seerat mein Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضي الله عنه se riwayat ki Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضي الله عنه ne farmaya Maine Huzoor e Akdas Sayyed e Aalam ﷺ ko Ameer ul Mo'amineen Hazrat Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم ke saath khade dekha itne mein Hazrat Siddique e Akbar رضي الله عنه tashreef laaye to Huzoor PurNoor ﷺ ne unse musafah farmaya aur galey lagaya aur unke dahaan par bosa diya.

Moula Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم ne arz ki kya Huzoor ﷺ Abu Bakr رضي الله عنه ka Muh Chumte hai? Farmaya aye Abul Hasan, Abu Bakr ka martaba Mere yaha aisa hai jaisa Mera martaba Mere Rabb ke Huzoor.

# Sirat e Mustafa Jaan e Rehmat ﷺ

fb.me/kanzul.imaan.group
 


Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #360 Surah Baqrah Shareef Ayat No. 37

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 37

بسم الله الرحمن الرحيم

◀ فَتَلَقَّىٰ آدَمُ مِن رَّبِّهِ كَلِمَاتٍ فَتَابَ عَلَيْهِ ۚ إِنَّهُ هُوَ التَّوَّابُ الرَّحِيمُ

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Fir seekh liye Aadam ne Apne Rab se kuch kalime to Allah ne uski Tauba Qubool ki. Beshaq wahi hai bahot Tauba Qubool karne wala Meharbaan.

▶ Tafseer
▶ Hazrate Aadam علیہ السلام  ne zameen par aane ke baad 300 baras tak Hayaa se aasman ki taraf sar na uthaya agarche Hazrate Dawood علیہ السلام Kaseerulbuka the aapke aansu tamam zameen walo ke aansuoñ se zyada hai magar Hazrat Aadam علیہ السلام is kadar roye ki aapke aansu Hazrat Daood علیہ السلام aur tamam ahle zameen ke majmuaa se badh gaye. #Khazin. Tibrani wa haakim wa Abu Naim wa Behaki ne Hazrat Ali رضي الله عنه se marfuan riwayat ki hai jab Hazrat Aadam علیہ السلام par Aitab huwa to aap fikre tauba mein hairan the is pareshani ki aalam mein yaad aaya ki waqte paidaish maine sar utha kar dekha tha ki Arsh par likha hai “ لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ ﷺ
‘Main samjha tha ki Baargahe Ilahi mein wo rutba kisi ko muyassar nahi jo Hazrat Muhammed ﷺ ko hasil hai ki Allah Ta’ala ne unka naam apne name aqdas ke Saath arsh par Maktub farmaya lihaza aapne apni Dua mein Yani Yaa Rab Main Tujhse Tere Banda e Khaas Muhammed Mustafa ﷺ. ke jaah wa martabat ke tufail mein aur us karamat ke sadqe mein jo Unhe tere darbar mein hasil hai Magfirat chahta hu. Ye dua karni thi ki Haq Ta’ala ne unki magfirat farmayi.
▶ Masla- Is riwayat se sabit hai ki Maqbulane Bargah mein waseela se dua Bahaqqe fala aur bajahe fala keh kar mangna aur Hazrat Aadam علیہ السلام ki Sunnat hai.
▶ Masla-  Allah Ta’ala par Kisi ka Haq Wajib nahi hota lekin wo apne Maqbooloñ ko apne fazl wa karam se haq deta hai isi tafazule e haq ke wasile se dua ki jaati hai sahi ahadees se ye sabit hai jaise Hazrat Aadam علیہ السلام ki tauba 10vi Muharram ko Qubool huwi Jannat ke ikhraj ke waqt aur ne’amato ke sath arabi zaban bhi aapse salb karli gayi thi bajaye iske zabane mubarak par suryani jaari kar di gayi thi qaboole tauba ke baad phir Zabane Arabi ata hui . #fatahul Azeez.
▶ Masla- Tauba ki Asl Rajoo-ilallah hai uske teen ruqn hai, ek Aiterafe zurm , Doosra Nadamate jurm aur teesra Azme Tarq agar gunah Kabile talaafi ho to uski talafi bhi laazim hai, Maslan tarike salat ki tauba ke liye pichli namazoñ ki qaza padhna bhi zaroori hai tauba ke baad Hazrat Jibrail علیہ السلام ne zameen ke tamam jaanwaro mein Hazrat Aadam علیہ السلام ki Khilafat ka ailaan kiya aur sab par unki farmabardari laazim hone ka hukm sunaya sab qaboole ita’at ka izhar kiya. # fatahul Azeez.

▶ Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group


Shaan e Sayyeduna Siddique e Akbar رضي الله عنه .Day Post 360

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Ek martaba Sayyeduna Siddique e Akbar رضي الله عنه Bargaah e Risalat ﷺ mein iss haal mein haazir huwe ki Aapke Jism e Mubarak par kurte ki jagah ek phata huwa kambal tha jiss mein button ki jagah kaante lage huwe they.

Hazrat Jibreel علیہ السلاام Bargaah e Risalat ﷺ mein haazir huwe aur yun arz kiya: "Abu Bakr ka kya haal hogaya ki maaldari mein fakirana libaas pehne huwe hai"

Huzoor Shafi e Mehshar ﷺ ne irshad farmaya Abu Bakr ne apne tamaam maal mujh par aur mere raaste par kharch karke muflis hogaye hai,

Hazrat Jibreel علیہ السلاام ne arz kiya " Allah Ta'ala ne Abu Bakr ko Salam kaha hai aur pucha hai ki Abu Bakr iss fakirana libaas mein Mujhse Raazi hai yaa naraaz?

Hazrat Siddique e Akbar رضي الله عنه ne yeh suna toh kaifiyat e wajd taari hogayi aur aalam e sarmasti mein buland aawaz se baar baar kehne lage ki "Main Apne Rabb se Raazi hu, Main Apne Rabb se Raazi hu"

# Tafseer e Azizi.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


Bahar e Shari'at #360 - Qayamat ki Nishaniya. ⏩ Da'abbatul ard ka nikalna

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Qayamat ki Nishaniya.
⏩ Da'abbatul ard ka nikalna.

Da'abbatul ard ek aisa janwar hoga jiske haath mein Hazrat e Moosa علیہ السلام ka Asaa(lathi) aur Hazrat e Sulema علیہ السلام ki anghuthi hogi wo uss Asaa Mubarak se har musalman ki peshani par ek noorani nishan banaaega aur anghuthi se har kafir ke maathe ek bahot bada kala dhabba banaaega.

Uss waqt saare musalman aur kafir saaf zahir honge musalmano aur kafiro ki ye nishaniya kabhi na badlegi jo kafir hai wo kabhi Imaan na laaega aur jo Momin hai wo hamesha Imaan par qayam rahega.

fb.me/kanzul.imaan.group

Hadees e Mubaraka 360 (Hadith Of The Day)

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Hazrat Ali e Murtuza كرم الله تعالٰی وجهه الكريم riwayat farmaate hai Nabi e Kareem ﷺ irshad farmaate haiñ Allah Ta'ala ne Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه ka naam Siddique aasmaan se naazil farmaaya hai.

# Tareekh e Damishq, Jild 13, Safah 52.

fb.me/kanzul.imaan.group

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #359 Surah Baqrah Shareef Ayat No. 36

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 36

بسم الله الرحمن الرحيم

1⃣فَأَزَلَّهُمَا الشَّيْطَانُ عَنْهَا فَأَخْرَجَهُمَا مِمَّا كَانَا فِيهِ ۖ
2⃣ وَقُلْنَا اهْبِطُوا بَعْضُكُمْ لِبَعْضٍ عَدُوٌّ ۖ
3⃣ وَلَكُمْ فِي الْأَرْضِ مُسْتَقَرٌّ وَمَتَاعٌ إِلَىٰ حِينٍ



▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ To Shaitaan ne Jannat Se unhein lagzish di aur jahan rehte the waha se Unhe alag kar diya.
2⃣ Aur Humne farmaya Niche utaro.
3⃣ Aapas mein ek tumhara Doosre ka dushman aur tumhe ek waqt tak zameen mein thaharna aur baratna hai.

▶ Tafseer
1⃣ Shaitan ne kisi tarah Hazrat Aadam Wa Hawwa علیہ السلام  ke paas pahuch kar kaha ki main tumhe shajare Khuld bata du. Hazrate Aadam علیہ السلام ne inkar farmaya usne kasam khayi ki main tumhara Khair-khwah hu unhe Khayal huwa ki Allah Pak ki jhooti kasam kaun kha sakta hai bayi khayal (isi khayal ke bina par ) Hazrate Hawwa ne usme se  kuch khaya phir Hazrate Aadam علیہ السلام ko diya Unhone bhi tanawool kiya Hazrate Aadam علیہ السلام ko khayal huwa Ki Laa-taq-Raba. ki nahi tanzeehi hai tahreemi nahi kyuki agar wo tahreemi samajhte to hargiz aisa na karte ki Ambiya Masoom hote hai yahan Hazrate Aadam  علیہ السلام se ijtehaad mein khata huwi aur khataye ijtehaadi ma’asiyat nahi hoti.
2⃣ Hazrate Aadam wa Hawwa علیہ السلام aur unki jurriyat ko jo unke salb mein thi Jannat se zameen par jaane ka huqm huwa Hazrate Aadam علیہ السلام  zameen e hind mein sarandeep ke Pahado par aur Hazrate Hawwa Jeddah mein utare gaye. #Khazin. Hazrate Aadam علیہ السلام ki barkat se zameen ke Ashjaar mein pakeeza khushboo paida huwi. # Roohul Bayan
3⃣ Isme Ikhtitaame umr yani maut ka waqt muraad hai aur Hazrate Aadam علیہ السلام ke liye basharat hai ki wo duniya mein sirf itni muddat ke liye hai uske baad phir unhe Jannat ki taraf Rujoo farmana hai aur aap ki aulad ke liye ma’aad par dalalat itni hai ki duniya ki zindagi muayyan waqt tak hai umr tamam hone ke baad unhe aakhirat ki taraf Rujoo karna hai.

▶Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group


KOI UNKO SIDDIQUE MAANE NA MAANE
DIYA HAI MAGAR UNKO RUTBA KHUDA NE
WOH SIDDIQUE E AKBAR HAI JINKA LAQAB
WOH PEHLE KHALIFA JINKI SHAAN HAI ALAG

Shaan e Sayyeduna Siddique e Akbar رضي الله عنه .Day Post 359

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Hijrat ke mauke par Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه gaar e saur mein Aaqa e Kareem ﷺ se pehle daakhil huwe, ta'ake kisi nagahani uftaad ko khud par daal lein aur RasoolAllah ﷺ ko takleef na ho.

Gaar mein daakhil hone par RasoolAllah ﷺ ne unki godh mein Apna Sar rakh kar aaram farma rahe they aur ek surakh ke andar ka saanp bari shiddat se Hazrat e Abu Bakr رضي الله عنه ko dank marta magar Aap bilkul harkat na karte, Lekin Aapke aansu beh kar Sarkaar Rehmat e Aalam ﷺ ke Chehra E Aqdas par girr pare.

Aaqa e Kareem ﷺ ne pucha kya baat hai Abu Bakr to Aapne arz ki Mere maa baap Aap par fida ho, Mujhe saanp ne dank maara hai,  Tabh RasoolAllah ﷺ Apna Luhaab e Dehan unke pair par lagaye aur fauran takleef jaati rahi.

# Al Mawahib, Jild 1, Safah 149.
# Madarijun Nabuwah, Jild 2, Safah 58.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


Bahar e Shari'at #359 - Qayamat ki Nishaniya. ⏩ Yajooj Majooj ka nikalna

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Qayamat ki Nishaniya.
⏩ Yajooj Majooj ka nikalna.

Yajooj Majooj ke marne ke baad jab pahad se hazrat Isaa علیہ السلام utrenge to saari zameen par unhe Yajooj Majooj ki lashe milengi ke ek balisht zameen bhi khali nahi milegi fir Hazrate Isaa علیہ السلام aur unke saathiyo ki dua se Allah ﷻ kuch parinde bhej dega jo unki lasho ko Allah ﷻ jahañ chahega waha phek aayenge aur unke teer kaman musalman 7 saal tak jalaaenge.

Phir aisi barish hogi ke zameen ko hamwar kar ke chhoregi jis se phal(fruits) paida honge Allah ﷻ ke hukm se zameen aur aasman se itni barkat nazil hogi ke ek anaar se puri jamat ka pet bhar jayega aur chhilke ke saaye mein 10 aadmi beth payenge dudh mein itni barkat hogi ke ek oonthni ka dudh puri jamat ke liye kafi hoga.

Uske baad ek aisa waqt aayega ke Allah ﷻ ke hukm se aisa dhuaa zahir hoga ke zameen se aasman tak andhera hi andhera hoga.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


Hadees e Mubaraka 359 (Hadith Of The Day)

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


RasoolAllah ﷺ irshad farmate haiñ momin jabh gunaah karta hai to uske qalb par siyaah daagh lag jaata hai, agar woh tauba o astagfaar karey to uska qalb saaf hojata hai, aur agar zyada gunaah karey to yeh siyaahi badhti jaati hai yahan tak ke poora dil siyaah hojata hai, yahi woh zung hai jiska Allah Ta'ala ne zikr farmaya ke 'unke burey aamaal ne unke diloñ par zung laga diya.

# Tirmizi Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #358 Surah Baqrah Shareef Ayat No. 35

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 35

بسم الله الرحمن الرحيم

1⃣ وَقُلْنَا يَا آدَمُ اسْكُنْ أَنتَ وَزَوْجُكَ الْجَنَّةَ          وَكُلَا مِنْهَا رَغَدًا حَيْثُ شِئْتُمَا وَلَا تَقْرَبَا هَـٰذِهِ
2⃣ الشَّجَرَةَ فَتَكُونَا مِنَ الظَّالِمِينَ

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Humne Farmaya Aye Aadam tu aur teri biwi Is jannat mein raho aur Khao is mein se be rok tok jahan Tumhara Jee chahe magar is ped ke paas na jana ki.
2⃣ Hadd se badhne walo mein ho jaaoge.

▶ Tafseer
1⃣ Isse Gandoom ya Angur waghairah Muraad hai. #Jalalain
2⃣ Zulm ke mana hai kisi shay ko be mahal waja’a karna ye mamnoo hai aur Ambiya maasoom hai unse gunah sarzad nahi hota yahan zulm khilafe aula ke mana mein hai.
▶ Masla- Ambiya علیہ السلام ko zaalim kehna ihanat wa kufr hai jo kahe wo kaafir ho jayega Allah Ta’ala Maliq wa Maula hai jo chahe farmaye isme unki Izzat hai doosre ki kya majaal ki khilafe adab kalima zaban par laaye aur khitabe Hazrate Haq ko apni jur’rat ke liye Sanad banaye hamein Tazeem wa Tauqeer aur adab wa Taa’at ka huqm farmaya hum par Yahi  laazim hai.

▶ Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group


NA BARHAAO APNE GUNAAH KABHI
KISNE KAHA MAAFI MILTI NAHI
DIL PE JO DAAG HAI MITAALO ABHI
KHUDA SE REHMAT MAANGLO SABHI

Bahar e Shari'at #357 - Qayamat ki Nishaniya. ⏩ Imam Mehndi رضي الله عنه ka daur

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


⏩ Qayamat ki Nishaniya.
⏩ Imam Mehndi رضي الله عنه ka daur.

Duniya mein jab sab jagah se Islam simat kar Makkah Shareef aur Madeena shareef mein pahuch jaaega uss waqt saare Abdaal aur Auliya hijrat karke wahi pahuch jaenge saari zameen qabrastan hogi Ramazan Shareef ka mahina hoga Abdaal Kaaba Shareef ka tawaf karte honge Hazrate Imam Mehndi رضي الله عنه bhi wahi honge auliya unhe pehchan kar unse ba'it ke liye kahenge to aap inkar karenge aur gaib se awaz aayegi,

Tarjama:- "Ye Allah ke wali Mehndi hai inki baat suno aur inka hukm maano."

Phir tamam log Aapke Dast e Mubarak par ba'it honge aur Imam Mehndi رضي الله عنه sabko apne saath lekar mulk e shaam (syria) tashreef le jaaenge.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


Shaan e Sayyeduna Siddique e Akbar رضي الله عنه .Day Post 358

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Hazrat e Siddique e Akbar رضي الله عنه ka ek laqab "Ateek" bhi hai,

Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate haiñ jo chahta hai ke aise shakhs ko dekhe jo jahannam se aazad hai to ussey chahiye ke Abu Bakr رضي الله عنه Ko Dekhe. #Tirmizi Shareef.

Baaz riwayat mein hai ke Husn o Jamaal ki wajah se Aapka laqab Ateek huwa,
Baaz riwayat mein hai ke Aapka laqab Ateek isliye huwa ke Aapke nasab mein koi baat aisi na thi ke jisse Aap par aaib lagaya jaata kyuke Aap pehle hi se khair par they.

# Madarijun Nabuwwah, Jild 2, Safah 914.

fb.me/kanzul.imaan.group

Bahar e Shari'at #358 - Qayamat ki Nishaniya. ⏩ Yajoo Majooj ka nikalna

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



⏩ Qayamat ki Nishaniya.
⏩ Yajoo Majooj ka nikalna.

Allah ﷻ ka Hazrat e Isaa علیہ السلام ke liye hukm hoga ke musalmano ko koh e toor(ek pahad ka naam) par le jao kyuki kuch aise log zahir honge jinse ladne ki kisi mein takat na hogi.

Jabh Hazrat e Isaa علیہ السلام musalmano ko koh e toor par le jaaenge to Yajooj Majooj niklenge ye itne zyada hoge ke 10 meel ki nadi (river) ya jheel se unki pehli jamat guzregi to uss jamat ke log uss nadi ya jheel ko paani peekar sukha denge baad mein aane walo ko aisa malum hoga ke kabhi yaha pani tha hi nahi.

Yeh Yajooj Majooj jabh duniya mein qatl aur garat se fursat paenge to kahenge ke zameen waloñ ko qatl kar chuke ab aasman walo ko qatl kiya jaye aur wo apne teer aasman ki taraf phekenge Allah ﷻ ki qudrat se unke teer khoon se bhare huwe girenge ye apni harkato mein mashgul honge aur waha pahad par Hazrat Isaa علیہ السلام apne saathiyo ke saath dua farmayenge ke Allah Ta'ala unki gardano mein kode paida kar dega ki ek dum mein sab mar jaaenge.

fb.me/kanzul.imaan.group
 


Hadees e Mubaraka 358 (Hadith Of The Day)

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ banda kehta hai mera maal, mera maal, jab ke uska maal sirf 3 cheezeiñ hai,
1⃣ Jo khaa kar khatam kar diya.
2⃣ Ya pehen kar galaa diya.
3⃣  Ya to Allah ﷻ ki raah meiñ kharch karke jama kar diya aakhirat ke liye, iske siwa jo bhi hai woh jaane wala hai aur ahl o ayaal ke liye chhorna hai.

# Muslim Shareef.

fb.me/kanzul.imaan.group
 



Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #357 Surah Baqrah Shareef Ayat No. 34

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Surah Baqrah Shareef
Ayat No. 34

بسم الله الرحمن الرحيم

◀ وَإِذْ قُلْنَا لِلْمَلَائِكَةِ اسْجُدُوا لِآدَمَ فَسَجَدُوا إِلَّا إِبْلِيسَ أَبَىٰ وَاسْتَكْبَرَ وَكَانَ مِنَ الْكَافِرِينَ


▶Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur Yaad karo jab Humne Farishto ko Huqm diya ki Aadam Ko sajdah karo to sabne sajdah kiya siwaye iblees ke, ki munqeer huwa aur guroor kiya aur Kaafir ho gaya.

▶ Tafseer
▶ Allah Ta’ala ne Hazrate  Aadam علیہ السلام ko Tamam moujudat ka namuna aur Aalame Roohani wa jismani ka majma banaya aur malaika ke liye husoole kamalat ka waseela kiya to unhe hukm farmaya ki Hazrat Aadam علیہ السلام  ko Sajdah kare Kyuki Isme Shukr guzari aur Hazrate Aadam علیہ السلام ki fazeelat ke aiteraf aur apne ma'qulah ( Farishto ki kahi hui baat ) ki ma’azarat ki shaan payi jati hai, Baaz mufassireen ka qaul hai ki Allah Ta’ala ne Hazrat Aadam علیہ السلام ko paida karne se pehle hi  Sajdah ka Huqm tamam malaika ko diya  gaya tha. #Bezawi.
Sajdah ka huqm tamam malaika ko diya gaya tha yahi Asah hai # khazin
▶Masla- Sajdah do tarah ka hota hai, ek Sajda e Ibadat jo bakasade parshist kiya jata hai Doosra Sajda e Tahiyyat jisme masjood ki tazeem manzoor hoti hai na ki ibadat.
▶Masla- Sajda e ibadat Allah Ta’ala ke liye khaas hai kisi aur ke liye nahi ho sakta na kisi shari'at mein kabhi jayaz huwa yahan jo mufassireen Sajda e Ibadat muraad lete hai wo farmate hai ki Sajdah Khaas Allah Ta’ala ke liye tha Aur Hazrat Aadam علیہ السلام Qibla banaye gaye the to wo masjood ileh the na ki masjood lahu. magar ye qaul zayeef hai kyun ki is sajdah Se Hazrate Aadam علیہ السلام Ka fazl wa sharaf zaahir farmana maqsad tha aur masjood ilaih ka saajid se afzal hona kuch zaruri nahi jaisa ki Kaaba Muazzama Huzoor ﷺ  ka Qibla wa Masjood ilaih hai, bawajood ki Huzoor ﷺ usse afzal hai, doosra qaul ye ki yahan sajda e ibadat na tha Sajda e Tahiyyat tha aur khaas Hazrate Aadam علیہ السلام ke liye tha Zameen par peshani rakh kar tha na ki sirf jhukna yahi qaul sahi hai aur isi par jahoor hai. #madarik
▶Masla- Sajda E tahiyyat pahli Shariato mein jayaz tha Hamari Shariat mein Mansukh kiya gaya ab kisi ke liye jayaz nahi hai kyuki jabh Hazrate Salman رضي الله عنه ne Huzoor e Aqdas ﷺ ko Sajdah karne ka irada kiya to Huzoor ﷺ  ne farmaya ki Makhlooq ko na chahiye ki Allah Ta’ala ke siwa kisi ko sajdah kare #madarik. Malaika mein sabse pehle sajdah karne wale Hazrate Jibrail علیہ السلام hai phir Mikayil علیہ السلام phir israfil علیہ السلام phiir izrayil علیہ السلام phir aur malaikaye mukarrabin ye Sajda Jumaa ke roz Waqte jawal se asr tak kiya. Ek qaul ye bhi hai ki Malaika Mukarrabin 100 baras aur ek qaul me 500 baras sajdah me rahe, shaitan ne Sajdah na kiya  aur barahe takabbur ye aitekad karta raha ki wo Hazrate Aadam علیہ السلام se afzal hai uske liye sajdah ka hukm Maaz’Allah khilafe hiqmat hai aur is aitekade baatil se wo kaafir ho gaya.
▶Masla- Is aayat mein dalail hai ki Hazrate Aadam علیہ السلام farishto se afzal hai ki unse unhe sajdah karaya gaya.
▶Masla- Takabbur nihayat Khabees hai isse kabhi mutakabbir ki naubat Kufr tak Pahochti hai  # bezawi wa jamal.

▶Note-: Quraan e paak ki aayato ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

fb.me/kanzul.imaan.group


KHAAYA PIYA AUR PEHNA
ACCHOÑ SE RAHA ACCHA
KUCH DEEN KA BHI KARLE
DUNIYA KA HAI KYA KARNA