Monday, February 29, 2016

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #570

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #570.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 246.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aye Mehboob kya tumne na dekha bani israeel ke ek garoh ko jo Moosa ke baad huwa.

▶ Tafseer
1⃣ Hazrat Moosa عليه السلام ke baad jabh Bani Israeel ki haalat kharab huwi aur unhone ahade Ilahi ko faramosh kiya buth parasti mein mubtala huwe sarkashi aur bad af'aali intehaa ko pahuchi un par qaum e jaaloot musallat huwi jisko amalaka kehte hai kyuki jaaloot amliq bin aad ki aulaad se ek nihayat jaabir baadshah tha uski qaum ke log misr wa phalasteen ke darmiyan behre room ke saahil par rehte the unhone bani israeel ke shehair cheen liye aadmi giraftaar kiye tarah tarah ki sakhtiya ki us zamana mein koi Nabi qaum e bani israeel mein maujood na the khaandane Nubuwwat se sirf ek bibi baaki rahi thi jo haamila thi uske farzand tawallud huwe unka naam Shamweel rakha jabh wo bade huwe to unhe Ilm e Tauret haasil karne ke liye Bait ul Muqaddas mein ek Kabirussin Aalim ke supurd kiya wo Aapke saath kamale Shafaqat karte the aur Aap ko farzand kehte jabh Aap Sinne buloog ko pahuche to ek shab Aap us Aalim ke kareeb aaram farma rahe the ki Hazrat Jibraeel عليه السلام ne ussi aalim ki aawaz mein Yaa Shamweel keh kar pukara Aap Aalim ke paas gaye aur farmaya ki Aapne mujhe pukara hai Aalim ne bayi khyayal ki inkaar karne se kahi Aap dar na jaaye ye keh diya ki farzand tum so jaao phir dobara Hazrat Jibraeel عليه السلام ne usi tarah pukara aur Hazrat Shamweel عليه السلام Aalim ke paas gaye Aalim ne kaha ki Aye Farzand abh agar maiñ tumhe phir pukaru to tum jawab na dena teesri martaba mein Hazrate Jibraeel عليه السلام zaahir ho gaye aur unhone basharat di ki Allah Ta'ala ne Aap ko Nabuwwat ka mansab ataa farmaya Aap apni qaum ki taraf jaaiye aur Apne Rab ke ehkaam pahuchaiye jabh Aap qaum ki taraf tashreef laaye unhone taqzeeb ki aur kaha ki Aap itni jaldi Nabi ban gaye Accha agar Aap Nabi hai to hamare liye ek Baadshah qayam kijiye. (#Khaazin Waghairah)

〰 〰 to be contd.

Shaan e Ahle Bait #570

Shaan e Ahle Bait #570.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩ Hazrat e Ali Asgar رضي الله عنه ki Shahadat.

Doodh peene waale nanhe Ali Asgar ki pyaas aur bechaini maa se dekhi na gayi, Bargaah e Imam Hussain رضي الله عنه mein haazir huwi aur arz ki mere sartaaj abh iski bhook pyaas aur bechaini dekhi nahi jaati, Iss bacche ke liye un zaalimoñ se chand qatre paani maang kar dekho ke bacche ko qaraar aa jaaye.

Imam apne lakhte jigar ko le kar maidaan mein aaye aur mukhatab huwe,
"Aye mere Nana ka kalma padhne waaloñ yeh mera sabse chota baccha hai jo pyaas se dam todh raha hai issey toh paani pilaa do tumhari dushmani mujhse hai iss bacche ne tumhara kya bigaada? Agar tumhare dil mein rehem ho toh isko paani ke chand ghooñth dedo"

Imam ki taqreer ka un zaalimo par koi asar na huwa na rehem aaya, balke ek zaalim harmilah bin kaahil ne nishana baandh kar aisa teer maara ke Hazrat e Ali Asgar رضي الله عنه ke halaq ko cheerta huwa Imam ke mubaarak haath mein daakhil ho gaya. Aapne teer halaq se kheencha toh bacche ke halaq se khoon ka fawaara ubal pada aur rooh parwaaz kar gayi.

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ

#Khutbaat e Muharram.

Kis Mazey Ki Lazzatein Hain Aab e Teg e Yaar Mein,
Khaak o Khoon Mein Laut'te Hain Tishnagaan e Ahle Bait.

Hadees e Mubaraka #570

KHUDA KE FAZL SE AKHTAR MAIÑ UNKA NAAM LEWA HU
MAIÑ HU KISMAT PE NAAZAAÑ MUJHPE KISMAT NAAZ KARTI HAI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #570.

Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ Meri Shafa'at Meri ummat ke unn afraad ke liye hai jo Mere Ahle Bait se muhabbat karte hai.

#Kanzul Ummal, Hadees No 34179.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #569

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #569.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 244 & 245.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur lado Allah ki raah mein.
2⃣ Aur jaan lo ki Allah sunta jaanta hai koi jo Allah ko karze hasan de.
3⃣ To Allah uske liya bahot guna badha de aur Allah tangi aur kashayeesh karta hai aur tumhe usi ki taraf phir jaana.

▶ Tafseer
1⃣ Aur Maut se na bhaago jaisa Bani Israeel bhaage the kyuki maut se bhaagna kaam nahi aata.
2⃣ Yaani raahe Khuda mein ikhlaas ke saath kharch kare raahe Khuda mein kharch karne ko karz se Ta'abeer farmaya yeh kamale lutf wa karam hai banda uska banaya huwa aur bande ka maal uska ataa farmaya huwa Hakeeki maalik woh aur Banda uski ataa se mazaji milk rakhta hai magar karz se ta'abeer farmane mein yeh dil nasheen karna manzoor hai ki jis tarah karz dene wala itminan rakhta hai ki uska maal zaaya nahi huwa woh uski wapasi ka mustahiq hai aisa hi Raahe Khuda mein kharch karne wale ko itminaan rakhna chahiye ki woh is infaaq ki jazaa bil yakeen payega aur bahot zyada paayega.
3⃣ Jiske liye chaahe rozi tang kare jiske liye chaahe wasee farmaye tangi wa farakhi uske kabza mein hai aur woh apni raah mein karch karne wale se wus'at ka waada karta hai.

Shaan e Ahle Bait #569

Shaan e Ahle Bait # 569.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩ Hazrat e Ali Akbar رضي الله عنه Ki Shahadat.

Imame Hussain رضي الله عنه ke jigar ke tukde bade bete Ali Akbar ( رضي الله عنه ) ijaazat ke liye haazir huwe aur jab tak Imam ne ijaazat na di aap apni zidd par datte rahe aur ijaazat ke baad maidaan e jung ke liye taiyaar huwe toh Imam ne khud apne bete ko ghode par sawaar kiya apne haathon se un ke jism par hathiyaar sajaaye aur phir aap apni maa ko salaam kar ke maidaan ki taraf chal pade.

Fir kufiyon ko apna nasab bataya ke iss zameen par hum se badh kar qareebi Huzoor ﷺ ke ghar ke koi nahi, Agar tum aulaade Rasool ﷺ ke khoon ke pyaase ho toh kisi bahadur ko bhejo.

Aapki iss lalkar ko kisi ne qubool na kiya aur koi himmat na dikha saka.

Aakhir mein aap hi unki safon ki taraf badh kar hamla aawar huwe aur jis taraf badh jaate yazidiyon mein bhag-daud mach jaati thi aur saff titar bitar ho jaati registaan ki tez dhoop teen (3) din ki bhook aur pyaas ne aapko be qaraar kar diya toh Imam ke paas haazir huwe aur arz ki ke Abba jaan kaash ke chand katre paani mil jaata toh maidaan ka naqsha badal deta.

Imam ne sabr ki talqeen ki aur kaha ke bas thodi deir mein hi tum Nanajaan ke mubarak haathon se jaam e kausar peena nasib hoga ye sun kar aap waapas maidaan mein palte aur akele muqabla karne ke liye kaha phir koi na aaya aapse tanha muqabla karne ke liye. Umar ibne saad ne apne fauj ke pehelwaan tareeq bin sheesh ko gairat dilaayi ke akela tum logo mein daakhil ho kar kayi logo ko qatal kiya aur tum hazaaron ho bade sharm ki baat hai agar tum mein bahaduri hai to aage badho aur maar do main tumko ek sheher ka governer bana dunga.

Taareeq laalach mein daud padha magar Ali ke jaanbaaz ne seene par aisa nezah maara ke peeth ki taraf nikla aur tareeq mar gaya yeh dekh kar tareeq ke do (2) bete josh mein aage badhe aur ek ke baad ek dono ka anjaam unke baap jaisa hi huwa ek aur pehelwaan masra bin ghaalib aaya woh bhi maara gaya.

Yazeedi dar gaye aur ek saath chaaron taraf se ghair kar shehzaade par zordaar hamla kiya aur Fatema ke baagh ka ye phool bhi apne khoon mein naha gaya aur Imam ko pukaar utha Imam daud padhe aur apne bete ke sar ko gaudh mein leliya. Ali Akbar ne Imam ke aakhri deedar kiye aur rooh parwaaz kar gayi.

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ

# Khutbaat e Moharram.

Hadees e Mubaraka #569

MAIÑ UNKI BAAT KARU YEH KAHA MERI AUKAAT
KE SHAAN E FATIMA ZEHRA رضي الله عنها HUZOOR ﷺ JAANTE HAI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #569.

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ aye Fatima رضي الله عنها kya tum uss baat par raazi nahi ke tamam Jannati aurtoñ ki sardar tum ho.

#Bukhari Shareef, Hadees No 512.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #568

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #568.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 241,242 & 243.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur talaaq waliyoñ ke liye bhi munasib taur par naan wa nafka hai yeh waajib hai parhezgaaro par Allah yuñ hi bayan karta hai tumhare liye apni Aayate ki kahi tumhe samajh ho, Aye Mehboob kya tumne na dekha tha unhe jo apne gharoñ se nikle aur woh hazaro the maut ke darr se to Allah ne unse farmaya mar jao phir unhe zinda farma diya Beshak Allah logoñ par fazl karne wala hai magar aksar log naa-shukre hai.

▶ Tafseer
▶ Bani Israeel ki ek jama'at thi jis ke bilaad mein tau'un huwa to woh maut ke dar se apni bastiya chordh bhaage aur jungle mein jaa pade Ba-hukme Ilahi sab wahi mar gaye kuch arsa ke baad Hazrat Hizkil عليه السلام ke dua mein unhe Allah Ta'ala ne zinda farmaya aur woh Muddatoñ zindah rahe is waaqiya se maloom hota hai ki Aadmi maut ke dar se bhaag kar jaan nahi bacha sakta to bhaagna bekar hai jo maut muqaddar hai woh zaroor pahuchegi bande ko chahiye ki Raza e Ilahi par raazi rahe mujahideen ko bhi samajhna chahiye ki jihaad se baith rehna maut ko dafa'a nahi kar sakta lihaaza dil mazboot rakhna chahiye.

Sunday, February 28, 2016

Shaan e Ahle Bait #568

Shaan e Ahle Bait #568.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺَ

⏩ Hazrat e Qaasim رضي الله عنه Ki Shahadat.

Hazrat e Qaasim رضي الله عنه Imam e Hasan رضي الله عنه ke bete hai aapki umar 19 saal hai aur aapka shaadi ka rishta Imam e Hussain رضي الله عنه ki beti Hazrat e Sakina se tay ho chuka hai ba mushkil inko maidaan mein jaane ki ijaazat mili.

Umar ibne saad ne fauj ke ek pehelwaan arzaq ko muqaable ko kaha toh uss ne jawab diya ke is bacche ke muqaable ke liye jaana meri tauheen hai ibne saad ne kaha ke isse baccha mat kaho yeh Hasan ka beta aur Ali (رضي الله عنهم) ka pota hai aur isse muqaabla aasaan nahi toh arzaq ne kaha ke mere 4 bete yahin fauj mein hai kisi bhi ek ko bhejta hu abhi iska sar kaat kar le aayega.

Arzaq ka bada beta zehrili talvar le kar maidaan mein pahucha aur Hazrat e Qaasim رضي الله عنه ki talvaar ke ek hi waar mein dher ho gaya ek ke baad ek chaaroñ betoñ ko jahannam mein pahucha diya abh arzaq khud maidaan mein aaya aur zabardast muqabla huwa aur aakhir mein Hazrat e Qaasim رضي الله عنه ne ek waar aisa maara ke arzaq 2 tukde ho kar zameen par gira.

Hazrat Qaasim رضي الله عنه Imam ki bargah mein haazir huwe aur arz ki Chacha jaan thoda paani mil jaaye toh Maiñ akela in sabko maut ke ghaat utaar du, Imam رضي الله عنه ne kaha Beta thodi deir aur sabr kar lo phir Nanajaan tumko jaame kausar pilaayenge, Aap phir maidaan mein aa gaye abh ibne ziyaad ne mil kar ek saath hamle ka hukm diya, Chaaro, taraf se hamla huwa aur aakhir mein shiish bin saad ne seene par aisa nezaa maara ke aap ghode se niche aa gaye aur aapne Imam ko aawaaz di aur aapka sar e mubarak Imam ki gaud mein hi tha ke aapki rooh parwaaz kar gayi.

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥ

#Khutbaate Moharram.

Hadees e Mubaraka #568

SHAAFA'E ROZ E JAZAA TUM PE KAROROÑ DAROOD
DAAFA'E JUMLA BALAA TUM PE KAROROÑ DAROOD

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #568.

Ameer ul Momineen Hazrat e Maula Ali Sher e Khuda رضي الله عنه riwayat farmate hai Tajdaar e Do Aalam ﷺ ne mujhe dekh kar farmaya aye Ali! Maiñ tumhe gamgeen paata hu apne kisi gharwale se kaho ke tumhare kaan mein Azaan kahey ke Azaan gamm o pareshaani ki dafaa'e hai.

#Jaame ul Ahadees, Jila 1, Safah 444.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #567

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #567.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 239.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Phir agar khauf mein ho to piyaada tha sawar jaise ban pade phir jabh itminan se ho to Allah ki yaad karo jaisa usne sikhaya jo tum na jaante the, aur jo tum mein mare aur bibiya chordh jaaye woh apni auratoñ ke liye wasiyat kar jaaye.
2⃣ Saal bhar tak naan wa nafka dene ki be nikale phir agar wo khud nikal jaaye to tum par iska mu'aakhaza nahi jo unhone apne muaamle mein munasib taur par kiya aur Allah gaalib hiqmat wala hai.

▶ Tafseer
1⃣ Apne akarib ko.
2⃣ Ibteda e Islaam mein bewa ki iddat ek saal ki thi aur ek saal kaamil woh shohar ke yahañ reh kar naan wa nafka paane ki mustahiq hoti thi phir ek saal ki Iddat to " Ya- ta – rab-bas-na bi anfusihin-na Ar-ba-A-tah ashhurinw wa ashra" se mansukh huwi jisme bewa ki iddat 4 maah 10 din muqarrar kiya gaya lihaaza abh us wasiyat ka hukm baaki na raha hiqmat iski ye hai ki arab ke log apne mooris ki bewa ka nikalna ya gair se nikah karna bilkul gawara hi na karte the aur isko aur samajhte the isliye agar ek dum 4 maah 10 roz ki iddat muqarrar ki jaati to ye un par bahot shaak hoti lihaaza to wo maut ke dar se apni bastiya chordh bhaage.

Shaan e Ahle Bait #567

Shaan e Ahle Bait #567.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩ Hazrat e Abbas رضي الله عنه Ki Shahadat.

Abh Hazrat e Abbas رضي الله عنه ijazat ke liye haazir huwe. Apne kumbhe ke bacchon ko pani ke liye tadapta na dekh sake aur ba-mushkil ijazat milne par mushkizah (water bag) le kar nehr e furaat ki taraf badhe furaat ki taraf jaane se yazeediyo ne roka aur muqabla shuru huwa.

Aapne jam kar muqabla kiya aur furaat mein daakhil ho kar mushkizah bhar liya aur chand ghunt peene ka khayal aaya lekin aapko ghairat aayi ke aurtein bacche aur sabhi kumbhe ke log pyaase hai to Maiñ kaise paani pee lu. Aapne bhara huwa chullu waapas phenk diya aur mushkizah ek kandhe par latka kar waapaas jaane ke liye palte.

Ek shor utha ke roko roko pakdo maar do agar yeh paani Hussain ( رضي الله عنه ) ke khaime (tent) tak pahuch gaya toh samajh lo ke humare bacche yateem aur aurtein bewa ho jayegi.

Yazeediyo ne chaaro taraf se aapko ghair liya aur phir muqaabla shuru huwa talwaare chamki aur ladte ladte zaraarah naam ke ek zaalim ne ussi kandhe par waar kiya jis par mushkizah latka huwa tha aur woh haath kat kar gir gaya toh Aapne doosre kandhe par latka liya tab nofel bin arzuq ne doosre kandhe par waar kar ke usse bhi kaat diya toh Aapne mushkizah daanton se pakad liya lekin ek yazeedi ne aisa teer mushkizeh par maara ek saara paani beh gaya. Phir aapko ghair kar chaaroñ taraf se toot pade aur ghode se niche zameen par gir gaye aur Imam رضي الله عنه ko aawaaz di. Imam رضي الله عنه aaye aur aapko tent ki taraf le jaa rahe the ke aapne jaam e shahaadat nosh farma liya.

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ

#Khutbaat e Moharram.

Pukaare Abbas ae Sakina,
Maiñ paani laaunga khoob peena,
Kate hai bazu chhida hai seena,
Abhi mera sar kata nahi hai.

Hadees e Mubaraka #567.

JINAA MEIN KAUN HAI SARDAAR NAUJAWAANO KE
HASAN HUSSAIN رضي الله عنهم KE NANA HUZOOR ﷺ JAANTE HAI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #567.

Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ jabh jannati hazraat jannat mein daakhil farma diye jaaege to jannat maaroza karegi, Parwardigaar! Kya tune waada nahi farmaaya tha ke tu do arkaan se mujhe aarasta farmaega? Allah ﷻ irshad farmaega kya Maiñe tujhe Hassan wa Hussain رضي الله عنهم se muzayyin nahi kiya? Yeh sun kar Jannat dulhan ki tarah fakhr wa naaz karne lagegi.

#Muazzam ausat Tabraani Shareef, Hadees No 343.
#Jaame Al Ahadees lil Suyooti, Hadees No 1331.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfan #566

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #566.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 238.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Nigehbani karo sab Namazo ki.
2⃣ Aur beech ki Namaz ki.
3⃣ Aur Khade ho Allah ke Huzoor Adab se.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani panjgana farz Namazoñ ko unke aukaat par arkaan wa sharayat ke saath adaa karte raho isme paanchoñ Namazoñ ki farziyat ka bayan hai aur aulad wa azwaj ke masayel wa ahkaam ke darmiyan mein Namaz ka zikr farmana is nateeja par pahuchata hai ki unko Ada e Namaz se gaafil na hone do aur Namaz ki pabandi se qalb ki islaah hoti hai jiske baghair muaamlaat ka durust hona mutasawwat nahi.
2⃣ Hazrat Imame Aazam Abu Haneefa aur Jam'hoor Sahaba رضي الله عنهم ka mazhab ye hai ki isme Namaze asr muraad hai aur Ahadees bhi is par dalalat karti hai.
3⃣ Isme Namaz ke andar Qiyaam ka farz hona saabit huwa.

Shaan e Ahle Bait #566

Shaan e Ahle Bait # 566.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Imam e Hussain رضي الله عنه ki karamat ke izhaar ke baad bhi un zalimoñ ki aankhon se patti nahi khuli, jung ba qaidah shuru huwi.

Dono taraf se ek ek jung o ladaai ke bahadur aate rahe aur muqabla hota raha aur hota yeh ki yazeed ki taraf aanewala wapas nahi jaa pata tha. Is liye un mein se kisi ne yeh kaha ke inse aise jung karoge toh kabhi bhi jeet nahi sakoge isliye ke yeh log jeene se zyada marne ko pasand karte hai. In par aam hamla karo, phir aam hamla kiya gaya.

Maidaan mein Imam e Hussain رضي الله عنه ke saathiyo ke ghodoñ ko nishaana banaya gaya jiski wajah se saare ghode maare gaye.
Aap ke saathi ghodoñ se kudd kar paidal ladne lage lekin zahir hai akela itne saare se kabh tak muqaabla karte, Isliye kuch saathi shaheed huwe aur zohar ka waqt huwa toh Imam ne kuufiyon ko farmaya ke namaaz ki mohlat deiñ.

Kisi badbakth ne kaha ke tumhari namaaz qabool na hogi. Aap ke ek saathi ko josh aagaya aur uss bolne wale se kaha ke tu kya samajta hai ke Imam ki qabool na hogi aur teri qabool hogi Usne sun kar jawab dene wale par hamla kar diya aur phir unki bahadoori se aajiz aakar charon taraf se ghair kar hamla kiya aur shaheed kar diye gaye.

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ

Hadees e Mubaraka #566

KHAYA PIYA AUR PEHNA ACCHOÑ SE RAHA ACCHA
KUCH DEEN KA BHI KARLE DUNIYA KA HAI KYA KARNA

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #566

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ ek kooda barabar jannat ki jagah duniya aur uski saari cheezoñ se behtar hai.

#Bukhari Shareef, Hadees No 3250.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #565

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #565

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 237.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur agar tumne auratoñ ko be chhuye talaaq de di aur unke liye kuch maher muqarrar kar chuke the to jitna thahra tha uska aadha waajib hai magar yeh ki auratein kuch chordh de.
2⃣ Ya woh zyaada de.
3⃣ Jiske haath mein nikaah ki girah hai.
4⃣ Aur aye mardo tumhara zyada dena parhezgaari se nazdeektar hai aur aapas mein ek doosre par ehsaan ko bhoola na do beshak Allah tumhare kaam dekh raha hai.

▶ Tafseer
1⃣ Apne us nisf mein se.
2⃣ Nisf se jo is surat mein waajib hai.
3⃣ Yaani Shohar.
4⃣ Isme husne sulooq wa makarime Akhlaaq ki targeeb hai.

Shaan e Ahle Bait #565

Shaan e Ahle Bait #565.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Jabh Imam e Hussain رضي الله عنه ke khaimo (tents) ke chaaroñ taraf hifazat ke liye khandak khod kar aag lagaai gayi to ek yazeedi fauji jiska naam "maalik bin urwah" tha usne tanz kiya aur kaha ke Hussain wahan ki (jahannam ki) aag se pehle yahañ ki aag lala li.
Imam ne farmaya tu jhoota hai aye Khuda ke dushman, aur Allah ﷻ ki bargaah mein dua ki "aye Allah jahannam ke azaab se pehle iss gustaakh ko duniya ki aag ke azaab mein jala"

Itna Dua karna tha ke ghode ka pair khadde mein pada woh badbakht ghode se gira, uska pair rakaab mein uljha aur ghoda use le kar bhaga aur aag ki khandak mein daal diya. Imam Hussain رضي الله عنه ne sajda e shukr kiya.

Yeh hote huwe dekh kar ek doosre badbakht ne bola ke Aye Hussain ( رضي الله عنه ) tumko Paigambar se kya nisbat? Imam ko badi takleef huwi phir dua ke liye haath utha diye "Aye Allah iss badzabaan ko fauran zillat mein giraftaar kar" jaise hi dua ki uss badbakth ko baithul khala jaane ki hajat huwi woh ghode se utar kar ek taraf bhaga aur libas utar kar baitha ke ek bicchu ne dank maara, aisa najasat wala hi belibaas hi daudta phira aur issi haalat mein uski maut huwi.

Ek aur badbakht aaya aur kehne laga ke Imam dekho dariya e furaat kaisi maujein maar raha hai lekin tumko ek katra paani nahi milega, Imam e Hussain رضي الله عنه ne arz ki "Aye Allah isko pyasa hi maar itna arz karte hi uska ghoda chamka wo uspar se gira aur ghoda bhaga ye ghode ko pakadne ke liye dauda aur pyaas ki shiddat huwi ke paani, paani, pukarta lekin jabh paani diya jata to pee nahi pata tha yahan tak ke pyasa hi mar gaya.

Inn waqiyat se yeh pata chala ke Imam Apne liye bhi kuch bhi dua mangte to woh poori ho jati Aap majboor nahi the lekin ye ek imtihaan ka waqt tha ke jisse guzar kar Aapko Sayyedush Shahuda ka maqam milna tha warna ye 22000 ka yazeedi lashkar koi haisiyat nahi rakhta. Aap dua kar dete to ek lamhe mein zameen nigal leti ya upar asmaan se azaab naazil ho jata jaise unn teeno par huwa.

Hadees e Mubaraka #565

BAAG E JANNAT KE HAIÑ BEHRE MADH KHAWAAN E AHLE BAIT
TUMKO MUZDA NAAR KA AYE DUSHMANAANE AHLE BAIT

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #565.

Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ne Hazrat Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم Hazrat e Fatima Zehra رضي الله عنها Hazrat Hassan aur Hazrat e Hussain رضي الله عنهم se irshad farmaya tum jisse ladoge Maiñ uske saath haalat e jung mein hu aur jisse tum sulah karne waale ho Maiñ bhi usse sulah karne wala hu.

#Tirmizi Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #564

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #564.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 236.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Tum par kuch mutalba nahi.
2⃣ Agar tum auratoñ ko talaaq do jabh tak tumne unko haath na lagaya ho ya koi mahar muqarrar kar liya ho.
3⃣ Aur unko kuch baratne ko do.
4⃣ Maqdoor wale par uske laayak aur tangdast par uske laayak hasbe dastoor kuch baratne ki cheez yeh waajib hai bhalayi waalo par.

▶ Tafseer
1⃣ Maher ka.
2⃣ Shaane Nuzool yeh Aayat ek Ansari ke baab mein naazil huwi jinhone Qabeela bani Haneefa ki ek aurat se Nikah kiya aur koi maher muayyan na kiya phir haath lagane se pehle talaaq de di.
▶ Masla – Isse maloom huea ki jis aurat ka maher muqarrar na kiya ho agar usko haath se pehle talaaq di to maher laazim nahi haath lagane se mujama'at muraad hai aur khalwate sahiha isi ke hukm mein hai yeh bhi maloom huwa ki be zikre maher bhi Nikah durust hai magar is surat mein baade nikah maher muayyan karna hoga agar na kiya to baade dukhal mahere misl laazim ho jaayega.
3⃣ Teen kapdo ka ek jodaa.
4⃣ Jis aurat ka maher muqarrar na kiya ho aur usko qable dukhul talaaq di ho usko to joda dena waajib hai aur iske siwa har mutallaqa ke liye mustahab hai. ( #Madarik)

Shaan e Ahle Bait #564

Shaan e Ahle Bait #564.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩ 10 Muharram maidane karbala.

Aashure ki shab muqammal huwi Imam e Hussain رضي الله عنه aur saathiyoñ ne saari raat yaad e Ilahi aur dua aur astaghfaar mein guzaari namaz e fajr ada ki Aapke khaime ki taraf 3 din se yazeediyoñ ne nehre furaat ke paani ka ek qatra bhi aane nahi diya tha 3 din se Aapke tamaam saathi bhuke the aise logoñ par zulm o jafa ke pahaad todne k liye 22000 ka lashkar maujood hai jang ki ibteda ka waqt aagaya, Imam e Aali Maqam maidaan mein nikle aur aakhri baar samjhane ke liye khutba diya hamdo salaat ke baad kaha aye logoñ Mere nasab (khandaan) par gaur karo ke Maiñ kaun hu kya mera khoon bahaana
tumko jaaez hai, kya Maiñ tumhare Nabi ﷺ ka
Nawaasa nahi, kya Maiñ unke bhai ka beta nahi hu jo 8 saal ki umr me imaan laye, kya Maiñ Jaafar e Taiyaar ka bhatija nahi hu, kya tum me se kisi ne nahi suna ke Huzoor ﷺ ne Mere aur Mere bhai ke baarein mein farmaya ke ye dono jannati jawaanon ke sardar hai.

Agar tum Meri baat ko sach samajhte ho to, aur Sach hi hai ke Maiñ kabhi jhoot nahi bolta aur agar tum ko jhoot lagti ho to sahaaba to abh bhi maujood hai Hazrate Jaabir bin Abdullah, Abu Saeed khudri, Anas bin Maalik, رضي الله عنهم inse puch lo kya mera khoon bahaane se rukne ke liye kaafi nahi shimar ne khutbe ke beech mein kuch bad-tameezi ki phir aap ne farmaya Aye logoñ agar tum ko is Hadees e Pak mein shak hai to kya is baat mein bhi shak hai ke Maiñ tumhare Rasool ﷺ ka Nawaasa hu Khuda ki kasam is waqt dunya mein mere siwa koi bhi Nawaasa e Rasool nahi zara gaur karo ke mere qatl par tum kaise taiyaar ho gaye kya Maiñe kisi ko qatl kiya hai kisi ka maal barbaad kiya kisi ko zakhmi kiya jiska badla Mujhse chahte ho jabh koi jawaab na aaya to Aapne un logoñ ko naam le le kar kaha ke jin logo ne Aap ko khat likhe the kya tum ne koi khat nahi likh kar Mujhe nahi bulaya un logoñ ne kaha ke humne koi khat nahi likha aap ne farmaya tum logoñ ne zaroor khat likha tha aur farz kar lo nahi likha tha aur nahi chaahte the ke Maiñ yahan aauñ to Mujhe chordh do ke Maiñ kisi aisi jagah chala jaau jahañ amn o amaan ki zindagi guzar saku

Jawaab aaya aap ibne ziyaad ke aage sar jhuka do ham aap se accha sulook karenge Aapne farmaya kya tumhare liye yahi kaafi nahi ke Muslim bin Aqeel ke khoon ki zimmedaari tum par hai khuda ki kasam Maiñ zillat ke saath tumhare haath mein apna haath hargiz na dunga na gulaamoñ ki tarah itaa'at karuñga.

Aap jaante the yeh log maanne wale nahi phir bhi Aapne apna farz ada kar diya.

#Tarikhe Tibri.
#Khutbate Muharram.

Hadees e Mubaraka #564

KITNE MEHKE HUWE HAI MADINE KE PHOOL
KARBALA TERI KISMAT PE LAAKHOÑ SALAAM

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #564.

Hazrat e Ummul Fazl bin Haaris رضي الله عنها ek roz Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ki bargaah e aqdas mein haazir huwi aur Imam e Hussain رضي الله عنه ko aapki bargaah mein pesh kiya uske baad kya dekhti hai ke Sarkar e Do Aalam ﷺ ke chashmaan e aqdas ashkbaar hai yeh dekh kar unhone arz kiya, Yaa RasoolAllah ﷺ mere maa baap aap par qurbaan ashkbaari ka sabab kya hai? RasoolAllah ﷺ irshad farmate haiñ Jibreel علیہ السلام ne meri khidmat mein haazir ho kar arz kiya ankareeb meri ummat ke kuch log mere iss bete ko shaheed karenge, Maiñe arz ki Sarkar ﷺ kya woh iss shehzade ko shaheed kareñge? RasoolAllah ﷺ farmate haiñ, haañ! aur Jibreel علیہ السلام ne uss muqaam ki surkh mitti meri bhi meri khidmat mein pesh ki.

#Dalailul Nabawi lil Baihaqi Hadees No 2805.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #563

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #563.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 235.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur tum par gunah nahi is baat mein jo parda rakh kar tum auratoñ ke nikaah ka payaam do ya apne dil mein chhupa rakho.
2⃣ Allah jaanta hai ki abh tum unki yaad karo.
3⃣ Haa unse khufiya waada na kar rakho magar yeh ki itni hi baat kaho jo shara'a mein maroof hai aur nikah ki girah pakki na karo jabh tak likha huwa hukm apni mi'aad ko na pahuch le aur jaan lo ki Allah tumhare dil ko jaanta hai to usse daro aur jaan lo ki Allah bakhsne wala Hilm wala hai.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani iddat mein nikah aur nikah ka khula huwa payaam to mamnoo hai lekin parda ke saath khwahishe nikah ka izhaar gunah nahi maslañ yeh kahe ki tum bahot neik aurat ho ya apna iraada dil mein hi rakhe aur zaban se kisi tarah na kahe.
2⃣ Aur tumhare diloñ mein khwahish hogi isiliye tumhare waaste ta'ariz mubaah ki gayi.
3⃣ Yaani iddat guzar chuke.

Shaan e Ahle Bait #563

Shaan e Ahle Bait #563.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩ Maidan e karbala mein pehli shahadat Hazrat e Hur ki.

Jab ibne saad jang ke liye aage badha to Hur ne usse kaha kya tu waaqai jang karega us ne jawab diya khuda ki kasam aisi jang karunga ke saro'n ki baarish hogi haath kat kat ke girenge Hur ne kaha. Unki bataayi huwi baatoñ mein se koi bhi baat tum ko manzoor nahi to bola kya kare yeh baatein hamara haakim nahi maanta yeh sun kar Hur wahañ se hat gaye.

Imam e Hussain رضي الله عنه se jang ka soch kar hi Hur ka jism kaanpne laga kisi ne Hur ko chheda ke itna bahaadur aadmi aur yeh haalat Hur ne jawab diya Nawaasa e Rasool se ladna apni aakhirat se ladna hai maiñ kisi haalat me jannat ko nahi chordh sakta aur ghode ko edi laga kar Imam e Hussain رضي الله عنه ke qadmon mein pahuch gaye.

Arz kiya aye RasulAllah ﷺ ke farzand meri jaan aap par qurbaan Maiñ wahi gunahgaar hu jisne Aapko waapas jaane se roka aur aap ko is jagah thehairne par majboor kiya Khuda ki kasam mein nahi jaanta tha ke yeh Aapki kisi bhi baat ko nahi manenge aur yahañ tak baat aajaaegi ke yeh log Aap se jang karenge warna maiñ hargiz inka saath na deta maiñ apne kiye par sharminda hu aur Allah ﷻ ki baargah mein tauba karte huwe aap par apni jaan qurbaan karna chaahta hu aur isiliye haazir huwa hu.

Imam e Hussain رضي الله عنه ne farmaya Allah ﷻ tumhari tauba qubool farmaega aur bakhsh dega mubarak ho tum duniya aur aakhirat mein Hur ho (aazaad ho) ghode se utar aao, Hazrate Hur رضي الله عنه ne kaha Aapki madad ke liye mera ghode par rehna zyada behtar hai abh maiñ aakhri waqt mein hi ghode se utrunga Aapne farmaya accha jo tumhara jee chaahe wahi karo Allah tum par reham farmaye phir Hazrat Hur maidan mein gaye aur koofiyon ko khat yaad dilaaye Imam e Hussain رضي الله عنه ke rutbe ke talluq se sawaalaat kiye Aapki aakhri teen mashwaroñ ke baarein mein pucha ke kyun in mein se kisi baat ko qubool nahi karte, In baatoñ ka kya jawab milta bil aakhir aamne saamne ka muqaabla huwa aur sab se pehle Imame Hussain رضي الله عنه ke chaahne waaloñ mein Hazrate Hur رضي الله عنه ne jaame shahaadat pii liya.
رضي الله عنهم

#Tarikhe Tibri.
#Khutbate Moharram.

Hadees e Mubaraka #563

DUNIYA BANE YA BIGDE DUNIYA RAHE YA JAAYE
TU DEEN BANAA PYAARE DUNIYA KA HAI KYA KARNA

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #563.

Huzooor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ duniya ki halaal cheezoñ ko apne upar haram kar lena aur maal ko barbaad kar dena yeh tarq e duniya nahi hai balke, Duniya se beragbati yeh hai ke jo kuch maal daulat tere haathoñ mein hai iss par bharosa na kar, aur bharosa uspar kar jo Allah ﷻ ke dast e qudrat mein hai.

#Tirmizi Shareef.

Ek tum duniya meiñ rehkar taarik e duniya rahe,
Reh ke duniya meiñ dikhaaye koi duniya chhord kar.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #562

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #562.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 234.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur tum mein jo mare aur bibiya chhode woh chaar (4) mahine dus (10) din apne aap ko roke rahe to jabh unki iddat poori ho jaaye to aye Waaliyon tum par muaakhaza nahi us kaam mein jo auratein apne mu'aamle mein muwakife shara'a kare aur Allah ko tumhare kaamoñ ki khabar hai.

▶ Tafseer
▶ Haamila ki iddat to waaze hamal hai jaisa ki Suraye Talaaq mein mazkoor hai yahañ gair hamila ka bayan hai jiska shohar mar jaaye uski iddat 4 Maah 10 din hai is muddat mein na wo Nikah kare na Apna maskan chhode ne be Uj tel lagaye na Khushboo lagaye na singaar kare na rangeen aur reshmi kapde pehne na mehendi lagaye na jadeed Nikaah ki baat chit khul kar kare aur jo talaaqe bayeen ki iddat mein ho uska bhi yahi hukm hai Albatta jo aurat talaaqe rajayi ki iddat mein ho usko zeenat aur singaar karna mustahab hai.

Shaan e Ahle Bait #562

Shaan e Ahle Bait #562.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Imam e Hussain رضي الله عنه ne raat ko apne saath waloñ ko jama kiya aur Allah ﷻ ki tareef aur shukr adaa kiya phir Darood e paak parh kar farmaya

Maiñe duniya mein kisi ke saathiyoñ ko tum se wafaadar nahi dekha aur kisi ke ghar waloñ ko apne ghar waloñ se behtar neik aur suleh-rehmi karne wala dekha, Allah Ta'ala tum sab ko meri taraf se jazaaye khair ataa farmaye

Sun lo Maiñ yakeen se kehta hu ke kal hamari shahadat hogi Maiñ tumhe khushi khushi ijazat deta hu ke raat ka andhera phaila huwa hai iss andhere mein jahañ chaho chale jao, meri taraf se tum par koi ilzam nahi, yeh log mera qatl karna chahte hai mere qatl ke baad kisi taraf tawajjo nahi denge.

Aap ki ye taqreer sun kar Hazrate Abbas doosre bhai, bhanje, bhatije رضي الله عنهم sab ek zabaan ho kar kehne lage kya hum isiliye chale jaaye ke aap ke baad zinda rahe Allah ﷻ humein aisa din naa dikhaye

Imam e Hussain رضي الله عنه ne farmaya aulaad e aqeel Muslim ka qatl tumhare liye kafi hai tum chale jao Maiñ ijazat deta hu sab ne kaha Khuda ki kasam yeh hum se hargiz naa hoga balki hum dushman se muqabla karenge aur apni jaan aap par qurban karenge phir Hazrate Zubair bin Qin ne kaha ke Khuda ki kasam Maiñ to yeh chahta hu ke baar baar qatl kiya jau aur zinda kiya jau phir qurban ho jauñ.

Iske baad aap aur aap ke saathiyoñ ne Namaz, dua, Astagfar, mein saari raat guzar di aur khaime ke piche khandaq khod kar us mein lakdiya bhar di taaki jung ke waqt uss mein aag laga kar dushmano ko roka ja sake.

Allahu Akbar kya hausle they zara andaza lagaye ke yahañ auratein bacche beemar aur lashkar bhi nahi hai sirf chand log hai aur saamne 22000 ka lashkar magar yeh kis liye ladne ko taiyyar the sirf Allah ke deen ki sar bulandi ki khatir RasoolAllah ﷺ ki Shari'at ki baqaa ke liye aur yakeenan wo jaan dene ke liye ladne wale the jante the ki aakhir mein hum ko shahadat ka jaam peena hi hai.

#Khutbaat e Muharram.

Hadees e Mubaraka #562

UNKE NAAM PAR DIL JAAN MAAL
NAJDIYA SAB TAJH DIYA PHIR TUJHKO KYA
NAJDI MARTA HAI KE KYU TAZEEM KI
YEH HUMARA DEEN THA PHIR TUJHKO KYA.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #562.

Sayyiduna Hasan Bin Ali رضي الله عنه riwayat farmate haiñ Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ hamare Ahle Bait ki muhabbat ko laazim karlo! Kyuke jo shakhs Allah Ta'ala ke darbar mein iss haal mein haazir ho ke woh Hamari muhabbat se sarshaar ho to woh hamari shafa'at se Jannat mein dakhil hoga, aur uss zaat ki kasam jiske qabza e qudrat mein meri jaan hai! Kisi bande ko uske amal faaida nahi pahuchaega magar hamari qadr o manzilat ko maan'ne ke baad.

#Al Majam ul Ausat Lil Tabraani Hadees No.2320.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #561

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 561.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd Post # 559 & 560.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 233.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
5⃣ Kisi jaan par bojh na rakha jaaega magar uske maqdoor bhar, maa ko zarar na diya jaaye uske baccha se.
6⃣ Aur na aulaad wale ko uski aulaad se.
7⃣ Yaa Maa zarar na de Apne baccha ko aur na aulaad wala apni aulaad ko aur jo baap ka kayeem maqaam hai us par bhi aisa hi waajib hai phir agar maa baap dono aapas ki Raza aur Mashware se doodh chhudana chahe to un par gunaah nahi aur agar tum chaho ki daaiyoñ se apne bacche ko doodh pilwao to bhi tum par muzayeka nahi jab ki jo dena thehra tha bhalayi ke saath unhe adaa kar do aur Allah se darte raho aur jaan rakho ki Allah tumhare kaam dekh raha hai.

▶ Tafseer
5⃣ Yaani usko uske khilafe marzi doodh pilane par majboor na kiya jaaye.
6⃣ Zyaada ujrat talab karke.
7⃣ Maa ka baccha ko zarar dena ye hai ki usko waqt par doodh na de aur uski nigrani na rakhe ya apne saath manoos kar lene ke baad chhord de aur baap ka baccha ko zarar dena ye hai ki manoos baccha ko maa se chheen le yaa Maa ke haq mein kotaahi kare jisse baccha ko nuqsaan pahuche.

Shaan e Ahle Bait #561

Shaan e Ahle Bait #561.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Ibne saad ne khush ho kar ibne ziyaad ko khat likha ke mamla bagair khoon kharabe ke hal ho gaya hai aur ibne ziyaad ne khat padh kar manzoor kar liya lekin Shimar zil joshan naam ka badbakht khada huwa kehne laga agar aapne Hussain (رضي الله عنه) ko jaane diya to taqatwar ho jayega aur tum kamzor ho jaoge agar yeh baat qabool kar li gayi to kamzori ki nishani hogi unko to aap ke hukm par apna sar jhuka dena chahiye aur aap ko to saza dene ka haq bhi hai rahi baat ibne saad ki to pata chala hai ki woh aur Hussain (رضي الله عنه) raat raat bhar baatein karte hai.

Shimar ki in baatoñ ne ibne ziyaad ki raai badal di aur usne jawab diya ke ibne saad tumhe isliye nahi bheja ke Hussain (رضي الله عنه) ko bachane ki fikr karo aur unki sifarish karo, agar Hussain (رضي الله عنه) aur unke saathi mere hukm par sar jhuka de to mere paas bhej do aur naa maane to unke sar kaat kar mere pass bhej do, agar tum yeh nahi kar sakte to lashkar shimar ke hawale kar do yeh hamari baat par amal karega.

Ye khat shimar ke hawale kiya aur kaha ke agar ibne saad naa maane to pehle ussi ka sar kaat dena.

Ibne saad ne khat padh kar kaha shimar Khuda ki kasam yeh tu ne hi usse mere mashware par amal karne se roka aur banti huwi baat ko bigad diya, Khuda ki kasam Hussain رضي الله عنه kabhi bhi ibne ziyaad ke samne apna sar nahi jhuka sakte.

Shimar ne kaha ke yeh baat chhoro tum dushman ko qatl karte ho ya lashkar mere hawale karte ho? Ibne saad par kursi ki lalach sawaar thi ussne kaha lashkar tumhare hawale nahi karunga aur yeh mamla mein khatm karunga aur hukm diya ke hamla kiya jaye.

Yeh 9 Muharram ki tarikh thi aur aap darwaze par talwar ke sahare ghutno mein sar diye baithe huwe the ke aankh lag gayi, jabh shor gul hone laga to Sayyeda Zainab ne parde ki aad se dekh kar aapko jagaya aur kaha ke dushman ki fauzj ki aawaz bahot kareeb se aa rahi hai.

Aapne sar utha kar farmaya abhi Maiñe RasoolAllah ﷺ ko dekha woh farma rahe the tum mere paas aane wale ho, ye sun kar aap ki behen beqarar ho gayi to aapne farmaya khamosh raho aur sabr karo Allah ﷻ malik hai aur Hazrate Abbas رضي الله عنه se farmaya ke dushmano se kaho ke aaj ki raat mohlat do taaki raat bhar namaz parh leiñ dua maang leiñ tauba aur Astagfar kar le ke Allah ﷻ khoob jaanta hai ke Maiñ Namaz aur Astagfar se kitni muhabbat karta hu.

#Tarikh e Tibri.
#Khutbaat e Muharram.

Hadees e Mubaraka #561

ISS KASHTI PAR JAANE KE LIYE HO JAAO SAB TAIYAAR
YEH AHLE BAIT KI SHAAN HAI HO JAAO SAB SAWAAR

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #561.

Sayyeduna Abdullah bin Abbas رضي الله عنه riwayat farmate haiñ Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ mere Ahle Bait ki misaal Nooh علیہ السلام ki kashti ki maanind hai, jo iss mein sawaar hogaya naja'at paa gaya, aur jo iss mein sawaar hone se reh gaya woh garq hogaya.

#Al Muajam al Kabeer Lil Tibraani, Hadees No 2572

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #560

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #560.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 559.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 233.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
2⃣ Poore do baras uske liye jo doodh ki muddat poori karni chaahe.
3⃣ Aur jiska baccha hai.
4⃣ Us par auratoñ ka khana aur pehan'na hai hasbe dastoor.

▶ Tafseer
2⃣ Yaani is muddat ka poora karna laazim nahi agar bacche ki zarurat na rahe aur doodh chhudane mein uske liye khatra na ho to isse kam muddat mein bhi chhudana jayaz hai ( #Tafseer Ahemadi Khaazin Waghairah )
3⃣ Yaani waalid is andaaze bayan se maloom huwa ki nasab baap ki taraf ruju'u karta hai.
4⃣ Masla – Bacche ki parwarish aur usko doodh pilwana baap ke zimma wajib hai iske liye woh doodh pilane wali muqarrar kare lekin agar Maa apni ragabat se bacha ko doodh pilaye to mustahab hai.
▶ Masla – Shohar Apni jauza par baccha ke doodh pilane ke liye jabr nahi kar sakta aur na aurat shohar se baccha ke doodh pilane ki ujrat talab kar sakti hai aur jab tak ki uske nikah ya iddat mein rahe.
▶ Masla – Agar baap ne kisi aurat ko apne Bacche ke doodh pilane par ba-ujrat muqarrar kiya aur uski Maa usi ujrat par ya be muaa'waza doodh pilane par Raazi huwi to Maa hi doodh pilane ki zyaada mustahiq hai aur agar Maa ne zyada ujrat talab ki to Baap ko usse doodh pilwane par majboor na kiya jaayega. ( #Tafseer Ahemadi wa Madariq) Alma'aroof se muraad ye hai ki hasbe haisiyat ho baghair tangi aur fuzool kharchi ke.

〰〰 to be contd.

Shaan e Ahle Bait #560

Shaan e Ahle Bait # 560.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

ibne ziyad ne ibne saad ko likha ke Hussain (رضي الله عنه) se bait ka mutaalba karo Imam e Hussain رضي الله عنه ne ibne saad se mulaqat ka irade ka izhar kiya dono ki mulaqaat huwi to Aapne ibne saad se kaha
Mujhe koofa waaloñ ne bulaya to Maiñ aaya mera yahañ aana hukumat ko pasand nahi to jahan se aaya hu mujhe wahi chale jaane do, ya kisi border ke ilaaqe mein le chalo Maiñ apni zindagi wahi guzaar dunga. Ya Mujhe sidha yazeed ke paas damishq jaane do aur tum chaaho to Mere saath raho ke Maiñ yazeed se sidhe baat kar saku.

Aapka yeh rawaiya dekh kar ibne saad bhi narm pad gaya (dar asl ye ibne saad jiska naam umar ibne saad tha Sahaabi e Rasool Hazrate Saad ibne waqaas ka beta tha isliye Imame Hussain رضي الله عنه ke rutbe se waaqif tha yeh aapke muqable par aane ke liye taiyaar hi na tha ibne ziyad ne dhamki di ke agar Imam ka muqaabla nahi karna ho to ray sheher ki hukumat chordh do bas kursi ki laalach ne ibne saad ko andha kar diya aur Imam ke muqable ke liye taiyaar ho gaya Hazrate Saad un 10 sahaaba mein se the jin ko Aaqa ne dunya mein hi jannat ki basharat de di thi)

رضي الله عنهم

#Tarikhe Tibri.
#Khutbaat e Moharram.

Hadees e Mubaraka #560

KHUDA ﷻ KI RAAH MEIN SAR KO KATA DIYA
TUMNE NABI ﷺ KE DEEN PE GHAR KO LUTA DIYA
TUMNE NISHAAN E KUFR KO MITA DIYA
HUSSAIN رضي الله عنه TUMKO ZAMANA SALAM KEHTA HAI

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #560.

Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ yakeenan mera yeh beta (Imam Hussain رضي الله عنه) iraq ke ek ilaqe mein shaheed kiya jaaega, jiss jagah ko karbala kaha jaaega, to afraad ummat mein chahiye ke unki nusrat wa himayat mein khade hojaaye.

#Kanzul Ummal, Hadees No.34314.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #559

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #559.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 233.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur maaye doodh pilaye apne baccho ko.

▶ Tafseer
1⃣ Bayaane talaaq ke baad ye sawal taba'an saamne aata hai ki agar talaaq wali aurat ki godh mein sheer-khwaar baccha ho to is judaayi ke baad uski parwarish ka kya tareeqa hoga isliye yeh kareene hiqmat hai ki baccha ki parwarish ke muta'alliq Maa baap par jo ehkaam hai wo is mauke par bayaan farma diye jaaye lihaaza yahañ un masayel ka bayan huwa.
▶ Masla – Maa khwaah muta'allaqa ho ya na ho us par Apne baccha ko doodh pilana waajib hai basharte ki baap ko ujrat par doodh pilwane ki qudrat wa isteta'at na ho ya koi doodh pilane wali muyassar na aaye ya baccha Maa ke siwa aur kisi ka doodh qabool na kare agar ye baate na ho yaani baccha ki parwarish khaas Maa ke doodh par mouqeef na ho to Maa par doodh pilana waajib nahi mustahab hai (#Tafseer Ahemadi wa Jumal Waghairah)

〰〰 to be contd.

Shaan e Ahle Bait #559

Shaan e Ahle Bait # 559.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ


⏩ Jab Imaame Hussain Nainwa ke qarib pohnche to ibne ziyad ka qaasid khat le kar aa gaya ke Hussain ko aage badhne se rok kar chatiyal maidan mein aesi jaga rok do jahan paani na ho aur khat laanewale ko hukm tha ke wahin ruk kar report dete raho k hukm par amal hota hai ke nahi Hur ne Aap ko khat dikhaya khat dekh kar Aap ke saathiyon ne kaha Ya Sayyedi in se jang kar lena aasaan hai isse pehle k dusri fauj aur aajae Magar Aap ne Apni taraf se shuruaat nahi ki Hur khaamosh raha kuch door aur chale ke Hur ke sipahiyon ne hukm diya ke bas yahin utar jayein Furaat yahan se duur nahi.

⏩ Aap ne pucha ke kya naam hai is jaga ka Jawab diya gaya Karbala naam hai Aap naam sunte hi ghode se utar pade or farmaya
Ye Karbala Hai Karbo bala (dukh or musibat)
Yahin hamare oonton ke baithne ki jagah hai
Yahin hamare maalo asbab utrenge
Isi jagah par hamare saathi qatal kiye jaaenge

⏩ Ye muhaaram ki 2 taarikh jumeraat ka din tha
jab hur ne aap ko karbala me utarne par majboor kar diya to ibne ziyaad ko khabar kar di ibne ziyaad ne ibne saad ko 4000 fauj ke saath bhej diya aur phir faujiyon ki tadaad badhti rahi yahan tak ke 22,000 tak pohonch gayi..

Kitne tajjub ki baat hai ek taraf
82 nufuse qudsiya jin me aurten bacche bhi aur hathiyar bhi nahi aur dusri taraf 22000 magar Ali ke sheron ka aesa dabdaba tha ke jaante they ke agar ye ladne pe aa jaaen to 10 guna se jyada nahi ham 100 guna se zyada honge to bhi ham kamzor pad jayenge isliye 200 guna se bhi zyada faujiyon ko jama kar liya is ke baa-wajud darte the isliye 500 fojiyon ko dariyae furaat par bhej diya ke Imaame Hussain ke khemon mein paani ki ek bund bhi na jaaye.
رضي الله عنهم

#Tarikhe tibri
#Khutbate moharram

Hadees e Mubaraka #559

BAAG E JANNAT CHORDH KAR AAYE HAI MEHBOOB E KHUDA ﷺ
AYE ZAH E KISMAT TUMHARI KUSHTAGAAN E AHLE BAIT

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #559.

Hazrat e Umme Salma رضي الله عنها irshad farmati haiñ "Maiñe RasoolAllah ﷺko khwaab mein dekha ke Aap ﷺ ke Sar e Anwar aur Dadhi Mubarak par gard o gubaar hai, Maiñe arz ki Yaa RasoolAllah ﷺ kya baat hai? Nabi e Akram ﷺ irshad farmate haiñ Maiñe abhi abhi Hussain رضي الله عنه ko shaheed hote dekha hai.

#Tirmizi Shareef.
#Al mustadrak ala saheehain.
#Dalail un Nabuwaah lil Baihaqi.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfan #558

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #558.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 232

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur jabh tum auratoñ ko talaaq do aur unki mi'aad poori ho jaaye.
2⃣ To aye auratoñ ke waaliyon! unhein na roko isse ki apne shoharo se nikah se kar le.
3⃣ Jabh ki aapas mein muwakife razamand ho jaye ye nasihat use di jaati hai jo tum mein se Allah aur qiyamat par imaan rakhna ho yeh tumhare liye zyada suthra aur paakeeza hai aur Allah jaanta hai aur tum nahi jaante.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani unki iddat guzar chuke.
2⃣ Jinko unhone apne nikah ke liye tajweej kiya ho khwah wo naye ho ya yahi talaaq dene wale ya unse pehle jo talaaq de chuke the.
3⃣ Apne kufr mein mahre misl par kyuki iske khilaf ki surat mein Awliya aiteraz wa ta'arruz ka haq rakhte hai Shaane Nuzool Ma'akal bin Yasaar muznayi ki behan ka nikah Aasim Bin Adee ke saath huwa tha unhone talaaq aur iddat guzarne ke baad phir Aasim se darkhwast ki to Ma'akal Bin Yasaar maane huwe unke haq mein yeh Aayat naazil huwi. (#Bukhari Shareef)

Shaan e Ahle Bait #558

Shaan e Ahle Bait # 558.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩ Imame hussain ko gherne ke liye 1000 fauj ke saath hur tamimi .

⏩1 moharram ko jab Imaame Hussain ne kohe Zii-Hasham ke qarib pohonch kar qiyaam kiya Kheme gaad diye us waqt Hur tamimi 1000 ke lashkar ke saath aap ko giraftaar karne aa gaya Aap ne mukhtasar taqreer ke zariye un ko bataya ke kis tarah koofa waalon ne muje bulaya.

⏩Aap ki is taqreer ke baad khaamoshi rahi kisi ne koi jawaab na diya Aap ne Hur se poocha ke namaaz hamare saath padhoge ya alag padhoge ? Hur ne kaha ke Aap padhaein ham bhi Aap ke piche padhenge zohar aur asar ki namaaz saath hi padhi.

⏩Phir aap ne khato'n ka zikr kiya ke Main yahan par bulaya gaya hu aaya nahi hu Hur ne jawab diya ham un logon me se nahi jinhone aap ko khat likha hai
ham ko to hukm diya ke aap ke saath rahe Aap ko akela na chhore yahan tak ke ibne ziyaad tak Aap ko pohncha de
aap ne farmaya is kaam se aasaan tera mar jaana hai teri maa tujh par roye, phir aap ne apne saathiyon ko chalne ka hukm diya.

⏩ Hur ne kaha aap ki jagah koi aur hota to mai bhi isi tarah us ki maa ko kehta laikin aap ki waalida maajida ka zikr bhalaii ke sath hi karunga Laikin khuda ki qasam mein aap ko ibne ziyaad k paas le jaunga Aap ne farmaya Khuda ki qasam aesa nahi hoga Hur ne kaha mujhe aap se ladne ka nahi kaha bas Aap ko koofa tak pohncha dun Aap aesa kare aesa raasta apnaaen jo na madine ko jata ho or na koofa ko mai ibne ziyaad se baat kar ke poochta hun Aap ko uski baat maaquul lagi aesa hi kiya Hur bhi chalta raha.
رضي الله عنهم

#Tarikhe tibri
#Khutbate moharram

Hadees e Mubaraka #558

ASHURE KE MUBARAK DIN PAR APNE AMAL MEIN KUSHADGI LAAO
GHAR WAALOÑ KO KHUSH KARKE APNE RIZQ MEIN KUSHADGI PAAO

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #558.

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ jo shakhs Ashura ke din apne ghar waaloñ par khane peene mein kushadgi karega, Saal bhar woh shakhs aise hi barabar kushadgi mein rahega.

#Ma'sabt Bis Sunnah Safah 10, Khutbaat e Muharram.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #557

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #557.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Cont'd Post 556.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 231.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
4⃣ Aur unhe zarar dene ke liye rokna na ho ki had se badho aur jo aisa kare woh apna hi nuksan karta hai.
5⃣ Aur Allah ki Aayatoñ ko thatta na banaa lo.
6⃣ Aur yaad karo Allah ka ehsaan jo tum par.
7⃣ Aur woh jo tum par kitaab aur hiqmat.
8⃣ Utaari tumhe nasihat dene ko aur Allah se darte raho aur jaan rakho ki Allah sab kuch jaanta hai.

▶ Tafseer
4⃣ Ki hukme Ilahi ki mukhalafat karke gunehgaar hota hai.
5⃣ Ki unki parwah na karo aur unke khilaf amal karo.
6⃣ Ki tumhe musalman kiya aur Sayyade Ambiya ﷺ ka ummati banaya.
7⃣ Kitaab se Quraan aur hiqmat se ahkaame Quraan wa Sunnate Rasool ﷺ muraad hai.
8⃣ Usse kuch makhfi nahi.

Saturday, February 27, 2016

Shaan e Ahle Bait #557

Shaan e Ahle Bait # 557.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩ Imam e Hussain رضي الله عنه ki Makkah Shareef se iraq jaane ki taiyari. Aur saath jaanewale khandane Ahle bait.

Jabh Makkah Shareef ke rehne waloñ ko Imam e Hussain رضي الله عنه ke iraq jaane ka pata chala toh Jaleel ul Qadr Sahaba Hazrat e Abdullah bin Abbaas, Hazrat e Abdullah bin Umar, Hazrat e Jaabir Abu Saeed khudri رضي الله عنهم Yeh sab Aapke paas aaye aur arz ki ke aap kufa hargeez na jaye wahañ ke log dirham o dinar ke bande hai. Unhone Aapke waalid Asadullah Hazrat Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم aur Aapke bhai Hazrat Hasan رضي الله عنه ke saat khuli huwi gaddari aur bewafai ki. Humein dar hai ke woh aapko dhoka denge jhutlaege aur aapko be yaar o madadgaar chordh denge balke hukumat ke saath mil kar aap par hamla karenge.

Imam e Hussain رضي الله عنه ne farmaya ke Maiñ Allah ﷻ se khair ka taalib hu dekhiye kya hota hai. Bade bade Sahaaba ne aapko is safar par na jaane ka mashwara diya aur bohat koshish ki ke aap Makkah Shareef se na jaye. Lekin woh sab nakaam ho gaye aur Imam e Aali Maqaam 2 zil hijja 60 hijri ko Apne ahlebait o aqaarib ke saath Makkah Shareef se Iraq ke liye rawana hogaye.

⏩ Saath jaane walo ke naam e paak.

Imam e Hussain ke 3 bete.
Ali akbar.
Ali awsat.
Ali asgar aur
2 Azwaaj e mutahharaat aur 1 beti Sakina.
Imame Hasan ke 4 bete,
Qaasim.
Abdullah.
Umar.
Abubakar.
Hazrat Ali ke 5 bete.
Abbas.
Usmaan.
Abdullah.
Muhammad.
Jafar.
Hazrate Aqeel ke 3 bete.
Abdullah.
Abdurrehmaan.
Jaafar.
Hazrate Jafer ke 2 bete.
Aun bin abdullah bin jafer
Muhammad bin abdullah bin jafer aur unki walida.
Bibi Zainab.(Imam e Hussain رضي الله عنه ki sagi behen)

رضي الله عنهم

#Tareek e Karbala.
#Sawanah e Karbala.

Hadees e Mubaraka #557

ASHOORA KA ROZA RAKHA KARO SABHI
ISS SUNNAT E RASOOL ﷺ MEIN KITNI NEA'MATEIN BASI.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #557.

Huzoor Sarwar e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ mujhe Allah ﷻ se umeed hai ke Ashure ka roza pichle saal bhar ke gunaahon ka kaffara bana de.

#Mishkaat Shareef.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #556

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #556.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 231.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur jabh tum auratoñ ko talaaq do aur unki mi'aad aa lage.
2⃣ To us waqt tak ya bhalayi ke saath rok lo.
3⃣ Yaa nekoyi (Acche Sulook) ke saath chordh do.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani Iddat tamaam hone ke kareeb ho Shaan e Nuzool yeh Aayat Saabit Bin Yaasar Ansari ke Haq mein naazil huwi unhone Apni aurat ko talaaq di thi aur jabh iddat kareebe khatm hoti thi raja'at kar liya karte the taaki aurat qaid mein padi rahe.
2⃣ Yaani Nibahane aur accha mu'aamla karne ki niyyat se raj'at karo.
3⃣ Aur iddat guzar jaane do taaki baade iddat woh aazad ho jaye.

〰 〰 to be contd. .

Shaan e Ahle Bait #556

Shaan e Ahle Bait #556.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩ Hazrat e Muslim رضي الله عنه ki shahaadat ke baad Hazrat e Haani رضي الله عنه jinhone apne ghar mein panah di thi unki shahaadat.

▶ Hazrate Muslim ki shahaadat 3 zil hijja 60 hijri ko huwi, Aapki shahaadat ke baad kufaa waaloñ par aisa khauf chaa gaya ke logoñ ne gharoñ se nikalna chordh diya har taraf sannaata chaa gaya ke ek doosre ki khabar na thi. Yahañ tak ke Hazrat Haani bin Urwah رضي الله عنه jinke qatl ka sun kar unke qabilewaloñ ne governor house ghair liya tha jabh unko bazar mein le jaa kar qatl karne ka hukm huwa. Hazrat e Haani ko haath bandh kar le jaa rahe the toh woh pukaar rahe the, Kahan hai mere qabile wale mere gharwale meri jaan kyu nahi bachate magar koi nazar nahi aaya jo unki madad karta.

Jabh woh mayoos ho gaye toh zor laga kar apna haath raasi se aazaad kara kar zorse pukare ke koi laathi danda chadi patthr ya ouñth ki haddi hi do ke maiñ apni jaan bacha saku, Kisine kuch bhi jawab tak na diya.
Sipahiyon ne Aapke haath wapas bandhe aur bhare baazaar mein shaheed kar diya.

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥ

Hazrte Muslim رضي الله عنه ne jabh 40000 logoñ ke saath governor house ka gheraaw kiya tha ussi waqt apne dono beto ko Qaazi Shureh ke yahañ bhej diya tha, jabh ibne ziyaad ko pata chala ke Muslim ke saath do bachche bhi the to usne saare shehair mein ailaan karwa diya ke jo bhi Muslim ke bacchoñ ko chupaaega woh sakht saza paaega aur jo pakad kar hukumat ke hawale karega usko inaam diya jayega.

Ibne ziyaad ke ailaan se laalchi log aur sipahi inaam ki laalach mein bacchon ki talaash mein daud pade.

#Taarikhe Tibri
#Sawanahe Karbala

Hadees e Mubaraka#556

SUNLO AYE MOMINO, JAHILIYAT KA KYA HAI ANJAAM
MATAM KE NAAM PE, NA KARO AISE KAAM..!!!

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #556.

Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ jo muñh par tamaancha maare aur girebaan pharray aur jahiliyyat ka pukarna pukare (noha kare, wavela wa museebata ya'ani, haey museebat keh kar chillana)woh Hum mein se nahi.

#Sahih Bukhari Shareef, Jild 1, Safha 439, Hadees 1297.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #555

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #555.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 230.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Phir agar teesri talaaq use di to abh woh aurat use halal na hogi jabh tak doosre khawind ke paas na rahe.
2⃣ Phir woh doosra agar use talaaq de de to un dono par gunah nahi ki phir aapas mein mil jaaye agar samajhte ho ki Allah ki hade nibhaenge aur yeh Allah ki hade hai jinhe bayan karta hai daanishmando ke liye.

▶ Tafseer
1⃣ Masla – Teen talaaqo ke baad aurat shohar par bahurmate Mugalleza haraam ho jaati hai abh na usse ruju'u ho sakta hai na dobara nikah jabh tak ki Halaala na ho yaani baade Iddat doosre se nikah kare aur woh baade sohbat talaaq de phir iddat guzare.
2⃣ Dobara Nikah kar le.

Shaan e Ahle Bait #555

Shaan e Ahle Bait # 555.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩ Hazrat e Muslim رضي الله عنه ki Shahadat.

▶ Kufiyon ki buzdili aur be gairati ke Hazrat Muslim tanha ho gaye aur kidhar jaye kaha raat guzare kufaa mein 2-4 gaz zameen aap ke liye nazar na aayi.
Aapko Imame Hussain رضي الله عنه ki yaad ne tadpa diya ke maiñe Imam ko khat likh diya hai aur kufiyon ne saath chordh diya. Na jaane yeh zaalim Imame Hussain رضي الله عنه ke saath kya sulook kareñge. Yakeenan Imam khat ko padh kar yahañ aane ki tayyaari kar rahe hoge.

▶ Yahi sochte sochte ek andheri gali se guzar rahe the aur dekh rahe the ke saare darwaaze band hai ek jagah dekha ke ek aurat apne darwaaze par baithi nazar aayi jiska naam taw'aa tha aur apne bete ka intezaar kar rahi thi.
Aapne usse pani maanga uss neik aurat ne aapko pani pilaya jabh woh glass rakh kar waapas huwi to aapko khade dekh kar pucha aap abhi tak gaye nahi.
Aapne apna haale zaar sunaya aur panah maangi aur bataya ke Maiñ Muslim bin Aqil hu sun kar fauran aapko apne ghar mein le gayi aur ek kamre mein aap ko thehra diya, raat ko jabh uska ladka aaya toh usne apne ladke ko sara haal bata kar rok diya ke kisi ko batana mat ladka sharabi aur aawaara tha.

▶ Subha usne hukumat ke logoñ tak yeh khabar dedi ke Muslim mere ghar par hai. Fauj ne uss ghar ka muhaasra kar liya ghair liya aur andar daakhil ho gayi Aapne muqabla kiya aur faujiyoñ ko bahar nikalne par majboor kar diya.

Aapki bahaduri dekh kar woh log chat par chadh gaye aur aap par patthar aur aag phekne lage jabh aapne ye buzdilaana andaaz dekha toh baahar nikal kar jo baahar the un faujiyon se ladne lage to aapse kaha gaya ke hum aapko amaan dete hai (matlab hathiyaar phek do aapko hum jaan se maarenge nahi) uss daur ke logoñ mein amaan de kar kabhi koi apni zabaan ke khilaaf nahi karta tha.

Aapne muqabla chordh kar apne aapko unke hawale kar diya.
Raaste mein Aapki talwar dhoke se cheen li gayi.
Aap maayus ho gaye ke kaash inki zabaan par bharosa na kiya hota.

▶Aap ro pade toh aapko tanz kiya gaya ke abh rote ho. Farmaya
Maiñ apni jaan ke liye nahi bal ke Imame Hussain رضي الله عنه ke liye ro raha hu aur unki aulaad ke liye ro raha hu ke unko khat likh kar bula chuka hu.

▶ Aapke aur ibne ziyaad ke beech mein mukaadma huwa uss kamine ne aap par ilzaam laga kar aap ki wajah se kufa ka amn kharaab huwa Aapne farmaya, Meri wajah se nahi bal ke yazeed ki badkariyoñ ki wajah se huwa, kufa ke rehne waloñ ne yazeed ki badkariyoñ se aajiz aakar humko bulaya aur abh dhoka dediya.

Ibne ziyaad bad nihaad ne Aapki yeh bebaaki dekhi toh gussa hogaya aur jallaad ko hukm diya ke chat par inhe le jaao aur inki gardan utaar kar jism aur sar dono ko niche pheñk do ke haddiyon ka bhi churma ho jaye.

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ

#Tareekh e Tibri.
#Sawaanahe Karbala

Hadees e Mubaraka #555

REHMATOÑ KA DARIYA MILA HAI NABI ﷺ SE
UNKE HAR FARMAAN PAR AMAL KARO AAJ AUR ABHI SE.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #555.

Hazrat Sayyiduna Jaabir Bin Abdullah رضي الله عنه riwayat farmate haiñ, Maiñe RasoolAllah ﷺ ko Hajjatul wida ke mauke par maidaan e Arafat mein dekha ke aap apni mubarak ouñthni 'Kaswa' par jalwagar hai aur khitab farma rahe hai.

Maiñe Nabi e Kareem ﷺ ko farmate huwe suna, "Aye logoñ beshak Maiñ tumko do (2) azeem nea'mateiñ de kar jaa raha hu, jabh tak tum unhein thame (pakde) rahoge hargiz gumraah na houge, woh KitabulAllah aur Meri Itrat 'Ahle Bait' hai.

#Tirmizi Shareef Jild 2 Safah 219 Hadees No.3718 .

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #554

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 554.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd Post # 552 & 553.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 229.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
7⃣ Phir agar tumhe khauf ho ki woh dono thik inhi hadoñ par na raheñge to un par kuch gunah nahi isme jo badla lekar aurat chhutti le yeh Allah ki hade hai inse aage na badho aur jo Allah ki hado se aage badhe to wahi log zaalim hai.

▶ Tafseer
7⃣ Yaani talaaq haasil kare shaane nuzool yeh Aayatein Jameela Bin Abdullah ke baab mein naazil huwi Ye Jameela Saabit Bin Qais Ibne Shamas ke nikah mein thi aur shohar se kamale nafrat rakhti thi Rasoole Khuda ﷺ ke Huzoor mein apne shohar ki shikayat laayi aur kisi tarah unke paas rehne par raazi na huwi tabh saabit ne kaha ki maiñe unko ek baag diya hai agar yeh mere paas rehna gawara nahi karti aur mujhse alahidgi chahti hai to wo baag mujhe wapas kare maiñ inko aazaad kar du jameea ne isko manzoor kiya saabit ne baag le liya aur talaaq de di is tarah ki talaaq ko Khula'a kehte hai.
▶ Masla – Khula'a Talaaq e Bayeen hota hai.
▶ Masla – Khula'a mein lafze khula'a ka zikr zaruri hai.
▶ Masla – Agar judaayi ki talabgaar aurat ho to Khula'a mein miqdaare mehar se jaayaz lena makrooh hai aur agar aurat ki taraf se nushjoo na ho mard hi alaahidgi chahe to mard ko talaaq
ke aiwaz maal lena mutalaqan makrooh hai.

Shaan e Ahle Bait#554

Shaan e Ahle Bait # 554.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩ Hazrat e Muslim رضي الله عنه ki talaash aur Haani ki giraftaari governor house ka gheraaw kuufiyon ki gaddaari.

▶ Hazrat e Muslim ki talaash shuru huwi aur shaami jasoos ke zariye pata chala ke Hazrat e Haani ke ghar thehre huwe hai. Jasoos aqidatmand ban kar wahañ roz haazri deta raha.

Ek din Hazrat e Haani ko bulaya gaya aur pucha gaya ke Muslim kahañ hai to aap inkaar karte rahe to uss shaami jasoos ko bulaya gaya usse dekh kar aap ke hosh udh gaye.

▶ Ibne ziyaad se ijazat mangi ke mujhe jaane do maiñ Hazrat Muslim ko apne ghar se nikaal dunga Ubaidulla Ziyaad ne ek na suni aap ke chehre aur sar par dande maar maar kar lahu luhaan kar diya aur qaid kar diya.

▶ Jabh Hazrate Haani ke nisbati ne kayi hazaar logoñ ke saath jo hathiyaar ke saat the governor house ko gher liya aur pukaara ke hum hukumat ke baaghi nahi lekin hamare sardar Haani ko chor do aur maar diya toh hum badla lenge.

▶ Ibne ziyaad ghabraya aur shehair ke qaazi ko bula kar Haani ko dikhaya aur kaha ke in ke qabile ke logoñ ko khabar do ke Haani zinda hai
Kisi wajah se nazar qaid kiye gaye hai.
Qaazi sahab ne hukm par amal kiya aur Haani ke qabile wale chale gaye.

▶ Hazrat Muslim ko pata chala toh baahar aa gaye apne chahnewalon ko aawaaz di. Jisse sunkar takriban 40000 log jama ho gaye aur shaahi qille ko ghair liya gaya.

▶Ye mauqa tha ke hamla kar dete toh mutthi bhar sipahiyon ko giraftaar kar ke qabzaa kar lete lekin aapne aisa nahi kiya balke gheraw kiye rakha aur baatchit ki koshish jaari rakhi ke baatchit se mamla hal ho jaye toh musalmano mein aapas mein khoon kahraaba na ho.

▶ Lekin isi mohlat ka fayda utha kar ibne ziyaad ne kuufa ke woh log jo bade qabilon ke sardar the aur qaid mein the unko dhamkaya ke tum apne apne qabile ke logoñ ko samjao ke Muslim ka saath chor de warna maiñ tum logoñ ko qatl kar dunga.

▶ Unn sardaaroñ ne aisa hi kiya aur ek ek qabile khandanon ke log hatte gaye yahañ tak ke shaam hote hote jabh aapne maghrib ki namaaz shuru ki to sirf 500 log the aur jabh salaam phera to aap ke piche ek bhi musalli na tha.
Hazrate Muslim masjid mein tanha the aur woh mehmaan khaane jahañ se baith kar kuufiyon ne khat likhe the bulane ke liye unn par bhi taale pade huwe the. Chamanistaane Rasool ﷺ ke yeh phool tanha ho chuke the.

#Taariikhe Tibri
#Sawaanahe Karbala

Hadees e Mubaraka #554

HAI KHUBSOORAT SEEKH HUZOOR ﷺ KE HAR FARMAAN MEIN
AMAL KARO AUR CHALO JANNAT SABHI SAATH MEIN.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #554.

⏩ Huzoor Sarwar e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ,

▶ Maah e Muharram ke har din ka roza ek mahine ke roze ke barabar hai.
#Suyuti, Mu'jam al Saghir, Jild 2, Safah 87, Hadees No 1580.
▶ Jis shakhs ne yeh 3 din roze rakha Jumeraat, jumu'ah , hafta moharram ke mahine mein to uske liye 2 saal ki ibadat karne ka sawab likha jaata hai.
#Tabrani Shareef, Mu'jam al Awsat, jild 2, Safah 219, Hadees No 1789.
▶ Jo shakhs 3 din roza rakhe jumerat jumu'ah hafta zul qaaeda zul hijjah aur moharram ke mahino mein to uske namaa e aamal mein nau sau (900) saal ibadat karne ka sawab likha jaata hai.
#Ihya Uloom al Deen, Jild 1, Safah 237.
▶ jis shakhs ne 3 din roze rakha jumeraat jumu'ah hafta zul qaada zul hijja aur moharram ke mahino mein Allah ﷻ uss shakhs ko saañt sau (700) saal ibadat karne ka sawab ataa farmata hai.
#Baihaqi Shareef, Fazail al Awqat, Jild 1, Safah 538.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #553

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan # 553.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd Post # 552.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 229.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
4⃣ Aur tumhe rawa nahi ki jo kuch auratoñ ko diya.
5⃣ Usme se kuch wapas lo.
6⃣ Magar jabh dono ko andesha ho ki Allah ki hade qayam na karenge.

▶ Tafseer
4⃣ Yaani Mehar!
5⃣ Talaaq Dete waqt.
6⃣ Jo huqooqe zaujein ke muta'alliq hai.

〰〰 to be contd.

Shaan e Ahle Bait #553

Shaan e Ahle Bait #553.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩ Imaame Hussain رضي الله عنه ke chacha zaad bhai Hazrate Muslim رضي الله عنه aur unke do kam umr betoñ ki kufaa rawaangi aur kuufiyon ki bewafaai.

▶ Hazrate Muslim رضي الله عنه apne do kam umr bachchon ke saath Imame Hussain رضي الله عنه ke numaainde ban kar kuufa rawana ho gaye aur yeh tay huwa ke haalaat acche rahe toh khat likenge. Khat milne ke baad hi Imame Hussain رضي الله عنه kuufaa jayenge.
▶ Jabh aap kuufa pohuche log chaaroñ taraf se bade josh aur aqidat se aap ke haath par bayt karne lage.
Yahañ tak ke ek hafte ke andar 12000 kuufiyon ne aap ke haath par Imame Hussain رضي الله عنه ki bayat ki.

Ye haalaat dekh kar aapne khat likh diya ke kuufa ke log apni baat mein sacche hai aap jaldi tasreef le aaye.
▶ Hazrat Nomaan bin Bashir رضي الله عنه sahaabi e Rasool ﷺ uss waqt kuufa ke governor the, woh mimbar par chadhe aur kaha logoñ yeh bayt yazeed ki marzi ke khilaaf hai aur is baat par woh bhadkega aur fitna aur fasaad bhadkaaega, Banu Umaiya ke abdullah ne aapko kaha ke yeh mamla sakhti ke bagair hal nahi hoga aap kamzor hai.
Aapne kaha ke agar mein Allah ﷻ ki farmabardaari ke saath kamzor hu to mujhe manzur hai, aur izzat aur taaqat wala banne ke liye Allah ﷻ ki nafarmani karu yeh mujhe manzoor nahi.
▶ Banu umaiyya ke is fard ne yazeed ko khat likh diya ke agar kuufa ko bachana chahta hai toh kisi sakht aadmi ko haakim bana kar bhej yeh Nomaan to kamzor hai ya kamzori dikha rahe hai.
Yazeed palid ko khabar huwi to gazabnak huwa aur ubaidullah ibne ziyaad ko kuufa ka haakim bana kar bheja aur kaha ke. Muslim bin Aqeel ko shehair se bahar kar do aur na maane toh qatl kardo aur Hussain bin Ali aaye toh unse bhi bayt maango aur na maane toh unko bhi qatl kar do.
Ubaidullah ibne ziyaad aise raaste se kuufa mein daakhil huwa jis raaste par kuufa wale Imame Hussain رضي الله عنه ke muntazir the.

Usne chehra chupa liya aur shehair mein daakhil huwa kuufa wale Imame Hussain رضي الله عنه samaj kar naare pukarne lage.
Kuch dur chal kar logoñ ko pata chala ke yeh to ibne ziyaad hai toh log maayus huwe apne gharon mein wapas chale gaye.
▶ Subha ibne ziyaad ne logoñ ko jama kiya aur kaha ke yaziid ne mujhe kuufa ka governor bana kar bheja hai toh tum yazeed ki hukumat ke khilaf na jao toh amaan mein rahoge aur khilaf jaoge to darwaaze par tumhari laashein latkegi aur tumhaare biwi bachchon par rahem nahi kiya jayega phir usne shehair ke sarkardah logoñ ko sab khandanon ke ek ek sardar ko bulakar unse likhwaya ke hum kisi bhi hukumat ke mukhaalif ko apne ghar me panah nahi denge aur jo aisa karega to qatl kar diya jayega. Ibne ziyaad ki is harkat se poore sheher ke logoñ par khauf aur dar cha gaya aur logoñ ke khayal badalne lage aur yeh haalat dekh kar Hazrate Muslim raat ke andhere mein Ahlebait ke chahnewale ke ghar shift ho gaye jinka naam Haani bin Urwah.

# Taarikh e tibri, Safah-193

Hadees e Mubaraka #553

KHUDA KI MUHABBAT KISSE HAI JUDI?
HAI MUHABBAT E AHLE BAIT,MUHABBAT E NABI ﷺ

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #553.

Sayyiduna Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه se riwayat hai Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ Allah ﷻ se muhabbat karo! Kyuke woh tumhe apni nea'maton se sarfaraz farmata hai aur Allah Ta'ala ki muhabbat ki khatir Mujhse Muhabbat kiya karo aur meri muhabbat ki khatir mere ahle bait se muhabbat kiya karo.

#Tirmizi Shareef Jild 2 Hadees No. 3722.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain Ul Irfaan #552

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #552.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 229.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Yeh Talaaq
2⃣ Do baar tak hai phir bhalayi ke saath rok lena hai.
3⃣ Ya nekoyi ( Acche Sulook ) ke saath chhord dena hai.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani Talaaq e Rajayi ! Shaane Nuzool ek aurat ne Sayyade Aalam ﷺ ki khidmat mein haazir ho kar arz kiya ki uske shohar ne kaha hai ki woh usko talaaq deta aur raja'at karta rahega har martaba jabh talaaq ki iddat guzarne ke kareeb hogi raja'at kar lega phir talaaq de dega isi tarah umr bhar usko qaid rakhega is par yeh aayat naazil huwi aur irshad farma diya ki Talaaq e Rajayi do baar tak hai uske baad phir talaaq dene par raja'at ka haq nahi.
2⃣ Raja'at kar ke.
3⃣ Is tarah ki raja'at na kare aur iddat guzar kar aurat baayeena ho jaye.

〰〰 to be contd.

Shaan e Ahle Bait #552

Shaan e Ahle Bait #552.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Ek martaba Aaqa e Kareem ﷺ masjid mein tashreef laye aur farmaya chota baccha kahan hai.? Imam e Hussain رضي الله عنه daudte huwe aaye aur RasoolAllah ﷺ ki godh shareef mein baith gaye aur apni ungliyan Huzoor ﷺ ki daadhi mubarak mein daakhil kardi Huzoor ﷺ ne unka muñh khol kar bosa liya aur farmaya "Aye Allah ﷻ Main isse muhabbat karta hu Tu bhi isse muhabbat farma aur usse bhi muhabbat farma jo isse muhabbat kare.

Nabi e kareem ﷺ Imam e Hussain رضي الله عنه ke luhab e dehan ko is tarah chooste jaise ke koi shakhs khajoor choosta hai.

⏩KHULASA
In tamam Ahadees e Mubaraka se pata chala ke Huzoor ﷺ Imam e Hussain رضي الله عنه ko khood bhi bohot chahte they aur Apni ummat ko bhi inse muhabbat karne ki targeeb di aur Allah ﷻ se bhi dua ki ke isse bhi aur jo isse muhabbat karey usse bhi muhabbat farma. سُــــبْحانَ الله

Jo shakhs yeh chahta ho ke tamam aalamoñ ka khaliq aur duniya banane wala tamam duniya ko palne wala mujhse muhabbat kare to usse chahiye ke Imam e Hussain رضي الله عنه se muhabbat kare.

#Sawaaeq ul Muharreqa.
#Mishkaat Shareef.
#Mirqaat Sharh e Mishkaat Shareef.
#Al Sharful Muaiyad.

Hadees e Mubaraka #552

MUHARRAM KE ROZE MEIN CHUPA HAI KUCH KHAAS
RAKHLO ROZA AUR YAAD KARO SHAHEED E KARBALA KI PYAAS.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #552.

Hazrat e Abu Hurairah رضي الله عنه riwayat farmate hai Nabi e Kareem ﷺ irshad farmate haiñ tamaam roze mein afzal ramzaan ke baad Muharram ke roze hai aur baad namaz e farz ke tahajjud ki namaaz hai.

#Muslim Shareef, Jild 3, Hadees No 2755.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain Ul Irfaan #551

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #551.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd. Post # 549 & 550.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 228.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
4⃣ Aur unke Shoharoñ ko us muddat ke andar ke unke pheir lene ka haq pahuchta hai agar milaap chaahe.
5⃣ Aur Auratoñ ka bhi haq aisa hi hai jaisa un par hai Shara e Muwafiq Aur mardo ko un par fazilat hai aur Allah Gaalib hiqmat wala hai.

▶ Tafseer
4⃣ Yaani talaaqe rajayi mein iddar ke andar shohar aurat se rujoo kar sakta hai khwah aurat raazi ho ya na ho lekin agar shohar ko milaap manzoor ho to aisa kare zarar rasaani ka qasd na kare jaisa ki Ahle jahiliyat aurat ko pareshan karne kel iye karte the.
5⃣ Yaani jis tarah auratoñ par shoharo ke huqooq ki adaa waajib hai usi tarah shoharo par auratoñ ke huqooq ki riaayat laazim hai.

Shaan e Ahle Bait #551

Shaan e Ahle Bait # 551.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶ Shahenshaah e Shaheedaañ (tamam shaheedoñ ke shahenshah) Imam e Hussain رضي الله عنه ki wiladat 5 Shabaan 4 hijri ko Madina Shareef mein huwi.
▶ Huzoor ﷺ ne aap ke kaan mein azaan di aur muñh mein apna luaab e dahan (thuk mubarak) dala aur dua farmayi phir saatve (7th) din aap ka naam Hussain rakha aur aqeeqa kiya.
▶ Aapki kunniyat Abu Abdullah aur laqab Sibt e Rasool hai.

⏩ Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ.
▶ Hazrate Haroon علیہ السلاام ne apne betoñ ke naam Shabbar o Shabbir rakha aur Maine apne betoñ ka naam unhi ke naam par Hasan o Hussain rakha.
▶ Hasan o Hussain jannati naamo mein se 2 naam hai.
▶ Husain mujhse hai aur Maiñ Hussain se hu.
▶ Jisne Hussain se mohabbat ki usne Allah ﷻ se mohabbat ki.
▶ Jisse pasand ho ke kisi jannati jawaano ke sardaar ko dekhe to woh Hussain Ibne Ali (رضي الله عنه) ko dekhe.

#Sawaaeq ul Muharreqa.
#Mishkaat Shareef.
#Mirqaat Sharh e Mishkaat
#Al Sharf ul Muaiyad

Hadees e Mubaraka #551

GARCHE HAI BEHAD KASOOR TUM HO AFU O GAFOOR
BAKSH DO JURM O KHATAA TUM PE KAROOROÑ DAROOD

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #551.

Huzur Rehmat e Aalam ﷺ irshad farmate haiñ jo shakhs Jumu'ah ke din sau (100) martaba Mujh par Darood padhega uski assi (80) saal ki khatayeñ bakhsh di jaaengi.

#Dalail_Ul_Khairat_Shareef

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #550

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #550.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Contd Post # 549.
Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 228.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
2⃣ Aur unhe halaal nahi ki chhupaye wo jo Allah ne unke peit mein paidah kiya.
3⃣ Agar Allah aur Qiyamat par Imaan rakhti hai.

▶ Tafseer
2⃣ Woh hamal ho ya khoone haiz kyuki uske chhupane se raja'at aur walad mein jo shohar ka haq hai wo zaaya hoga.
3⃣ Yaani muqtajaaye Imaandari hai.

〰〰 to be contd. .

Shaan e Ahle Bait #550

Shaan e Ahle Bait # 550.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶ Ek jung se wapas hote huwe Hazrate Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم karbala se guzar rahe the toh thehair gaye aur uss zameen ka naam pucha toh logoñ ne kaha ke iss zameen ka naam karbala hai. Karbala ka naam sun kar aap iss qadar roye ke zameen aashkon se tar ho gayi phir Aapne farmaya ke Huzoor ﷺ ki khidmat mein ek martaba hazir huwa to dekha ke aap ro rahe hai. Maine arz ki Yaa Rasulallah ﷺ aap kyu ro rahe hai? Farmaya "Abhi jibraeel aaye the aur khabar de gaye ke mera beta Hussain dariya e furaat ke kinaare uss jagah shaheed kiya jayega jisko karbala kehte hai.

▶ Abu Naeem Asbagh kehte hai ek hum Hazrat e Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم ke saath karbala se guzre toh aapne farmaya.
Yeh shaheedoñ ke ouñth bithane ki jagah hai aur iss jagah par unke kujawe (ouñth ki kaathi jis par do log baithte hai) rakhe jayenge. Aur yahañ unke khoon bahaye jayenge.

Aale Mohammed ﷺ ke bohot se jawaan iss maidaan mein shaheed kiye jaaenge aur unpar zameen o aasmaan royenge.

▶ In Ahaadees se yeh malum huwa ke Imam e Hussain رضي الله عنه ki shahadat ki khabar Huzoor ﷺ ko pehle se hi di gayi thi aur Huzoor ﷺ ne bhi baar baar iska zikr farmaya. Bachpan se hi mashoor ho gayi thi. Bal ke shaheed hone ki jagah samaan ki jagah sab kuch jante the.

▶ KHULAASA.
Huzoor ﷺ ke Ilm e Gaib ka inkaar karne waloñ ke liye iss mein ibrat hai ke Hazrat Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم ke ilm ko dekho. Jabh inke ilm ka yeh aalam hai to inke Aaqa Yani Huzoor ﷺ ke ilm ka kya aalam hoga.

#Sawaaeq ul Muharreqa.
#Al Khasais ul Kubra.

Hadees e Mubaraka #550

SUNLO AYE MOMINO NABI ﷺ NE KYA FARMAYA
SAB SE BEHTAREEN HONE KA DARJA KISNE PAYA

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #550.

Huzoor Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ Abu Bakr aur Umar رضي الله عنهم Ambiya wa Mursaleen ko chhord kar awwaleen o akhireen mein rehne waale tamaam logoñ se behtar hai.

#As Sawaaequl Muharriqah.

Farmaate haiñ ye donoñ haiñ sardaar e do jahaañ,
Aye Murtaza! Ateeq o Umar ko khabar na ho..
~ Sayyidi Aala Hazrat رضي الله عنه

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #549

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #549.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 228.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Aur Talaaq waaliya apni jaano ko roke rahe teen haiz tak.

▶ Tafseer
1⃣ Is Aayat se mutallaqa auratoñ ki iddat ka bayan hai jin auratoñ ko unke shoharo ne talaaq di agar woh shohar ke paas na gayi thi aur unke khalwate sahiha na huwi thi jabh to un par talaaq ki iddat hi nahi hai jaisa ki Aayat mein irshad hai aur jin auratoñ ko khurd saali ya qibr seeni ki wajah se haiz na aata ho ya jo haamila ho unki iddat ka bayan Suraye talaaq mein aayega baaki jo aazad aurateiñ hai yahañ unki iddat wa talaaq ka bayan hai ki unki iddat teen haiz hai.

〰〰 to be contd. .

Shaan e Ahle Bait #549

Shaan e Ahle Bait # 549.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Khatoon e Jannat Hazrat e Sayyeda Fatima farmati hain.
Mai Hasan O Hussain ko lekar Huzoor ﷺ ki khidmat mai haazir hui aur arz ki.
Huzoor yeh dono Aap ke nawaase hai inhe ataa farmayein.
Huzoor ﷺ ne farmaya.
Hasan ke liye meri Haibat O Siyaadat.
Aur Hussain ke liye meri jurrat (himmat) O sakhaawat hai.
▶Ek martaba Huzoor ﷺ saamne bachpane ke dino mai Hasan O Hussain ek dusre se kushti lad rahe the. Huzoor ﷺ bethe huwe the aur kushti dekh rahe the.
Imame Hasan se Huzoor ﷺ ne farmaya.
Hussain ko pakad lo. Sayyeda Fatima farmati hai mujhe bada tajjub huwa aur arz ki.
Abba jaan Aap bade se keh rahe hai ke chote ko pakad lo.
Huzoor ﷺ ne farmaya.
Dusri taraf Jibraeel hai jo Hussain se keh rahe hai ke Hasan ko pakad lo.

Kya shaan hai.
Ek taraf Sayyedul Mursaleen aur Dusri taraf Sayyedul Malaaika.

#Al sharful Muaiyad
#Nuurul Absaar

Hadees e Mubaraka#549

KARLO AMAL FARMAAN E RASOOL ﷺ PAR
NA GAWAAO YEH MAUKA BASKHWALO APNE GUNAAH

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #549.

Hazrat Abbas رضي الله عنه se riwayat hai ke Huzoor e Aqdas ﷺ irshad farmate haiñ jisne Zilhijja ke aakhri din aur Moharram ke Pehle din ka Roza rakha goya usne guzishta saal ko Rozoñ mein khatm kiya,(yaani saal bhar Roza rakha) aur aayinda saal ko bhi Roze se shuru kiya.

Allah ﷻ ne uske 50 baras Ke Gunaahoñ ka us roze ko kaffara bana diya.

#Gunyatut Talibeen.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #548

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #548.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 226 & 227.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Woh jo kasam kha baithte hai aur apni auratoñ ke paas jaane ki unhein chaar mahine ki mohlat hai pas agar is muddat mein phir aaye to Allah bakhshne wala meherbaan hai. Aur Agar chhodh dene ka iraada pakka kar liya to Allah Sunta jaanta hai.

▶ Tafseer
▶ Shaane Nuzool zamana e jahiliyat mein logoñ ka yeh mamool tha ki apni auraton se maal talab karte agar woh dene se inkaar karti to ek saal do saal teen saal ya usse zyada arsa unke paas na jaane aur sohbat tarq karne ki kasam kha lete the aur unhe pareshani mein chhordh dete the na wo bewa thi ki kahi apna thikana kar leti na shohardaar ki shohar se aaram paati Islam ne is zulm ko mitaya aur aisi kasam khane waloñ ke liye chaar mahine ki muddat muay'yan farma di ki agar aurat se chaar mahine ya usse zayad arsa ke liye ya gair muay'yan muddat ke liye tarq e sohbat ki kasam kha le jisko ilaa kehte hai to iske liye chaar maah intezaar ki mohlat hai is arsaa mein khoob soch samajh le ki aurat ko chhordhna uske liye behtar hai ya rakhna agar rakhna behtar samjhe aur is muddat ke andar rujoo kare to Nikah baaki rahega aur kasam ka kaffara laazim hoga aur agar is muddat mein rujoo na kiya aur kasam na todi to aurat nikah se baahar ho gayi aur us par talaak e baayeen waaqe ho gayi.
▶ Masla – Agar mard sohbat par qaadir ho to rujoo sohbat se hi hoga aur agar kisi wajah se qudrat na ho to baad qudrat sohbat ka waada rujoo hai. (#Tafseer Ahemadi)

Shaan e Ahle Bait #548

Shaan e Ahle Bait # 548.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ

▶ Hasan aur Hussain Jannati jawaanon ke sardaar hai.
▶ Hasan aur Hussain duniya ke mere do (2) phool hai.
▶Jisne in dono se mohabbat ki toh usne mujhse mohabbat ki aur jisne in dono se dushmani ki usne mujhse dushmani ki.(Jab Sarkar ﷺ ne yeh farmaya tab ek kandhe par Hazrat e Hasan aur dusre kandhe par Hazrat e Hussain رضي الله عنهم the.)
▶ Allama Jami Alaihi Rehma farmate haiñ ke Ek roz Nabi e Kareem ﷺ apne seedhi taraf Imam e Hussain aur ulti taraf apne Shehzaade Hazrat e Ibrahim Alaihirehmah ko bithaaye huwe the. Uss waqt Hazrat e Jibraeel haazir علیہ السلاام huwe aur arz ki. Yaa RasoolAllah ﷺ Allah ﷻ in dono ko Aap ke paas jama na rakhega. Inn mein se ek ko wapas bula lega.

Aap in dono mein se ek ko pasand farma le. Huzoor ﷺ ne farmaya. Agar Hussain rukhsat ho jaaye to inki judaai mein Fatema aur Ali ko takleef hogi aur meri bhi jaan sozi hogi. Aur agar mere Shehzaade Ibrahim wafa'at pa jaye toh jyada se jyada gam mujhko hoga isliye mujhe apna gam pasand hai.
Is waaqiye ke 3 roz ke baad wafa'at pa gaye. Is waqiye ke baad jabh bhi Imam e Hussain Huzoor ﷺ ki khidmat mein aate to Huzoor ﷺ marhaba farmate. Fir unko chumte aur logo se farmate. Maine Hussain par apne bete Ibrahim ko qurbaan kar diya.

# Mishkaat Shareef
# Al Sharful Muaiyad

Shaan e Hazrat Umar Farooq e Aazam رضي الله عنه#548

Shaan e Hazrat Umar Farooq e Aazam رضي الله عنه
#548.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hazrate Ali e Murtuza رضي الله عنه farmate hai ke Hazrate Umar رضي الله عنه ke alawa hum kisi shakhs ko nahi jaante jisne ailaaniya hijrat ki ho jabh Hazrat e Umar رضي الله عنه hijrat ki niyyat se nikle to aapne apni talwar gale me latkaai aur kaman kandhe par aur tirkash se teer nikal kar haath mein le liya. Phir Baitullah Shareef ke paas haazir huwe wahañ bahut se quraish baithe huwe they aapne itmenan se Kaaba Shareef ka tawaaf kiya phir bahut itmenan se maqame Ibrahim ke paas 2 rakat namaz padhi phir quraish ki jamat ke paas aakar ek ek shaks se alag alag farmaya tum logon ke chehre badshakal hojaenge uske baad farmaya apni maa ko be aulad apne baccho ko yateem aur apni biwi ko bewah banane ka irada rakhta ho to wo is waadi ke is taraf aakar mera muqabla karle aapke is tarah lalkarne ke bawajood un mein se kisi ki himmat na huwi ke woh aapka peecha karta.

Hazrate Qatadah رضي الله عنه farmate hai ke humein bataya gaya ke Hazrat e Umar رضي الله عنه farmaya karte they ke agar Maiñ chahta to sab se zyada umdah khana khata aur tum sab se zyada narm kapde pehanta lekin Maiñ apni nekiyo ka badla yahañ nahi lena chahta balke aakhirat mein lena chahta hu.

Huzoor e Pak ﷺ irshad farmate haiñ mujhe uss Muqaddas Zaat ki kasam jiske qabza e qudrat mein meri jaan hai jis raah se Umar guzarta hai shaitaan uss raah se hatt jaata hai Allah ﷻ ne Umar ki zuban par haqq jaari kardiya hai, woh Farooq hai Allah Ta'ala ne in ke zariye haqq o batil me farq kardiya aur farmaya Abubakr o Umar Ambiya ke alawah jannat ke sab agle pichle ummat ke adher umar ke logoñ ke sardar hai Umar ahle jannat mei charaagh hai.

Hazrate Umar رضي الله عنه umr shareef 63 saal huwi 26 zilhijjah 23 hijri budh ke din Masjid e Nabwi Mehrabun Nabi mein Musallae Mustafa ﷺ par namaz padhate huwe shaheed kiye gaye aapki khilafat ka daur 10 saal 6 maah aur kuch din raha.

Hadees e Mubaraka #548

WOH UMAR JINKE QABOOL ISLAM PAR
MANAYE KHUSHIYA AHLE AASMAAN
KYA SHAAN HAI FAROOQ E AAZAM KI
INKI HAR AZMAT PAR LAAKHON SALAAM

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #548.

Sayyeduna Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه se riwayat hai jiss waqt Hazrat e Umar farooq e Aazam رضي الله عنه musharraf ba islam huwe,Hazrat e Jibreel e Ameen علیہ السلام haazir e khidmat huwe aur arz kiya Yaa RasoolAllah ﷺ yaqeenan Umar (رضي الله عنه) ke islam qubool karne par ahle aasmaan ne khushiyaan manayi.

#Ibne Majah Shareef Baab Fazl Umar رضي الله عنه Hadees No.108.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #547

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #547.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 225

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Allah tumhe nahi pakadta un kasamo mein jo be iraada zabaan se nikal jaaye haa us par giraft farmata hai jo tumhare diloñ ne kiye aur Allah bakshne wala, ilm wala hai.
▶ Tafseer
▶ Masla – kasam teen tarah ki hoti hai lagaw, gamus, mun'aqida. Lagaw yeh hai ki kisi guzre huwe amr par apne khayal se sahi jaankar kasam khaye aur dar haqeeqat uske khilaaf ho yeh maaf hai aur is par kaffara nahi. Gamus yeh hai ki kisi guzre huwe amr par daanista jhooti kasam khaye isme gunehgaar hoga. Mun'aqida yeh hai ki kisi aayenge amr par qasd karke kasam khaye is kasam ko agar tode to gunehgaar bhi hai aur kaffara bhi laazim.

Shaan e Ahle Bait #547

Shaan e Ahle Bait # 547.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩Nabi e Kareem Rauf o Raheem ﷺ irshad farmate haiñ

▶ Sitaare aasmaan waaloñ ke liye aman ka sabab hai aur mere Ahle Bait zameen waaloñ ke liye aman ka sabab hai.
▶ Mere Ahle Bait ummat ke liye aman ka sabab hai.
▶ Jo shakhs wasila hasil karna chahta hai aur yeh chahta hai ke Meri baargaah mein uski koi khidmat ho jiske sabab Maiñ qayamat ke din uski shafa'at karu. To usse chahiye ke mere Ahle Bait ki khidmat kare aur unhein khush rakhey.
▶ Jo bhi is baat ko pasand karta ho ke uski umr lambi ho uski aarzuein poori ho to usse Mere baad Mere Ahle Bait se acchi tarah pesh aana chahiye. Aur jo Mere baad unse acchi tarah pesh nahi aaega uski umr khatam kardi jaaegi aur qayamat ke din is halat mein Mere paas aaega ke uska chehra siyaah ho jaaega.
▶ Hazrat e Ali رضي الله عنه ne baargaah e Risaalat mein logoñ ke hasad ki shikayat ki to Nabi e kareem ﷺ ne irshad farmaya Kya tum is baat par raazi nahi ke tum chaar mein se chauthe ho? Sabse pehle jannat mein Maiñ Tum aur Hasnain Kareemain daakhil honge. Hamari azwaaj e mutaharaat (biwiyaan) humare seedhe aur ulte taraf hogi aur hamari aulaad hamari azwaaj ke peeche hogi.

#Al Sharful Muaiyad.
#Barakaat e Aale Rasool.

Thursday, February 25, 2016

Shaan e Hazrat Umar Farooq e Aazam رضي الله عنه #547

Shaan e Hazrat Umar Farooq e Aazam رضي الله عنه
#547.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Aaj Duniya mein jo nizam qayim hai woh Hazrat e Umar رضي الله عنه ki sooj bujh ka natija hai.

▶ Islam mein sab se pehle Sharab peene par saza dene wale Hazrat e Umar رضي الله عنه hai.
▶ Sabse pehle Aap hi ne shahero ko aabad kiya.
▶ Islam ke sabse pehle Qazi Hazrat e Umar رضي الله عنه muqarrar kiye gaye.
▶ Hazrat e Umar رضي الله عنه ne san hijri sabse pehle qayam kiya.
▶ Aap hi ne sabse pehle ba jama'at Taraveeh ka ahtemaam kiya.
▶ Hazrate Umar رضي الله عنه ne sabse pehle Masjido mein farsh lagwaye aur musafiro ke liye musafir khane banwaye.
▶ Hazrate Umar رضي الله عنه ne sabse pehle Police ke mehkame banwaye aur aap hi ne sabse pehle Baitul maal qayam kiya.
▶ Aap ki khilafat ke zamane mai ek hazaar chattis (1036) shaher aur uske kasbaat aur dehaat fateh huwe takriban chaar hazaar (4000) masjide aap ki khilafat ke daur mein qayam huwi takriban chaar hazaar (4000) Buthqade aur Aatish qade dhahe gaye.

Hadees e Mubaraka #547

IJABAT KA SEHRA
INAYAT KA JODA
DULHAN BAN KE NIKLI
DUA E MUHAMMED ﷺ
~ Imam e Ahle Sunnat Aala Hazrat رضي الله عنه

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #547.

Ummul Momineen Sayyeda Ayesha Siddiqa رضي الله عنها se riwayat hai Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ne dua farmayi, Aye Allah ﷻ tu bataur e khaas Umar Bin Khattab ko islam ki taufeeq ata kar ke islam ko galba ata farma.

#Sunan Ibne Majah Shareef Baab Fazl Umar رضي الله عنه Hadees No.110.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #546

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #546.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 224.

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
▶ Aur Allah ko apni kasamo ka nishana na bana lo ki ehsaan aur parhezgaari aur logoñ mein sulah karne ki kasam kar lo aur Allah sunta aur jaanta hai.

▶ Tafseer
▶ Hazrate Abdullah bin Rawaha رضي الله عنه ne apne bahnoyi No'maan Bin Basheer ke ghar jaane aur unse kalaam karne aur unke khusoom ke saath unki sulah karane se kasam kha li thi jabh uske muta'alliq un se kaha jaata tha to keh dete the ki maiñ kasam kha chuka hu isliye yeh kaam kar hi nahi sakta is baab mein yeh Aayat naazil huwi aur neik kaam karne se kasam kha lene ki mumana'at farmayi gayi.
▶ Masla – Agar koi shakhs neki se baaz rehne ki kasam kha le to usko chahiye ki kasam ko poora na kare balki woh neik kaam kare aur kasam ka kaffara de Muslim Shareef ki Hadees mein hai Rasool e Akram ﷺ ne farmaya jis shakhs ne jis shakhs ne kisi amr par kasam kha li phir maloom huwa ki khair aur behtari uske khilaaf mein hai to chahiye ki us amre khair ko kare aur kasam ka kaffara de.
▶ Masla- Baaz mufassareen ne yeh bhi kaha hai ki is Aayat se ba-kasrat kasam khaane ki mumana'at saabit hoti hai.

Shaan e Ahle Bait #546

Shaan e Ahle Bait # 546.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Jabh Abu lahab ki beti (Jo imaan wali thi ) Makkah Shareef se hijrat kar ke Madina Shareef mein aayi to kuch logoñ ne unse kaha tumhari hijrat tumhe kuch kaam na aaegi isliye ke tum jahannami ki beti ho, yeh baat unhone Huzoor ﷺ se bayan ki Aaqa ﷺ bahot naraz huwe phir mimber par jalwagar ho kar farmaye un logoñ ka kya haal hoga jo mujhe mere nasab aur rishtedaaron ke baare mein taklif dete hai, Khabardar jisne mere nasab aur rishtedaaroñ ko takleef di usne Mujhe taklif di aur jisne mujhe takleef di usne Allah ko takleef di.

Agar koi Haram Shareef ke ek kone aur Maqaam e Ibrahim ke beech mein namaz padhe aur roze rakhhe phir woh mere Ahle bait ki dushmani mein mare wo jahannam mein jaaega.

Allahu Akbar Ahlebait ki dushmani se Allah ﷻ ki panah, Masjid e haram jo sabse afzal hai aur Maqaam e Ibrahim jaisi barkat wali jagah namaz padhe aur roze rakhe phir Ahle bait se dushmani rakhe to jahannam mein jaaega aur usko koi neik Amal kaam na aayega aur na Azaab se bacha sakega.

#Tibrani Shareef.
#Barkate Aale Rasool.
#Al Sharaful Maiyyad.

Shaan e Hazrat Umar Farooq e Aazam رضي الله عنه#546

Shaan e Hazrat Umar Farooq e Aazam رضي الله عنه
#546.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

⏩Huzoor Nabi e kareem ﷺ irshad farmate haiñ.

▶ Agar mere baad koi Nabi hote toh beshak Umar hi hote.
▶ Beshak Maiñ nigaahe Nubuwat se dekh raha hu ke jinnaatoñ ke aur insaano ke dono ke shayateen Mere Umar ke khauf se bhaagte hai.
▶ Umar Mujhse hai aur Maiñ Umar se hu. Aur Umar jis jagah bhi hote hai haq unke saath hota hai.
⏩ Maiñ soo raha tha ke khawab dekha ke log mere saamne laye jaa rahe hai aur dikhaye jaa rahe hai woh sab kurte pehne huwe they jis mein kuch logoñ ke kurte seeno tak kuch ke usse niche phir Umar ko laaya gaya aur unka kurta itna lamba tha ke zameen se ghisat raha tha. Logoñ ne arz ki
Iska kya matlab hai, Huzoor ﷺ ne farmaya, Deen (matlab deendaari aur taqwe mein bohot badhe huwe)
▶ Allah ne Umar ki zabaan aur dil par Haq ko jaari farma diya.(matlab aap hamesha sacchaai par hi raheñge)
⏩ Jisne Umar se dushmani ki usne Mujhse dushmani ki aur jisne Umar se mohabbat ki usne Mujhse mohabbat ki.

#Mishkaat Shareef.
#Taarikhul Khulfa.
#Madaarijun Nubuwwah.

Hadees e Mubaraka #546

FAARIQ E HAQ O BAATIL IMAMUL HUDA
TEGH E MASLOOL E SHIDDAT PE LAAKHOÑ SALAAM

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Hadees e Mubaraka #546.

Ek martaba Aaqa e Kareem ﷺ ki bargaah e Aqdas mein Hazrat e Jibrail علیہ السلام haazir aaye aur Nabi e Kareem ﷺ se arz ki beshak Umar (رضي الله عنه) ne haq aur batil ko alag alag kar diya yeh sun kar Sayyed e Aalam ﷺ ne irshad farmaya tu Farooq hai tu Farooq hai.

#Tafseer e Madarik.

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan#545

Tarjuma e Kanzul Imaan wa Tafseer e Khazaain ul Irfaan #545.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

▶Note-: Quraan e paak ke tarjume ko bagair wazu na chhue, Parh sakte hai.

Surah Baqrah Shareef
Aayat No. 223

▶ Tarjuma - Allah ke naam se shuru jo bahut meharban Rehmat wala.
1⃣ Tumhari Aurateiñ tumhare liye khetiyañ hai to aao apni khetiyoñ mein jis tarah chaho.
2⃣ Aur apne bhale ka kaam pehle karo aur Allah se darte raho aur jaan rakho ki tumhe usse milna hai aur aye Mehboob basharat do Imaan waloñ ko.

▶ Tafseer
1⃣ Yaani Auratoñ ki qurbat se nasl ka qasd karo na qaza e shahwat ka
.
2⃣ Yaani aamale saaliha ya jimaa se qabl Bismillah Padhna.

Shaan e Hazrat Umar Farooq e Aazam رضي الله عنه #545

Shaan e Hazrat Umar Farooq e Aazam رضي الله عنه
#545.

بسم الله الرحمن الرحيم
Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllahﷺ

Aapka naam mubarak Umar hai kunniyat Abu Hafs laqab Farooq e Aazam khitab Ameerul Momineen hai, Waalid ka naam khattab Ibn Naufeel hai aur Walida ka naam Antama hai jo abu jahel ki beti hai..

Aap Ailaan e Nabuwwat ke chatte (6th) saal 27 baras ki umr shareef mein musharraf ba Islam huwe.

Hazrate Ummul Momineen Aysha Siddiqa رضي الله عنها se marwi hai ke Sayyeduna Farooq e Aazam رضي الله عنه ke silsile mein Nabi e kareem ﷺ ne budh ke din dua maangi doosre hi roz jumeraat ko Hazrat e Umar رضي الله عنه islam mein dakhil hogaye.

Hazrate Umar رضي الله عنه RasoolAllah ﷺ ke saath Badr, Uhad, Khandaq, Baiy'ate Rizwan, Khaibar, Fathe Makkah, Hunain, aur deegar tamam jangoñ mein shareek rahe Hazrate Umar رضي الله عنه kuffar par sab se zyada sakht they. Hazrat e Umar رضي الله عنه ne hi badr ke tamam mushrikeen ko qatl karne ka mashwara diya tha Hazrat e Umar رضي الله عنه jung e uhad mein aakhir waqt tak Nabi e kareem ﷺ ke saath saabit qadam rahe.