Sunday, March 29, 2015

Sawaal o Jawaab Bazabaani Huzoor Tajush Shariah Damat Barakatuhu Alia 226

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


27 MUHARRAM 1436 hijri.

Sawaal :
Sunniyon mein ab ye Aam ho chuka hai K wo Rabi al-Awwal Sharif ko Maah-e-Noor ya Rabi' an-Noor kehte hain jis par Milad Sharif aur Sarkar ki Nooraniyat k munkir Aetraz karte nazar aatae hai k Sunni Hazraat ab Islami Maah k Asal Naam bhi badalne lage hai. Rahnumai farmaen.

Jawaab :
Huzoor Taajush Shari'ah ki mubaarak aawaz me samat farmayeٌ.

Live weekly question & answer session with Huzoor Taajush Shari'ah every sunday 9pm to 10pm at www.jamiaturraza.com

Shaan e Ahle Bait 226 - Shahadat e Shahenshah e Shaheedan Imam e Hussain رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Shahadat e Shahenshah e Shaheedan Imam e Hussain رضي الله عنه

Imam Hussain رضي الله عنه ne samajh liya ke abh hujjat qayem ho gayi aur yazeedi mere khoon se apne haathon ko rangeen karke hi dam lenge to aapne irshad farmaya 'tum log jo iraada rakhte ho woh poora karo aur jise chaaho mere muqaable ke liye bhejo'. ibne saad ne mashoor aur bade bade pehelwaan aur maidane jung ke maahiron ko sambhal rakha tha ke jo Shere Khuda ke Sher se muqaabla kar sake, un meinse sabse pehle Tameem bin qahtba, yazeed abtahi, badar ka beta, badar bin sohel yamani, shaam o iraq ke bade pehelwan. Yeh sab naam cheen pehelwaan the aur ye sab bade guroor se aur itraate jhoomte huwe aaye or apne anjaam ko pahuche.

 Kisi ka ek hi waar mein sar jisam se uda kar uska ghamand khaak mein mila diya to kisi ne apni badhaai maari aur Imam se badkalaami ki to ek do petre mein hi uski kamar par aisa waar kiya ke uske kamar se hi 2 tukde kar diye. Kisi pehelwaan ne apni taaqat bataane ke liye apne bete ko bheja to beta bhi kho diya aur baad mein josh mein aakar khud bhi maidaan mein aa kar apni jaan se bhi haath dho baitha. Kisiko seene mein nezah maara aur aar paar nikaal diya, To kisi ko nezeh ki nok par utha kar zameen par patak diya, To kisiko zameen par patak kar ghode ki taapon se rond daala.

 Qul milaa kar Imam ne bade bade bahadur aur naamwar pehelwaano aur unke beton ko thikaane laga kar laashon ka dhair laga diye. Aapki yeh bahaaduri shuja'at dekh kar yazeedi lashkar mein shor huwa ke is tarah to ye ham sabke hausle bhi tod denge aur humare bohot se logon ko qatl kar denge, tab in zaalimon ne hazaaron log mil kar Imam ko chaaron taraf se gher liya aur pachaaso talwaarein aur neze ek saath takraaye fir bhi Haidari Talwaar ka jalaal kam na huwa aur dushmano ke sar udte dikhayi diye.

Abh ibne saad ne teeron ki baarish karwa di aur hazaron teer ek saath Imam ki taraf barse aur Aapko aur aapke ghode ko zakhmon se choor choor kar diya, aur ek teer zeher mein dooba huwa aapki muqaddas peshaani mein laga jahan Nabi e Kareem ﷺ ﷻ chooma karte the, teer lagte hi aapka chehra e zaiba khoon se tar ho gaya aur ghode se zameen par aagaye aur phir sajde mein chale gaye aur Allah ﷻ  ka shukr ada kiya aur sayyedush Shahudah ki rooh parwaaz kar gayi.

56 saal 5 mahine 5 din ki umr shareef mein Juma ke din muharram ki 10 tareekh ko hijri 61 aur angrezi calender ke mutabiq 680 mein Imam ne is daare faani se rehlat farmaayi.

nazar bin kharsha ne Imam ka sare aqdas jisam mubarak se alag karne ke liye aage badha lekin Imam ki haibat se uske haath kaanp gaye aur haath se talwaar chooth gayi, phir azali badbakht khuli bin yazeed, sanaan bin anas, shibal bin yazeed, ya shimar ne aapke Sar e Aqdas ko jism se alag kar diya.

Shehashaah e Shaheedan Ho Anookhi Shaan Waale Ho,
Hussain Ibne Ali Tum Par Shahaadat Naaz Karti Hai.

 رضي الله عنهم

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ

# Khutubaat e Muharram.
 

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 226 - Qaide mein hone wali galti aur sajda e sahw

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Qaide mein hone wali galti aur sajda e sahw.

 Farz namaaz mein agar aakhri qaida bhool gaya aur khada ho gaya to jabh tak uss rakat ka sajda na kiya ho to qaide mein wapas laut aaye aur sajda e sahw kare.
 Agar imam aakhri qaide mein attahiyyaat padhne ke baad bhool kar sidha khada ho gaya to muqtadi imam ka saath na de balke baithe huwe intezaar karey ke imam wapas aajaye, agar imam wapas laut aaye to imam ka saath de aur agar wapas na aaye aur us rakat ka sajda bhi karle to muqtadi salam phair kar apni namaaz puri karle.
 
This entry was posted in

Ahadees e Mubaraka 226 - Bukhari Shareef

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ daulatmand woh nahi jiske pass maal o asbaab zyada ho balke daulatmand woh hai jiska nafs ghani ho. (jo mila uspar raazi ho)

# Bukhari Shareef
 

Sawaal o Jawaab Bazabaani Huzoor Tajush Shariah Damat Barakatuhu Alia 225

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


26 MUHARRAM 1436 hijri.

Sawaal :
Lahad mai ishqe rukhe shah ka dagh leke chale; andheri raat suni thi charag leke chale... Is Sher ki Sharha farma dein.

Jawaab :
Huzoor Taajush Shari'ah ki mubaarak aawaz me samat farmayeñ.

Live weekly question & answer session with Huzoor Taajush Shari'ah every sunday 9pm to 10pm at www.jamiaturraza.com
 

Shaan e Ahle Bait 225 Shahadat e Shahenshah e Shaheedan Imam e Hussain رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Shahadat e Shahenshah e Shaheedan Imam e Hussain رضي الله عنه

Parda nasheen hasrat o yaas ki khaamosh tasweer bani huwi khadi hai aur sabki aankhon se aaskh beh rahe hai Imam Hussain رضي الله عنه ne sab ko Allah ﷻ ke hawale kiya aur dushmano ke samne pahuch gaye. Kayi din ke bhookhe pyaase hai beton,bhaiyon,bhatijon, bhanjo, sathhiyon aur jaa-nisharon ki qurbaaniya de kar gham se nidhaal hai iske bawajood sher ki tarah datt kar khade ho gaye.

Hamd o salaat ke baad farmaya aye logo tum jis Rasool ﷺ ka kalma padhte ho ussi Rasool ka farmaan haiñ jisne Hasan o Hussain ( رضي الله عنهم ) se dushmani ki ussne mujhse dushmani ki aur jisne mujhse dushmani ki usne Allah ﷻ se dushmani ki.

Aye yazeediyo Allah ﷻ se daro aur meri dushmani chordh do agar Allah ﷻ wa Rasool ﷺ par iman rakhte ho to socho tum Khuda e Shaheed o Basheer ko kya jawab doge ? aur RasoolAllah ﷺ ko kya munh dikhaoge
Bewafao tumne mujhe baar baar khat likhe aur bulaaya aur jabh Main aagaya to mere saath aisa bura sulook kiya ke zulm ki hadon ko paar kar diya.

Zaalimon tumne mere beton, bhaiyon, bhatijon, sathhiyon ko khaak o khoon mein nehlaaya Fatema ( رضي الله عنها ) ke baagh ke ek ek phool ko kaat diya mere saathiyo ko shaheed kiya aur abh mere khoon se apne haathon ko rangne ka irada rakhte ho?

Apne Rasool ﷺ ka ghar veeran karne walon agar qayamat par imaan rakhte ho apne anjam par gaur karo  aur socho, Main kaun hu? Kiska Nawasa hu? Mere waleed kaun hai? Meri waalida kiski lakhte jigar hai?

Ussi Fatima Zehra ( رضي الله عنها )ka Main lakhte jigar hu jinke pul siraat par se guzarne ke waqt mehshar ke logon se kaha jayega ke aye ahle mehshar apne saron ko jhukalo apni aankhon ko bandh kar lo ke khatoon e jannat 70000 hooron ke saath guzarne wali hai. Phir Imam ne farmaya aye be-gairato abh bhi waqt hai sharm se kaam lo aur mere khoon se apne haathon ko na rango

Aap ki baaton ka yazeedi lashkar par aisa asar huwa ke aankhon se aansoo nikal gaye shimar ne dekha ke lashkar par asar ho raha hai to fauran shor gul machane laga aur bola yeh sabh chhoro yazeed ki ba'ait karo ya jung ke liye taiyar ho jao.

Imaam e aali maqam ne farmaya aye badbakhto Main janta tha tumhara yahi jawab hoga Maine sirf isily tumko ye baatein batayi ke tum ye na keh sako ke humne Haq aur Imam e Barhaq ko nahi pehchana tha Alhumdulilah Maine tum tak haq pahucha diya abh raha sawal yazeed ki ba'ait ka to yeh hargiz nahi ho sakta ke Main jhoot aur na-haq ke samne sar jhuka du

Allahu Akbar kya shaan hai Imam e Aali Maqam ki

~ Khutbaat e Muharram

 

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 225 - Qaide mein hone wali galtiya aur sajda e sahw

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


  Qaide mein hone wali galtiya aur sajda e sahw.

 Agar pehle qaide mein ek se zyada baar attahiyyaat padhi to sajda e sahw waajib hai.
 Har qaide mein poori atthiyyaat padhna waajib hai chahe farz ho ke nafl namaaz, Agar ek lafz bhi choot'ta to sajda e sahw waajib hai.
 Farz witr ya sunnate muakkadah ka pehla qaida bhool gaya aur teesri rakat ke liye khada ho gaya to wapas na laute namaaz ke aakhir mein sajda e sahw karey.
This entry was posted in

Ahadees e Mubaraka 225 Mishkaat Shareef

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ jabh bhi suraj nikalta hai uske dono taraf se do (2) Farishte pukarte haiñ ke aye logon apne Rabb ki taraf aao aur farmate hai jo thoda ho aur kaafi ho woh usse accha hai ke jo zyada ho aur gaafil karde.

# Mishkaat Shareef.
 

Shaan e Ahle Bait 224 Shahadat e Shahenshah e Shaheedan Imam e Hussain رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



Shahadat e Shahenshah e Shaheedan Imam e Hussain رضي الله عنه

Abh Shahenshah e karbala dilon ke chain Jannati jawaano ke sardar Sabr o raza ke paikar, Imam e Hussain رضي الله عنه ki shahaadat ka waqt aagaya jabh aapne maidaan mein jaane ka irada kiya toh Hazrat e Zainul-Aabideen رضي الله عنه apni bemaari ki kamzori ke ba'wujood nezah le kar Imam ke saamne ijaazat ke liye khade ho gaye.

Imam ne apne lakhte jigar ko seene se laga kar farmaya
Beta iss bache huwe qaafile aur aurton ko tumhe hi le kar Madina Shareef waapas lautna hai.

In maaon aur behnon ki nigeh baani tumko hi karni hai. Meri nasal ko bhi aage tumhe hi badhana hai. Mere Nana aur Dada ki saari amaanate tumko hi sambhalni hai. Beta takleef o musibat mein sabr karna aur Nanajaan ki shariat ki hamesha pairweeh karna phir Imam ne apni dastaar (amaama shareef) apne bete ke sar par rakh kar bistar par litaa diya.

Phir Imam ne khud maidaan mein jaane ki taiyaari ki
Jabh aurton ne yeh manzar dekha toh sabki aankhon se aashkon ke moti tapakne lage un mein Beti Sakina bhi hai, Zauja bhi hai, Behen Zainab bhi hai, Sab khamosh zabaan se jaise pooch rahe ho ke aye saalaar e qaafila abh hamara kya hoga.

Imam ne farmaya Allah ﷻ tumhara muhaafiz o nigehbaan hai. Mere baad sabr o shukr se rehna aur Nanajaan ki shariyat ko mazbooti se thaame rakhna phir Aap ghode par sawaar ho gaye.

Fatema k laadle ka aakhri deedaar hai,
Hashr ka hangaama barpa hai darmiyaan e Ahle-bait.

# Khutbaat e Moharram


KARLO AMAL SAHIH AUR BANO BA-AMAL
HAI BEHTAR YAHI NAA BANO BE-AMAL


Sawaal o Jawaab Bazabaani Huzoor Tajush Shariah Damat Barakatuhu Alia 224

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Aaj kuch Young Musalman Ladke Sunnat-e-Rasool Yani Darhi Sajaate hey, par Unke Waalidain Unko ye kehte hey K Abhi se Darhi Rakh loge to konsi ladki Tujh se Shaadi karegi ?? Aur Naukri Bhi nahi Milegi ???

Jawab...
HUZUR TAJUSH SHARIYAH ki mubarak aawaz me samat farmayeñ.

Live weekly question & answer session with HUZUR TAJUSH SHARIYAH every sunday 9 p.m. to 10 p.m. at www.jamiaturraza.com
 

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 224 - Namaaz mein qaide mein hone wali galtiya aur sajda e sahw

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Namaaz mein qaide mein hone wali galtiya aur sajda e sahw.

 Farz, witr aur sunnat e muakkadah ke pehle qaide mein attahiyyaat ke baad agar sirf "Allahumma Salle Ala Muhammad" ya "Allahumma Salle Ala Sayyedena" Padh liya, agar bhool kar aisa huwa to sajda e sahw waajib hai, aur agar jaan bujkar kiya to namaaz waajibul iyada hai phirse padhe.
 Agar kisi ne qaida e ula mein attahiyyaat ke baad kuch bhi padha nahi sirf itni deir khamosh baitha raha to bhi sajda e sahw waajib hai.
 
This entry was posted in

Ahadees e Mubaraka 224 - Abu Dawood Shareef

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ Allah ﷻ ke kuch bande aise hai jo Nabi nahi hai, Shaheed nahi hai, lekin qayamat ke din unpar Ambiya aur shohada unka rutba dekh kar rashk karege.

Sahab e kiram رضي الله عنهم arz karte hai Yaa RasoolAllah ﷺ woh kaun log hoge.? Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ yeh woh log hoge jinki aapas mein koi rishtedari nahi hogi aur na koi aapas mein lein dein hoga, phir bhi ek doosre se Allah ke Quran ki wajah se muhabbat karte hoge.

Allah ki kasam unke chehre Noor ke hoge aur woh khud Noor par hoge, jabh log khaufzada hoge yeh na darege, jabh log gumgeen hoge yeh chain mein hoge.

# Abu Dawood Shareef.
 

Sawaal o Jawaab Bazabaani Huzoor Tajush Shariah Damat Barakatuhu Alia 223

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


23 MUHARRAM 1436 hijri.

Sawaal :
Zaid jab baitul khala jata hay tou kehta hay ke mein "Deoband" ja raha hun. Aisa kehnay ki ijazat hay?

Jawaab :
Huzoor Taajush Shari'ah ki mubaarak aawaz me samat farmayeñ.

Live weekly question & answer session with Huzoor Taajush Shari'ah every sunday 9pm to 10pm at www.jamiaturraza.com
 


WOH NOORANI CHEHRE SUBHANALLAH
HUM SUB KO NASEEB HO
YEH NOOR KA SEHRA
RISHTA HO NA HO PAR PYAAR BADHE
ALLAH ﷻ KI RAZAMANDI HUMPAR BANI RAHE
 

Shaan e Ahle Bait 223 - Hazrat e Abbas رضي الله عنه Ki Shahadat (Manzar e Karbala)

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Hazrat e Abbas رضي الله عنه Ki Shahadat.

Abh Hazrat e Abbas رضي الله عنه ijazat ke liye haazir huwe. Apne qumbe ke bacchon ko pani ke liye tadapta na dekh sake aur ba-mushkil ijazat milne par mushkizah (water bag) le kar nehr e furaat ki taraf badhe furaat ki taraf jaane se yazeediyo ne roka aur muqabla shuru huwa.

Aapne jam kar muqabla kiya aur furaat mein daakhil ho kar mushkizah bhar liya aur chand ghunt peene ka khayal aaya lekin aapko ghairat aayi ke aurtein bacche aur sabhi qumbe ke log pyaase hai to Main kaise paani pee lu. Aapne bhara huwa chullu waapas phenk diya aur mushkizah ek kandhe par latka kar waapaas jaane ke liye palte.

Ek shor utha ke roko roko pakdo maar do agar yeh paani Hussain ( رضي الله عنه ) ke khaime (tent) tak pahuch gaya toh samajh lo ke humare bacche yateem aur aurtein bewa ho jayegi.

Yazeediyo ne chaaro taraf se aapko ghair liya aur phir muqaabla shuru huwa talwaare chamki aur ladte ladte zaraarah naam ke ek zaalim ne ussi kandhe par waar kiya jis par mushkizah latka huwa tha aur woh haath kat kar gir gaya toh Aapne dusre kandhe par latka liya tab nofel bin arzuq ne doosre kandhe par waar kar ke usse bhi kaat diya toh Aapne mushkizah daanton se pakad liya lekin ek yazeedi ne aisa teer mushkizeh par maara ek saara paani beh gaya.
Fir aapko gher kar chaaron taraf se toot pade aur ghode se niche zameen par gir gaye aur Imam ko aawaaz di.
Imam aaye aur aapko tent ki taraf le jaa rahe the ke aapne jaam e shahaadat nosh farma liya.

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ

#Khutbaat e Moharram.
 

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 223 - Ruku aur Sujood mein hone wali galtiya aur sajda e sahw

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Ruku aur Sujood mein hone wali galtiya aur sajda e sahw.

 Kisi ne ruku ki jagah sajda ya sajde ki jaga ruku kiya to sajda e sahw waajib hai.
 Agar kisine ek rakat mein do bar ruku kiya to sajda e sahw waajib hai.
 Issi tarah kisine ek rakat mein do ke badle teen sajde kiye to sajda e sahw waajib hai.
 
This entry was posted in

Ahadees e Mubaraka 223 - Muslim Shareef

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ banda sajde mein apne Rabb se sabse zyada kareeb hota hai, to sajde mein khoob dua maanga karo.

# Muslim Shareef.
 


ALLAH ﷻ KO RAZI KARNE MEIN
DUNIYA DAARI BHULA KE DEKHO
MILTA HAI KYA SAJDE MEIN
SAR KO JHUKA KE DEKHO
 

Shaan e Ahle Bait 222 - Hazrat e Ali ke beto ki shahadat (Karbala Ka Waqiya)

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Hazrat e Ali ke beto ki shahadat.

Ab Hazrat e Ali ke beto ki baari aayi Hazrat Abdullah jinki maa ka naam Asma tha woh ijazat le kar maidaan mai aaye aur bahaaduri ke johar dikhaye bohot logo ko qatal kiya aur aakhir mai qabila e bani ahaan ke ek shakhs ne aapko zakhmi kiya sar mubarak badan se juda kar ke shaheed kar diye gaye.

Hazrat Usmaan bin Ali,
Abdullah bin Ali, Jaafar bin Ali khade hue yeh teeno bete ki maa ka naam Ummul baneen tha aur in ke bhatije ka naam abdullah bin abi mahal tha koofa ke bade logo mai iski ginti hoti thi iss bhatije ne apne khandan ki ladki (Hazrat Ali ki biwi Ummul baneen) ke teeno beto jinka upar zikr huwa unke liye ibne ziyaad se amaan naama (in teeno ko jo Imaam ke saath hai kuch na kiya jaaye) likhwa liya aur apne ghulaam kirmaan ke haathon Hazrat Ali ke in teeno beto ko maidaane karbala mai diya aur kaha ke aap ke mamu zaad bhai ne aap ke liye ibne ziyaad se amaan naama likhwa kar bhijwaya hai tab
In teeno ghairat mand aur bahadur bhaiyo ne iss amaan naame ko yeh keh kar thukra diya ke hamare bhai ko salaam keh kar kehna k humko ibne ziyaad ki amaan ki zarurat nahi humko Allah ki amaan kaafi hai.

Shimr zil-joshan bhi ussi khadaan se tha usne bhi kaha ke aap ke liye amaan hai toh In bhaiyo ne jawab diya ke Khuda ki phitkaar ho tujh par aur teri amaan par ke hamare liye amaan aur farzande Rasool ke liye amaan nahi?

Aur fir teeno ek ke baad ek maydaan mai gaye aur bahaaduri ke saath maidaan mai apne johar dikhaye aur Imaame Husen par apni jaan loota kar jaame shahadat nosh farma gaye.

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ

#Khutbaate Moharram.
 

Ahadees e Mubaraka 221 - Muslim Shareef

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai ke maine Nabi e Kareem ﷺ ko farmate huwe suna ki jo shakhs qarzdaar ko mohlat de yaa qarz maaf karde to Allah subhan wa Ta'ala usko qayamat ke din ki sakhtiyo se mehfooz rakhhega.

# Muslim Shareef.
 

Sawaal o Jawaab Bazabaani Huzoor Tajush Shariah Damat Barakatuhu Alia 221

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


22 MUHARRAM 1436 hijri.

Sawaal :
Aurat naat padh sakti hai? Aur agar mard uski awaz sunte hoñ to kia hukm hay?

Jawaab :
Huzoor Taajush Shari'ah ki mubaarak aawaz me samat farmayeñ.

Live weekly question & answer session with Huzoor Taajush Shari'ah every sunday 9pm to 10pm at www.jamiaturraza.com
 


KISI KA KARZ MAAF KARDO
APNE AAMAL KA PALDA
AAKHIRAT KE LIYE BHAR DO
 

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 221 - Sajda e sahw kabh waajib hota hai

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Sajda e sahw kabh waajib hota hai.

 Namaaz mein jo arkaan ki tarteeb tay hai woh waajib hai agar kisine tarteeb se hatt kar arkaan adaa kiya toh sajda e sahw waajib hai.
 Witr mein dua e qunoot padhna bhool gaya ya qunoot ki takbeer bhool gaya tabh sajda e sahw karna waajib hai.
 Witr mein qunoot padhe begair ruku mein chala gaya abh usse jaaiz nahi ke phir ruku se qunoot ke liye laute, balke aage ke arkaan adaa karke namaaz poori kare aur phir sajda e sahw karey.
 
This entry was posted in

Ahadees e Mubaraka 221

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Sher e khuda Hazrat Ali e Murtuza كرم الله تعالٰی وجهه الكريم irshad farmate haiñ kasam hai uss zaat ki jiske qabza e qudrat mein meri jaan hai! Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ne mujhse wada farmaya hai ke mujhse sirf momin hi muhabbat karega aur sirf munafiq mujhse bugz rakhega.

# Muslim Shareef, Safah 60.
 

Shaan e Ahle Bait 220 - Hazrat e Ali Akbar رضي الله عنه Ki Shahadat

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Hazrat e Ali Akbar رضي الله عنه Ki Shahadat.

Imame Hussain رضي الله عنه ke jigar ke tukde bade bete Ali Akbar ( رضي الله عنه ) ijaazat ke liye haazir huwe aur jab tak Imam ne ijaazat na di aap apni zidd par datte rahe aur ijaazat ke baad maidaan e jung ke liye taiyaar huwe toh Imam ne khud apne bete ko ghode par sawaar kiya apne haathon se un ke jism par hathiyaar sajaaye aur phir aap apni maa ko salaam kar ke maidaan ki taraf chal pade.

Fir kufiyon ko apna nasab bataya ke iss zameen par hum se badh kar qareebi Huzoor ﷺ  ke ghar ke koi nahi, Agar tum aulaade Rasool ke khoon ke pyaase ho toh kisi bahadur ko bhejo.

Aapki iss lalkar ko kisi ne qubool na kiya aur koi himmat na dikha saka.

Aakhir mein aap hi unki safon ki taraf badh kar hamla aawar huwe aur jis taraf badh jaate yazidiyon mein bhag-daud mach jaati thi aur saff titar bitar ho jaati registaan ki tez dhoop teen (3) din ki bhook aur pyaas ne aapko be qaraar kar diya toh Imam ke paas haazir huwe aur arz ki ke Abba jaan kaash ke chand katre paani mil jaata toh maidaan ka naqsha badal deta.

Imam ne sabr ki talqeen ki aur kaha ke bas thodi deir mein hi tum Nanajaan ke mubarak haathon se jaam e kausar nasib hoga ye sun kar aap waapas maidaan mein palte aur akele muqabla karne ke liye kiya phir koi na aaya aapse tanha muqabla karne ke liye. Umar ibne saad ne apne fauj ke pehelwaan tareeq bin sheesh ko gairat dilaayi ke akela tum logo mein daakhil ho kar kayi logo ko qatal kiya aur tum hazaaron ho bade sharm ki baat hai agar tum mein bahaduri hai to aage badho aur maar do main tumko ek sheher ka governer bana dunga.

Taareq laalach mein daud padha magar Ali ke jaanbaaz ne seene par aisa nezah maara ke peeth ki taraf nikla aur tareeq mar gaya yeh dekh kar tareeq ke do (2) bete josh mein aage badhe aur ek ke baad ek dono ka anjaam unke baap jaisa hi huwa ek aur pehelwaan masra bin ghaalib aaya woh bhi maara gaya.

Yazeedi dar gaye aur ek saath chaaron taraf se ghair kar shehzaade par zordaar hamla kiya aur Fatema ke baagh ka ye phool bhi apne khoon mein naha gaya aur Imam ko pukaar utha
Imam daud padhe aur apne bete ke sar ko gaudh mein leliya. Ali Akbar ne Imam ke aakhri deedar kiye aur rooh parwaaz kar gayi.

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ

# Khutbaat e Moharram.
 

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 220 - Qirat mein hone wali galtiyan jinki wajah se sajda e sahw waajib hota hai

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Qirat mein hone wali galtiyan jinki wajah se sajda e sahw waajib hota hai.

 Namaaz mein qiyam ke siwa ruku, sajda, qaidah mein kisi jagah quraan ki koi aayat ya Bismillah shareef padhna bhi jaaiz nahi aur agar padh liya toh sajda e sahw karey.
 Surah fatiha ke baad doosri surah sochne mein itni deir lagayi ke teen (3) martaba SubhanAllah keh liya jaye to sahjda e sahw waajib hai.
 Agar qiyam mein surah fatiha ek se zyada martaba padhi to sajda e sahw waajib hai.
 Imam ne unchi aawaz wali namaaz jaise fajr mein dono rakat mein yaa magribh isha ki pehli do (2) rakat mein ek aayat  bhi dheere padhi to sajda e sahw waajib hai.
 
This entry was posted in

Shaan e Ahle Bait 219 - Hazrat e Ali Asgar رضي الله عنه Ki Shahadat (Karbala Ka Waqiya)

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Doodh peene waale nanhe Ali Asgar ki pyaas aur bechaini maa se dekhi na gayi, Bargaah e Imam Hussain رضي الله عنه mein haazir huwi aur arz ki mere sartaaj ab iski bhook pyaas aur bechaini dekhi nahi jaati, Iss bacche ke liye un zaalimo se chand katre paani maang kar dekho ke bacche ko qaraar aa jaaye.

Imam apne lakhte jigar ko le kar maidaan mein aaye aur mukhatab huwe,
" Aye mere Nana ka kalma padhne waalo yeh mera sabse chota baccha hai jo pyaas se dam todh raha hai iseay toh paani pilaa do tumhari dushmani mujhse hai iss bacche ne tumhara kya bigaada? Agar tumhare dil mein rehem ho toh isko paani ke chand ghooth dedo"

Imam ki taqreer ka un zaalimo par koi asar na huwa na rehem aaya, Bal ke ek zaalim Harmilah Bin Kaahil ne nishana baandh kar aisa teer maara ke Hazrat e Ali Asgar رضي الله عنه ke halaq ko cheerta huwa Imam ke mubaarak haath mein daakhil ho gaya. Aapne teer halaq se kheencha toh bacche ke halaq se khoon ka fawaara ubal pada aur rooh parwaaz kar gayi.

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ

# Khutbaat e Muharram.

☆ Kis Mazey Ki Lazzatein Hain Aab e Teg e Yaar Mein,
Khaak o Khoon Mein Laut'te Hain Tishnagaan e Ahle Bait☆ ..
 

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 219 - Qirat mein hone wali galtiyan jinki wajah se sajda e sahw waajib hota hai

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Farz namaz ki pehli do rakat mein witr mein sunnat o nafl namaaz ki kisi bhi rakat mein Surah Fatiha ki ek aayat bhi padhna bhool gaya, ya doosri surah se pehle do baar surah fatiha padhi, ya surah fatiha ke baad doosri aayatein milana bhool gaya, ya surah fatiha se pehle surah padhi aur surah fatiha ko baad mein padha to sajda e sahw wajib hai.
 Surah fatiha padhna bhool gaya aur doosri surah shuru kardi, to agar ek aayat jitna padh chuka tha fir yaad aaya to surah fatiha padh kar doosri surah padhe aur aakhir mein sajda e sahw karey.
 Agar surah fatiha padhna bhool gaya aur doosri surah padh kar ruku mein chala gaya aur ruku mein ya ruku se khada hone ke baad yaad aaya to qiyam mein laut kar surah fatiha padh kar phir doosri surah padhe phir ruku kare aur aakhir mein sajda e sahw karey.
 
This entry was posted in

Ahadees e Mubaraka 219

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


Ek Sahabi e Rasool aaye aur Masjid e Nabawi Shareef mein namaz padhne lagey aur ruku se uthne ke baad yeh padha "Rabbana Lakal Hamd Hamdan Kaseeran Taeeban Mubarakan Feeh" Tarjuma - Aye humare Parvardigaar tamaam pakiza tere hi liye hai jisme barkat hai.

Nabi e kareem ﷺ irshad farmate haiñ ke Main dekh raha hu ke 30 se zyada farishto ko, ke woh inn kalimaat ki taraf jhapat rahe hai ke kaun inn kalimaat ko pehle likhta hai.

# Bukhari Shareef, Hadees No 799.
 

Sawaal o Jawaab Bazabaani Huzoor Tajush Shariah Damat Barakatuhu Alia 218

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


20 MUHARRAM 1436 hijri.

Yazeed k baray mein AhleSunnat wa Jama'at ka kia moqqaf hay? Kehtay hain k AhleSunnat ka aik Groh Yazid ko Kaffir, Aik Fasiq aur Aik Naji samajhta hay? Sahi Mazhab kia hay? Jub aik Qoul sahi hay tou baqi 2 Aqwal k mannay walon par Jamhoor ka kia fatwa hay?

Jawab...
HUZUR TAJUSH SHARIYAH ki mubarak aawaz me samat farmayeñ.

Live weekly question & answer session with HUZUR TAJUSH SHARIYAH every sunday 9 p.m. to 10 p.m. at www.jamiaturraza.com
 

Shaan e Ahle Bait 218 - Hazrat e Qaasim Ki Shahadat (Karbala Ka Waqiya)

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Hazrat e Qaasim Ki Shahadat.

Hazrate Qaasim Imaame Hasan ke bete hai aapki umar 19 saal hai aur aapka shaadi ka  rishta Imaame Hussain ki beti Sakina se tay ho chuka hai ba mushkil inko maidaan mai jaane ki ijaazat mili.

Umar ibne saad ne fauj ke ek pehelwaan arzaq ko muqaable ko kaha toh uss ne jawab diya ke is bacche ke muqaable ke liye jaana meri touheen hai
ibne saad ne kaha ke isse baccha mat kaho yeh Hasan ka beta aur Ali ka pota hai aur isse muqaabla aasaan nahi toh arzaq ne kaha ke mere 4 bete yahin fauj mai hai kisi bhi ek ko bhejta hun abhi iska sar kaat kar le aayega.

Arzaq ka bada beta zehrili talvar le kar maidaan mai pohucha aur Hazrat e Qaasim ki talvaar ke ek hee waar mai dher ho gaya ek ke baad ek chaaron beto ko jahannam mai pohncha diya ab arzaq khud maidaan mein aaya aur zabardast muqabla huwa aur aakhir mai Hazrat e Qaasim ne ek waar aisa maara ke arzaq 2 tukde ho kar zameen par gira.

Hazrat Qaasim Imaam ki bargah mai haazir hue aur arz ki
Chacha jaan thoda paani mil jaaye toh mai akela in sabko maut ke ghaat utaar dun.
Imaam ne kaha
Beta thodi der aur sabr kar lo fir Naana jaan tumko jaame kausar pilaayenge
Aap fir maidaan mai aa gaye
Ab ibne ziyaad ne mil kar ek sath hamle ka hukm diya
Chaaron taraf se hamla huwa aur aakhir mai shiish bin saad ne siine par aisa nezaa maara ke aap ghode se niche aa gaye aur aapne Imaam ko aawaaz di aur apna sar Imaam ki gaud mai hi tha ke aapki rooh parwaaz kar gayi.

Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajiun.

#Khutbaate Moharram.
 

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 218 - Sajda e sahw ke kuch masail

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Sajda e sahw ke kuch masail.

 Farz aur nafl dono namaazo mein sajda e sahw waajib hone ka ek hi hukm hai, Nafl mein bhi waajib chootte to sajda e sahw waajib hai.
 Tadeel e arkaan jaise qauma, jalsa, bhool jaane se bhi sajda e sahw waajib hota hai.
 Agar ek namaaz mein ek se zyada waajib chootte to bhi ek hi sajda e sahw kaafi hai.
 
This entry was posted in

Sawaal o Jawaab Bazabaani Huzoor Tajush Shariah Damat Barakatuhu Alia 217

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


19 MUHARRAM 1436 hijri

Sarkar Alaihis Salat wa Salam ki Shafa'at Haqq hay aur jo loug jo Sarkar ko Shafee nahin maantay unhain Sarkar ki Shafa'at naseeb na hogi. Magar wo aetiraz kartay hain k agar Shafa'at hi ho jani hay tou phr chahay Namzain na parrho, Sharab piyo, Zina karo kia farq parrta hay? Huzoor mautariz k iss aetiraz ka jawab inayat farma kar hamari rahnumai farmaen.

Jawab...
HUZUR TAJUSH SHARIYAH ki mubarak aawaz me samat farmayeñ.

Live weekly question & answer session with HUZUR TAJUSH SHARIYAH every sunday 9 p.m. to 10 p.m. at www.jamiaturraza.com
 

RUKU SE UTHKAR
JO PADHTA HAI YEH
FARISHTO KI BHEED
BULAATA HAI YEH
NABI ﷺ KI HAR FARMAAN
PAR AMAL KARO
NAMAZ MEIN ISS KALIMAAT
KO PADHA KARO
 

Sawaal o Jawaab Bazabaani Huzoor Tajush Shariah Damat Barakatuhu Alia 217

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 



18 MUHARRAM 1436 hijri

Sawal...kya 10 bibiyoñ ki kahani ki kitab sahi hai aur us kitab ko padh kar laddu bana ker taqseem kya ja sakta hai? aur isi tarha solah (16) syedon ki kitab maujood hai ?

Jawab...
HUZUR TAJUSH SHARIYAH ki mubarak aawaz me samat farmayeñ.

Live weekly question & answer session with HUZUR TAJUSH SHARIYAH every sunday 9 p.m. to 10 p.m. at www.jamiaturraza.com
 


AYE MOMINO PAA LO MARTABA
JO HAI BEHTAREEN
QUR'AN E PAAK KA DIL HAI JO
PARHA KARO SURAH E YASEEN
 

Shaan e Ahle Bait 217 - 10 muharram aashure ke din jung ki ibtida (Wakiya e Karbala)

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


  10 muharram aashure ke din jung ki ibtida.

Imam e Hussain رضي الله عنه ki karamat ke izhaar ke baad bhi un zalimo ki aankhon se patti nahi khuli, jung ba qaidah shuru huwi.

Dono taraf se ek ek jung o ladaai ke bahadur aate rahe aur muqabla hota raha aur hota yeh ki yazeed ki taraf aanewala wapas nahi jaa pata tha. Is liye un mein se kisi ne yeh kaha ke inse aise jung karoge toh kabhi bhi jeet nahi sakoge isliye ke yeh log jeene se zyada marne ko pasand karte  hai. In par aam hamla karo, phir aam hamla kiya gaya.

Maidaan mai Imam e Hussain رضي الله عنه ke saathiyo ke ghodon ko nishaana banaya gaya jiski wajah se saare ghode maare gaye.
Aap ke saathi ghodon se kudd kar paidal ladne lage lekin zahir hai akela itne saare se abh tak muqaabla karte, Isliye kuch saathi shaheed huwe aur zohar ka waqt huwa toh Imam ne kuufiyon ko kehel waya ke namaaz ki mohlat de.

Kisi badbakth ne kaha ke tumhari namaaz qabool na hogi. Aap ke ek saathi ko josh aagaya aur uss bolne wale se kaha ke tu kya samajta hai ke Imam ki qabool na hogi aur teri qabool hogi Usne sun kar jawab dene wale par hamla kar diya aur fir unki bahadoori se aajiz aakar charon taraf se ghair kar hamla kiya aur shaheed kar diye gaye.

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 217 - Namaaz mein hone wali galtiya aur sajda e sahw ka tarika

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


  Namaaz mein hone wali galtiya aur sajda e sahw ka tarika.

 Kisi bhi namaaz ke qaida e akhirah mein attahiyyaat ke baad sidhi taraf salaam phair kar do sajde karna aur phir attahiyyaat darood e ibrahim dua e masurah padh kar dono taraf salaam phairna.
 Agar ek ke bajaye dono salaam phair diye to abh namaaz phirse padhe.
 
This entry was posted in

Ahadees e Mubaraka 217 - As Sawaaeq ul Muharriqah

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ chaar (4) Aadmiyo ki Muhabbat, munaafiq ke dil mein jamaa nahi ho sakti aur Naa hi momin ke siwa koi unse Muhabbat karta hai
Yaani Abu Bakr, Umar, Usmaan aur Ali ( رضي الله عنهم ) se.

# As Sawaaeq ul Muharriqah.

Mea'raj Ka Tohfa Namaaz 216 - Namaaz mein hone wali galtiya aur sajda e sahw

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah 


 Namaaz mein hone wali galtiya aur sajda e sahw.

 Kisi bhi namaazi se namaaz mein kabhi aisi galti ho jati hai ke namaaz uske padhne ke hukm ke mutabiq adaa nahi hoti hai. Galti hone ki wajah se sajda e sahw kar lene se dur ho jati hai aur namaaz sahi ho jati hai. Jin galtiyon ki wajah se sajda e sahw waajib hota hai woh yeh hai.

 Kisi wajib ke ada karne mein deir ho jana.
 Namaaz ke arkaan ke ada hone mein tarteeb toot jana yaani aage piche ho jana.
 Namaaz ke kisi farz ya rukn ke ada hone mein der ho jana.
 Kisi farz ya rukn ko uske waqt se pehle ada kar lena.
 Kisi farz ya rukn ko zyada karne se jaise ruku do bar ya sajde teen baar kar liye.
 In tamam galtiyo ko chand lafzon mein kahein to namaaz ke jitne bhi waajibaat hai un mein se ek bhi waajib chootega to sajda e sahw karna waajib ho jayega. Isliye waajibaat ko yaad karna lazim o zaroori hai.

  KHAAS BAAT.
Yeh galtiyan agar bhool se huwi to hi sajda e sahw se kharabi dur hogi aur agar sajda e sahw na kiya to phirse padhni hogi. Aur agar kisine jaanbuj kar galti ki to sajda e sahw se bhi khraabi durr na hogi Namaaz ko dobara padhna padega.
 
This entry was posted in